Ya Khwaja Moinuddin Karam Manqabat Lyrics

Ya Khwaja Moinuddin Karam Manqabat Lyrics

Manqabat e Garib Nawaz / Qari Rizwan Sahab

Ya Khawaja Moinuddin karam
dikhla do hume wo sonda haram

Lillah karo mangto pe karam
dikhla do hume wo sohna haram

Tera dar to hai darbaar e Aali
jaunga bhala kaise khali

Badi door se dar per aaye hai hum
dikhla do hume wo sohna haram

Yun Khawaja teri baraat chali
piche hai wali aage hai Ali

Tashrif hai laye Shah e Umam
dikhla do hume wo sohna haram

Ye sunni dawate islami
maqbool jahan me ho naami

Rahe ispe sada tera dust e karam
dikhla do hume wo sohna haram

Tera Shakir e Razvi shaad rahe
ghar uska sada abaad rahe

Bade izzat o azmat jaaho hasham
dikhla do hume wo soha haram

Kya arz kare tera Sayyed
Ya khwaja moinuddin madad

Karu deen ki khidmat mai har dum
dikhla do hume wo sonda haram

Mere dil pe sada tera haath rahe
tere lutfo karam ka saath rahe

Rahe wird e duroodo ka paiham
dikhla do hume wo soha haram

Har saal mile haj ki daulat
daaim ho Madine se nisbat

Rahe laaj sada rahe baaqi bharam
dikhla do hume wo sohna haram

Sunnat pe hamesha chalta rahu
Islam ki dawat deta rahu

Shamil ho sada teri nazre karam
dikhla do hume wo sohna haram

Halaat pareshan lagte hai
ankho se bhi aasu behte hai

Lekin hai bharosa hoga karam
dikhla do hume wo sohna haram

Ehbaab mere sab shaad rahe
jau jo Madine yaad Rahe

De unko dua chashme purnam
dikhla do hume wo sohna haram

Rahe shaad sada maa baap mere
phir dekhe haram humrah mere

Bulwana unhe bhi Shahe umam
dikhla do hume wo sohna haram

Dam e aakhir kalma padha jana
maqre shaitan se bacha jana

Imaan pe nikle bas mera dum
dikhla do hume wo sohna haram

RIZWAN tera ghabraye kyu
gham usko bhala tadpaye kyu

Tere hote bhala kare kaun sitam
dikhla do hume wo sohnaa haram

Leave a Reply

This site uses Akismet to reduce spam. Learn how your comment data is processed.

%d bloggers like this: