bal-e-jibril-allama-iqbal-shayari

Bal e Jibril | Allama Iqbal Shayari

Meri Nawa-e-Shauk Se Shor Hareem-e-Zaat Mein

(Bal-e-Jibril-001) Meri Nawa-e-Shauk Se Shor Hareem-e-Zaat Mein (میری نوا شوق سے شور حریم ذات میں) My epiphany of passion causes…

Meri Nawa’ay Shauq Se Shor Hareem-e-Zaat Mein
Ghalghala Ha’ay Al-Aman But Kada’ay Sifaat Mein

Hoor-o-Farishta Hain Aseer Mere Takhaiyulat Mein
Meri Nigah Se Khalal Teri Tajalliyat Mein

Garche Hai Meri Justujoo Dair-o-Haram Ki Naqsh Band
Meri Faghan Se Rustkhaiz Kaaba-o-Somanat Mein

Gah Meri Nigah-e-Taiz Cheer Gyi Dil-e-Wujood
Gah Uljah Ke Reh Gyi Meri Touwahamaat Mein

Tu Ne Ye Kya Ghazab Kiya, Mujh Ko Bhi Fash Kar Diya
Main Hi Tou Aik Raaz Tha Sina’ay Kainat Mein !

Agar Kaj Ro Hain Anjum, Asman Tera Hai Ya Mera

(Bal-e-Jibril-002) Agar Kaj Ro Hain Anjum, Asman Tera Hai Ya Mera (اگر کج رو ہیں انجم, آسمان تیرا ہے یا میرا) If the stars have strayed…

Agar Kaj Ro Hain Anjum, Asman Tera Hai Ya Mera
Mujhe Fikar-e-Jahan Kyun Ho, Jahan Tera Hai Ya Mera?

Agar Hangama Ha’ay Shauq Se Hai La-Makan Khali
Khata Kis Ki Hai Ya Rab ! La-Makan Tera Hai Ya Mera?

Usse Subah-e-Azal Inkaar Ki Juraat Hui Kyun Kar
Mujhe Maloom Kya, Woh Raazdan Tera Hai Ya Mera?

Muhammad (S.A.W.) Bhi Tera, Jibreel Bhi, Quran Bhi Tera
Magar Ye Harf-e-Shireen Tarjuman Tera Hai Ya Mera?

Issi Koukab Ki Tabani Se Hai Tera Jahan Roshan
Zawal-e-Adam-e-Khaki Zayan Tera Hai Ya Mera?

Tere Shishe Mein Mai Baqi Nahin Hai

(Bal-e-Jibril-003) Tere Shishe Mein Mai Baqi Nahin Hai

Tere Shishe Mein May Baqi Nahin Hai
Bata, Kya Tu Mera Saqi Nahi Hai

Samundar Se Mille Piyase Ko Shabnam
Bakheeli Hai Ye Razzaqi Nahin Hai

Gaisu-e-Tabdar Ko Aur Bhi Tabdar Kar

(Bal-e-Jibril-004) Gaisu-e-Tabdar Ko Aur Bhi Tabdar Kar (گیسوۓ تابدار کو اور بھی تابدار کر) Bright are Your tresses: brighten them even more

Gaisuay Tabdar Ko Aur Bhi Tabdar Kar
Hosh-o-Khirad Shakar Kar, Qalb-o-Nazar Shakar Kar

Ishq Bhi Ho Hijab Mein, Husn Bhi Ho Hijab Mein
Ya Tu Khud Ashkar Ho Ya Mujhe Aashkar Kar

Tu Hai Muheet-e-Bekaran, Mein Hun Zara Si Aabjoo
Ya Mujhe Hamkinar Kar Ya Mujhe Bekinar

Main Hun Sadaf Tou Tere Hath Mere Guhar Ki Abroo
Mein Hun Khazaf Tou Tu Mujhe Gohar-e-Shahwar Kar

Naghma’ay Nau Bahar Agar Mere Naseeb Mein Na Ho
Iss Dam-e-Neem Souz Ko Taeerak-e-Bahar Kar

Bagh-e-Bahisht Se Mujhe Hukam-e-Safar Diya Tha Kyun
Kaar-e-Jahan Daraz Hai, Ab Mera Intizar Kar

Roz-e-Hisab Jab Mera Paish Ho Daftar-e-Amal
Aap Bhi Sharamsaar Ho, Mujh Ko Bhi Sharamsaar Kar

Asar Kare Na Kare, Sun To Le Meri Faryad

(Bal-e-Jibril-005) Asar Kare Na Kare, Sun To Le Meri Faryad (اثر کرے نہ کرے، سن تو لے میری فریاد)

Asar Kare Na Kare, Sun To Le Meri Faryad
Nahin Hai Dad Ka Talib Ye Banda’ay Azad

Ye Musht-e-Khaak, Ye Sar Sar, Ye Wusaat-e-Aflak
Karam Hai Ya Ke Sitam Teri Lazzat-e-Ijad

Thehar Saka Na Huwa’ay Chaman Mein Khaima’ay Gul
Ye Hai Fasal-e-Bahari, Ye Hai Baad-e-Murad

Kasoorwar, Ghareeb-ud-Diyar Hun, Lekin
Tera Kharaba Farishte Na Kar Sake Abad

Meri Jafa Talbi Ko Duaen Deta Hai
Woh Dasht-e-Sada, Woh Tera Jahan-e-Bebunyad

Khatar Pasand Tabiyat Ko Saazgaar Nahin
Woh Gulistan Ke Jahan Ghaat Mein Na Ho Sayyad

Maqam-e-Shauq Tere Qudsiyon Ke Bus Ka Nahin
Unhi Ka Kaam Hai Ye Jin Ke Hosle Hain Zayyad

Kya Ishq Aik Zindagi-e-Mastaar Ka

(Bal-e-Jibril-006) Kya Ishq Aik Zindagi-e-Mastaar Ka (کیا عشق ایک زندگی مستعار کا)

Kya Ishq Aik Zindagi-e-Mastaar Ka
Kya Ishq Paidar Se Na-Paidar Ka

Woh Ishq Jis Ki Shama Bujha De Ajal Ki Phoonk
Uss Mein Maza Nahin Tapish-o-Intizaar Ka

Meri Bisaat Kya Hai, Tab-o-Taab-e-Yak Nafas
Shole Se Bemehal Hai Ulajhna Sharaar Ka

Kar Pehle Mujh Ko Zindagi Javidan Atta
Phir Zauq-o-Shauq Dekh Dil-e-Beqarar Ka

Kanta Woh De Ke Jis Ki Khatak La-zawal Ho
Ya Rab! Woh Dard Jis Ki Kasak La-zawal Ho

Dilon Ko Markaz-e-Mehar-o-Wafa Kar

(Bal-e-Jibril-007) Dilon Ko Markaz-e-Mehar-o-Wafa Kar (دلوں کو مرکز مہر و وفا کر)

Dilon Ko Markaz-e-Mehar-o-Wafa Kar
Hareem-e-Kibriya Se Ashna Kar

Jise Naan-e-Jaween Bakhshi Hai Tu Ne
Usse Bazoo-e-Haider (R.A.) Bhi Atta Kar

Preshan Ho Ke Meri Khak Akhir Dil Na Ban Jaye

(Bal-e-Jibril-008) Preshan Ho Ke Meri Khak Akhir Dil Na Ban Jaye

Preshan Ho Ke Meri Khaak Akhir Dil Na Ban Jaye
Jo Mushkil Ab Hai Ya Rab Phir Wohi Mushkil Na Ban Jaye

Na Kar Dain Mujh Ko Majboor-e-Nawa Firdous Mein Hoorain
Mera Souz-e-Daroon Phir Garmi-e-Mehfil Na Ban Jaye

Kabhi Chhori Huwi Manzil Bhi Yaad Ati Hai Raahi Ko
Khatak Si Hai, Jo Sinay Mein, Gham-e-Manzil Na Ban Jaye

Banaya Ishq Ne Darya’ay Na-Payda Karan Mujh Ko
Ye Meri Khud Nigahdari Mera Sahil Na Ban Jaye

Kahin Iss Alam-e-Be-Rang-o-Bu Mein Bhi Talab Meri
Wohi Afsana-e-Dunbala-e-Mehmil Na Ban Jaye

Urooj-e-Adam-e-Khaki Se Anjum Sehme Jate Hain
Ke Ye Toota Hua Tara Mah-e-Kamil Na Ban Jaye

Digargoon Hai Jahan, Taron Ki Gardish Taez Hai Saqi

(Bal-e-Jibril-009) Digargoon Hai Jahan, Taron Ki Gardish Taez Hai Saqi

Dirgargoon Hai, Jahan, Taaron Ki Garzish Taiz Hai Saqi
Dil Har Zarra Mein Ghogha’ay Rasta Khaiz Hai Saqi

Mataa-e-Deen-o-Danish Lut Gyi Allah Walon Ki
Ye Kis Kafir Ada Ka Ghamza’ay Khoonraiz Hai Saqi

Wohi Daireena Bemari, Wohi Na-Mehkami Dil Ki
Ilaj Iss Ka Wohi Aab-e-Nishaat Anghaiz Hai Saqi

Haram Ke Dil Mein Souz-e-Arzoo Payda Nahin Hota
Ke Paidai Teri Ab Tak Hijab Amaiz Hai Saqi

Na Utha Phir Koi Rumi Ajam Ke Lala-Zaaron Se
Wohi Aab-o-Gill-e-Iran, Wohi Tabraiz Hai Saqi

Nahin Hai Na-Umeed Iqbal Apni Kisht-e-Weeran Se
Zara Nam Ho To Ye Mitti Bohat Zarkhaiz Hai Saqi

Faqeer-e-Rah Ko Bakhshe Ga’ay Asrar-e-Sultani
Baha Meri Nawa Ki Doulat-e-Pervaiz Hai Saqi

La Phir Aik Bar Wohi Badah-o-Jaam Ae Saqi

(Bal-e-Jibril-010) La Phir Aik Bar Wohi Badah-o-Jaam Ae Saqi (لا پھر ایک بار وہی بادہ و جام اے ساقی)

La Phir Ek Baar Wohi Bada-o-Jaam Ae Saqi
Haath Aa Jaye Mujhe Mera Maqam Ae Saqi

Teen Sou Saal Se Hain Hind Ke Maikhane Band
Ab Munasib Hai Tera Faiz Ho Aam Ae Saqi

Meri Meenaye Ghazal Mein Thi Zara Si Baqi
Sheikh Kehta Hai K Hai Ye Bhi Haraam Ae Saqi

Sher Mardon Se Huwa Baisha-e-Tehqeeq Tehi
Reh Gye Sufi-o-Mullah Ke Ghulam Ae Saqi

Ishq Ki Taigh-e-Jigardar Ura Li Kis Ne
Ilm Ke Hath Mein Khali Hai Niyam Ae Saqi

Sina Roshan Ho Tou Hai Souz-e-Sukhan Ayn-e-Hayat
Ho Na Roshan, Tou Sukhan Marg-e-Dawam Ae Saqi

Tu Meri Raat Ko Mehtaab Se Mehroom Na Rakh
Tere Paimane Mein Hai Mah-e-Tamam Ae Saqi !

Mita Diya Mere Saqi Ne Alam-e-Maan-o-Tu

(Bal-e-Jibril-011) Mita Diya Mere Saqi Ne Alam-e-Maan-o-Tu (مٹا دیا میرے ساقی نے عالم من و تو)

Mitta Diya Mere Saqi Ne Alam-E-Mann-o-Tu
Pila Ke Mujh Ko Mai-e-‘La ILLAHA ILLAH HOO’

Na Mai, Na Shair, Na Saqi, Na Shor-E-Ching-o-Rabab
Sakoot-e-Koh-o-Lab-e-Jooy-e-Lala’ay Khudroo !

Gada’ay May Kudah Ki Shan-e-Be-Niazi Dekh
Pohanch Ke Chashma’ay Hiwan Pe Torhta Hai Saboo !

Mera Saboocha Ghanimat Hai Iss Zamane Mein
Ke Khanqah Mein Khali Hain Sufiyon Ke Kadoo

Mein No Niaz Hun, Mujh Se Hijab Hi Aola
Ke Dil Se Barh Ke Hai Meri Nigah Be Qaboo

Agarcha Behar Ki Moujon Mein Hai Maqam Uss Ka
Safa’ay Paki Tiniat Se Hai Guhar Ka Wazoo

Jameel Tar Hain Gul-o-Lala Faiz Se Uss Ke
Nigah-e-Shayar-e-Rangeen Nawa Mein Hai Jadoo

Mata-e-Bebaha Hai Dard-o-Souz-e-Arzoo Mandi

(Bal-e-Jibril-012) Mata-e-Bebaha Hai Dard-o-Souz-e-Arzoo Mandi (متاع بےبہا ہے درد و سوز آرزو مندی)

Mataa-e-Bebaha Hai Dard-o-Souz-e-Arzoo-Mandi
Maqam-e-Bandagi De Kar Na Loon Shan-e-Khudawandi

Tere Azad Bandon Ki Na Ye Dunya, Na Woh Dunya
Yahan Merne Ki Pabandi, Wahan Jeene Ki Pabandi

Hijab-e-Ikseer Hai Awara-e-Koo’ay Mohabbat Ko
Meri Aatish Ko Bharkati Hai Teri Dair Paiwandi

Guzar Auqat Kar Leta Hai Ye Koh-o-Biyaban Mein
Ke Shaheen Ke Liye Zillat Hai Kaar-e-Ashiyan Bandi

Ye Faizan-e-Nazar Tha Ya Ke Maktab Ki Karamat Thi
Sikhaye Kis Ne Ismaeel (A.S.) Ko Adaab-e-Farzandi

Ziarat Gah-e-Ahl-e-Azam-o-Himmat Hai Lehad Meri
Ke Khak-e-Rah Ko Mein Ne Bataya Raaz-e-Alwandi

Meri Mashatagi Ki Kya Zaroorat Husn-e-Maani Ko
Ke Fitrat Khud Ba Khud Karti Hai Lale Ki Hina Bandi

Tujhe Yaad Kya Nahin Hai Mere Dil Ka Woh Zamana

(Bal-e-Jibril-013) Tujhe Yaad Kya Nahin Hai Mere Dil Ka Woh Zamana (تجھے یاد کیا نہیں ہے میرے دل کا وہ زمانہ)

Tujhe Yaad Kya Nahin Hai Mere Dil Ka Woh Zamana
Woh Adab Gah-e-Mohabbat, Woh Nigah Ka Taziyana

Ye Butan-e-Asar-e-Hazir Ke Bane Hain Madrasay Mein
Na Ada’ay Kafirana, Na Taraash-e-Azrana

Nahin Iss Khuli Faza Mein Koi Ghosh’ay Faraghat
Ye Jahan Ajab Jahan Hai, Qafas Na Ashiyana

Rag-e-Taak Muntazir Hai Teri Barish-e-Karam Ki
Ke Ajam Ke Mai Kadon Mein Na Rahi Mai’ay Maghana

Mere Hum Safeer Isse Bhi Asar-e-Bahar Samjhe
Inhain Kya Khabar Ke Kya Hai Ye Nawa’ay Ashiqana

Mere Khaak-o-Khoon Se Tu Ne Ye Jahan Kiya Hai Paida
Sila-e-Shaheed Kya Hai, Tab-o-Taab-e-Javidana

Teri Banda Parwari Se Mere Din Guzar Rahe Hain
Na Gila Hai Doston Ka, Na Shikayat-e-Zamana

Zameer-e-Lala Mai-e-Laal Se Huwa Labraiz

(Bal-e-Jibril-014) Zameer-e-Lala Mai-e-Laal Se Huwa Labraiz (ضمیر لالہ مے لعل سے ہوا لبریز)

Zameer-e-Lala Mai’ay La’al Se Huwa Labraiz
Ishara Pate Hi Sufi Ne Tor Di Parhaiz

Bichayi Hai Jo Kahin Ishq Ne Bisat Apni
Kiya Hai Iss Ne Faqeeron Ko Waris-e-Parvaiz

Purane Hain Ye Sitare, Falak Bhi Farsudah
Jahan Woh Chahiye Mujh Ko Ke Ho Abi Naukhaiz

Kise Khabar Hai Ke Hangama’ay Nishor Hai Kya
Teri Nigah Ki Gardish Hai Meri Rasta Khaiz

Na Cheen Lazzat-e-Aah-e-Sahar-Gehi Mujh Se
Na Kar Nigah Se Tughafil Ko Iltifat Amaiz

Dil-e-Ghameen Ke Muwafiq Bahin Hai Mousam-e-Gul
Sada’ay Murgh-e-Chaman Hai Bohat Nishaat Angaiz

Hadees-e-Bekhabran Hai, Tu Ba-Zamana Ba-Saaz
Zamana Ba Toon-Saazd, Tu Ba Zamana Sataiz

Wohi Meri Kam Naseebi, Wohi Teri Be-Niazi

(Bal-e-Jibril-015) Wohi Meri Kam Naseebi, Wohi Teri Be-Niazi (وہی میری کم نصیبی، وہی تیری بے نیازی)

Wohi Meri Kam Naseebi, Wohi Teri Be Niazi
Mere Kaam Kuch Na Aya Ye Kamal-e-Ne Nawazi

Mein Kahan Hun Tu Kahan Hai, Ye Makan Ke La-Makan Hai?
Ye Jahan Mera Jahan Hai Teri Karishma Sazi

Issi Kashmakash Mein Guzreen Meri Zindagi Ki Raatain
Kabhi Souz-o-Saaz-e-Rumi, Kabhi Paich-o-Taab-e-Razi

Woh Faraib Khurdah Shaheen K Pala Ho Kargason Mein
Ussay Kya Khabar Kya Hai Reh-O-Rasm-E-Shahbazi

Na Zuban Koi Ghazal Ki, Na Zuban Se Ba-Khabar Main
Koi Dil Kusha Sada Ho, Ajami Ho Ya Ke Tazi

Nahin Faqar-O-Saltanat Mein Koi Imtiaz Aesa
Ye Sipah Ki Taeg Bazi, Woh Nigah Ki Taeg Bazi

Koi Karwan Se Toota, Koi Bad-Ghuman Haram Se
Ke Ameer-E-Karwan Mein Nahin Khuay Dil Nawazi

Apni Jolangah Zair-e-Asman Samjha Tha Main

(Bal-e-Jibril-016) Apni Jolangah Zair-e-Asman Samjha Tha Main (اپنی جولاں گاہ زیر آسمان سمجھا تھا)

Apni Jolangah Zair-e-Asman Samjha Tha Mein
Aab-o-Gil Ke Khail Ko Apna Jahan Samjha Tha Mein

Behijabi Se Teri Toota Nigahon Ka Tilism
Ek Rida’ay Neelgoon Ko Asman Samjha Tha Mein

Karwan Thak Kar Faza Ke Paich-o-Kham Mein Reh Gya
Meher-o-Mah-o-Mushtari Ko Hum Ana Samjha Tha Mein

Ishq Ki Ek Jast Ne Tay Kar Diya Qissa Tamam
Iss Zameen-o-Asman Ko Be-Karan Samjha Tha Mein

Keh Gayen Raaz-e-Mohabbat Parda-Dari-e-Haye Shauq
Thi Faghan Who Bhi Jise Zabt-e-Faghan Samjha Tha Mein

Thi Kisi Darmanda Rehro Ki Sada’ay Dardnaak
Jis Ko Awaz-e-Raheel-e-Karwan Samjha Tha Mein

Ek Danish-e-Noorani, Ek Danish-e-Burhani

(Bal-e-Jibril-017) Ek Danish-e-Noorani, Ek Danish-e-Burhani (اک دانش نورانی، اک دانش برہانی)

Ek Danish-e-Noorani, Ek Danish-e-Burhani
Hai Danish-e-Burhani, Hairat Ki Farawani

Iss Paikar-e-Khaaki Mein Ek Shay Hai, So Woh Teri
Mere Liye Mushkil Hai Uss Shay Ki Nighabani

Ab Kya Jo Fughan Meri Pohenchi Hai Sitaron Tak
Tu Ne Hi Sikhai Thi Mujh Ko Ye Ghazal Khawani

Ho Naqsh Agar Batil, Takrar Se Kya Hasil
Kya Tujh Ko Khush Ati Hai Adam Ki Ye Arzani?

Mujh Ko To Sikha Di Hai Afrang Ne Zindeeqi
Iss Dour Ke Mullah Hain Kyun Nang-e-Musalmani !

Taqdeer Shikan Quwwat Baqi Hai Abhi Iss Mein
Nadan Jise Kehte Hain Taqdeer Ka Zindani

Tere Bhi Sanam Khane, Mere Bhi Sanam Khane
Dono Ke Sanam Khaaki, Dono Ke Sanam Fani

Ya Rab ! Ye Jahan-e-Guzran Khoob Hai Lekin

(Bal-e-Jibril-018) Ya Rab ! Ye Jahan-e-Guzran Khoob Hai Lekin (یا رب ! یہ جہاں گزرن خوب ہے لیکن)

Ya Rab! Ye Jahan-e-Guzran Khoob Hai Lekin
Kyun Khawar Hain Mardan-e-Safa Kaish-o-Hunar Mand

Go Us Ski Khudai Mein Mahajan Ka Bhi Hai Haath
Dunya To Samajhti Hai Farangi Ko Khudawand

To Barg-e-Gya Hai Nadhi Ahle-e-Khirad Ra
Aur Kisht-e-Gul-o-Lala Babkhashand Ba Kharay Chand

Hazir Hain Kalisa Mein Kabab-o-Ma’ay Gulgoon
Masjid Mein Dhara Kya Hai Bajaz Moaza-o-Pand

Ahkaam Tere Haq Hain Magar Apne Mufassir
Taveel Se Quran Ko Bana Sakte Hain Pazand

Firdous Jo Tera Hai, Kisi Ne Nahin Dekha
Afrang Ka Har Qariya Hai Firdous Ki Manand

Muddat Se Hai Awara’ay Aflaak Mera Fikar
Kar De Isse Ab Chand Ki Gharon Mein Nazarband

Fitrat Ne Mujhe Bakhse Hain Johar-e-Malkooti
Khaki Hun Magar Khaak Se Rakhta Nahin Paewand

Darvesh-e-Khuda Mast Na Sharqi Hai Na Gharbi
Ghar Mera Na Dilli, Na Safahan, Na Samarqand

Kehta Hun Wohi Baat Samajhta Hun Jise Haq
Ne Abla-e-Masjid Hun, Na Tehzeeb Ka Farzand

Apne Bhi Khafa Mujh Se Hain, Begane Bhi Na-Khush
Main Zehar-e-Halahil Ko Kabhi Keh Na Saka Qand

Mushkil Hai Ke Ek Banda’ay Haq Been-o-Haq Andesh
Khashaak Ke To De Ko Kahe Koh-e-Damawand

Hun Atish-e-Namrood Ke Shaolon Mein Bhi Khamosh
Main Band’ay Momin Hun, Nahin Dana’ay Aspand

Pursoz-o-Nazarbaz-o-Nikobeen-o-Kam Azar
Azad-o-Giraftar-o-Tehi Keesa-o-Khorsand

Har Haal Mein Mera Dil-e-Be Qaid Hai Khurram
Kya Cheenay Ga Gunche Se Koi Zauq-e-Shakar Khand !

Chup Reh Na Saka Hazrat-e-Yazdan Mein Bhi Iqbal
Karta Koi Iss Banda’ay Gustakh Ka Munh Band !

Sama Sakta Nahin Pehna’ay Fitrat Mein Mera Soda

(Bal-e-Jibril-019) Sama Sakta Nahin Pehna’ay Fitrat Mein Mera Soda (سما سکتا نہیں پہناے فطرت میں میرا سودا)

Sama Sakta Nahin Pehna’ay Fitrat Mein Mera Soda
Galat Tha Ae Junoon Shaid Tera Andaza’ay Sehra

Khudi Se Iss Tilism-E-Rang-O-Boo Ko Torh Sakte Hain
Yehi Touheed Thi Jis Ko Na Tu Samjha Na Mein Samjha

Nigah Payda Kar Ae Ghafil Tajali Aen-E-Fitrat Hai
Ke Apni Mouj Se Begana Reh Sakta Nahin Darya

Raqabat Ilm-O-Irfan Mein Galat Beeni Hai Manbar Ki
Ke Woh Hallaj Ki Sooli Ko Samjha Hai Raqeeb Apna

Khuda Ke Pak Bandon Ko Hukoomat Mein, Ghulami Mein
Zirah Koi Agar Mehfooz Rakhti Hai To Istagna

Na Kar Taqleed Ae Jibraeel Mere Jazb-O-Masti Ki
Tan Asan Arshiyon Ko Zikr-O-Tasbeeh-O-Taawaf Aola !

Bohat Dekhe Hain Main Ne Mashriq-o-Maghrib Ke Maikhane

(Bal-e-Jibril-020) Bohat Dekhe Hain Main Ne Mashriq-o-Maghrib Ke Maikhane (بہت دیکھے ہیں میں نے مشرق و مغرب کے مے خانے) I have seen many a wine‐shop East and West

Bohat Dekhe Hain Main Ne Mashriq-o-Maghrib Ke May Khane
Yahan Saqi Nahin Payda, Wahan Be-Zauq Hai Sehba

Na Iran Main Rahe Baqi, Na Tooran Mein Rahe Baqi
Woh Banday Faqr Tha Jin Ka Halaak-e-Qaisar-o-Kasra

Yehi Sheikh-e-Haram Hai Jo Chura Kar Baich Khata Hai
Galeem-e-Bu Zar (R.A.)-o-Dalaq-e-Awais (R.A)-o-Chadar-e-Zahra (R.A.)

Huzoor-e-Haq Mein Israfeel Ne Meri Shikayat Ki
Ye Banda Waqt Se Pehle Qayamat Kar Na De Barpa

Nida Ayi Ke Ashob-e-Qayamat Se Ye Kya Kam Hai
‘Garaftah Cheeniyan Ahram-o-Makki Khufta Dar Batha’
(Ye Misra Haheem Sanai R.A. Ka Hai)

Labalab Shisha’ay Tehzeeb-e-Hazir Hai Ma’ay ‘LA’ Se
Magar Saqi Ke Hathon Mein Nahin Paymana’ay ‘ILLAH’

Daba Rakha Hai Uss Ko Zakhmawer Ki Taiz Dasti Ne
Bohat Neeche Suron Mein Hai Abhi Yourap Ka Wavela

Issi Darya Se Uthti Hai Woh Mouj-e-Tund Joulan Bhi
Nehnangon Ke Nasheman Jis Se Hote Hain Teh-o-Bala

Ghulami Kya Hai? Zauq-e-Husn-o-Zaibai Se Mehroomi

(Bal-e-Jibril-021) Ghulami Kya Hai? Zauq-e-Husn-o-Zaibai Se Mehroomi (غلامی کیا ہے؟ ذوق و حسن و زیبائی سے محرومی)

Ghulami Kya Hai? Zauq-e-Husn-o-Zaibai Se Mehroomi
Jise Zaiba Kahin Azad Bande, Hai Wohi Zaiba

Bharosa Kar Nahin Sakte Ghulamon Ki Baseerat Par
Ke Dunya Mein Faqat Mardan-e-Hur Ki Ankh Hai Beena

Wohi Hai Sahib-e-Amroz Jis Ne Apni Himat Se
Zamane Ke Sumander Se Nikala Gohar-e-Farda

Farangi Shisha Gar Kar Ke Fun Se Pathar Ho Gye Pani
Meri Ikseer Ne Shishe Ko Bakhshi Sakhti-e-Khara

Rahe Hain, Aur Hain Firon Meri Ghaat Mein Ab Tak
Magar Kya Gham Ke Meri Asteen Mein Hai Yad-e-Baiza

Who Chingari Khas-o-Khashaak Se Kis Tarah Dab Jaye
Jise Haq Ne Kiya Ho Neestan Ke Wastay Paida

Mohabbat Khaweshtan Beeni, Mohabbat Khwaestan Dari
Mohabbat Astan-e-Qaisar-o-Kasra Se Beparwa

Ajab kya Gar Meh-o-Parveen Mere Nakhcheer Ho Jaen
‘Ke Bar Fatraak-e-Sahib Doulatay Bistam Sar-e-Khud Ra’

Woh Dana’ay Subul, Khatam-Ur-Rusul, Moula’ay Kul (S.A.W.) Jis Ne
Ghubar-e-Rah Ko Bakhsha Farogh-e-Wadi-e-Sina

Nigah-e-Ishq-o-Masti Mein Wohi Awal, Wohi Akhir
Wohi Quran, Wohi Furqan, Wohi Yasin, Wohi Taha

Sanayi Ke Adab Se Mein Ne Gawwasi Na Ki Warna
Abhi Iss Behar Mein Baqi Hain Lakhon Lulu’ay Lala

Ye Kon Ghazal Khawan Hai, Pur Soz-o-Nishat Angaiz

(Bal-e-Jibril-022) Ye Kon Ghazal Khawan Hai, Pur Soz-o-Nishat Angaiz (یہ کون غزل خواں ہے ، پر سوز و نشاط انگیز)

Ye Kon Ghazal Khawan Hai, Pursouz-o-Nishat Angaiz
Andesha’ay Dana Ko Karta Hai Junoon Amaiz

Gau Faqr Bhi Rakhta Hai Andaz-e-Mulookana
Na-Pukhta Hai Pervaizi Be-Saltanat-e-Pervaiz

Ab Hujra’ay Sufi Mein Woh Faqr Nahin Baqi
Khoon-e-Dil-e-Shairan Ho Jis Faqr Ki Dastavaiz

Ae Halqa’ay Darveshan! Who Mard-e-Khuda Kaisa
Ho Jis Ke Gireeban Mein Hangama’ay Rastakhaiz

Jo Zakr Ki Garmi Se Shaule Ki Tarah Roshan
Jo Fikar Ki Sura’at Mein Bajli Se Zaida Taez !

Karti Hai Mulookiat Asaar-e-Junoon Paida
Allah Ke Nashtar Hain Taimoor Ho Ya Changaiz

Yun Dad-e-Sukhan Mujh Ko Dete Hain Iraq-o-Paras
Ye Kafir-e-Hindi Hai Be Taeg-o-Sanaan Khoonraiz

Woh Harf-e-Raaz Ke Mujh Ko Sikha Gaya Hai Janoon

(Bal-e-Jibril-023) Woh Harf-e-Raaz Ke Mujh Ko Sikha Gaya Hai Janoon (وہ حرف راز کے مجھ کو سکھا گیا ہے جنوں)

Woh Harf-e-Raaz Ke Mujh Ko Sikha Gya Hai Junoon
Khuda Mujhe Nafs-e-Jibraeel De To Kahoon

Sitara Kya Meri Taqdeer Ki Khabar De Ga
Woh Khud Farakhi-e-Aflaak Mein Hai Khwaar-o-Zaboon

Hayat Kya Hai, Khiyal-o-Nazar Ki Majzoobi
Khudi Ki Mout Hai Andesha Ha’ay Goonagoon

Ajab Maza Hai, Mujhe Lazzat-e-Khudi De Kar
Woh Chahte Hain Ke Main Apne Aap Mein Na Rahoon

Zameer-e-Paak-o-Nigah-e-Buland-o-Masti-e-Shauq
Na Maal-o-Doulat-e-Qaroon, Na Fikar-e-Aflatoon

Sabaq Mila Hai Ye Miraaj-E-Mustafa (S.A.W.) Se Mujhe
Ke Alam-e-Bashriyat Ki Zad Mein Hai Gardoon

Ye Kainat Abhi Na-Tamam Hai Shaid
Ke Aa Rahi Hai Damadam Sada’ay ‘Kun Fayakoon’

Elaj Atish-E-Rumi Ke Soz Mein Hai Tera
Teri Khirad Pe Hai Ghalib Farangion Ka Fasoon

Ussi Ke Faiz Se Meri Nigah Hai Roshan
Ussi Ke Faiz Se Mere Saboo Mein Hai Jehoon

Alam-e-Aab-o-Khak-o-Bad ! Sir-e-Ayan Hai Tu Ke Main

(Bal-e-Jibril-024) Alam-e-Aab-o-Khak-o-Bad ! Sir-e-Ayan Hai Tu Ke Main (عالم و آب و خاک و باد! سر عیاں ہے تو کہ میں) Fabric of earth and wind and wave! Who is the secret, you or I

Alam-e-Aab-o-Khaak-o-Baad ! Sirr-e-Ayaan Hai Tu Ke Main
Woh Jo Nazar Se Hai Nahan, Uss Ka Jahan Hai Tu Ke Main

Woh Shab-e-Dard-o-Souz-o-Gham, Kehte Hain Zindagi Jise
Uss Ki Sahar Hai Tu Ke Main, Uss Ki Azaan Hai Tu Ke Main

Kis Ki Namood Ke Liye Shaam-o-Sahar Hain Garam-e-Sair
Shana’ay Rozgar Par Bar-e-Garan Hai Tu Ke Main

Tu Kaf-e-Khaak-o-Bebasar, Main Kaf-e-Khaak-o-Khud Nigar
Kisht-e-Wujood Ke Liye Aab-e-Rawan Hai Tu Ke Main

Tu Abhi Reh Guzar Mein Hai, Qaid-e-Maqam Se Guzer

(Bal-e-Jibril-025) Tu Abhi Reh Guzar Mein Hai, Qaid-e-Maqam Se Guzer

(London Mein Likhe Gye)

Tu Abhi Reh Guzr Mein Hai, Qaid-e-Maqam Se Guzr
Misr-o-Hijaz Se Guzr, Paras-o-Shaam Se Guzr

Jis Ka Amal Hai Be-Gharz, Uss Ki Jaza Kuch Aur Hai
Hoor-o-Khiyaam Se Guzr, Badah-o-Jaam Se Guzr

Garcha Hai Dilkusha Bohat Husn-e-Farang Ki Bahar
Taeerik-e-Buland Baal, Dana-o-Daam Se Guzr

Koh Shigaaf Teri Zarb, Tujh Se Kushaad-e-Sharq-o-Gharb
Taigh-e-Hilal Ki Tarah Aesh-e-Niyam Se Guzr

Tera Imam Be Huzoor, Teri Namaz Be Suroor
Aesi Namaz Se Guzr, Aese Imam Se Guzr

Amin-e-Raaz Hai Mardan-e-Hur Ki Darvaishi

(Bal-e-Jibril-026) Amin-e-Raaz Hai Mardan-e-Hur Ki Darvaishi (امین راز ہے مردان حر کی درویشی)

Ameen-e-Raaz Hai Mardan-e-Hur Ki Darveshi
Ke Jibraeel (A.S.) Se Hai Iss Ko Nisbat-e-Khoweshi

Kise Khabar Ke Safinay Dobo Chuki Kitne
Faqeeh-o-Sufi-o-Shayar Ki Na-Khush Andeshi

Nigah-e-Garam Ke Sheron Ke Jis Se Hosh Urh Jaen
Na Aah-e-Sard Ke Hai Gosafandi-o-Maishi

Tabeeb-e-Ishq Ne Dekha Mujhe To Farmaya
Tera Marz Hai Faqat Arzoo Ki Be-Naishi

Woh Shay Kuch Aur Hai Kehte Hain Jaan-e-Paak Jise
Ye Rang-o-Nam, Ye Lahoo, Aab-o-Naa Ki Hai Baishi

Phir Charagh-e-Lala Se Roshan Huwe Koh-o-Daman

(Bal-e-Jibril-027) Phir Charagh-e-Lala Se Roshan Huwe Koh-o-Daman

Phir Charagh-E-Lala Se Roshan Huway Koh-O-Daman
Mujh Ko Phir Naghmon Pe Uksane Laga Murg-E-Chaman

Phool Hain Sehra Mein Ya Pariyan Qitar Andar Qitar
Ude Ude, Neele Neele, Peele Peele Payrhan

Barg-E-Gul Par Rakh Gyi Shabnam Ka Moti Bad-E-Subah
Aur Chamkati Hai Iss Moti Ko Sooraj Ki Kiran

Husn-E-Beparwa Ko Apni Be-Naqabi Ke Liye
Hun Agar Shehron Se Bann Payare To Shehar Ache K Bann

Apne Mann Mein Doob Kar Pa Ja Suragh-E-Zindagi
Tu Agar Mera Nahin Banta Na Bann, Apna To Bann

Mann Ki Duniya! Mann Ki Dunya Souz-O-Masti, Jazab-O-Shauq
Tann Ki Dunya! Tann Ki Dunya Sood-O-Soda, Maker-O-Fann

Mann Ki Doulat Hath Ati Hai To Phir Jati Nahin
Tann Ki Doulat Chaon Hai, Ata Hai Dhan Jata Hai Dhan

Mann Ki Duniya Mein Na Paya Mein Ne Afrangi Ka Raaj
Man Ki Duniya Mein Na Dekhe, Mein Ne Sheikh-O-Barhaman

Pani Pani Kar Gyi Mujh Ko Qalandar Ki Ye Baat
Tu Jhuka Jab Ghair Ke Agay, Na Mann Tera Na Tann

Musalman Ke Lahoo Mein Hai, Saliqa Dil Nawazi Ka

(Bal-e-Jibril-028) Musalman Ke Lahoo Mein Hai, Saliqa Dil Nawazi Ka

(Kabul Mein Likhe Gye)

Musalman Ke Lahoo Mein Hai, Saliqa Dil Nawazi Ka
Marawwat Husn-E-Alamgeer Hai Mardan-E-Ghazi Ka

Shikayat Hai Mujhe Ya Rab! Khudawand-E-Maktab Se
Sabaq Shaheen Bachon Ko De Rahe Hain Khaakbazi Ka

Bohat Muddat Ke Nakhcheeron Ka Andaz-E-Nigah Badla
Ke Main Ne Faash Kar Dala Tareeqah Shahbazi Ka

Qalander Juz Do Harf-E-LA ILAHA Kuch Bhi Nahin Rakhta
Faqeeh-E-Sheher Qaroon Hai Lighat-E-Ha’ay Hijazi Ka

Hadees-E-Badah-O-Meena-O-Jaam Ati Nahin Mujh Ko
Na Kar Khara Shighafon Se Taqaza Shisha Sazi Ka

Kahan Se Tu Ne Ae Iqbal Seekhi Hai Darveshi
Ke Charcha Padshahon Mein Hai, Teri Be-Niazi Ka

Ishq Se Paida Nuwa’ay Zindagi Mein Zair-o-Bam

(Bal-e-Jibril-029) Ishq Se Paida Nuwa’ay Zindagi Mein Zair-o-Bam

Ishq Se Paida Nawa’ay Zindagi Mein Zeer-O-Bamm
Ishq Se Mitti Ki Tasweer Mein Soz-E-Dam Ba Dam

Admi Ke Raishe Raishe Mein Sama Jata Hai Ishq
Shakh-E-Gul Mein Jis Tarah Bad-E-Sahar Gahi Ka Namm

Apne Razzaq Ko Na Pehchane To Mohtaj-E-Mulook
Aur Pehchane To Tera Gada Dara-O-Jamm

Apne Razzaq Ko Na Pehchane To Mohtaj-E-Mulook
Aur Pehchane To Tera Gada Dara-O-Jamm

Ae Muslaman ! Apne Dil Se Puch, Mullah Se Na Puch
Ho Gya Allah Ke Bandon Se Kyun Khali Haram

Dil Soz Se Khali Hai, Nigah Pak Nahin Hai

(Bal-e-Jibril-030) Dil Soz Se Khali Hai, Nigah Pak Nahin Hai

Dil Souz Se Khali Hai, Nigah Paak Nahin Hai
Phir Iss Mein Ajab Kya Ke Tu Be-Baak Nahin Hai

Hai Zauq-E-Tajali Bhi Issi Khaak Mein Pinhan
Ghafil! Tu Nira Sahib-E-Adraak Nahin Hai

Who Ankh Ke Hai Surma’ay Afrang Se Roshan
Purkaar-O-Sukhan Saaz Hai, Nam Naak Nahin Hai

Kya Sufi-O-Mullah Ko Khabar Mere Junoon Ki
Un Ka Sar-E-Daman Bhi Abhi Chaak Nahin Hai

Kab Tak Rahe Mehkoomi-E-Anjum Mein Meri Khaak
Ya Main Nahin, Ya Gardish-E-Aflaak Nahin Hai

Bijli Hun, Nazar Koh-O-Bayanbaan Pe Hai Meri
Mere Liye Shayan-E-Khas-O-Khashaak Nahin Hai

Alam Hai Faqat Momin-E-Jaan Baaz Ki Miras
Momin Nahin Jo Sahib-E-Loulaak Nahin Hai !

Hazar Khof Ho Lekin Zuban Ho Dil Ki Rafeeq

(Bal-e-Jibril-031) Hazar Khof Ho Lekin Zuban Ho Dil Ki Rafeeq

Hazar Khof Ho Lekin Zuban Ho Dil Ki Rafeeq
Yehi Raha Hai Azal Se Qalanderon La Tareeq

Hajoom Kyun Hai Zaida Sharab Khane Mein
Faqat Ye Baat Ke Peer-e-Mughan Hai Mard-e-Takhleeq

Ilaj-e-Zu’af-e-Yaqeen In Se Ho Nahin Sakta
Gareeb Agarcha Hain Razi Ke Nukta Ha’ay Daqeeq

Mureed Sada Tou Ro Ro Ke Ho Gaya Ta’eb
Khuda Kare Ke Mile Sheikh Ko Bhi Ye Toufeeq

Ussi Talism-e-Kuhan Mein Aseer Hai Adam
Baghal Mein Uss Ki Hain Ab Tak Butan-e-Ehad-e-Ateeq

Mere Liye Tou Hai Iqrar-e-Bil-Lisan Bhi Bohat
Hazar Shukar Ke Mullah Hain Sahib-e-Tasdeeq

Agar Ho Ishq Tou Hai Kuffar Bhi Musalmani
Na Ho Tou Mard-e-Musalman Bhi Kafir-o-Zandeeq

Pooch Uss Se Ke Maqbool Hai Fitrat Ki Gawahi

(Bal-e-Jibril-032) Pooch Uss Se Ke Maqbool Hai Fitrat Ki Gawahi

Pooch Iss Se K Maqbool Hai Fitrat Ki Gawahi
Tu Sahib-E-Manzil Hai K Bahtka Huwa Raahi

Kafir Hai Musalman To Na Shahi Na Faqeeri
Momin Hai To Karta Hai Faqeeri Mein Bhi Shahi

Kafir Hai To Shamsheer Pe Karta Hai Bharosa
Momin Hai To Be-Taeg Bhi Larta Hai Sipahi

Kafir Hai To Hai Taba-E-Taqdeer Musalman
Momin Hai, To Who Aap Hai Taqdeer-E-ILAHI

Main Ne To Kiya Parda’ay Asrar Ko Bhi Chaak
Daireena Hai Tera Marz-E-Kaur Nigahi

Ye Hooriyan-e-Farangi, Dil-o-Nazar Ka Hijab

(Bal-e-Jibril-033) Ye Hooriyan-e-Farangi, Dil-o-Nazar Ka Hijab

(Qurtuba Mein Likhe Gye)

Ye Hooriyan-E-Farangi, Dil-O-Nazar Ka Hijab
Bahisht-E-Magrabiyan, Jalwa Ha’ay Pa Ba-Rakab

Dil-O-Nazar Ka Safina Sanbhal Kar Le Ja
Mah-O-Sitara Hain Behar-E-Wujood Mein Gardab

Jahan-E-Soot-O-Sada Mein Sama Nahin Sakti
Latifa’ay Azali Hai Afghan-E-Ching-O-Rubab

Sikha Diye Hain Isse Shewa Haye Khanqahi
Faqeeh-E-Sheher Ko Sufi Ne Kar Diya Kharab

Woh Sajda, Rooh-E-Zameen Jis Se Kanp Jati Thi
Ussi Ko Aj Taraste Hain Minber-O-Mehrab

Suni Na Misar-O-Falasteen Mein Woh Azaan Main Ne
Diya Tha Jis Ne Paharon Ko Raisha’ay Simab

Hawa-E-Qurtuba ! Shaid Ye Hai Asar Tera
Meri Nawa Mein Hai, Souz-Surroor-E-Ehad-E-Shabab

Dil-e-Baidar Farooqi, Dil-e-Baidar Karrari

(Bal-e-Jibril-034) Dil-e-Baidar Farooqi, Dil-e-Baidar Karrari

Dil Baidar Farooqi, Dil Baidar Karari
Mis-E-Adam Ke Haq Mein Keemiya Hai Dil Ki Baidari

Dil-E-Baidar Paida Kar K Dil Khawabida Hai Jab Tak
Na Teri Zarb Hai Kari, Na Meri Zarb Hai Kari

Mashaam-E-Taiz Se Milta Hai Sehra Mein Nishan Iss Ka
Zan-O-Takhmeen Se Haath Ata Nahin Ahoo’ay Tatari

Iss Andeshe Se Zabt-E-Aah Main Karta Rahon Kab Tak
K Munaa Zade Na Le Jaen Teri Qismat Ki Changari

Khudawanda Ye Tere Sada Dil Bande Kidhar Jaen
Ke Darvaishi Bhi Ayyari Hai, Sultani Bhi Ayyari

Mujhe Tehzeeb-E-Hazir Ne Ata Ki Hai Vi Azadi
K Zahir Mein To Azadi Hai, Batin Mein Giraftari

Tu Ae MOLA’AY YASRAB! Ap Meri Chara-Sazi Kar
Meri Danish Hai Afrangi, Mera Iman Hai Zunnari

Khudi Ki Shaukhi-o-Tundi Mein Kibar-o-Naz Nahin

(Bal-e-Jibril-035) Khudi Ki Shaukhi-o-Tundi Mein Kibar-o-Naz Nahin

Khudi Ki Shokhi-O-Tundi Mein Kubr-O-Naaz Nahin
Jo Naaz Ho Bhi To Be-Lazzat-E-Niaz Nahin

Nigah-E-Ishq Dil-E-Zindah Ki Talash Mein Hai
Shikar-E-Murda Sazawar-E-Shahbaz Nahin

Meri Nawa Main Nahin Hai Ada’ay Mehboobi
K Bang-E-Soor-E-Sarafeel Dil Nawaz Nahin

Sawal-E-Mai Na Karoon Saqi-E-Farang Se Main
Ke Ye Tareeqa-E-Rindan-E-Pakbaz Nahin

Huwi Na Aam Jahan Mein Kabhi Hukumat-E-Ishq
Sabab Ye Hai K Mohabbat Zamana Saaz Nahin

Ek Iztarab-E-Musalsal, Ghayaab Ho Ke Huzoor
Main Khud Kahoon To Meri Dastan Daraz Nahin

Agar Ho Zauq To Khalwat Mein Perh Zuboor-E-Ajam
Faghan-E-Neem Shabi Be-Nawa’ay Raaz Nahin

Fitrat Ko Kirad Ke Ru-Ba-Ru Kar

(Bal-e-Jibril-057) Fitrat Ko Kirad Ke Ru-Ba-Ru Kar

Fitrat Ko Khird Ke Ru-Ba-Ru Kar
Taskheer-e-Maqam-e-Rang-o-Bu Kar

Tu Apni Khudi Ko Kho Chukka Hai
Khoyi Huwi Shay Ki Justuju Kar

Taron Ki Faza Hai Baikarana
Tu Bhi Ye Maqam Arzu Kar

Uryan Hain Tere Chaman Ki Hoorain
Chaak-e-Gul-o-Lala Ko Rafu Kar

Be-Zauq Nahin Agarche Fitrat
Jo Uss Se Na Ho Saka, Woh Tu Kar !

Ye Piran-e-Kaleesa-o-Haram, Ae Waye Majboori !

(Bal-e-Jibril-058) Ye Piran-e-Kaleesa-o-Haram, Ae Waye Majboori !

Ye Peeran-e-Kalisa-o-Haram, Ae Waye Majboori!
Sila In Ki Kid-o-Kawish Ka Hai Seenon Ki Benoori

Yaqeen Paida Kar Ae Nadan! Yaqeen Se Hath Ati Hai
Woh Darvaishi Ke Jis Ke Samne Jhukti Hai Fagfoori

Kabhi Hairat, Kabhi Masti, Kabhi Aah-e-Sahargahi
Badalta Hai Hazaron Rang Mera Dard-e-Mehjoori

Had-e-Adraak Se Bahir Hain Batain Ishq-o-Masti Ki
Samajh Mein Iss Qadar Aya Ke Dil Ki Mout Hai Doori

Woh Apne Husn Ki Masti Se Majboor-e-Paidai
Meri Ankhon Ki Bainai Mein Hain Asbaab-e-Mastoori

Koi Taqdeer Ki Mantaq Samajh Sakta Nahin Warna
Na The Turkaan-e-Usmani Se Kam Turkaan-e-Taimoori

Faqeeran-e-Haram Ke Hath Iqbal Aa Gya Kyunkar
Maiyasar Mir-e-Sultan Ko Nahin Shaheen-e-Kafoori

Taza Phir Danish-e-Hazir Ne Kiya Sehar-e-Qadeem

(Bal-e-Jibril-059) Taza Phir Danish-e-Hazir Ne Kiya Sehar-e-Qadeem

Taza Phir Danish-e-Hazir Ne Kiya Sahar-e-Qadeem
Guzar Iss Ehad Mein Mumkin Nahin Be-Chob-e-Kaleem

Aqal Ayyar Hai, Sau Bhais Bana Leti Hai
Ishq Bechara Na Mullah Hai Na Zahid Na Hakeem!

Aysh-e-Manzil Hai Ghareeban-e-Mohabbat Pe Haram
Sub Musafir Hain, Bazahir Nazar Ate Hain Maqeem

Hai Garan Sair Gham-e-Rahla-o-Zaad Se Tu
Koh-o-Darya Se Guzar Sakte Hain Manind-e-Naseem

Mard-e-Darvaish Ka Sarmaya Hai Azadi-o-Marg
Hai Kisi Aur Ki Khatir Ye Nasaab-e-Zer-o-Seem

Sitaron Se Agay Jahan Aur Bhi Hain

(Bal-e-Jibril-060) Sitaron Se Agay Jahan Aur Bhi Hain

Sitaron Se Agay Jahan Aur Bhi Hain
Abhi Ishq Ke Imtihan Aur Bhi Hain

Tehi, Zindagi Se Nahin Ye Fazaen
Yahan Saikron Karwan Aur Bhi Hain

Qanaat Na Kar Alam-e-Rang-o-Bu Par
Chaman Aur Bhi Ashiyan Aur Bhi Hain

Agar Kho Gya Ek Nasheeman To Kya Gham
Maqamat-e-Aah-o-Faghan Aur Bhi Hain

Tu Shaheen Hai, Parwaz Hai Kaam Tera
Tere Samne Asman Aur Bhi Hain

Issi Roz-o-Shab Mein Ulajh Kar Na Reh Ja
Ke Tere Zaman-o-Makan Aur Bhi Hain

Gye Din Ke Tanha Tha Main Anjuman Mein
Yahan Ab Mere Raazdaan Aur Bhi Hain

Dhoond Raha Hai Farang Aysh-e-Jahan Ka Dawam

(Bal-e-Jibril-061) Dhoond Raha Hai Farang Aysh-e-Jahan Ka Dawam

(France Mein Likhe Gye)

Dhoond Raha Hai Farang Aysh-e-Jahan Ka Dawam
Waye Tamana-e-Kham, Waye Tamana-e-Kham !

Peer-e-Haram Ne Kaha Sun Ke Meri Ruedad
Pukhta Hai Teri Faghan, Ab Na Isse Dil Mein Thaam

Tha Arini Go Kaleem, Main Arini Go Nahin
Uss Ko Taqaza Rawa, Mujh Pe Taqaza Haraam

Gharche Hai Afsaye Raaz, Ahl-e-Nazar Ki Fagahan
Ho Nahin Sakta Kabhi Shewa-e-Rindana Aam

Halqa-e-Sufi Mein Zikr, Benam-o-Besouz-o-Saaz
Main Bhi Raha Tashna Kaam, Tub Hi Raha Tashna Kaam

Ishq Teri Intaha, Ishq Meri Intaha
Tu Bhi Abhi Na-Tamam, Main Bhi Abhi Na-Tamam

Aah Ke Khoya Gya Tujh Se Faqeeri Ka Raaz
Warna Hai Maal-e-Faqeer Saltanat-e-Rome-o-Sham

Mir-e-Sipah Na Saza, Lashkar Yaan Shakista Saf

(Bal-e-Jibril-036) Mir-e-Sipah Na Saza, Lashkar Yaan Shakista Saf

Mir-e-Sipah Na Saza, Lashkariyan Shakista Saf
Aah ! Woh Teer-e-Neem Kush Jis Ka Na Ho Koi Hadaf

Tere Muheet Mein Kahin Gohar-e-Zindagi Nahin
Dhoond Chuka Main Mouj Mouj, Dekh Chuka Sadaf Sadaf

Ishq-e-Butan Se Hath Utha, Apni Khudi Mein Doob Ja
Naqsh-o-Nigar-e-Dair Mein Khoon-e-Jigar Na Kar Talaf

Khol Ke Kya Bayan Karun Sirr-e-Maqam-e-Marg-o-Ishq
Ishq Hai Marg-e-Ba-Sharaf, Marg Hayat-e-Be-Sharaf

Sohbat-e-Peer-e-Room Se Mujh Pe Huwa Ye Raaz Fash
Lakh Hakeem Sar Bajeeb, Aik Kaleem Sar Bakaf

Misl-e-Kaleem Ho Agar Maarka Azma Koi
Ab Bhi Darkht-e-Toor Se Ati Hai Bang-e-‘LA TAKHAF’

Kheera Na Kar Saka Mujhe Jalwa e Danish e Farang
Surma Hai Meri Ankh Ka Khak e Madina o Najaf

Zamistani Hawa Mein Garcha Thi Shamsheer Ki Taizi

(Bal-e-Jibril-037) Zamistani Hawa Mein Garcha Thi Shamsheer Ki Taizi

(Yourap Mein Likhe Gye)
(Written in Europe)

Zmastani Hawa Mein Garcha Thi Shamsheer Ki Taizi
Na Chhoote Mujh Se London Mein Bhi Adab-E-Sehar Khaizi

Kahin Sarmaya’ay Mehfil Thi Meri Garam Guftari
Kahin Sub Ko Preshan Kar Gyi Meri Kam Amaizi

Zamam-E-Kaar Agar Mazdoor Ke Hathon Mein Ho Phir Kya!
Tareeq-E-Kohkan Mein Bhi Wohi Heelay Hain Parvaizi

Jalal-E-Padshahi Ho K Jamhoori Tamasha Ho
Juda Ho Deen Siasat Se To Reh Jati Hai Changaizi

Sawad-E-Ruma-Tul-Kubra Mein Dilli Yaad Ati Hai
Wohi Ibrat, Wohi Azmat, Wohi Shaan-E-Dil-Awaizi

Ye Dair-e-Kuhan Hai, Anbar-e-Khas-o-Khashaak

(Bal-e-Jibril-038) Ye Dair-e-Kuhan Hai, Anbar-e-Khas-o-Khashaak

Ye Dair-E-Kuhan Kya Hai, Anbaar-E-Khas-O-Khashaak
Mushkil Hai Guzar Iss Mein Be-Nala’ay Atishnaak

Nakhcheer-E-Mohabbat Ka Qissa Nahin Toolani
Lutf-E-Khalish-E-Paikan, Asoodgi-E-Fatraak

Khoya Kya Jo ‘Matlab Haftad Wa Do’-O-Millat Mein
Samjhe Ga Na Tu Jab Taak Be Rang Na Ho Adraak

Haftad Wa Do Millat = Islam Ke 72 Firqe

Ek Sharaa-E-Musalmani, Ek Jazb-E-Musalmani
Hai Jazb-E-Musalani Sirr-E-Falak-Ul-Aflaak

Ae Rahro-E-Farzana! Be Jazb-E-Musalmani
Ne Rah-E-Amal Paida Ne Shakh-E-Yaqeen Namnaak

Ramzain Hain Mohabat Ki Gustakhi-O-Bebaki
Har Shauq Nahin Gustakh, Har Jazb Nahin Bebaak

Farig To Na Baithe Ga Mehshar Mein Junoon Mera
Ya Apna Grebaan Chaak Ya Daman-E-Yazdaan Chaak!

Kamal-e-Tark Nahin Aab-o-Gill Se Mahjoori

(Bal-e-Jibril-039) Kamal-e-Tark Nahin Aab-o-Gill Se Mahjoori

Kamal-E-Tark Nahin Aab-O-Gil Se Mehjoori
Kamal-E-Tark Hai Taskheer-E-Khaki-O-Noori

Main Aese Faqr Se Ae Ahl-E-Halqa Baaz Aya
Tumhara Faqr Hai Be-Doulati-O-Ranjoori

Na Faqr Ke Liye Mouzun, Na Saltanat Ke Liye
Who Qoum Jis Ne Ganwaya Mataa-E-Taimoori

Sune Na Saqi-E-Mehwash To Aur Bhi Acha
Ayar-E-Garmi-E-Sohbat Hai Harf-E-Maazoori

Hakeem-O-Arif-O-Sufi, Tamam Mast-E-Zahoor
Kise Khabar K Tajalli Hai Ayn Mastoori

oh Multafat Hon To Kunj Qafs Bhi Azadi
Na Hon To Sehat-E-Chaman Bhi Maqam-E-Majboori

Bura Na Maan, Zara Azma Ke Dekh Isse
Farang Dil Ki Kharabi, Khirad Ki Maamoori

Aqal Go Aastan Se Door Nahin

(Bal-e-Jibril-040) Aqal Go Aastan Se Door Nahin

Aqal Go Astan Se Door Nahin
Iss Ki Taqdeer Mein Huzoor Nahin

Dil-E-Beena Bhi Kar Khuda Se Talab
Ankh Ka Noor Dil Ka Noor Nahin

Ilm Mein Bhi Suroor Hai Lekin
Ye Woh Jannat Hai Jis Mein Hoor Nahin

Kya Ghazab Hai Kh Iss Zamane Mein
Aik Bhi Sahib-E-Suroor Nahin

Ek Junoon Hai K Ba-Shaur Bhi Hai
Ek Junoon Hai K Ba-Shaur Nahin

Na-Saboori Hai Zindagi Dil Ki
Aah Woh Dil K Na-Saboor Nahin

Be-Huzoori Hai Teri Mout Ka Raaz
Zinda Ho Tu To Be-Huzoor Nahin

Har Guhar Ne Sadaf Ko Tor Diya
Tu Hi Amada’ay Zahoor Nahin

‘ARINI’ Mein Bhi Keh Raha Hon, Magar
Ye Hadees-E-Kaleem (A.S)-O-Toor Nahin

Khudi Vo Beher Hai Jis Ka Koi Kinara Nahin

(Bal-e-Jibril-041) Khudi Vo Beher Hai Jis Ka Koi Kinara Nahin

Khudi Woh Behar Hai Jis Ka Koi Kinara Nahin
Tu Aabjoo Usse Samjha Agar To Chara Nahin

Tilism-e-Gunbad-e-Gardoon Ko Torh Sakte Hain
Zujaj Ki Ye Amarat Hai, Sang-e-Khara Nahin

Khudi Mein Doobte Hain Phir Ubhar Bhi Ate Hain
Magar Ye Hosla-e-Mard-e-Haichkarah Nahin

Tere Maqam Ko Anjum Shanas Kya Jane
Ke Khak-e-Zinda Hai Tu, Taba-e-Sitara Nahin

Yahin Behisht Bhi Hai, Hoor-o-Jibreel Bhi Hai
Teri Nigah Mein Abhi Shaukhi-e-Nazara Nahin

Mere Junoon Ne Zamane Ko Khoob Pehchana
Woh Pairhan Mujhe Bakhsha Ke Para Para Nahin

Ghazab Hai, Ayin-e-Karam Mein Bukheel Hai Fitrat
Ke Laal-e-Naab Mein Atish To Hai, Sharara Nahin

Ye Peyam De Gayi Hai Mujhe Bad-e-Subah Gahi

(Bal-e-Jibril-042) Ye Peyam De Gayi Hai Mujhe Bad-e-Subah Gahi

Ye Peyam De Gyi Hai Mujhe Bad-e-Subahgahi
Ke Khudi Ke Arifon Ka Hai Maqam Padshahi

Teri Zindagi Issi Se, Teri Aabru Issi Se
Jo Rahi Khudi To Shahi, Na Rahi To Roosiyahi

Na Diya Nishan-e-Manzil Mujhe Ae Hakeem Tu Ne
Mujhe Kya Gila Ho Tujh Se, Tu Na Reh Nasheen Na Rahi

Mere Halqa-e-Sukhan Mein Abhi Zair-e-Tarbiat Hain
Woh Gada Ke Jante Hain Rah-o-Rasm-e-Kajkalahi

Ye Maamle Hain Nazuk, Jo Teri Raza Ho Tu Kar
Ke Mujhe To Khush Na Aya Ye Tareeq-e-Khanqahi

Tu Huma Ka Hai Shikari, Abhi Ibtada Hai Teri
Nahin Muslihat Se Khali Ye Jahan-e-Murg-o-Mahi

Tu Arab Ho Ya Ajam Ho, Tera ‘LA ILAHA ILLAH’
Lughat-e-Ghareeb, Jab Tak Tera Dil Na De Gawahi

(Bal-e-Jibril-043) Teri Nigah Firo Maya, Hath Hai Kotah

Teri Nigah Firomaya, Hath Hai Kotah
Tera Gunah Ke Nakheel-e-Buland Ka Hai Gunah

Gala To Ghoont Diya Ahl-e-Madrasa Ne Tera
Kahan Se Aye Sada ‘LA ILAHA ILLALLAH’

Khudi Mein Gum Hai Khudai, Talash Kar Ghafil!
Yehi Hai Tere Liye Ab Salah-e-Kaar Ki Rah

Hadees-e-Dil Kisi Darvaish-e-Be-Gileem Se Puch
Khuda Kare Tujhe Tere Maqam Se Aagah

Barahna Sar Hai Tu Azam-e-Buland Paida Kar
Yahan Faqt Sar-e-Shaheen Ke Waste Hai Kulah

Na Rahe Sitare Ki Gardish Na Bazi-e-Aflak
Khudi Ki Mout Hai Tera Zawal-e-Naimat-o-Jah

Utha Main Madrasa-o-Khanqah Se Ghamnaak
Na Zindagi, Na Mohabbat, Na Maarifat, Na Nigah!

Kirad Ke Paas Khabar Ke Siwa Kuch Aur Nahin

(Bal-e-Jibril-044) Kirad Ke Paas Khabar Ke Siwa Kuch Aur Nahin

Khird Ke Paas Khabar Ke Siwa Kuch Aur Nahin
Tera Ilaj Nazar Ke Siwa Kuch Aur Nahin

Har Ek Maqam Se Agay Maqam Hai Tera
Hayat Zauq-e-Safar Ke Siwa Kuch Aur Nahin

Giran Baha Hai To Hifz-e-Khudi Se Hai Warna
Guhar Mein Aab-e-Guhar Ke Siwa Kuch Aur Nahin

Ragon Mein Gardish-e-Khoon Hai Agar To Kya Hasil
Hayat Souz-e-Jigar Ke Siwa Kuch Aur Nahin

Uroos-e-Lala! Munasib Nahin Hai Mujh Se Hijab
Ke Main Naseem-e-Sehar Ke Siwa Kuch Aur Nahin

Jise Kisaad Samjhte Hain Tajiran-e-Farang
Woh Shay Mata-e-Hunar Ke Siwa Kuch Aur Nahin

Bara Kareem Hai Iqbal Be-Nawa Lekin
Atta-e-Shola Sharar Ke Siwa Kuch Aur Nahin

Nigah-e-Faqar Mein Shan-e-Sikandari Kya Hai

(Bal-e-Jibril-045) Nigah-e-Faqar Mein Shan-e-Sikandari Kya Hai

Nigah-e-Faqr Mein Shan-e-Sikandari Kya Hai
Kharaj Ki Jo Gada Ho, Woh Qaisri Kya Hai!

Buton Se Tujh Ko Umeedain, Khuda Se Naumeedi
Mujhe Bata To Sahi Aur Kafiri Kya Hai!

Falak Ne Un Ko Atta Ki Hai Khawajgi Ke Jinhain
Khabar Nahin Rawish-e-Banda Parwari Kya Hai

Faqt Nigah Se Hota Hai Faisla Dil Ka
Na Ho Nigah Mein Shaukhi To Dilbari Kya Hai

Issi Khata Se Itaab-e-Mulook Hai Mujh Par
Ke Janta Hun Maal-e-Sikandari Kya Hai

Kise Nahin Hai Tamana-e-Sarwari, Lekin
Khudi Ki Mout Ho Jis Mein Woh Sarwari Kya Hai!

Khush Aa Gyi Hai Jahan Ko Qalandari Meri
Wagarna Shair Mera Kya Hai, Shayari Kya Hai!

Na Tu Zameen Ke Liye Hai Na Asman Ke Liye

(Bal-e-Jibril-046) Na Tu Zameen Ke Liye Hai Na Asman Ke Liye

Na Tu Zameen Ke Liye Hai Na Asman Ke Liye
Jahan Hai Tere Liye, Tu Nahin Jahan Ke Liye

Ye Aqal-o-Dil Hain Sharar Shola-e-Mohabbat Ke
Woh Khaar-o-Khs Ke Liye Hai, Ye Neetan Ke Liye

Maqam-e-Parwarish-e-Aah-o-Nala Hai Ye Chaman
Na Sair-e-Gul Ke Liye Hai Na Ashiyan Ke Liye

Rahe Ga Ravi-o-Neel-o-Firat Mein Kab Tak
Tera Safina Ke Hai Behar-e-Bekaran Ke Liye!

Nishan-e-Rah Dikhate The Jo Sitaron Ko
Taras Gye Hain Kisi Mard-e-Rah Daan Ke Liye

Nigah Buland, Sukhan Dil Nawaz, Jaan Pursouz
Yehi Hai Rakht-e-Safar Mir-e-Karwan Ke Liye

Zara Si Baat Thi, Andaisha-e-Ajam Ne Isse
Barha Diya Hai Faqat Zaib-e-Dastan Ke Liye

Mere Gulu Mein Hai Ek Naghma Jibreel Ashob
Sanbhal Kar Jise Rakha Hai La-Makan Ke Liye

Tu Ae Aseer-e-Makan ! La Makan Se Door Nahin

(Bal-e-Jibril-047) Tu Ae Aseer-e-Makan ! La Makan Se Door Nahin

Tu Ae Aseer-E-Makan! La-Makan Se Door Nahin
Woh Jalwagah Tere Khakdan Se Door Nahin

Woh Marghzar Ke Beem-E-Khazan Nahin Jis Mein
Ghameen Na Ho Ke Tere Ashiyan Se Door Nahin

Ye Hai Khulasa-E-Ilm Qalandari Ke Hiyat
Khadang-E-Jasta Hai Lekin Kaman Se Door Nahin

Faza Teri Mah-O-Parveen Se Hai Zara Agay
Qadam Uthao, Ye Maqam Asman Se Door Nahin

Kahe Na Rahnuma Se Ke Chor De Mujh Ko
Ye Baat Rahroo Nukta Dan Se Door Nahin

(Bal-e-Jibril-048) Kirad Ne Mujh Ko Atta Ki Nazar Hakeemana

(Yourap Mein Likhe Gye)
(Written in Europe)

Khirad Ne Mujh Ko Atta Ki Nazar Hakeemana
Sikhai Ishq Ne Mujh Ko Hadees-e-Rindana

Na Bada Hai, Na Soorahi, Na Dour-e-Pemana
Faqt Nigah Se Rangeen Hai Bazm-e-Janana

Meri Nuwa-e-Preshan Ko Shayari Na Samajh
Ke Main Hun Mehram-e-Raaz-e-Darun-e-Maikhana

Kali Ko Dekh Ke Hai Tashna-e-Naseem-e-Sehar
Issi Mein Hai Mere Dil Ka Tamam Afsana

Koi Bataye Mujhe Ye Ghayaab Hai Ke Huzoor
Sub Ashna Hain Yahan, Aik Main Hun Begana

Farang Mein Koi Din Aur Bhi Thehar Jaun
Mere Junoon Ko Sanbhale Agar Ye Werana

Maqam-e-Aqal Se Asan Guzar Gya Iqbal
Maqam-e-Shauq Mein Khoya Gya Woh Farzana

Aflak Se Ata Hai Nalon Ka Jawab Akhir

(Bal-e-Jibril-049) Aflak Se Ata Hai Nalon Ka Jawab Akhir

Aflak Se Ata Hai Nalon Ka Jawab Akhir
Karte Hain Khitab Akhir, Uthte Hain Hijab Akhir

Ahwal-e-Mohabbat Mein Kuch Farq Nahin Aesa
Souz-o-Tab-o-Taab Awwal, Souz-o-Tab-o-Taab Akhir

Main Tujh Ko Batata Hun, Taqdeer-e-Umam Kya Hai
Shamsheer-o-Sanaa Awwal, Taoos-o-Rabab Akhir

Maikhane-e-Yourap Ke Dastoor Nirale Hain
Late Hain Suroor Awwal, Dete Hain Sharab Akhir

Kya Dabdaba-e-Nadir, Kya Shaukat-e-Taimoori
Hi Jate Hain Sub Daftar Gharq Mai-e-Naab Akhir

Khalwat Ki Ghari Guzri, Jalwat Ki Ghari Ayi
Chutne Ko Hai Bijle Se Agosh-e-Sahaab Akhir

Tha Zabt Bohat Mushkil Iss Seel-e-Maani Ka
Keh Dale Qalandar Ne Asrar-e-Kitab Akhir

Har Shay Musafir, Har Cheez Rahi

(Bal-e-Jibril-050) Har Shay Musafir, Har Cheez Rahi

Har Shay Musafir, Har Cheez Rahi
Kya Chand Tare, Kya Murg-o-Maahi

Tu Mard-e-Maidan, Tu Mir-e-Lashkar
Noori Huzoori Tere Sipahi

Kuch Qadar Apni Tu Ne Na Jani
Ye Besawadi, Ye Kam Nigai !

Dunya-e-Doon Ki Kab Tak Ghulami
Ya Raahbi Kar Ya Padshahi

Peer-e-Haram Ko Dekha Hai Mein Ne
Kirdar Be-Souz, Guftar Waahi

Har Shay Musafir, Har Cheez Rahi

(Bal-e-Jibril-050) Har Shay Musafir, Har Cheez Rahi

Har Shay Musafir, Har Cheez Rahi
Kya Chand Tare, Kya Murg-o-Maahi

Tu Mard-e-Maidan, Tu Mir-e-Lashkar
Noori Huzoori Tere Sipahi

Kuch Qadar Apni Tu Ne Na Jani
Ye Besawadi, Ye Kam Nigai !

Dunya-e-Doon Ki Kab Tak Ghulami
Ya Raahbi Kar Ya Padshahi

Peer-e-Haram Ko Dekha Hai Mein Ne
Kirdar Be-Souz, Guftar Waahi

Har Cheez Hai Mehew-e-Khud Numai

(Bal-e-Jibril-051) Har Cheez Hai Mehew-e-Khud Numai

Har Cheez Hai Mehw-e-Khudnumai
Har Zarra Shaheed-e-Kibriyai

Be-Zauq-e-Namood Zindagi, Mout
Tameer-e-Khudi Mein Hai Khudai

Rayi Zor-e-Khudi Se Parbat
Parbat Zu’af-e-Khudi Se Rayi

Taare Awara-o-Kam Maiz
Taqdeer-e-Wujood Hai Juddai

Ye Pichle Peher Ka Zard-Ru Chehra
Be Raaz-o-Niaz-e-Ashnai

Teri Qandeel Hai Tera Dil
Tu Aap Hai Apni Roshanai

Ek Tu Hai Ke Haq Hai Iss Jahan Mein
Baqi Hai Namood-e-Seemiyai

Hain Auqdah Kusha Ye Khaar-e-Sehra
Kam Kar Gila-e-Barhana Payi

Ejaz Hai Kissi Ka Ya Gardish-e-Zamana !

(Bal-e-Jibril-052) Ejaz Hai Kissi Ka Ya Gardish-e-Zamana !

Ejaz Hai Kisi Ka Ya Gardish-e-Zamana!
Toota Hai Asia Mein Seher-e-Farangiyana

Tameer-e-Ashiyan Se Main Ne Ye Raaz Paya
Ahl-e-Nawa Ke Haq Mein Bijli Hai Ashiyana

Ye Bandagi Khudai, Woh Bandagi Gadai
Ya Banda-e-Khuda Ban Ya Banda-e-Zamana!

Ghafil Na Ho Khudi Se, Kar Apni Pasbani
Shaid Kisi Haram Ka Tub Hi Hai Astana

Ae LA ILAH Ke Waris! Baqi Nahin Hai Tujh Mein
Guftar-e-Dilbarana, Kirdar-e-Qaharana

Teri Nigah Se Dil Seenon Mein Kanpte The
Khoya Gya Hai Tera Jazb-e-Qalandarana

Raaz-e-Haram Se Shaid Iqbal Ba-Khabar Hai
Hain Iss Ki Guftugu Ke Andaz Mehramana

Khirad Mandon Se Kya Poochun Ke Meri Ibtada Kya Hai

(Bal-e-Jibril-053) Khirad Mandon Se Kya Poochun Ke Meri Ibtada Kya Hai

Khird-Mandon Se Kya Puchon Ke Meri Ibtida Kya Hai
Ke Main Iss Fikar Mein Rehta Hun, Meri Intiha Kya Hai

Khudi Ko Kar Buland Itna Ke Har Taqdeer Se Pehle
Khuda Bande Se Khud Puche, Bata Teri Raza Kya Hai

Maqam-e-Guftugu Kya Hai Agar Main Keemiya-Gar Hun
Yehi Souz-e-Nafas Hai, Aur Meri Keemiya Kya Hai!

Nazar Ayeen Mujhe Taqdeer Ki Gehraiyan Uss Mein
Na Puch Ae Hum-Nasheen Mujh Se Woh Chashm-e-Surma Sa Kya Hai

Agar Hota Woh Majzoob*-e-Farangi Iss Zamane Mein
To Iqbal Uss Ko Samjhata Maqam-e-Kibriya Kya Hai

Nawa-e-Subahgahi Ne Jigar Khoon Kar Diya Mera
Khudaya Jis Khata Ki Ye Saza Hai, Woh Khata Kya Hai!

*Germani Ka Mashoor Majzoob Falsafi Natsha Jo Apne Qalbi Wardaat Ka Sahih Andaza Na Kar Saka Aur Issliye Iss Ke Falsafiyana Afkar Ne Isse Gallat Raste Par Dal Diya.

Jab Ishq Sikhata Hai Adab-e-Khud Agahi

(Bal-e-Jibril-054) Jab Ishq Sikhata Hai Adab-e-Khud Agahi

Jab Ishq Sikhata Hai Adab-e-Khud Agaahi
Khule Hain Ghulamon Par Asrar-e-Shehanshahi

Attar Ho, Rumi Ho, Razi Ho, Ghazali Ho
Kuch Hath Nahin Ata Be Aah-e-Sahargahi

Naumeed Na Ho In Se Ae Rahbar-e-Farzana
Kamkosh To Hain Lekin Be-Zauq Nahin Raahi

Ae Tair-e-Lahooti! Uss Rizq Se Mout Achi
Jis Rizq Se Ati Ho Parwaz Mein Kotahi

Dara-o-Sikandar Se Woh Mard-e-Faqeer Aula
Ho Jis Ki Faqeeri Mein Boo-e-Asadullahi

Aaeen-e-Jawanmardan, Haq Goyi-o-Bebaki
Allah Ke Sheron Ko Ati Nahin Roobahi

Mujhe Aah-o-Fighan-e-Neem Shab Ka Phir Peyam Aya

(Bal-e-Jibril-055) Mujhe Aah-o-Fighan-e-Neem Shab Ka Phir Peyam Aya

Mujhe Aah-o-Faghan-e-Neem Shab Ka Phir Peyam Aya
Tham Ae Rehru Ke Shaid Phir Koi Mushkil Maqam Aya

Zara Taqdeer Ki Gehraiyon Mein Doob Ja Tu Bhi
Ke Iss Jangah Se Main Ban Ke Taeg-e-Be Nayam Aya

Ye Misra Likh Diya Kis Shoukh Ne Ne Mehrab-e-Masjid Par
Ye Nadan Gir Gye Sajdon Mein Jab Waqt-e-Qayam Aya

Chal, Ae Meri Gharibi Ka Tamasha Dekhne Wale
Woh Mehfil Uth Gyi Jis Dam To Mujh Tak Dour-e-Jaam Aya

Diya Iqbal Ne Hindi Musalmanon Ko Souz Apna
Ye Ek Mard-e-Tan Asan Tha, Tan Asanon Ke Kaam Aya

Issi Iqbal Ki Main Justuju Karta Raha Barson
Bari Muddat Ke Baad Akhir Woh Shaheen Zair-e-Daam Aya

Maktabon Mein Kahin Ra’anai-e-Afkar Bhi Hai?

(Bal-e-Jibril-063) Maktabon Mein Kahin Ra’anai-e-Afkar Bhi Hai?

Maktabon Mein Kahin Raanayi-e-Afkaar Bhi Hai?
Khanqahon Mein Kahin Lazzat-e-Asrar Bhi Hai?

Manzil-e-Rahrawan Door Bhi, Dushwar Bhi Hai
Koi Iss Qafle Mein Qafla Salaar Bhi Hai?

Barh Ke Khayber Se Hai Ye Maarka-e-Deen-o-Watan
Iss Zamane Mein Koi Haidar-e-Karar Bhi Hai?

Ilm Ki Had Se Pare, Banda-e-Momin Ke Liye
Lazzat-e-Shauq Bhi Hai, Naimat-e-Didar Bhi Hai

Peer-e-Maikhana Ye Kehta Hai Ke Aiwan-e-Farang
Sust Bunyad Bhi Hai, Aaeena Diwar Bhi Hai !

Hadsa Vo Jo Abhi Farda’ay Aflak Main Hai

(Bal-e-Jibril-064) Hadsa Vo Jo Abhi Farda’ay Aflak Main Hai

Hadsa Woh Jo Abhi Parda-e-Aflak Mein Hai
Aks Uss Ka Mere Aaeena-e-Idraak Mein Hai

Na Sitare Mein Hai, Ne Gardish-e-Aflak Mein Hai
Teri Taqdeer Mere Nala-e-Bebaak Mein Hai

Ya Meri Aah Mein Koi Sharar-e-Zinda Nahin
Ya Zara Nam Abhi Tere Khs-o-Khashak Mein Hai

Kya Ajab Meri Nawa Haye Sehargahi Se
Zinda Ho Jaye Woh Atish Ke Teri Khak Mein Hai

Tor Dale Gi Yehi Khak Tilism-e-Shab-o-Roz
Gharche Uljhi Huwi Taqdeer Ke Paichaak Mein Hai

Raha Na Halqa-e-Sufi Mein Soz-e-Mushtaqi

(Bal-e-Jibril-065) Raha Na Halqa-e-Sufi Mein Soz-e-Mushtaqi

Raha Na Halqa-e-Sufi Mein Souz-e-Mushtaqi
Fasana Haye Karamaat Reh Gye Baqi

Kharab Ko Shak-e-Sultan-O-Khanqah-e-Faqeer
Faghan Ke Takht-O-Musalla Kamal-e-Zarraqi

Kare Gi Dawar-e-Mehshar Ko Sharamsaar Ek Roz
Kitab-e-Sufi-O-Mullah Ki Sada Auraqi

Na Cheeni-O-Arabi Woh, Na Rumi-O-Shami
Sama Saka Na Do Alam Mein Mard-e-Afaqi

Mai-e-Shabana Ki Masti To Ho Chuki, Lekin
Khatak Raha Hai Dilon Mein Karishma-e-Saqi

Chaman Mein Talakh Nawayi Meri Gawara Kar
Ke Zehar Bhi Kabhi Karta Hai Kar-e-Taryaqi

Aziz Tat Hai Mataa-e-Ameer-O-Sultan Se
Woh Shair Jis Mein Ho Bijli Ka Souz-O-Barraqi

Huwa Na Zor Se Uss Ke, Koi Gireban Chaak

(Bal-e-Jibril-066) Huwa Na Zor Se Uss Ke, Koi Gireban Chaak

Huwa Na Zor Se Uss Ke Koi Greban Chaak
Agarcha Maghribiyon Ka Junoon Bhi Tha Chalaak

Mai-e-Yaqeen Se Zameer-e-Hayat Hai Pursouz
Naseeb-e-Madrasa Ya Rab Ye Aab-e-Atish Naak

Urooj-e-Adam-e-Khaki Ke Mutazir Hain Tamam
Ye Kehkashan, Ye Sitare, Ye Neelgoon Aflaak

Yehi Zamana-e-Hazir Ki Kainat Hai Kya
Damagh Roshan-o-Dil Teerah-o-Nigah Bebaak

Tu Be-Basar Ho To Ye Mana’ay Nigah Bhi Hai
Wagarna Aag Hai Momin, Jahan Khs-o-Khashak

Zamana Aqal Ko Samjha Huwa Hai Mashal-e-Rah
Kise Khabar Ke Junoon Bhi Hai Sahib-e-Idraak

Jahan Tamam Hai Meeras Mard-e-Momin Ki
Mere Kalam Pe Hujjat Hai Nukta-e-Loulaak

Yun Hath Nahin Ata Vo Gohar-e-Yak Dana

(Bal-e-Jibril-067) Yun Hath Nahin Ata Vo Gohar-e-Yak Dana

Yun Hath Nahin Ata Woh Gohar-e-Yak Dana
Yak Rangi-o-Azadi Ae Himmat-e-Mardana!

Ya Sanjar-o-Tughral Ka Aaeen-e-Jahangeeri
Ya Mard-e-Qalandar Ke Andaz-e-Mulookana!

Ya Hairat-e-Farabi Ya Taab-o-Tab-e-Rumi
Ya Fikr-e-Hakeemana Ya Jazb-e-Kaleemana!

Ya Aqal Ki Roobahi Ya Ishq-e-Yadullahi
Ya Heela-e-Afrangi Ya Hamla-e-Tarkana!

Ya Shara-e-Musalmani Ya Dair Ki Darbani
Ya Naara-e-Mastana , Kaaba Ho Ke Butkhana!

Meeri Mein Faqeeri Mein, Shahi Mein Ghulami Mein
Kuch Kaam Nahin Banta Be-Jurrat-e-Rindana

Na Takht-o-Taj Mein Ne Lashkar-o-Sipah Mein Hai

(Bal-e-Jibril-068) Na Takht-o-Taj Mein Ne Lashkar-o-Sipah Mein Hai

Na Takht-o-Taaj Mein Ne Lashkar-o-Sipah Mein Hai
Jo Baat Mard-e-Qalandar Ki Bargah Mein Hai

Sanam Kadah Hai Jahan Aur Mard-e-Haq Hai Khalil
Ye Nukta Woh Hai Ke Poshida LA ILAHA Mein Hai

Woh Jahan Hai Tera Jis Ko Tu Kare Paida
Ye Sang-o-Khisht Nahin, Jo Teri Nigah Mein Hai

Mah-o-Sitara Se Agay Maqam Hai Jis Ka
Woh Musht-e-Khak Abhi Awargan-e-Rah Mein Hai

Khabar Mili Hai Khudayan-e-Behar-o-Bar Se Mujhe
Farang Reh-Guzar-e-Seel-e-Be Panah Mein Hai

Talash Uss Ki Fazaon Mein Kar Naseeb Apna
Jahan-e-Taza Meri Aah-e-Subahgah Mein Hai

Mere Kidu Ko Ghanimat Samajh Ke Bada-e-Naab
Na Madrase Mein Hai, Baqi Na Khanqah Mein Hai

Fitrat Ne Na Bakhsha Mujhe Andesha’ay Chalak

(Bal-e-Jibril-069) Fitrat Ne Na Bakhsha Mujhe Andesha’ay Chalak

Fitrat Ne Na Bakhsha Mujhe Andaisha-e-Chalaak
Rakhti Hai Magar Taqat-e-Parwaz Meri Khak

Woh Khak Ke Hai Jis Ka Junoon Saqeel-e-Idraak
Woh Khak Ke Jibreel Ki Hai Jis Se Qaba Chaak

Woh Khak Ke Parwaye Nasheeman Nahin Rakhti
Chunti Nahin Pehnaye Chaman Se Khs-o-Khashak

Iss Khak Ko Allah Ne Bakhse Hain Woh Ansu
Karti Hai Chamak Jin Ki Sitaron Ko Arq-Naak

Karain Ge Ahl-e-Nazar Taza Bastiyan Abad

(Bal-e-Jibril-070) Karain Ge Ahl-e-Nazar Taza Bastiyan Abad

Karain Ge Ahl-e-Nazar Taza Bastiyan Abad
Meri Nigah Nahin Soo’ay Kufa-o-Baghdad

Ye Madrasa, Ye Jawan, Ye Suroor-o-Rinayi
Inhi Ke Dam Se Hai Maikhana-e-Farang Abad

Na Falsafi Se, Na Mullah Se Hai Gharz Mujh Ko
Ye Dil Ki Mout, Woh Andaisha-o-Nazar Ka Fasad

Faqeeh-e-Shehar Ki Tehqeer! Kya Majal Meri
Magar Ye Baat Ke Main Dhoondta Hun Dil Ki Kushad

Khareed Sakte Hain Dunya Mein Ishrat-e-Parwaiz
Khuda Ki Dayn Hai Sarmaya-e-Gham-e-Farhad

Kiye Hain Faash Rumooz-e-Qalandari Main Ne
Ke Fikar-e-Madrasa-o-Khanqah Ho Azad

Rishi Ke Faqon Se Toota Na Barhaman Ka Tilism
Assa Na Ho To Kaleemi Hai Kaar-e-Bebunyad

Ki Haq Se Farishton Ne Iqbal Ki Ghamazi

(Bal-e-Jibril-071) Ki Haq Se Farishton Ne Iqbal Ki Ghamazi

Ki Haq Se Farishton Ne Iqbal Ki Ghammazi
Gustakh Hai, Karta Hai Fitrat Ki Hina Bandi

Khaki Hai Magar Iss Ke Andaz Hain Aflaki
Rumi Hai Na Shami Hai, Kashi Na Samarqandi

Sikhlayi Farishton Ko Adam Ki Tarap Iss Ne
Adam Ko Sikhata Hai Adaab-e-Khudawandi!

(Bal-e-Jibril-072) Ne Muhrah Baqi, Ne Muhrah Bazi

Ne Muhra Baqi, Ne Muhra Bazi
Jeeta Hai Rumi, Haara Hai Razi

Roshan Hai Jaam-e-Jamshaid Ab Tak
Shahi Nahin Hai Be Sheesha Bazi

Dil Hai Musalman Mera Na Tera
Tu Bhi Namazi, Mein Bhi Namazi!

Mein Janta Hun Anjaam Uss Ka
Jis Maarke Mein Mullah Hon Ghazi

Turki Bhi Sheerin, Tazi Bhi Sheerin
Harf-e-Mohabbat Turki Na Tazi

Aazar Ka Paisha Khara Tarashi
Kaar-e-Khaleelan Khara Gudazi

Tu Zindagi Hai, Paendagi Hai
Baqi Hai Jo Kuch, Sub Khaak Bazi

Garam-e-Faghan Hai Jaras, Uth Ke Gya Qafla

(Bal-e-Jibril-073) Garam-e-Faghan Hai Jaras, Uth Ke Gya Qafla

Garam-e-Gaghan Hai Jaras, Uth Ke Gya Qafla
Waye Woh Rehru Ke Hai Muntazir-e-Rahla !

Teri Tabiyat Hai Aur, Tera Zamana Hai Aur
Tere Muwafiq Nahin Khanqahi Silsala

Dil Ho Ghulam-e-Khirad Ya Ke Imam-e-Khirad
Salik-e-Rah, Hoshiyar ! Sakht Hai Ye Marhala

Uss Ki Khudi Hai Abhi Sham-o-Sehar Mein Aseer
Gardish-e-Doran Ka Hai Jis Ki Zuban Par Gila

Tere Nafs Se Huwi Atish-e-Gul Taiz Tar
Murg-e-Chaman! Hai Yehi Teri Nawa Ka Sila

Meri Nawa Se Huay Zinda Arif-o-Aami

(Bal-e-Jibril-074) Meri Nawa Se Huay Zinda Arif-o-Aami

Meri Nawa Se Huwe Zinda Arif-o-Aami
Diya Hai Main Ne Inhain Zauq-e-Atish Ashami

Haram Ke Pas Koi Ajami Hai Zamzama Sanj
Ke Tar Tar Huwe Jama Haye Ahrami

Haqiqat-e-Abdi Hai Maqam-e-Shabiri
Badalte Rehte Hain Andaz-e-Kufi-o-Shami

Mujhe Ye Darr Hai Muqamir Hain Pukhta Kaar Bohat
Na Rang Laye Kahin Tere Hath Ki Khami

Ajab Nahin Ke Musalman Ko Phir Atta Kar Dain
Shikoh-e-Sanjar-o-Faqr-e-Junaid (R.A.)-o-Bastami (R.A.)

Qaba-e-Ilm-o-Hunar Lutf-e-Khaas Hai, Warna
Teri Nigah Mein Thi Meri Na-Khush Andami

Har Ek Maqam Se Agay Guzar Gya Mah-e-Nau

(Bal-e-Jibril-075) Har Ek Maqam Se Agay Guzar Gya Mah-e-Nau

Har Ek Maqam Se Agay Guzar Gya Mah-e-Nau
Kamal Kis Ko Mayasar Huwa Hai Be-Tag-e-Dou !

Nafs Ke Zor Se Woh Ghuncha Wa Huwa Bhi To Kya
Jise Naseeb Nahin Aftab Ka Partou

Nigah Paak Hai Teri To Pak Hai Dil Bhi
Ke Dil Ko Haq Ne Kiya Hai Nigah Ka Pairo

Panap Saka Na Khayaban Mein Lala-e-Dil Souz
Ke Saazgar Nahin Ye Jahan-e-Gandum-o-Jou

Rahe Na Aebak-o-Ghauri Ke Maarke Baqi
Hamasha Taza-o-Sheerin Hai Naghma-e-Khusro

Kho Na Ja Iss Sehar-o-Sham Mein Ae Sahib-e-Hosh !

(Bal-e-Jibril-076) Kho Na Ja Iss Sehar-o-Sham Mein Ae Sahib-e-Hosh !

Kho Na Ja Iss Sehar-o-Sham Mein Ae Sahib-e-Hosh!
Ek Jahan Aur Bhi Hai Jis Mein Na Farda Hai Na Dosh

Kis Ko Maaloom Hai Hungama-e-Farda Ka Maqam
Masjid-o-Maktab-o-Maikhana Hain Muddat Se Khamosh

Main Ne Paya Hai Usse Ashk-e-Sehargahi Mein
Jis Dur-e-Naab Se Khali Hai Sadaf Ki Aagosh

Nayi Tehzeeb Takaluf Ke Sawa Kuch Bhi Nahin
Chehra Roshan Ho To Kya Hajat-e-Gluguna Farosh!

Sahib-e-Saaz Ko Lazim Hai Ke Ghafil Na Rahe
Gahe Gahe Galat Aahang Bhi Hota Hai Sarosh

Tha Jahan Madrasa-e-Sheri-o-Shahanshahi

(Bal-e-Jibril-077) Tha Jahan Madrasa-e-Sheri-o-Shahanshahi

Tha Jahan Madrasa-e-Sheri-o-Shehanshahi
Aaj Un Khanqahon Mein Hai Faqt Rubahi

Nazar Ayi Na Mujhe Qafla Salaron Mein
Woh Shabani Ke Hai Tamheed-e-Kaleem-Ullahi

Lazzat-e-Naghma Kahan Murg-e-Khush Alhan Ke Liye
Aah, Iss Bagh Mein Karta Hai Nafas Kotahi

Aik Sar Masti-o-Hairat Hai Sarapa Tareek
Aik Sar Masti-o-Hairat Hai Tamam Agahi

Sifat-e-Barq Chamakta Hai Mera Fikr-e-Buland
Ke Bhatakte Na Phirain Zulmat-e-Shab Mein Raahi

Hai Yaad Mujhe Nukta’ay Salman-e-Khush Ahang

(Bal-e-Jibril-078) Hai Yaad Mujhe Nukta’ay Salman-e-Khush Ahang

Hai Yaad Mujhe Nukta-e-Salman-e-Khush Ahang
Dunya Nahin Mardan-e-Jafa Kash Ke Liye Tang

Cheete Ka Jigar Chahye, Shaheen Ka Tajasus
Ji Sakte Hain Be-Roshni-e-Danish-o-Farhang

Kar Bulbul-o-Taaus Ki Taqleed Se Tauba
Bulbul Faqat Awaz Hai, Taaus Faqat Rang!

Faqar Ke Hain Maujazat Taj-o-Sareer-o-Sipah

(Bal-e-Jibril-079) Faqar Ke Hain Maujazat Taj-o-Sareer-o-Sipah

Faqr Ke Hain Muajazaat Taaj-o-Sareer-o-Sipah
Faqr Hai Meeron Ka Meer, Faqr Hai Shahon Ka Shah

Ilm Ka Maqsood Hai Paki-e-Aqal-o-Khirad
Faqr Ka Maqsood Hai Iffat-e-Qalb-o-Nigah

Ilm Faqeer-o-Hakeem, Faqr Maseeh-o-Kaleem
Ilm Hai Jooya’ay Rah, Faqr Hai Danye Rah

Faqr Maqam-e-Nazar, Ilm Maqam-e-Khabar
Faqr Mein Masti Sawab, Ilm Mein Masti Gunah

Ilm Ka ‘Mojood’ Aur, Faqar Ka ‘Mojood’ Aur
ASHADU ALLA ILAHA, ASHADU ALLA ILAHA !

Charhti Hai Jab Faqr Ki Saan Pe Taeg-e-Khudi
Aik Sipahi Ki Zarb Karti Hai Kaar-e-Sipah

Dil Agar Iss Khak Mein Zinda-o-Baidar Ho
Teri Nigah Torh De Aaeena-e-Mehar-o-Mah

Kamal-e-Josh-e-Junoon Main Raha Garam-e-Tawaf

(Bal-e-Jibril-080) Kamal-e-Josh-e-Junoon Main Raha Garam-e-Tawaf

Kamal-e-Josh-e-Junoon Mein Raha Main Garam-e-Tawaf
Khuda Ka Shukar, Salamat Raha Haram Ka Ghilaaf

Ye Ittefaq Mubarik Ho Mominon Ke Liye
Ke Yak Zuban Hain Faqeehan-e-Shehar Mere Khilaf

Tarap Raha Hai Falatoon Miyan-e-Ghaib-o-Huzoor
Azal Se Ahl-e-Khirad Ka Maqam Hai Aaraaf

Tere Zameer Pe Jab Tak Na Ho Nazool-e-Kitab
Girah Kusha Hai Na Razi Na Shib-e-Kashaaf

Suroor-o-Souz Mein Na-Paidar Hai, Warna
Mai-e-Farang Ka The Juraa Bhi Nahin Na Saaf

Shaur-o-Hosh-o-Khirad Ka Mu’amla Hai Ajeeb

(Bal-e-Jibril-081) Shaur-o-Hosh-o-Khirad Ka Mu’amla Hai Ajeeb

Shaur-o-Hosh-o-Khirad Ka Maamla Hai Ajeeb
Maqam-e-Shauq Mein Hain Sub Dil-o-Nazar Ke Raqeeb

Mein Janta Hun Jamaat Ka Hashar Kya Ho Ga
Masael-e-Nazari Mein Ulajh Gya Hai Khateeb

Agarche Mere Nasheeman Ka Kar Raha Hai Tawwaaf
Meri Nawa Mein Nahin Taair-e-Chaman Ka Naseeb

Suna Hai Main Ne Sukhan Ras Hai Turk-e-Usmani
Sunaye Kon Usse Iqbal Ka Ye Shair-e-Ghareeb

Samajh Rahe Hain Woh Yourap Ko Hum-Jawaar Apna
Sitare Jin Ke Nasheman Se Hain Zaida Qareeb!

(Bal-e-Jibril-062) Khudi Ho Ilm Se Mohkam To Ghairat-e-Jibreel

Khudi Ho Ilm Se Muhkam To Ghairat-e-Jibreel
Agar Ho Ishq Se Muhkam To Soor-e-Israfeel

Azab-e-Danish-e-Hazir Se Ba-Khabar Hun Mein
Ke Main Iss Aag Mein Dala Gya Hun Misl-e-Khalil

Faraib Khurdah-e-Manzil Hai Karwan Warna
Zaida Rahat-e-Manzil Se Hai Nishat-e-Raheel

Nazar Nahin To Mere Halqa-e-Sukhan Mein Na Baith
Ke Nukta Haye Khudi Hain Misaal-e-Taeg-e-Aseel

Mujhe Woh Dars-e-Farang Aaj Yad Ate Hain
Kahan Huzoor Ki Lazzat, Kahan Hijab-e-Daleel !

Andheri Shab Hai, Juda Apne Qafle Se Hai Tu
Tere Liye Hai Mera Shaola-e-Nawa, Qandeel

Ghareeb-o-Sada-o-Rangeen Hai Dastan-e-Haram
Nahayat Iss Ki Hussain (R.A.), Ibtada Hai Ismaeel (A.S.)

Qataa (Andaz-e-Bayan Garcha Bohat Shokh Nahin Hai)

(Bal-e-Jibril-082) Qataa (Andaz-e-Bayan Garcha Bohat Shokh Nahin Hai)

Qataa
SESTET

Andaz-e-Byan Gharche Bohat Shaukh Nahin Hai
Shaid Ke Utar Jaye Tere Dil Mein Meri Baat

Ya Wusaat-e-Aflak Mein Takbeer-e-Musalsal
Ya Khak Ke Aghosh Mein Tasbeeh-o-Munajat

Woh Mazhab-e-Mardan-e-Khud Agah-o-Khuda Mast
Ye Mazhab-e-Mullah-o-Jamadat-o-Nabataat

Rubaiyat – Reh-e-Rasm-e-Haram Na-Mehramana

(Bal-e-Jibril-083) Rubaiyat – Reh-e-Rasm-e-Haram Na-Mehramana

Rubaiyat

Rah-o-Rasm-e-Haram Na-Mehramana
Kalisa Ki Ada Soudagarana

The rituals of the Sanctuary unsanctified!
The Church commercialized.

Tabarrak Hai Mera Pairhan-e-Chaak
Nahin Ahl-e-Junoon Ka Ye Zamana

Zulaam-e-Behar Mein Kho Kar Sanbhal Ja

(Bal-e-Jibril-084) Zulaam-e-Behar Mein Kho Kar Sanbhal Ja

Zulaam-E-Behar Mein Koh Kar Sanbhal Ja
Tarap Ja, Paich Kha Kha Kar Badal Ja

Nahin Sahil Teri Qismat Mein Ae Mouj
Ubher Kar Jis Taraf Chahe Nikl Ja!

Makani Hun Ke Azad-e-Makan Hun

(Bal-e-Jibril-085) Makani Hun Ke Azad-e-Makan Hun

Makani Hun Ke Azad-e-Makan Hun
Jahan Been Hun Ke Khud Sara Jahan Hun

Woh Apni La-Makani Mein Rahain Mast
Mujhe Itna Bata Dain Main Kahan Hun!

Khudi Ki Khalwaton Mein Gum Raha Main

(Bal-e-Jibril-086) Khudi Ki Khalwaton Mein Gum Raha Main

Khudi Ki Khalwaton Mein Gum Raha Main
Khuda Ke Samne Goya Na Tha Main

Na Dekha Ankh Utha Kar Jalwa-e-Dost
Qayamat Mein Tamasha Ban Gya Main!

Preshan Karobar-e-Aashanai

(Bal-e-Jibril-087) Preshan Karobar-e-Aashanai

Preshan Karobar-e-Ashnai
Preshan Tar Meri Rangeen Nawai!

Kabhi Main Dhoondta Hun Lazzat-e-Wasal
Khush Ata Hai Kabhi Souz-e-Juddai!

Yaqeen, Misel-e-Khalil Aatish Nasheeni

(Bal-e-Jibril-088) Yaqeen, Misel-e-Khalil Aatish Nasheeni

Yaqeen. Misl-e-Khalil Atish Nasheeni
Yaqeen, Allah Masti, Khud Guzini

Sun, Ae Tehzeeb-e-Hazir Ke Giraftar
Ghulami Se Bat-tar Hai Be-Yaqeeni

Arab Ke Soz Mein Saaz-e-Ajam Hai

(Bal-e-Jibril-089) Arab Ke Soz Mein Saaz-e-Ajam Hai

Arab Ke Souz Mein Saaz-e-Ajam Hai
Haram Ka Raaz Touheed-e-Umam Hai

Tehi Wahdat Se Hai Andaisha-e-Ghareeb
Ke Tehzeeb-e-Farangi Be Haram Hai

Koi Dekhe To Meri Ne Nawazi

(Bal-e-Jibril-090) Koi Dekhe To Meri Ne Nawazi

Koi Dekhe Tau Meri Ne Nawazi
Nafs Hindi, Maqam-e-Naghma Tazi

Nigah Aaloodah Andaz-e-Afrang
Tabiyat Ghaznavi, Qismat Ayyazi!

Har Ek Zarre Mein Hai Shaid Makeen Dil

(Bal-e-Jibril-091) Har Ek Zarre Mein Hai Shaid Makeen Dil

Har Ek Zarre Mein Hai Shaid Makeen Dil
Issi Jalwat Mein Hai Khalwat Nasheen Dil

Aseer-e-Dosh-o-Farda Hai Walekin
Ghulam-e-Gardish-e-Doran Nahin Dil

Tera Andesha Aflaki Nahin Hai

(Bal-e-Jibril-092) Tera Andesha Aflaki Nahin Hai

Tera Andesha Aflaki Nahin Hai
Teri Parwaz Loulaki Nahin Hai

Ye Mana Asal Shaheeni Hai Teri
Teri Ankhon Mein Bebaki Nahin Hai

Na Momin Hai Na Momin Ki Ameeri

(Bal-e-Jibril-093) Na Momin Hai Na Momin Ki Ameeri

Na Momin Hai Na Momin Ki Ameeri
Raha Sufi, Gyi Roshan Zameeri

Khuda Se Phir Wohi Qalb-o-Nazar Mang
Nahin Mumkin Ameeri Be-Faqeeri

Khudi Ki Jalwaton Mein Mustafai

(Bal-e-Jibril-094) Khudi Ki Jalwaton Mein Mustafai

Khudi Ki Jalwaton Mein Mustafai
Khudi Ki Khalwaton Mein Kibriyai

Zameen-o-Asman-o-Kursi-o-Arsh
Khudi Ki Zad Mein Hai Sari Khudai!

(Bal-e-Jibril-095) Nigah Uljhi Huwi Hai Rang-o-Bu Mein

Nigah Uljhi Huwi Hai Rang-o-Boo Mein
Khirad Khoyi Gyi Hai Char Soo Mein

Na Chore Ae Dil Faghan-e-Subahgahi
Aman Shaid Mile ‘Allah Hoo’ Mein!

Jamal-e-Ishq-o-Masti Ne Nawazi

(Bal-e-Jibril-096) Jamal-e-Ishq-o-Masti Ne Nawazi

Jamal-e-Ishq-o-Masti Ne Nawazi
Jalal-e-Ishq-o-Masti Be-Niazi

Kamal-e-Ishq-o-Masti Zaraf-e-Haidar (R.A.)
Zawal-e-Ishq-o-Masti Harf-e-Razi

Vo Mera Ronaq-e-Mehfil Kahan Hai

(Bal-e-Jibril-097) Vo Mera Ronaq-e-Mehfil Kahan Hai

Woh Mera Ronaq-e-Mehfil Kahan Hai
Meri Bijli, Mera Hasil Kahan Hai

Maqam Iss Ke Hai Dil Ki Khalwaton Mein
Khuda Jane Maqam-e-Dil Kahan Hai!

Sawar-e-Naqa-o-Mohmil Nahin Main

(Bal-e-Jibril-098) Sawar-e-Naqa-o-Mohmil Nahin Main

Sawar-e-Naqa-o-Mehmil Nahin Main
Nishan-e-Jadah Hun, Manzil Nahin Main

Meri Taqdeer Hai Khashak Souzi
Faqt Bijli Hun Main, Hasil Nahin Main

Tere Sine Mein Dam Hai, Dil Nahin Hai

(Bal-e-Jibril-099) Tere Sine Mein Dam Hai, Dil Nahin Hai

Tere Seene Mein Dam Hai, Dil Nahin Hai
Tera Dam Garmi-e-Mehfil Nahin Hai

Guzar Ja Aqal Se Aagay Ke Ye Nor
Charagh-e-Rah Hai, Manzil Nahin Hai

Tera Johar Hai Noori, Pak Hai Tu

(Bal-e-Jibril-100) Tera Johar Hai Noori, Pak Hai Tu

Tera Jauhar Hai Noori, Pak Hai Tu
Farogh-e-Dida-e-Aflak Hai Tu

Tere Said-e-Zaboon Afarishta-o-Hoor
Ke Shaheen-e-Shah-e-Loulak (S.A.W.) Hai Tu!

Mohabbat Ka Junoon Baqi Nahin Hai

(Bal-e-Jibril-101) Mohabbat Ka Junoon Baqi Nahin Hai

Mohabbat Ka Junoon Baqi Nahin Hai
Musalman Mein Khoon Baqi Nahin Hai

\

Safeen Kaj, Dil Preshan, Sajda Be-Zauq
Ke Jazb-e-Androon Baqi Nahin Hai

Khudi Ke Zor Se Dunya Pe Cha Ja

(Bal-e-Jibril-102) Khudi Ke Zor Se Dunya Pe Cha Ja

Khudi Ke Zor Se Dunya Pe Chha Ja
Maqam-e-Rang-o-Boo Ka Raaz Pa Ja

Barang-e-Behar Sahil Aashna Reh
Kaf-e-Sahil Se Daman Khenchta Ja

Chaman Mein Rakht-e-Gul Shabnam Se Tar Hai

(Bal-e-Jibril-103) Chaman Mein Rakht-e-Gul Shabnam Se Tar Hai

Chaman Mein Rakht-e-Gul Se Tar Hai
Saman Hai, Sabza Hai, Bad-e-Sehar Hai

Magar Hangama Ho Sakta Nahin Garam
Yahan Ka Lala Be-Souz-e-Jigar Hai

(Bal-e-Jibril-104) Khirad Se Rahru Roshan Basar Hai

Khirad Se Rahru Roshan Basar Hai
Khirad Kya Hai, Charagh-e-Rah Guzar Hai

Duroon-e-Khana Hangame Hain Kya Kya
Charagh-e-Rah Guzar Ko Kya Khabar Hai!

Jawanon Ko Meri Aah-e-Sehar De

(Bal-e-Jibril-105) Jawanon Ko Meri Aah-e-Sehar De

Jawanon Ko Meri Aah-e-Sehar De
Phir In Shaheen Bachon Ko Baal-o-Par De

Khudaya! Arzoo Meri Yehi Hai
Mera Noor-e-Baseerat Aam Kar De

Teri Dunya Jahan-e-Murgh-o-Mahi

(Bal-e-Jibril-106) Teri Dunya Jahan-e-Murgh-o-Mahi

Teri Dunya Jahan-e-Murg-o-Maahi
Meri Dunya Fughan-e-Subahgahi

Teri Dunya Mein Main Mehkoom-o-Majboor
Meri Dunya Mein Teri Padshahi!

Karam Tera Ke Be-Johar Nahin Main

(Bal-e-Jibril-107) Karam Tera Ke Be-Johar Nahin Main

Karam Tera Ke Be-Jauhar Nahin Main
Ghulam-e-Tughral-o-Sanjar Nahin Main

Jahan Beeni Meri Fitrat Hai Lekin
Kisi Jamshaid Ka Saghar Nahin Main

Wohi Asal-e-Makan-o-La-Makan Hai

(Bal-e-Jibril-108) Wohi Asal-e-Makan-o-La-Makan Hai

Wohi Asal-e-Makan-o-La Makan Hai
Makan Kya She Hai, Andaz-e-Byan Hai

Khizar Kyunkar Bataye, Kya Bataye
Agar Mahi Kahe Darya Kahan Hai

Kabhi Awara-o-Be Khanman Ishq

(Bal-e-Jibril-109) Kabhi Awara-o-Be Khanman Ishq

Kabhi Awara-o-Be-Khanama Ishq
Kabhi Shah-e-Shahan Nausherwan Ishq

Kabhi Maidan Mein Ata Hai Zaraposh
Kabhi Uryan-e-Be-Taeg-o-Sanaa Ishq!

Kabhi Tanhai-e-Koh-o-Daman Ishq

(Bal-e-Jibril-110) Kabhi Tanhai-e-Koh-o-Daman Ishq

Kabhi Tanhai-e-Koh-o-Daman Ishq
Kabhi Souz-o-Suroor-o-Anjuman Ishq

Kabhi Sarmaya-E-Mehrab-o-Manbar
Kabhi Moula Ali (R.A.) Khaybar Shikan Ishq!

(Bal-e-Jibril-111) Atta Aslaf Ka Jazb-e-Darun Kar

Atta Islaf Ka Jazb-e-Daroon Kar
Shareek-e-Zamarahu La Yahzanoon, Kar

Khirad Ki Ghuthiyan Suljha Chuka Main
Mere Moula Mujhe Sahib-e-Junoon Kar!

Ye Nukta Main Ne Sikha Bu-Al-Hassan Se

(Bal-e-Jibril-112) Ye Nukta Main Ne Sikha Bu-Al-Hassan Se

Ye Nukta Main Ne Sikha Bu-Al-Hassan Se
Ke Jaan Marti Nahin Marg-e-Badan Se

*Abul Hasan Ash‘ari

Chamak Sooraj Mein Kya Baqi Rahe Gi
Agar Bezar Ho Apni Kiran Se!

(Bal-e-Jibril-113) Khirad Waqif Nahin Hai Naik-o-Bad Se

Khirad Waqif Nahin Hai Naik-o-Bad Se
Barhi Jati Hai Zalim Apni Had Se

Khuda Jane Mujhe Kya Ho Gya Hau
Khirad Bezar Dil Se, Dil Khirad Se!

Khudai Ehtemam-e-Khushk-o-Tar Hai

(Bal-e-Jibril-114) Khudai Ehtemam-e-Khushk-o-Tar Hai
Khudai Ehtamam-e-Khushk-o-Tar Hai
Khudawand! Khudai Dard-e-Sar Hai

Walekin Bandagi, Astagfirullah!
Ye Dard-e-Sar Nahin, Dard-e-Jigar Hai

Yehi Adam Hai Sultan Behar-o-Bar Ka

(Bal-e-Jibril-115) Yehi Adam Hai Sultan Behar-o-Bar Ka

Yehi Adam Hai Sultan Behar-e-Bar Ka
Kahun Kya Majra Iss Be-Basar Ka

Na Khudbeen, Ne Khuda-Been, Ne Jahan Been
Yehi Shehkar Hai Tere Hunar Ka!

Dam-e-Arif Nasim-e-Subah-Dam Hai

(Bal-e-Jibril-116) Dam-e-Arif Nasim-e-Subah-Dam Hai

Dam-e-Arif Naseem-e-Subahdam Hai
Issi Se Resha-e-Ma’ani Mein Nam Hai

Agar Koi Shoaib Aye Mayassar
Shabani* Se Kaleemi Do Kadam Hai

*Shaban ka matlab Charwaha/Gaderiya

Ragon Mein Vo Lahoo Baqi Nahin Hai

(Bal-e-Jibril-117) Ragon Mein Vo Lahoo Baqi Nahin Hai

Ragon Mein Woh Lahoo Baqi Nahin Hai
Woh Dil, Woh Arzoo Baqi Nahin Hai

Namaz-o-Roza-o-Qurbani-o-Hajj
Ye Sub Baqi Hain, Tu Baqi Nahin Hai

Khule Jate Hain Asrar-e-Nihani

(Bal-e-Jibril-118) Khule Jate Hain Asrar-e-Nihani

Khule Jate Hain Asrar-e-Nihani
Gya Dour-e-Hadees-e-‘Lan Tarani’

Huwi Jis Ki Khudi Pehle Namoodar
Wohi Mehdi, Wohi Akhir Zamani!

Zamane Ki Ye Gardish Javidana

(Bal-e-Jibril-119) Zamane Ki Ye Gardish Javidana

Zamane Ki Ye Gardish Javidana
Haqiqat Aik Tu, Baqi Fasana

Kisi Ne Dosh Dekha Hai Na Farda
Faqt Amroz Hai Tera Zamana

Hakeemi, Na Musalmani Khudi Ki

(Bal-e-Jibril-120) Hakeemi, Na Musalmani Khudi Ki

Hakeemi, Na-Musalmani Khudi Ki
Kaleemi, Ramz-e-Pinhani Khudi Ki

Tujhe Gurr Faqr-o-Shahi Ka Bata Doon
Ghareebi Mein Nighebani Khudi Ke !

Tera Tan Rooh Se Na-Aashna Hai

(Bal-e-Jibril-121) Tera Tan Rooh Se Na-Aashna Hai

Tera Tan Rooh Se Na-Ashna Hai
Ajab Kya! Aah Teri Na-Rasa Hai

Tan-e-Be-Rooh Se Bezar Hai Haq
Khuda-e-Zinda, Zindon Ka Khuda Hai

Iqbal Ne Kal Ahl-e-Khiyaban Ko Sunaya

(Bal-e-Jibril-122) Qataa – Iqbal Ne Kal Ahl-e-Khiyaban Ko Sunaya

Qataa

Iqbal Ne Kal Ahl-e-Khayaban Ko Sunaya
Ye Shair-e-Nishat Awar-o-Pursouz-o-Tarabnak

Main Soorat-e-Gul Dast-e-Saba Ka Nahin Mouhtaj
Karta Hai Mera Josh-e-Junoon Meri Qaba Chaak

Dua

(Bal-e-Jibril-123) Dua
( Read Explanation here – نظم کی تشریح یہاں پڑھیں )

Dua

(Masjid-e-Qurtuba Mein Likhi Gyi)
(Written in the Mosque of Cordoba)

Hai Yehi Meri Namaz, Hai Yehi Mera Wazu
Meri Nawaon Mein Hai Mere Jigar Ka Lahoo

Sohbat-e-Ahl-e-Safa, Noor-o-Huzoor-o-Suroor
Sur Khush-o-Pursouz Hai Lala Lab-e-Abjoo

Rah-e-Mohabbat Mein Hai Kon Kisi Ka Rafeeq
Sath Mere Reh Gyi Aik Meri Arzoo

Mera Nasheeman Nahin Dargah-e-Meer-o-Wazeer
Mera Nasheman Bhi Tu, Shakh-e-Nasheman Bhi Tu

Tujh Se Greban Mera Matla-e-Subah-e-Nashoor
Tujh Se Mere Seene Mein Atish-e-‘Allah Hoo’

Tujh Se Meri Zindagi Souz-o-Tab-o-Dard-o-Dagh
Tu Hi Meri Arzoo, Tu Hi Meri Justujoo

Pas Agar Tu Nahin, Shehar Hai Weeran Tamam
Tu Hai To Abad Hain Ujhre Huwe Kakh-o-Koo

Phir Woh Sharab-e-Kuhan Mujh Ko Ata Kar Ke Main
Dhoond Raha Hun Usse, Torh Ke Jaam-o-Saboo

Chashm-e-Karam Saqiya! Dair Se Hain Mutazir
Jalwaton Ke Saboo, Khalwaton Ke Kidoo

Teri Khudai Se Hai Mere Junoon Ko Gilla
Apne Liye La-Makan, Mere Liye Char Soo!

Falsafa-o-Shair Ki Aur Haqiqat Hai Kya
Harf-e-Tamana, Jise Keh Na Sakain Roo-Ba-Roo

Masjid-e-Qurtaba

(Bal-e-Jibril-124) Masjid-e-Qurtaba (مسجد قرطبہ)

Masjid-e-Qurtuba

(Haspania Ki Sarzameen, Bil-Khasoos Qurtaba Mein Likhi Gyi)
(Written in Spain, especially Cordoba)

Silsalah-E-Roz-O-Shab, Naqsh Gar-E-Hadsaat
Silsalah-E-Roz-O-Shab, Asal-E-Hayat-O-Mamaat

Silsalah-E-Roz-O-Shab, Taar-E-Hareer-E-Do Rang
Jis Se Banati Hai Zaat Apni Qaba’ay Sifat

Silsalah-E-Roz-O-Shab, Saaz-E-Azal Ki Faghan
Jis Se Dikhati Hai Zaat Zair-O-Bam-E-Mumkinaat

Tujh Ko Parakhta Hai Ye, Mujh Ko Parakhta Hai Ye
Silsalah-E-Roz-O-Shab, Sayr Fee Kainat

Tu Ho Agar Kam Ayaar, Main Hun Agar Kam Ayaar
Mout Hai Teri Baraat, Mout Hai Meri Baraat

Tere Shab-O-Roz Ki Aur Haqiqat Hai Kya
Aik Zamane Ki Ro Jis Mein Na Din Hai Na Raat

Aani –O-Fani Tamam Mojazaat Haye Gunar
Kaar-E-Jahan Be-Sabaat, Kaar-E-Jahan Be-Sabaat!

Awwal-O-Akhir Fana, Batin-O-Zahir Fana
Naqsh-E-Kuhan Ho Ke Nau, Manzil-E-Akhir Fana

Hai Magar Iss Naqsh Mein Rang-E-Sabaat-E-Dawam
Jis Ko Kiya Ho Kisi Mard-E-Khuda Ne Tamam

Mard-E-Khuda Ka Amal Ishq Se Sahib Firogh
Ishq Hai Asal-E-Hayat, Mout Hai Iss Par Haraam

Tund-O-Subak Sair Hai Gharcha Zamane Ki Ro
Ishq Khud Ek Sayl Hai, Sayl Ko Leta Hai Thaam

Ishq Ki Taqweem Mein Asar-E-Rawan Ke Sawa
Aur Zamane Bhi Hain Jin Ka Nahin Koi Naam

Ishq Dam-E-Jibreel, Ishq Dam-E-Mustafa (S.A.W.).
Ishq Khuda Ka Rasool, Ishq Khuda Ka Kalaam

Ishq Ki Masti Se Hai Paikar-E-Gil Taabnaak
Ishq Hai Sehba’ay Khaam, Ishq Hai Kaas-Ul-Kiraam

Ishq Faqeeh-E-Haram, Ishq Ameer Junood
Ishq Hai Ibn-Ul-Sabeel, Iss Ke Hazaron Maqam

Ishq Ke Mizraab Se Naghma’ay Taar-E-Hayat
Ishq Se Noor-E-Hayat, Ishq Se Naar-E-Hayat

Ae Haram-E-Qurtuba! Ishq Se Tera Wujood
Ishq Sarapa Dawam, Jis Mein Nahin Raft-o-Bood

Rang Ho Ya Khisht-o-Sang, Chang Ho Ya Harf-o-Soot
Moajaza-E-Fan Ki Hai Khoon-E-Jigar Se Namood

Katra-E-Khoon-E-Jigar Sil Ko Banata Hai Dil
Khoon-E-Jigar Se Sada Souz-o-Suroor-o-Surood

Teri Fiza Dil Faroz , Meri Nawa Sina Soz
Tujh Se Dilon Ka Huzoor, Mujh Se Dilon Ki Kushood

Arsh-E-Muala Se Kam Sina’ay Adam Nahin
Garche Kaf-Ekhak Ki Had Hai Sipihr-E-Kubood

Pekar-E-Noori Ko Hai Sajda Meyasir To Kya
Iss Ko Meyasir Nahin Soz-O-Gudaaz-E-Sujood

Kafir-E-Hindi Hun Main, Dekh Mera Zauq-O-Shauq
Dil Mein Salat-O-Durood, Lab Pe Salat-O-Durood

Shauq Meri Le Main Hai, Shauq Meri Ne Mein Hai
Naghma’ay ‘ALLAH HOO’ Mere Rag-E-Pe Mein Hai

Tera Jalal-O-Jamal, Mard-E-Khuda Ki Daleel
Woh Bhi Jaleel-O-Jameel, Tu Bhi Jaleel-O-Jameel

Teri Bina Paidar, Tere Sutoon Be-Shumar
Sham Ke Sehra Mein Ho Jaise Hujoom-E-Nakheel

Tere Dar-O-Baam Par Wadi-E-Ayman Ka Noor
Tera Minaar-E-Buland Jalwagah-E-Jibreel

Mit Nahin Sakta Kabhi Mard-E-Musalman Ke Hai
Iss Ki Azanon Se Fash Sir-E-Kaleem(A.S.)-O-Khalil(A.S.)

Iss Ki Zameen Behadood, Is Ka Ufaq Be Sooghoor
Iss Ke Samundar Ki Mouj, Dajla-O-Danyob-O-Neel

Iss Ke Zamane Ajeeb, Iss Ke Fasane Ghareeb
Ehad-E-Kuhan Ko Diya Iss Ne Payam-E-Raheel

Saqi Arbab-E-Zauq, Faris-E-Maidan-E-Shauq
Badah Hai Iss Ka Raheeq, Taeg Hai Iss Ki Aseel

Mard-E-Sipahi Hai Woh, Iski Zirah ‘LA ILAHA’
Saya-E-Shamsheer Mein Is Ski Panah ‘LA ILAHA’

Tujh Se Huwa Ashkara Banda-E-Momin Ka Raaz
Iss Ke Dino Ki Tapish, Is Ke Shabon Ka Gudaaz

Iss Ka Maqam Buland, Iss Ka Khayal Azeem
Iss Ka Suroor Iss Ka Shauq, Iss Ka Niaz Iss Ka Naaz

Hath Hai ALLAH Ka Banda-E-Momin Ka Hath
Ghalib-O-Kaar Afreen, Kaar Kusha, Kaar Saaz

Khaki-O-Noori Nihad, Banda-E-Mola Sifat
Har Do Jahan Se Ghani Iss Ka Dil-E-Beniaz

Uss Ki Umeedain Qaleel, Uss Ke Maqasid Jaleel
Uss Ki Ada Dil Faraib, Iss Ki Nigah Dil Nawaz

Naram Dam-E-Guftugoo, Garam Dam-E-Justujoo
Razm Ho Ya Bazm Ho, Pak Dil-O-Pak Baz

Nukta’ay Parkar-E-Haq, Mard-E-Khuda Ka Yaqeen
Aur Ye Alam Tamam Weham-O-Tilism-O-Majaz

Aqal Ki Manzil Hai Woh, Ishq Ka Hasil Hai Woh
Halqa’ay Afaq Mein Garmi-E-Mehfil Hai Woh

Kaaba Arbab-E-Fan! Sitwat-E-Deen-E-Mubeen
Tujh Se Haram Martabat Andlusiyon Ki Zameen

Hai Teh-E-Gardoon Agar Husn Mein Teri Nazeer
Qalb-E-Musalman Mein Hai, Aur Nahin Hai Kahin

Aah Woh Mardan-E-Haq! Woh Arabi Shehsawar
Hamil-E-Khulq-E-Azeem, Sahib-E-Sidq-O-Yaqeen

Jin Ki Hukumat Se Hai Fash Ye Ramz-E-Ghareeb
Saltanat Ahl-E-Dil Faqar Hai, Shahi Nahin

Jin Ki Nigahon Ne Ki Tarbiat-E-Sharq-O-Gharb
Zulmat-E-Yorap Mein Thi Jin Khird Rah Been

Jin Ke Lahoo Ki Tafail Aaj Bhi Hain Andlasi
Khush Dil-O-Garam Ikhtalaat, Sada-O-Roshan Jabeen

Aaj Bhi Iss Dais Mein Aam Hai Chasm-E-Ghazaal
Aur Nigahon Ke Teer Aaj Bhi Hain Dil Nasheen

Boo’ay Yaman Aaj Bhi Is Ski Hawaon Mein Hai
Rang-E-Hijaz Aaj Bhi Iss Ki Nawaon Mein Hai

Didah-E-Anjum Mein Hai Teri Zameen, Asman
Aah Ke Sadiyon Se Hai Teri Faza Be-Azan

Kon Se Wadi Mein Hai, Kon Si Manzil Mein Hai
Ishq-E-Bala Khaiz Ka Kafla’ay Sakht Jaan!

Dekh Chuka Almani, Shorish-E-Islah-E-Deen
Jis Ne Na Chore Kahin Naqsh-E-Kuhan Ke Nishan

Harf-E-Galat Ban Gyi Ismat-E-Peer-E-Kunisht
Aur Huwi Fikar Ki Kashti-E-Nazuk Rawan

Chashme-E-Francis Bhi Dekh Chuki Inqilab
Jis Se Digargoon Huwa Magribiyon Ka Jahan

Millat-E-Roomi Nazad Kuhna Prasti Se Peer
Lazzat-E-Tajdeed Se Woh Bhi Huwi Phir Jawan

Rooh-E-Musalman Mein Hai Aaj Wohi Iztarab
Raaz-E-Khudai Hai Ye, Keh Nahin Sakti Zuban

Dekhiye Iss Behar Ki Teh Se Uchalta Hai Kya
Gunbad-E-Nilofari Rang Badalta Hai Kya!

Wadi-E-Kuhsaar Mein Garaq-E-Shafaq Hai Sahab
La’al-E-Badkhashan Ke Dhair Chor Gya Aftab

Sada-O-Pursoz Hai Dukhtar-E-Dehqan Ka Geet
Kashti-E-Dil Ke Liye Sayl Hai Ehad-E-Shabab

Aab-E-Rawan-E-Kabeer ! Tere Kinare Koi
Dekh Raha Hai Kisi Aur Zamane Ka Khawab

Alam-E-Nau Hai Abhi Parda’ay Taqdeer Mein
Meri Nigahon Mein Hai Iss Ki Sehar Behijab

Parda Utha Doon Agar Chehra’ay Afkar Se
La Na Sake Ga Farang Meri Nawa’on Ki Taab

Jis Mein Na Ho Inqilab, Mout Hai Woh Zindagi
Rooh-E-Ummam Ki Hayat Kashmakash-E-Inqilab

Soorat-E-Shamsheer Hai Dast-E-Qaza Mein Woh Qaum
Karti Hai Jo Har Zaman Apne Amal Ka Hisaab

Naqsh Hain Sub Na-Tamam Khoon-E-Jigar Ke Begair
Naghma Hai Soda’ay Kham Khoon-E-Jigar Ke Begair

Wada-Al-Kabeer, Qurtuba Ka Mashoor Darya Jis Ke Qareeb Hi Masjid-E-Qurtaba Waqiya Hai

Qaid Khane Mein Ma’utmid Ki Faryad

(Bal-e-Jibril-125) Qaid Khane Mein Ma’utmid Ki Faryad

Qaidkhane Mein Mautamid Ki Faryad

Mautamid Ishbilia Ka Badshah Aur Arbi Shayar Tha. Haspania Ke Aik Hukmaran Ne Uss Ko Shikast De Kar Qaid Mein Dal Diya Tha. Mautamid Ki Nazmain Angrezi Mein Tarjuma Ho Kar “Wisdom Of The East Series” Mein Shaeya Ho Chuki Hai.

Ek Faghan-e-Be Sharar Seene Mein Baqi Reh Gyi
Souz Bhi Rukhsat Huwa, Jati Rahi Taseer Bhi

Mard-e-Hur Zindan Mein Hai Be-Naiza-o-Shamsheer Aaj
Main Pasheman Hun, Pasheman Hai Meri Tadbeer Bhi

Khud-Ba-Khud Zanjeer Ki Janib Khincha Jata Hai Dil
Thi Issi Foulad Se Shaid Meri Shamsheer Bhi

My heart Is drawn by instinct to chains.
Perhaps my sword was of the same steel.

Jo Meri Taeg-e-Dodam Thi, Ab Meri Shamsheer Hai
Shoukh-o-Be Parwa Hai Kitna Khaliq-e-Taqdeer Bhi !

(Bal-e-Jibril-126) Abdur Rehman Awal Ka Boya Huwa Khajoor Ka Pehla Darakht Sarzameen-e-Andlus Mein

Abdur Rehman Awwal Ka Boya Huwa Khajoor Ka Pehla Darakht

Sar Zameen-e-Andus Mein

Ye Ashaar Jo Abdur Rehman Awal Ki Tasneef Se Hain, ‘Tareekh Ul Maqra’ Mein Darj Hain, Mundarja Zail Urdu Nazam In Ka Azad Tarjuma Hai (Darakh Mazkoor Madina-Tuz-Zahra Mein Boya Gya Tha)

Meri Ankhon Ka Noor Hai Tu
Mere Dil Ka Suroor Hai Tu

Apni Wadi Se Door Hun Main
Mere Liye Nakhl-e-Toor Hai Tu

Maghrib Ki Hawa Ne Tujh Ko Pala
Sehra-e-Arab Ki Hoor Hai Tu

Pardais Mein Na-Saboor Hun Main
Pardais Mein Na-Saboor Hai Tu

Ghurbat Ki Hawa Mein Bar-War Ho
Saqi Tera Nam-e-Sehar Ho

Alam Ka Ajeeb Hai Nazara
Damaan-e-Nigah Hai Para Para

Himmat Ko Shanawari Mubarik!
Paida Nahin Behar Ka Kinara

Hai Souz-e-Daroon Se Zindagaani
Uthta Nahin Khaak Se Sharara

Subah-e-Ghurbat Mein Aur Chamka
Toota Huwa Shaam Ka Sitara

Momin Ke Jahan Ki Had Nahin Hai
Momin Ka Maqam Har Kahin Hai

Haspania

(Bal-e-Jibril-127) Haspania

Haspania
SPAIN

(Haspania Ki Sar Zameen Mein Likhe Gye)
(Wapis Ate Huwe)

Haspania Tu Khoon-e-Musalman Ka Ameen Hai
Manind-e-Haram Pak Hai Tu Meri Nazar Mein

Poshida Teri Khak Mein Sajdon Ke Nishan Hain
Khamosh Azanain Hain Teri Baad-e-Sehar Mein

Roshan Thin Sitaron Ki Tarah In Ki Sananain
Khaime The Kabhi Jin Ke Tere Koh-o-Qamar Mein

Phir Tere Haseenon Ko Zaroorat Hai Hina Ki?
Baqi Hai Abhi Rang Mere Khoon-e-Jigar Mein !

Kyun Khs-o-Khashaak Se Dab Jaye Musalman
Mana, Woh Tab-e-Taab Nahin Iss Ke Sharar Mein

Garnata Bhi Dekha Meri Ankhon Ne Walekin
Taskeen-e-Musafir Na Safar Mein Na Hazr Mein

Dekha Bhi Dikhaya Bhi, Sunaya Bhi Suna Bhi
Hai Dil Ki Tasalli Na Nazar Mein, Na Khabar Mein!

Tariq Ki Dua

(Bal-e-Jibril-128) Tariq Ki Dua

Tariq Ki Dua
(Andalus Ke Maidan-e-Jang Mein)

TARIQ’S PRAYER

Ye Ghazi, Ye Tere Purisrar Bande
Jinhain Tu Ne Bakhsha Hai Zuaq-e-Khudai

Do-Neem In Ki Thoukar Se Sehra-o-Darya
Simat Kar Pahar In Ki Haibat Se Rayi

Do Alam Se Karti Hai Baigana Dil Ko
Ajab Cheez Hai Lazzat-e-Ashnayi

Shahadat Hai Matloob-o-Maqsood-e-Momin
Na Maal-e-Ghanimat Na Kishwar Kushayi

Khayaban Mein Hai Muntazir Lala Kab Se
Qaba Chahye Iss Ko Khoon-e-Arab Se

Kiya Tu Ne Sehra Nasheenon Ko Yakta
Khabar Mein, Nazar Mein, Azan-e-Sehar Mein

Talab Jis Ki Sadiyon Se Thi Zindagi Ko
Woh Souz Iss Ne Paya Inhi Ke Jigar Mein

Kushad-e-Dar-e-Dil Samajhte Hain Iss Ko
Halakat Nahin Mout In Ki Nazar Mein

Dil-e-Mard-e-Momin Mein Phir Zinda Kar De
Woh Bijli Ke Thi Na’ara-e-‘LA TAZAR’ Mein

La-Tazar (Verse 26 of Surah Nuh- No. 71 – Quran)

Aza’im Ko Seenon Mein Baidar-e-Kar De
Nigah-e-Musalman Ko Talwar Kar De!

Lenin (Khuda Ke Hazoor Mein)

(Bal-e-Jibril-129) Lenin (Khuda Ke Hazoor Mein)

Lenin
(Khuda Ke Hazoor Mein)

LENIN

Ae Anfus-o-Afaq Mein Paida Tere Ayaat
Haq Ye Hai Ke Hai Zinda-o-Paenda Teri Zaat

Main Kaise Samajhta Ke Tu Hai Ya Ke Nahin Hai
Har Dam Mutaghyyar The Khird Ke Nazariyat

Mehram Nahin Fitrat Ke Sarood-e-Azali Se
Beenaye Kawakib Ho Ke Dana’ay Nabataat

Aj Ankh Ne Dekha To Woh Alam Huwa Sabit
Main Jis Ko Samajhta Tha Kalisa Ke Khurafat

Hum Band-e-Shab-o-Roz Mein Jakre Huwe Bande
Tu Khaliq-e-Aasaar-o-Nigarindah’ay Aanat !

Ek Baat Agar Mujh Ko Ijazat Ho To Puchun
Hal Kar Na Sake Jis Ko Hakeemon Ke Maqalat

Jab Tak Mein Jiya Khaima-e-Aflak Ke Neeche
Kante Ki Tarah Dil Mein Khatakti Rahi Ye Baat

Guftar Ke Asloob Pe Qaboo Nahin Rehta
Jab Rooh Ke Andar Mutaltum Hon Khayalat

Woh Kon Sa Adam Hai Ke Tu Jis Ka Maabood
Woh Adam-e-Khaki Ke Jo Hai Zair-e-Samawat?

Mashriq Ke Khudawand Saifedan-e-Farangi
Maghrib Ke Khudawand Darakhshandah Filzaat

Yourap Mein Bohat Roshani-e-Ilm-o-Hunar Hai
Haq Ye Hai Ke Be-Chashma’ay Haiwan Hai Ye Zulmat

Raanayi-e-Tameer Mein, Ronaq Mein, Safa Mein
Girjon Se Kahin Barh Ke Hain Bankon Ki Amarat

Zahir Mein Tajarat Hai, Haqiqat Mein Juwa Hai
Sood Aik Ka Lakhon Ke Liye Marg-e-Mafajat

Ye Ilm, Ye Hikmat, Ye Tadabur, Ye Hukumat
Peete Hain Lahoo, Dete Hain Taleem-e-Masawat

Bekari-o-Uryani-o-Maikhawari-o-Iflaas
Kya Kaam Hain Farangi Madniyat Ke Fatuhaat

Woh Qoum Ke Faizan-e-Samawi Se Ho Mehroom
Had Uss Ke Kamalaat Ki Hai Barq-o-Bukharaat

Hai Dil Ke Liye Mout Machinon Ki Hukumat
Ehsas-e-Marawwat Ko Kuchal Dete Hain Aalaat

Asaar To Kuch Kuch Nazar Ate Hain Ke Akhir
Tadbeer Ko Taqdeer Ke Shatar Ne Kiya Maat

Maikhane Ki Bunyad Mein Aya Hai Tazalzul
Baithe Hain Issi Fikar Mein Peeran-e-Kharabat

Chehron Pe Jo Surkhi Nazar Ati Hai Sar-e-Shaam
Ya Ghazah Hai Ya Saghir-o-Meena Ki Karamat

Tu Qadir-o-Adil Hai Magar Tere Jahan Mein
Hain Talakh Bohat Banda’ay Mazdoor Ke Auqat

Kab Doobe Ga Sarmaya Prasti Ka Safina?
Dunya Hai Teri Muntazir-e-Roz-e-Makafat !

Farishton Ka Geet

(Bal-e-Jibril-130) Farishton Ka Geet

Farishton Ka Geet

Aqal Hai Be Zamam Abhi, Ishq Hai Be Maqam Abhi
Naqsh Gar-e-Azal! Tera Naqsh Hai Natamam Abhi

Khalq-e-Khuda Ki Ghaat Mein Rindon-o-Faqeeh-o-Meer-o-Peer
Tere Jahan Mein Hai Wohi Gardish-e-Subah-o-Sham Abhi

Tere Ameer Maal Mast, Tere Faqeer Haal Mast
Banda Hai Koocha Gard Abhi, Khawaja Buland Baam Abhi

Danish-e-Deen-o-Ilm-o-Fan Bandagi-e-Hawas Tamam
Ishq-e-Garah Kushaye Ka Faiz Nahin Hai Aam Abhi

Johar-e-Zindagi Hai Ishq, Johar-e-Ishq Hai Khudi
Aah Ke Hai Ye Taegh-e-Taiz Pardagi-e-Nayam Abhi !

Farman-e-Khuda

(Bal-e-Jibril-131) Farman-e-Khuda

Farman-e-Khuda

Utho! Meri Dunya Ke Ghareebo Ko Jaga Do
Kakh-e-Umra Ke Dar-o-Diwar Hila Do

Garmao Ghulamon Ka Lahoo Souz-e-Yaqeen Se
Kunjishik-e-Firomaya Ko Shaheen Se Lara Do

Sultani Jamhoor Ka Ata Hai Zamana
Jo Naqsh-e-Kuhan Tum Ko Nazar Aye, Mita Do

Jis Khait Se Dehqan Ko Mayassar Nahin Rozi
Uss Khait Ke Har Khausha-e-Gandum Ko Jala Do

Kyun Khaliq-o-Makhlooq Mein Hayal Rahain Parde
Peeran-e-Kalisa Ko Kalisa Se Utha Do

Haq Ra Ba-Sujoode, Sanamaan Ra Ba-Tawafe
Behter Hai Charagh-e-Haram-o-Dair Bujha Do

Main Na Khush-o-Bezar Hun Mar Mar Ki Silon Se
Mere Liye Mitti Ka Haram Aur Bana Do

Tehzeeb-e-Nawi Kargah-e-Shisha Garan Hai
Adaab-e-Junoon Shayar-e-Mashriq Ko Sikha Do!

Zauq-o-Shauq

(Bal-e-Jibril-132) Zauq-o-Shauq (Ecstasy)

Zauq-o-Shauq
(In Asha’ar Mein Se Aksar Palestine Mein Likhe Gaye)

(1)

‘Daraig Amdam Zaan Hama Bostan
Tahi Dast Raftan Suay Dostan’
—Saadi

—Saadi

(2)

Qalb-o-Nazar Ki Zindagi Dast Mein Subah Ka Saman
Chasma’ay Aftab Se Noor Ki Nadiyan Rawan

(3)

Husn-e-Azal Ki Hai Namood, Chaak Hai Parda’ay Wajood
Dil Ke Liye Hazar Sood, Aik Nigah Ka Ziyan

(4)

Surkh-o-Kabood Badaliyan Chor (Chodh) Gaya Sihab-e-Shab
Koh-e-Idm Ko De Gaya Rand Barang Teelsiyan

(5)

Gard Se Pak Hai Hawa, Barg-e-Nakheel Dhul Gaye
Raig-e-Nawah-e-Kazimah Naram Hai Misl-e-Parniyan

(6)

Aag Bujhi Hui Idhar, Tooti Hui Tanab Udhar
Kya Khabar Iss Maqam Se Guzaray Hain Kitne Karwan

(7)

Ayi Sada’ay Jibreel, Tera Maqam Hai Yehi
Ahl-e-Faraak Ke Liye Ayesh-e-Dawam Hai Yehi

(8)

Kis Se Kahon Ke Zehar Hai Mere Liye May’ay Hiyat
Kuhna HAi Bazm-e-Kainat, Taza Hain Mere Wardaat

(9)

Kiya Nahin Aur Ghaznavi Kargah-e-Hiyat Mein
Baithe Hain Kab Se Muntazir Ahl-e-Harm Ke Soumanaat

(10)

Zikr-e-Arab Ke Souz Mein, Fikr-e-Ajam Ke Saaz Mein
Nay Arabi Mushahidaat, Nay Arbi Takhayyulaat

(11)

Kafla’ay Hijaz Mein Aik Hussain(R.A.) Bhi Nahin
Garcha Hai Tabdaar Abhi Gaisu’ay Dajla-o-Firat

(12)

Aqal-o-Dil-o-Nigah Ka Murshid-e-Awaleen Hai Ishq
Ishq Na Ho Tou Sharaa-o-Deen, Bott Khudda’ay Tasawwarat

(13)

Sidq-e-Khalil(A.S.) Bhi Hai Ishq, Sabr-e-Hussain(R.A.) Bhi Hai Ishq
Maarka’ay Wajood Mein Badar-o-Hunain Bhi Hai Ishq

(14)

Aaya’ay Kainat Ka Ma’ani-e-Deeryaab tu
Nikle Teri Talash Mein Kafla Ha’ay Rang-o-Bu

(15)

Jalwatiyan-e-Madrasah Kour Nigah-o-Murda Zauq
Khalwatiyan May Kuda Kam Talab-o-Tahi Kadu

(16)

Main Ke Meri Ghazal Mein Hain Aatish-e-Rafta Ka Suragh
Meri Tamam Sarguzhast, Khuay Huwon Ki Justajoo

(17)

Baad-e-Saba Ki Mouj Se Nashonuma’ay Khar-o-Khs
Mere Nafs Ki Mouj Se Nashonuma’ay Arzoo

(18)

Khoon-e-Dil-o-Jigar Se Hai Meri Nawa Ki Parwarish
Hai Rag-e-Saaz Mein Rawan Sahib-e-Saaz Ka Lahoo

(19)

‘Fursat-e-Kashmakash Madah Ayen Dil-e-Beqarar Ra
Yak Do Shikan Ziada Kun Ghaisu’ay Tabdaar Ra’

(20)

Loh Bhi Tu Qalam Bhi Tu, Tera Wajood Al-Kitab
Gunbad-e-Abgina Rang tere Muheet Mein Habab

(21)

Alim-e-Aab-o-Khak Mein Tere Zahoor Se Faroug
Zarra’ay Raig Ko Diya Tu Ne Tulu-e-Aftab

(22)

Shoukat-e-Sanjar-o-Saleem Tere Jalal Ki Namood
Faqr-e-Junaid(R.A.)-o-Bayazeed(R.A.), Tera Jamal-e-Be-Naqab

(23)

Shauq Tera Agar Na Ho Meri Namaz Ka Imam
Mera Qiyam Bhi Hijab, Mera Sajood Bhi Hijab

(24)

Teri Nigah-e-Naaz Se Dono Murad Pa Gaye
Aqal Ghiyab-o-Justajoo, Ishq Huzoor-o-Iztarab

(25)

Teerah-o-Taar Hai Jahan Gardish-e-Aftab Se
Taba-e-Zamana Taza Kar Jalwa’ay Behijab Se

(26)

Teri Nazar Mein Hain Tamam Mere Guzishta Roz-o-Shab
Mujh Ko Khabar Na Thi Ke Hai Ilm-e-Nakheel-e-Be-Rutab

(27)

Taza Mere Zameer Mein Ma’arka’ay Kuhan Huwa
Ishq Tamam Mustafavi(S.A.W.), Aqal Tamam Bu-Lahab

(28)

Gah Bahila Mee Burad, Gah Bazor Mee Kusah
Ishq Ki Ibtada Ajab, Ishq Ki Intaha Ajab

(29)

Alim-e-Souz-o-Saaz Mein Wasal Se Barh Ke Hai Firaaq
Wasal Mein Marg-e-Arzoo, Hijar Mein Lazzat-e-Talab

(30)

Ayen-e-Wisal Mein Mujhay Hosla’ay Nazar Na Tha
Gharcha Bahana Joo Rahi Meri Nigah-e-BeAdab

(31)

Garmi-e-Arzoo Firaaq, Shorish-e-Ha’ay-o-Hu Firaaq
Mouj Ki Justajoo Firaaq, Qatre Ki Abroo Firaaq !

Parwana Aur Jugnoo

(Bal-e-Jibril-133) Parwana Aur Juggnu

Parwana

Parwane Ki Manzil Se Bohat Door Hai Jugnu
Kyun Atish-e-Besouz Pe Magroor Hai Jugnu

Jugnu

Allah Ka Sou Sukar Ke Parwana Nahin Main
Daryooza Gar-e-Atish-e-Begana Nahin Main

Javed Ke Naam

(Bal-e-Jibril-134) Javed Ke Naam

Javed Ke Naam

Khudi Ke Saaz Mein Hai Umer-e-Javidan Ka Suragh
Khudi Ke Souz Se Roshan Hain Ummaton Ke Charagh

Ye Aik Baat Ke Adam Hai Sahib-e-Maqsood
Hazar Goona Farogh-o-Hazar Goona Faraagh!

Huwi Na Zagh Mein Paida Buland Parwazi
Kharab Kar Gyi Shaheen Bache Ko Sohbat-e-Zagh

Haya Nahin Hai Zamane Ki Ankh Mein Baqi
Khuda Kare Ke Jawani Teri Rahe Be-Dagh

Thehar Saka Na Kisi Khanqah Mein Iqbal
Ke Hai Zareef-o-Khush Andaisha-o-Shugufta Damagh

Gadai

(Bal-e-Jibril-135) Gadai

Gadai

Maikude Mein Aik Din Ek Rind-e-Zeerak Ne Kaha
Hai Humare Shehar Ka Wali Gadaye Be-Haya

Taj Pehnaya Hai Kis Ki Be-Klahi Ne Isse
Kis Ki Uryani Ne Bakhshi Hai Isse Zareen Qaba

Uss Ke Aab-e-Lalagoon Ki Khoon-e-Dehqan Se Kasheed
Tere Mere Khait Ki Mitti Hai Iss Ki Keemiya

Iss Ke Naimat Khane Ki Har Cheez Hai Mangi Huwi
Dene Wala Kon Hai, Mard-e-Ghareeb-o-Be-Nawa

Mangne Wala Gada Hai, Sada Mange Ya Kharaaj
Koi Mane Ya Na Mane, Meer-o-Sultan Sub Gada!

(Makhooz Az Anwari)

Mullah Aur Bahisht

(Bal-e-Jibril-136) Mullah Aur Bahisht

Mullah Aur Bahisht

Main Bhi Hazir Tha Wahan, Zabt-e-Sukhan Kar Na Saka
Haq Se Jab Hazrat-e-Mullah Ko Mila Hukm-e-Bahisht

Arz Ki Main Ne, Elahi! Meri Takseer Maaf
Khush Na Ayen Ge Isse Hoor-o-Sharab-o-Lab-e-Kisht

Nahin Fardous Maqam-e-Jadal-o-Qaal-o-Aqwal
Behas-o-Takrak Iss Allah Ke Bande Ki Sarisht

Hai Badamozi-e-Aqwam-o-Milal Kaam Iss Ka
Aur Jannat Mein Na Masjid, Na Kalisa, Na Kunisht!

Deen-o-Siasat

(Bal-e-Jibril-137) Deen-o-Siasat

Deen-o-Siasat

Kalisa Ki Bunyad Ruhbaniyat Thi
Samati Kahan Iss Faqeeri Mein Meeri

Khusoomat (Dushmani) Thi Sultani-o-Rahbi Mein
Ke Woh Sarbulandi Hai, Ye Sar-Bazairi

Siasat Ne Mazhab Se Peecha Chhuraya
Chali Kuch Na Peer-e-Kalisa Ki Peeri

Huwi Deen-o-Doulat Mein Jis Dam Judai
Hawas Ki Ameeri, Hawas Ki Wazeeri

Dooyi Mulk-o-Deen Ke Liye Namuradi
Dooyi Chashm-e-Tehzeeb Ki Nabaseeri

Ye Ejaz Hai Aik Sehra Nasheen Ka
Basheeri Hai Aaeena-Dar-e-Nazeeri !

Issi Mein Hafazat Hai Insaniyat Ki
Ke Hon Aik Junaidi-o-Ardsheri

Al-Ardullah !

(Bal-e-Jibril-138) Al-Ardullah !

Al-Arzu Lilah !

Palta Hai Beej Ko Mitti Ki Tareeki Mein Kon
Kon Daryaon Ki Moujon Se Uthata Hai Sahab

Kon Laya Khainch Kar Pacham Se Bad-e-Saazgar
Khak Ye Kis Ki Hai, Kis Ka Hai Ye Noor-e-Aftab?

Kis Ne Bhar Di Moutiyon Se Khausha-e-Gandum Ki Jaib
Mousamon Ko Kis Ne Sikhlayi Hai Khu’ay Inqilab?

Dih Khudaya! Ye Zameen Teri Nahin, Teri Nahin
Tere Aba Ki Nahin, Teri Nahin, Meri Nahin

Aik Naujawan Ke Naam

(Bal-e-Jibril-139) Aik Naujawan Ke Naam

Aik Naujawan Ke Naam

Tere Sofe Hain Afarangi, Tere Qaleen Hain Irani
Lahoo Mujh Ko Rulati Hai Jawanon Ki Tan Asani

Amarat Kya, Shikoh-e-Khusrawi Bhi Ho To Kya Hasil
Na Zor-e-Haidari Tujh Mein, Na Istaghna-e-Salmani

Na Dhoond Iss Cheez Ko Tezeeb-e-Hazir Ki Tajali Mein
Ke Paya Man Ne Istaghna Mein Meeraj-e-Musalmani

Auqabi Rooh Jab Baidar Hoti Hai Jawanon Mein
Nazar Ati Hai Iss Ko Apni Manzil Asmanon Mein

Na Ho Naumeed, Naumeedi Zawal-e-Ilm-o-Irfan Hai
Umeed-e-Mard-e-Momin Hai Khuda Ke Raazdanon Mein

Nahin Tera Nasheman Qasr-e-Sultani Ke Gunbad Par
Tu Shaheen Hai, Basera Kar Paharon Ki Chatanon Mein

Nasihat

(Bal-e-Jibril-140) Nasihat

Nasihat

Bacha-e-Shaheen Se Kehta Tha Auqab-e-Saal Khurd (Purana, Tajarba kaar)
Ae Tere Shehpar Pe asan Riffat-e-Charkh-e-Bareen

Hai Shabab Apne Lahoo Ki Aag Mein Jalne Ka Naam
Sakht Koshi Se Hai Talakh-e-Zindagaani Angbeen

Jo Kabootar Par Jhapatne Mein Maza Hai Ae Pisar!
Woh Maza Shaid Kabootar Ke Lahoo Mein Bhi Nahin

Lala’ay Sehra

(Bal-e-Jibril-141) Lala’ay Sehra

Lala-e-Sehra

Ye Gunbad-e-Meenai, Ye Alam-e-Tanhai
Mujh Ko To Darati Hai Iss Dasht Ki Pehnayi

Bhatka Huwa Raahi Main, Bhatka Huwa Raahi Tu
Manzil Hai Kahan Teri Ae Lala-e-Sehrayi!

Khali Hai Kaleemon Se Ye Koh-o-Qamar Warna
Tu Shoala-e-Seenayi, Mein Shoala-e-Seenayi!

Tu Shakh Se Kyun Phoota, Main Shakh Se Kyun Toota
Ek Jazba-e-Paidayi, Ek Lazzat-e-Yaktayi!

Ghawwas-e-Mohabbat Ka Allah Nigheban Ho
Har Qatra-e-Darya Mein Darya Ki Hai Gehrayi

Uss Mouj Ke Matam Mein Roti Hai Bhanwar Ki Ankh
Darya Se Uthi Lekin Sahil Se Na Takrayi

Hai Garmi-e-Adam Se Hungama-e-Alam Garam
Sooraj Bhi Tamashayi, Tare Bhi Tamashayi

Ae Bad-e-Biyani! Mujh Ko Bhi Anayat Ho
Khamoshi-o-Dil Souzi, Sar Masti-o-Raanayi!

Saki nama

(Bal-e-Jibril-142) Saqi Nama (ساقی نامہ) Sakinama

Saqi Nama

Stanza (1)

Huwa Khaimazan Karwan-E-Bahar
Iram Ban Gya Daman-E-Kohsar

Gul-O-Nargis-O-Sosan-O-Nastran
Shaheed-E-Azal Lalah Khooni Kafan

Jahan Chup Gya Parda’ay Rang Mein
Lahoo Ki Hai Gardish Rag-E-Sang Mein

Faza Neeli Neeli, Hawa Mein Suroor
Thehar Nahin Aashiyan Mein Tayoor

Woh Jooay Kohstan Uchakti Huwi
Atakti, Lachakti, Sirakti Huwi

Uchalti, Phisalti, Sanbhalti Huwi
Bare Paich Kha Kar Niklti Huwi

Ruke Jab To Sil Cheer Deti Hai Ye
Paharon Ke Dil Cheer Deti Hai Ye

Zara Dekh Ae Saqi-E-Lalah Faam!
Sunati Hai Ye Zindagi Ka Payam

Pila De Mujhe Woh Mai-E-Parda Soz
Ke Ati Nahin Fasal-E-Gul Roz Roz

Woh Mai Jis Se Roshan Zameer-E-Hayat
Woh Mai Jis Se Hai Masti-E-Kainat

Woh Mai Jis Mein Hai Soz-O-Saaz-E-Azal
Woh Mai Jis Se Khulta Hai Raaz-E-Azal

Utha Saqiya Parda Iss Raaz Se
Lara De Mamoole Ko Shahbaz Se

Stanza (2)

Zamane Ke Andaz Badle Gye
Naya Raag Hai, Saaz Badle Gye

Huwa Iss Tarah Fash Raaz-E-Farang
Ke Hairat Mein Hai Sheesha Baaz-E-Farang

Purani Siasat Gari Khwaar
Zameen Mir-E-Sultan Se Baizar Hai

Gya Dour-E-Sarmaya Dari, Gya
Tamasha Dikha Kar Madari Gya

Garan Khawab Cheeni Sanbhalne Lage
Hamala Ke Chashme Ubalne Lage

Dil-E-Toor-E-Seena-O-Faran Do Neem
Tajalli Ka Phir Muntazir Hai Kaleem

Musalman Hai Touheed Mein Garam Josh
Magar Dil Abhi Taak Hai Zunnar Posh

Tamadan, Tasawwuf, Shariat, Kalam
Butan-E-Ajam Ke Poojari Tamam!

Haqiqat Khurafat Mein Kho Gyi
Ye Ummat Rawayat Mein Kho Gyi

Lubhata Hai Dil Ko Kalam-E-Khateeb
Magar Lazzat-E-Shauq Se Be-Naseeb!

Byan Iss Ka Mantaq Se Suljha Huwa
Lughat Ke Bakheron Mein Uljha Huwa

Woh Sufi K Tha Khidmat-E-Haq Mein Mard
Mohabbat Mein Yakta, Hamiyyat Mein Fard

Ajam Ke Khayalat Mein Kho Gya
Ye Salik Maqamat Mein Kho Gya

Bujhi Ishq Ki Aag, Andhair Hai
Musalman Nahin, Raakh Ka Dhair Hai

Stanza (3)

Sharab-E-Kuhan Phir Pila Saqiya
Wohi Jaam Gardish Mein La Saqiya!

Muhe Ishq Ke Par Laga Kar Ura
Meri Khaak Jugnu Bana Kar Ura

Khirad Ko Ghulami Se Azad Kar
Jawanon Ko Peeron Ka Ustad Kar

Har Shakh-E-Millat Tere Nam Se Hai
Nafs Iss Badan Mein Tere Dam Se Hai

Tarapne Pharakne Ki Toufeeq De
Dil-E-Murtaza(R.A.), Souz-E-Siddique(R.A.) De

Jigar Se Wohi Teer Phir Paar Kar
Tammana Ko Seenon Mein Baidar Kar

Tere Asmanon Ke Taron Ki Khair
Zameenon Ke Shab Zinda Daron Ki Khair

Jawanon Ko Soz-E-Jigar Bakhs De
Mera Ishq, Meri Nazar Bakhs De

Meri Nao Girdaab Se Paar Kar
Ye Sabat Hai Tu Iss Ko Syyar Kar

Bata Mujh Ko Asrar-E-Marg-O-Hayat
K Teri Nigahon Mein Hai Kainat

Mere Didah-e-Tar Ki Be-Khawabiyan
Mere Dil Ki Poshida Be-Tabiyan

Mere Nala-e-Neem Shab Ka Niaz
Meri Khalwat-o-Anjuman Ka Gudaz

Umangain Meri, Arzoo’ain Meri
Umeedain Meri, Justujoo’ain Meri

Meri Fitrat Aayna-E-Rozgaar
Gazaalan-E-Afkaar Ka Marghzaar

Mera Dil, Meri Razm Gah-E-Hayat
Gamanon Ke Lashkar, Yaqeen Ka Sabaat

Yehi Kuch Hai Saqi Mataa-e-Faqeer
Issi Se Faqeeri Mein Hun Main Ameer

Mere Kafle Mein Luta De Isse
Luta De, Thikane Laga De Isse!

Stanza (4)

Damadam Rawan Hai Yam-e-Zindagi
Har Ek Shay Se Paida Ram-e-Zindagi

Issi Se Huwi Hai Badan Ki Namood
Ke Shaole Mein Poshida Hai Mouj-E-Dood

Garan Gharche Hai Sohbat Aab-O-Gil
Khush Ayi Isse Mehnat Aab-O-Gil

Ye Sabit Bhi Hai Aur Sayyar Bhi
Anasir Ke Phandon Se Baizar Bhi

Ye Wahdat Hai Kasrat Mein Har Dam Aseer
Magar Har Kahin Be Chugun, Benazir

Ye Alam, Ye Butkhana-E-Shas Jihaat
Issi Ne Tarasha Hai Ye Somnaat

Pasand Iss Ko Takrar Ki Khoo Nahin
Ke Tu Main Nahin, Aur Main Tu Nahin

Mann-O-Tu Se Hai Anjuman Afreen
Magar Ayn-E-Mehfil Mein Khalwat Nasheen

Chamak Iss Ki Bijli Mein, Tare Mein Hai
Ye Chandi Mein, Sone Mein, Paare Mein Hai

Issi Ke Bayabaan, Issi Ke Babool
Issi Ke Hain Kante, Issi Ke Hain Phool

Kahin Iss Ki Taqat Se Kohsaar Choor
Kahin Iss Ke Phande Mein Jibreel-O-Hoor

Kahin Jurrah Shaheen-E-Seemab Rang
Lahoo Se Chakoron Ke Aluda Chang

Kabutar Kahin Ashiyane Se Door
Pharakta Huwa Jaal Mein Na-Saboor

Faraib-E-Nazar Hai Sakoon-O-Sabaat
Tarapta Hai Har Zarra-E-Kainat

Theharta Nahin Karwaan-E-Wujood
Ke Har Lehza Hai Taza Shaan-E-Wujood

Samjhta Hai Tu Raaz Hai Zindagi
Faqat Zauq-E-Parwaaz Hai Zindagi

Bohat Iss Ne Dekhe Hain Past-O-Buland
Safar Iss Ko Manzil Se Barh Kar Pasand

Safar Zindagi Ke Liye Barg-O-Saaz
Safar Hai Haqiqat, Hazar Hai Majaaz

Ulajh Kar Sulajhne Mein Lazzat Isse
Tarapne Pharakne Mein Rahat Isse

Huwa Jab Isse Samna Mout Ka
Kathan Tha Bara Thaamna Mout Ka

Uter Kar Jahan-E-Makafat Mein
Rahi Zindagi Mout Ki Ghaat Mein

Mazaq-E-Dooi Se Bani Zouj Zouj
Uthi Dast-O-Kohsaar Se Fouj Fouj

Gul Is Shakh Se Tootte Bhi Rahe
Issi Shakh Se Phootte Bhi Rahe

Samajhe Hain Nadan Issay Be-Sabaat
Ubharta Hai Mit Mit Ke Naqsh-E-Hayat

Bari Taiz Jolan, Bari Zood Ras
Azal Se Abad Tak Ram-E-Yak Nafas

Zamana Ke Zanjeer-E-Ayyam Hai
Damon Ke Ulat Phair Ka Naam Hai

Ye Mouj-E-Nafs Kya Hai Talwar Hai
Khudi Kya Hai, Talwaar Ki Dhaar Hai

Khudi Kya Hai, Raaz-E-Daroon-E-Hayat
Khudi Kya Hai, Baidari-E-Kainat

Khudi Jalwa Badmast-O-Khilwat Pasand
Samundar Hai Ek Boond Pani Mein Band

Andhere Ujale Mein Hai Taabnaak
Mann-O-Tu Mein Paida, Mann-O-Tu Se Paak

Azal Iss Ke Peeche, Abad Samne
Na Had Iss Ke Peeche. Na Had Samne

Zamane Ke Darya Mein Behti Huwi
Sitam Iss Ki Moujon Ke Sehti Huwi

Tajasus Ki Rahain Badalti Huwi
Damadam Nigahain Badalti Huwi

Subak Iss Ke Hathon Mein Sang-E-Garan
Pahar Is Ski Zarbon Se Raig-E-Rawan

Safar Iss Ka Anjaam-O-Aghaz Hai
Yehi Iss Ki Taqweem Ka Raaz Hai

Kiran Chand Mein Hai, Sharr Sang Mein
Ye Berang Hai Doob Kar Rang Mein

Isse Wasta Kya Kam-O-Baish Se
Nashaib-O-Faraz-O-Pas-O-Paish Se

Azal Se Hai Ye Kashmakash Mein Aseer
Huwi Khaak-E-Adam Mein Soorat Pazeer

Khudi Ka Nasheman Tere Dil Mein Hai
Falak Jis Tarah Aankh Ke Til Mein Hai

Khudi Ke Nigheban Ko Hai Zehr-E-Naab
Woh Naa Jis Se Jati Rahe Is Ski Aab

Wohi Naa Hai Iss Ke Liye Arjumand
Rahe Jis Se Dunya Mein Gardan Buland

Firo Faal-E-Mehmood Se Darguzar
Khudi Ko Nigah Rakh, Ayazi Na Kar

Wohi Sajda Hai Laaeq-E-Ehtamam
Ke Ho Jis Se Har Sajda Tujh Par Haraam

Ye Alam, Ye Hangama-E-Rang-O-Soot
Ye Alam Ke Hai Zair-E-Farmaan-E-Mout

Ye Alam, Ye Butkhana-E-Chasm-O-Gosh
Jahan Zindagi Hai Faqat Khurad-O-Nosh

Khudi Ki Ye Hai Manzil-E-Awaleen
Musafir ! Ye Tera Nasheman Nahin

Teri Aag Iss Khaakdaan Se Nahin
Jahan Tujh Se Hai, Tu Jahan Se Nahin

Barhe Ja Ye Koh-E-Giran Torh Kar
Tilism-E-Zaman-O-Makan Torh Kar

Khudi Sher-E-Mola, Jahan Iss Ka Sayd
Zameen Iss Ki Sayd, Asman Is Ka Sayd

Jahan Aur Bhi Hain Abhi Be-Namood
K Khali Nahin Hai Zameer-E-Wujood

Har Ek Muntazir Teri Yalghaar Ka
Teri Shoukhi-E-Fikr-O-Kirdaar Ka

Ye Hai Maqsad-E-Gardish-E-Rozgaar
K Teri Khudi Tujh Pe Ho Ashkaar

Tu Hai Faateh-E-Alam-E-Khoob-O-Zisht
Tujhe Kya Bataon Teri Sarnawisht

Haqiqat Pe Hai Jama-E-Harf Tang
Haqiqat Hai Ayna, Guftaar Zang

Farozan Hai Sine Mein Shama-E-Nafs
Magar Taab-E-Guftaar Kehti Hai, Bas !

‘Agar Yak Sir-E-Muay Bartar Param
Farogh-E-Tajali Basozd Param’

Time

(Bal-e-Jibril-143) Zamana – Time

Zamana

Jo Tha Nahin Hai, Jo Hai Na Ho Ga, Yehi Hai Ek Harf-e-Mehrmana
Qareeb Tar Hai Namood Jis Ki Ussi Ka Mushtaq Hai Zamana

Meri Soorahi Se Qatra Qatra Naye Hawadis Tapak Rahe Hain
Main Apni Tasbeeh-e-Roz-o-Shab Ka Shumar Karta Hon Dana Dana

Har Aik Se Ashna Hun, Lekin Juda Juda Rasme-o-Rah Meri
Kisi Ka Raakab, Kisi Ka Markab, Kisi Ko Ibrat Ka Taziyana

Na Tha Agar Tu Shareek-e-Mehfil, Qasoor Mera Hai Ya Ke Tera
Mera Tareeka Nahin Ke Rakh Loon Kisi Ki Khatar Mai’ay Shabana

Mere Kham-o-Paich Ko Najoomi Ki Ankh Pehchanti Nahin Hai
Hadaf Se Baigana Teer Uss Ka, Nazar Nahin Jis Ki Arfana

Shafaq Nahin Maghrabi Ufaq Par, Ye Jooye Khoon Hai, Ye Jooye Khoon Hai!
Tulu-e-Farda Ka Muntazir Reh Ke Dosh-o-Amroz Hai Fasana

Woh Fikar-e-Ghustakh Ji Ne Uryaan Kiya Hai Fitrat Ki Taqaton Ko
Ussi Ki Betab Bijliyon Se Khatr Mein Hai Uss Ka Ashiyana

Hawaen Un Ki, Fazaen Un Ki, Sumundar Un Ke, Jahaz Un Ke
Girah Bhanwar Ki Khule To Kyunkar, Bhanwar Hai Taqeer Ka Bahana

Jahan-e-Nau Ho Raha Hai Paida, Woh Alam-e-Peer Mar Raha Hai
Jise Farangi Muqamiron Ne Bana Diya Hai Qimar Khana

Hawa Hai Go Tund-o-Taiz Lekin Charagh Apna Jala Raha Hai
Woh Mard-e-Darvesh Jis Ko Haq Ne Diye Hain Andaz-e-Khusarwana

Farishtay Adam Ko Jannat Se Rukhsat Kartay Hain

(Bal-e-Jibril-144) Farishtay Adam Ko Jannat Se Rukhsat Kartay Hain

Atta Huwi Hai Tujhe Roz-o-Shab Ki Betabi
Khabar Nahin Ke Tu Khaki Hai Ye Ke Seemabi

Suna Hai, Khak Se Teri Namood Hai, Lekin
Teri Sarisht Mein Hai Kokabi-o-Mehtabi

Jamal Apna Agar Khawab Mein Bhi Tu Dekhe
Hazar Hosh Se Khushtar Teri Shukar Khawabi

Garan Baha Hai Tera Girya-e-Sehargahi
Issi Se Hai Tere Nakhl-e-Kuhan Ki Shadabi

Teri Nawa Se Hai Be-Parda Zindagi Ka Zameer
Ke Tere Saaz Ki Fitrat Ne Ki Hai Mizrabi

Rooh-e-Arzi Adam Ka Istaqbal Karti Hai

(Bal-e-Jibril-145) Rooh-e-Arzi Adam Ka Istaqbal Karti Hai

Rooh-e-Arzi Adam Ka Istaqbal Karti Hai
Adam Is Received By The Spirit Of The Earth

Khol Ankh, Zameen Dekh, Falak Dekh, Faza Dekh
Mashriq Se Ubharte Huwe Suraj Ko Zara Dekh

Iss Jalwa-e-Beparda Ko Pardon Mein Chupa Dekh
Ayyam-e-Judai Ke Sitam Dekh, Jafa Dekh

Betab Na Ho Maarika-e-Beem-o-Rija Dekh!

Hain Tere Tassaruf Mein Ye Badal, Ye Ghataen
Ye Gunbad-e-Aflak, Ye Khamosh Fazaen

Ye Koh Ye Sehra, Ye Sumandar Ye Hawaen
Theen Paish-e-Nazar Kal To Farishton Ki Adaen

Aaeena-e-Ayyam Mein Aaj Apni Ada Dekh!

Samjhe Ga Zamana Teri Ankhon Ke Ishare
Dekhain Ge Tujhe Door Se Gardoon Ke Sitare

Na-Paid Tere Behar-e-Takhiyyul Ke Kinare
Pohanche Ge Falak Tak Teri Aahon Ke Shirare

Tameer-e-Khudi Kar, Asar-e-Aah-e-Rasa Dekh!

Khurshid-e-Jahan Taab Ki Zou Tere Sharar Mein
Abad Hai Ek Taza Jahan Tere Hunar Mein

Jachte Nahin Bakhshe Huwe Firdous Nazar Mein
Jannat Teri Pinhan Hai Tere Khoon-e-Jigar Mein

Ae Paikar-e-Gil Koshish-e-Peham Ki Jaza Dekh!

Nalinda Tere Uood Ka Har Taar Azal Se
Tu Jinse-e-Mohabbat Ka Khireedar Azal Se

Tu Peer-e-Sanam Khana-e-Asrar Azal Se
Mehnat Kash-o-Khoon Raiz-o-Kam Azaar Azal Se

Hai Rakab-e-Taqdeer-e-Jahan Teri Raza, Dekh!

Peer-o-Mureed

(Bal-e-Jibril-146) Peer-o-Mureed

Peer-o-Mureed

Mureed-e-Hindi

Chashm-e-Beena Se Hai Jari Joo’ay Khoon
Ilm-e-Hazir Se Hai Deen Zaar-o-Zuboon!

Peer-e-Rumi

Ilm Ra Bartan Zni Mare Bawad
Ilm Ra Bar Dil Zni Yaare Bawad

Mureed-e-Hindi

Ae Imam-e-Ashiqaan-e-Dardmand!
Yaad Hai Mujh Ko Tera Harf-e-Buland

‘Khushk Maghaz-o-Khushk Taar-o-Khushk Post
Az Kuja Mee Ayed Aen Awaz-e-Dost’

Dour-e-Hazir Mast-e-Ching-o-Be-Suroor
Besabat-o-Beyaqeen-o-Behazoor

Kya Khabar Iss Ko Ke Hai Ye Raaz Kya
Dost Kya Hai, Dost Ki Awaz Kya

Aah, Yourap Ba-Farogh-o-Taab Naak
Naghma Iss Ko Khanchta Hai Soo’ay Khak

Peer-e-Rumi

Bar Samaa-e-Rast Harkas Cheer Neest
Ta’ama-e-Har Murghke Anjeer Neest

Mureed-e-Hindi

Parh Liye Main Ne Uloom-e-Sharaq-o-Gharb
Rooh Mein Baqi Hai Ab Tak Dard-o-Karb

Peer-e-Rumi

Dast-e-Har Na-Ahl Beemarat Kunad
Soo’ay Madar Aa Ke Teemarat Kunad

Mureed-e-Hindi

Ae Nigah Teri Mere Dil Ki Kushaad
Khol Mujh Par Nukta-e-Hukam-e-Jihad

Peer-e-Rumi

Naqsh-e-Haq Ra Hum Ba Amar-e-Haq Shikan
Bar Zujaj-e-Dost Sang-e-Dost Zan

Mureed-e-Hindi

Hai Nigah-e-Khawaran Mashoor-e-Gharb
Hoor-e-Jannat Se Hai Khaushtar Hoor-e-Gharb

Peer-e-Rumi

Zahir-e-Nuqrah Gar Aspaid Ast -o-Nau
Dast-o-Jama Hum She Gard Da Zau!

Mureed-e-Hindi

Aah Maktab Ka Jawan-e-Garam Khoon!
Sahir-e-Afrang Ka Sayd-e-Zaboon!

Peer-e-Rumi

Murg-e-Par Narusta Choon Paran Shawad
Ta’ama-e-Har Gur Ba Durran Shawad

Mureed-e-Hindi

Ta Kuja Awaizish-e-Deen-o-Watan
Jouhar-e-Jaan Par Maqaddam Hai Badan!

Peer-e-Rumi

Qalb Pehlu Mee Zind Ba Zar Bashab
Intizar-e-Roz Mee Darad Zahab

Mureed-e-Hindi

Sirr-e-Adam Se Mujhe Agah Kar
Khak Ke Zarre Ko Mehar-o- Mah Kar!

Peer-e-Rumi

Zahirish Ra Passha-e-Ard Ba-Charkh
Batinish Amad Muheet-e-Haft Charkh

Mureed-e-Hindi

Khak Tere Noor Se Roshan Basar
Ghayat-e-Adam Khabar Hai Ya Nazar?

Peer-e-Rumi

Admi Deed Ast, Baqi Post Ast
Deed Aan Bashad Ke Deed-e-Dost Ast

Mureed-e-Hindi

Zinda Hai Mashriq Teri Guftar Se
Ummatain Merti Han Kis Azaar Se?

Peer-e-Rumi

Har Halak-e-Ummat-e-Paisheen Ke Bood
Zaanke Bar-Jandal Guman Bar Dand Uood

Mureed-e-Hindi

Ab Musalman Men Nain Who Rang-o-Boo
Sard Kyunkar Ho Gya Iss Ka Lahoo?

Peer-e-Rumi

Ta Dil-e-Sahibd Le Na Mad Ba Dard
Haich Qoume Ra Khda Ruswa Na Kard

Mureed-e-Hindi

Gharcha Be-Ronaq Hai Bazar-e-Wujood
Kon Se Sode Mein Hai Mardon Ka Sood?

Peer-e-Rumi

Zair Ki Ba-Farosh-o-Heerani Bakhar
Zair Ki Zann Ast-o-Heerani Nazar

Mureed-e-Hindi

Hum Nafs Mere Salateen Ke Nadeem
Main Faqeer-e-Ne-Kulah-o-Begaleem

Peer-e-Rumi

Banda-e-Yak Mard-e-Roshan Dil Shawi
Ba Ke Bar Farq-e-Sar-e-Shahan Rawi

Mureed-e-Hindi

Ae Shareek-e-Masti-e-Khasaan-e-Badar
Main Nahin Samjha Hadees-e-Jabr-o-Qadr!

Peer-e-Rumi

Bal Bazan Ra Sooye Sultan Bard
Bal Zaghan Ra Baghoristan Bard

Mureed-e-Hindi

Karobar-e-Khusrawi Ya Rahbi
Kya Hai Akhir Ghaya-e-Deen-e-Nabi (S.A.W.)?

Peer-e-Rumi

Muslahat Dar Deen-e-Ma Jang-o-Shikoh
Muslahat Dar Deen-e-Issa (A.S.) Ghaar-o-Koh

Mureed-e-Hindi

Kis Tarah Qaboo Mein Aye Aab-o-Gill
Kis Tarah Baidar Ho Seene Mein Dil?

Peer-e-Rumi

Banda Bash-o-Bar Zameen Ro Choon Samand
Choon Janaza Ne Ke Bar Gardan Barand

Mureed-e-Hindi

Sirr-e-Deen Adraak Mein Ata Nahin
Kis Tarah Aye Qayamat Ka Yaqeen?

Peer-e-Rumi

Pas Qayamat Sho Qayamat Rababeen
Deedan-e-Har Cheez Ast Aen

Mureed-e-Hindi

Asman Mein Rah Karti Hai Khudi
Said-e-Mehar-o-Mah Karti Hai Khudi

Be Huzoor-o-Ba-Farogh-o-Be-Faraagh
Apne Nakhcheeron Ke Hathon Dagh Dagh!

Peer-e-Rumi

Aan Ke Arzd Said Ra Ishq Ast-o-Bas
Lekin Ao Ke Gunajad Andar Daam-e-Kas!

Mureed-e-Hindi

Tujh Pe Roshan Hai Zamer-e-Kainat
Kis Tarah Muhkam Ho Milat Ki Hayat?

Peer-e-Rumi

Dana Bashi Murghkanat Bar-Cheenand
Ghuncha Bashi Ko Dkanat Bar Kanand

Dana Pinhan Kun Sarapa Daam Sho
Ghuncha Pinhan Kun Gyah-e-Baam Sho

Mureed-e-Hindi

Tu Ye Kehta Hai Ke Dil Ki Kar Talash
‘Talib-e-Dil Bash-o-Dar-Paikar Bash’

Jo Mera Dil Hai, Mere Seene Mein Hai
Mera Jouhar Mere Aaeene Mein Hai

Peer-e-Rumi

Tu Hami Goyi Mera Dil Naiz Hast
Dil Faraz-e-Arsh Bashad Ne Ba Past

Tu Dil-e-Khud Ra Dile Pind Ashti
Justujooye Ahl-e-Dil Baghazashti!

Mureed-e-Hindi

Asmanon Par Mera Fikar-e-Buland
Main Zameen Par Khwar-o-Zaar-o-Dardmand

Kar-e-Dunya Mein Raha Jata Hun Main
Thokarain Iss Rah Mein Khata Hun Main

Kyun Mere Bas Ka Nahin Kaar-e-Zameen
Abla-e-Dunya Hai Kyun Dana’ay Deen?

Peer-e-Rumi

Aan Ke Bar Aflaak Raftarash Bood
Bar Zameen Raftan Che Dushwarish Bood

Mureed-e-Hindi

Ilm-o-Hikmat Ka Mile Khyunkar Sooragh
Kis Tarah Hath Aye Souz-o-Dard-o-Dagh?

Peer-e-Rumi

Ilm-o- Hikmat Zayed Az Naan-e-Halal
Ishq-o-Riqqat Ayed Az Naan-e-Halal

Mureed-e-Hindi

Hai Zamane Ka Taqaza Anjuman
Aur Be-Khalwat Nahin Souz-e-Sukhan

Peer-e-Rumi

Khalwat Az Aghyar Bayed, Ne Zeyad
Posteen Beharde Amad, Ne Bahar

Mureed-e-Hindi

Hind Mein Ab Noor Hai Baqi Na Souz
Ahl-e-Dil Iss Dais Mein Hain Teerah Roz!

Peer-e-Rumi

Kar-e-Mardan Roshni-o-Garmi Ast
Kar-e-Do Naa Heela-o-Besharami Ast

Jibreel-o-Iblees

(Bal-e-Jibril-147) Jibreel-o-Iblees

Jibreel-o-Iblees

Jibreel

Humdam Dairina! Kaisa Hai Jahan-e-Rang-o-Boo?

Iblees

Souz-o-Saaz-o-Dard-o-Dagh-o-Justujooye-o-Arzoo

Jibreel

Har Ghari Aflak Par Rehti Hai Teri Guftugu
Kya Nahin Mumkin Ke Tera Chaak-e-Daman Ho Rafoo

Iblees

Aah Ae Jibreel! Tu Waqif Nahin Iss Raaz Se
Kar Gya Sarmast Mujh Ko Toot Kar Mera Saboo

Ab Yahan Meri Guzar Mumkin Nahin, Mumkin Nahin
Kis Qadar Khamosh Hai Ye Alam-e-Be-Kaakh-o-Koo!

Jis Ki Naumeedi Se Ho Souz-e-Daroon-e-Kainat
Uss Ke Haq Mein ‘Taqnatu’ Acha Hai Ya ‘La-Taqnatu’ ?

Jibreel

Kho Diye Inkaar Se Tu Ne Maqamat-e-Buland
Chashm-e-Yazdaan Mein Farishton Ki Rahi Kya Abroo!

Iblees

Hai Meri Jurraat Se Musht-e-Khak Mein Zauq-e-Namoo
Mere Fitne Jama-e-Aqal-o-Khirad Ka Taar-o-Poo

Dekhta Hai Tu Faqat Sahil Se Razm-e-Khair-o-Shar
Kon Toofan Ke Tamanche Kha Raha Hai, Main Ke Tu?

Khizar Bhi Bedast-o-Pa, Ilyas Bhi Bedast-o-Pa
Mere Toofan Tam-Ba-Yam, Darya-Ba-Darya, Joo-Ba-Joo

Gar Khalwat Mayassir Ho To Puch Allah Se
Qissa-e-Adam Ko Rangeen Kar Gya Kis Ka Lahoo!

Main Khatakta Hun Dil-e-Yazdan Mein Kante Ki Tarah
Tu Faqat Allah Hoo, Allah Hoo, Allah Hoo !

Azaan

(Bal-e-Jibril-148) Azaan

Azan

Ek Raat Sitaron Se Kaha Najam-e-Sehar Ne
Adam Ko Bhi Dekha Hai Kisi Ne Kabhi Baidar?

Kehne Laga Mareekh, Ada Feham Hai Taqdeer
Hai Nind Hi Iss Chotte Se Fitne Ko Sazawar

Zahra Ne Kaha, Aur Koi Baat Nahin Kya?
Iss Karmak-e-Shab-e-Kaur Se Kya Hum Ko Sarokar!

Bola Meh-e-Kamil Ke Woh Koukab Hai Zameeni
Tum Shab Ko Namoodar Ho, Woh Din Ko Namoodar

Waqif Ho Agar Lazzat-e-Baidari Shab Se
Unchi Hai Surayya Se Bhi Ye Khak-e-Pur-Asrar

Aghosh Mein Iss Ki Woh Tajali Hai Ke Jis Mein
Kho Jaen Ge Aflak Ke Sub Sabit-o-Sayyar

Na-Gah Faza Bang-e-Azan Se Huwi Lab-Raiz
Woh Naara Ke Hil Jata Hai Jis Se Dil-e-Kuhsar!

Mohabbat

(Bal-e-Jibril-149) Mohabbat

Mohabbat

Shaheed-e-Mohabbat Na Kafir Na Ghazi
Mohabbat Ki Rasmain Na Turki Na Tazi

Woh Kuch Aur Shay Hai, Mohabbat Nahin Hai
Sikhati Hai Jo Ghaznavi Ko Ayazi

Ye Johar Agar Kar Farma Nahin Hai
To Hain Ilm-o-Hikmat Faqat Sheesha Bazi

Na Mohtaj-e-Sultan, Na Maroob-e-Sultan
Mohabbat Hai Azadi-o-Be-Niazi

Mera Faqr Behtar Hai Iskandari Se
Ye Adam Gari Hai, Woh Aaeena Sazi

Sitare Ka Pegham

(Bal-e-Jibril-150) Sitare Ka Pegham

Sitare Ka Pegham

Mujhe Dra Nahin Sakti Faza Ki Tareeki
Meri Sarisht Mein Hai Paki-o-Durkhashani

Tu Ae Musafir-e-Shab! Khud Charagh Ban Apna
Kar Apni Raat Ko Dagh-e-Jigar Se Noorani

Javed Ke Naam

(Bal-e-Jibril-151) Javed Ke Naam

Javed Ke Naam

Diyar-e-Ishq Mein Apna Maqam Paida Kar
Naya Zamana, Naye Subah-o-Sham Paida Kar

Khuda Agar Dil-e-Fitrat Shanas De Tujh Ko
Sakoot-e-Lala-o-Gul Se Kalaam Paida Kar

Utha Na Sheesha Garan-e-Farang Ke Ehsan
Sifal-e-Hind Se Meena-o-Jaam Paida Kar

Main Shakh-e-Taak Hun, Meri Ghazal Hai Mera Samar
Mere Samar Se Mai-e-Lala Faam Paida Kar

Mera Tareeq Ameeri Nahin, Faqeeri Hai
Khudi Na Baich, Ghareebi Mein Naam Paida Kar!

Falsafa-o-Mazhab

(Bal-e-Jibril-152) Falsafa-o-Mazhab

Falsafa-o-Mazhab
Philosophy And Religion

Ye Aftab Kya, Ye Sepehr-e-Bareen Hai Kya!
Samjha Nahin Tasalsul-e-Sham-o-Sehar Ko Main

Apne Watan Mein Hun Ke Ghareeb-Ud-Diyar Hun
Darta Hun Dekh Dekh Ke Iss Dast-o-Dar Ko Main

Khulta Nahin Mere Safar-e-Zindagi Ka Raaz
Laun Kahan Se Banda-e-Sahib Nazar Ko Main

Heeran Hai Bu Ali Ke Main Aya Kahan Se Hun
Rumi Ye Sochta Hai Ke Jaun Kidhar Ko Main

“Jata Hun Thori Door Har Ek Rahroo Ke Sath
Pehchanta Nahin Hun Abhi Rahbar Ko Main”

Yourup Se Aik Khat

(Bal-e-Jibril-153) Yourup Se Aik Khat

Yourap Se Aik Khat

Hum Khugar-e-Mehsoos Hain Sahil Ke Khareedar
Ek Behar-e-Pur-Ashob-o-Pur-Israr Hai Rumi

Tu Bhi Hai Uss Qafla-e-Shuaq Mein Iqbal
Jis Qafla-e-Shuaq Ka Salaar Hai Rumi

Iss Asar Ko Bhi Uss Ne Diya Hai Koi Pegham
Kehte Hain Charagh-e-Reh-e-Ahraar Hai Rumi

Jawab

(Bal-e-Jibril-154) Jawab

Jawab

Ke Nabayad Kharad-o-Johum Choon Khazan
Aahuwana Dar Khatan Char Arghawan

Har Ke Kah-o-Jo Kharad Qurban Shawad
Harke Noor-e-Haq Khaward Quran Shawad

Napoleon Ke Mazar Par

(Bal-e-Jibril-155) Napoleon Ke Mazar Par

Napolean Ke Mazar Par

Raaz Hai, Raaz Hai Taqdeer-e-Jahan-e-Tag-o-Taaz
Josh-e-Kirdar Se Khl Jate Hain Taqdeer Ke Raaz

Joshe-e-Kirdar Se Shamsheer-e-Sikandar Ka Tulu
Koh-e-Alwand Huwa Js Ki Harart Se Gudaz

Josh-e-Kirdar Se Taimoor Ka Sail-e-Hamageer
Sail Ke Samne Kya Shay Hai Nashaib Aur Faraz

Sifat-e-Jangah Mein Mardan-e-Khuda Ki Takbeer
Josh-e-Kirdar Se Banti Hai Khuda Ki Awaz

Hai Magar Fursat-e-Kirdar Nasf Ya Do Nafs
Ewz-e-Yak Do Nafs Qabar Ki Shab Haye Daraz

“Aqabat Manzil Ma Wadi-e-Khamoshan Ast
Haliya Galghala Dar Gunbad-e-Aflak Andaz”

Mussolini

(Bal-e-Jibril-156) Mussolini

Mussolini

Nudrat-e-Fikar-o-Amal Kya Shay Hai, Zauq-e-Inqilab
Nudrat-e-Fikar-o-Amal Kya Shay Hai, Millat Ka Shabab

Nudrat-e-Fikar-o-Amal Se Maujazat-e-Zindagi
Nudrat-e-Fikar-o-Amal Se Sang-e-Khar-Ul-Amal Naab

Roma-Tul-Kubra! Digargoon Ho Gya Tera Zameer
Aynke Mee Beenam Ba Baidarist A Rab Ya Ba Khawab!

Chashme-e-Peeran-e-Kuhan Mein Zindagaani Ka Farough
Naujawan Tere Hain Souz-e-Arzoo Se Sina Taab

Ye Mohabbat Ki Hararat, Ye Tamanna, Ye Namood
Fasl-e-Gul Mein Phool Reh Sakte Nain Zair-e- Hijab

Naghma-e-Haye Shuaq Se Teri Faza Maamoor Hai
Zakhmawar Ka Muntazir Tha Teri Fitrat Ka Rubab

Faiz Ye Kis Ki Nazar Ka Hai, Karamat Kis Ki Hai?
Who Ke Hai Jis Ki Nigah Misl-e-Shua-e-Aftab!

Sawal

(Bal-e-Jibril-157) Sawal

Sawal

Ek Muflas-e-Khud-Dar Ye Kehta Tha Khuda Se
Main Kar Nahin Sakta Gila-e-Dard-e-Faqeeri

Lekin Ye Bata, Teri Ijazat Se Farishte
Karte Hain Atta Mard-e-Firomaya Ko Meeri?

Punjab Ke Dehqan Se

(Bal-e-Jibril-158) Punjab Ke Dehqan Se

Punjab Ke Dehqan Se

Bata Kya Teri Zindagi Ka Hai Raaz
Hazaron Baras Se Hai Tu Khakbaz

Issi Khak Mein Dab Gyi Teri Aag
Sehar Ki Azan Ho Gyi, Ab Tu Jaag!

Zameen Mein Hai Go Khakiyon Ke Barat
Nahin Iss Andhere Mein Aab-e-Hayat

Zamane Mein Jhoote Hai Uss Ka Nageen
Jo Apni Khudi Ko Parakhta Nahin

Butan-e-Shaub-o-Qabail Ko Torh
Rasoom-e-Kuhan Ke Salasil Ko Torh

Yehi Deen-e-Mohkam, Yehi Fateh-e-Baab
Ke Dunya Mein Touheed Ho Be-Hijab

Bakhak-e-Badan Dana-e-Dil Fashan
Ke Aeen Dana Dar Daz Hasil Nishan

Nadir Shah Afghan

(Bal-e-Jibril-159) Nadir Shah Afghan

Nadir Shah Afghan

Huzoor-e-Haq Se Chala Le Ke Luluye Lala
Woh Abar Jis Se Rag-e-Gul Hai Misl-e-Taar-e-Nafs

Behisht Rah Mein Dekha To Ho Gya Betaab
Ajab Maqam Hai, Ji Chahta Hai Jaun Baras

Sada Behisht Se Ayi Ke Muntazir Hai Tera
Harat-o-Kabil-o-Ghazni Ka Sabza-e-Naurasta

Sar Shak-e-Dida-e-Nadir Ba Dagh-e-Lala Fashan
Chana Ke Atish-e-Ao Ra Digar Firo Na Nishan !

Khushal Khan Ki Wasiyat

(Bal-e-Jibril-160) Khushal Khan Ki Wasiyat

Khushhal Khan Ki Wasiyat

Qabail Hon Millat Ki Wahdat Mein Gum
Ke Ho Naam Afghaniyon Ka Buland

Mohhabbat Mujhe Un Jawanon Se Hai
Sitaron Pe Jo Dalte Hain Kumand

Mughal Se Kisi Tarah Kamtar Nahin
Kehistan Ka Ye Bacha-e-Arjumand

Kahun Tujh Se Ae Hum Nasheen Dil Ki Baat
Who Madfan Hai Khushhal Khan Ko Pasand

Ura Kar Na Laye Jahan Bad-e-Koh
Mughal Shahsawaron Ki Gard-e-Samand!

Tatari Ka Khawab

(Bal-e-Jibril-161) Tatari Ka Khawab

Tatari Ka Khawab

Kahin Sajjada-o-Umama Rahzan
Kahin Tarsa Bachon Ki Chashme-e-Bebaak!

Ridaye Deen-o-Millat Para Para
Qabaye Mulk-o-Doulat Chaak Dar Chaak!

Mera Eiman To Hai Baqi-o-Lekin
Na Kha Jaye Kahin Shuale Ko Khashaak!

Hawa-e-Tund Ki Moujon Mein Mehsoor
Samar-o-Bukhara Ki Kaf-e-Khak!

“Bagar Da Gard-e-Khud Chandan Ke Beenam
Bila Anghastari-o-Mann Nageenam”

Yakayak Hil Gyi Khak-e-Samar Qand
Utha Taimoor Ki Turbat Se Ek Noor

Shafaq Amaiz Thi Uss Ki Safaidi
Sada Ayi Ke “Main Hun Rooh-e-Taimoor

Agar Mehsoor Hain Mardan-e-Tatar
Nahin Allah Ki Taqdeer Mehsoor

Taqaza Zindagi Ka Kya Yehi Hai
Ke Turani Ho Turani Se Mehjoor?

‘Khudi Ra Souz-o-Ta Be Degare Dah
Jahan Ra Inqilabe Degare Dah”

Haal-o-Maqam

(Bal-e-Jibril-162) Haal-o-Maqam

Haal-o-Maqam

Dil Zinda-o-Baidar Agar Ho To Batadreej
Bande Ko Atta Karte Hain Chashme-e-Nigran Aur

Ahwal-o-Maqamat Pe Mouqoof Hai Sub Kuch
Har Lehza Hai Salik Ka Zaman Aur Makan Aur

Alfaz-o-Maani Mein Tafawat Nahin Lekin
Mullah Ki Azan Aur, Mujahid Ki Azan Aur

Parwaz Hai Dono Ki Issi Aik Faza Mein
Kargas Ka Jahan Aur Hai, Shaheen Ka Jahan Aur

Abbu-Al-Allama’ari

(Bal-e-Jibril-163) Abbu-Al-Allama’ari

Abu Al-Alama’ari

(1). Abu Al-Alama’ari, Arabi Zuban Ka Mashoor Shayar

Kehte Hain Kabhi Ghosht Na Khata Tha Ma’arri
Phal Phool Pe Karta Tha Hamsha Guzar Auqat

Ek Dost Ne Bhoona Huwa Teetar Usse Bheja
Shaid Ke Who Shatir Issi Tarkeeb Se Ho Maat

Ye Khawan-e-Tar-o-Taza Maarri Ne Jo Dekha
Kehne Laga Woh Sahib-e-Ghafran-o-Lazomaat

Ae Murghak-e-Bechara! Zara Ye To Bata Tu
Tera Woh Gunah Kya Tha Ye Hai Jis Ki Makafat?

Afsos, Sad Afsos Ke Shaheen Na Bana Tu
Dekhe Na Teri Ankh Ne Fitrat Ke Isharat

Taqdeer Ke Qazi Ka Ye Fatwa Hai Azal Se
Hai Jurm-e-Zaeefi Ki Saza Marg-e-Mafajat!

Gafran – Rasala-Tul-Ghafran, Maarri Ki Aik Mashoor Kitab Ka Naam Ha
Lazomat – Iss Ke Qasaid Ka Majmooa Ha

Cinema

(Bal-e-Jibril-164) Cinema

Cinema

Wohi Bot Faroshi, Wohi Bot Gari Hai
Cinema Hai Ya San’at-e-Azari Hai

Woh San’at Na Thi, Shewa-e-Kafiri Tha
Ye San’at Nahin, Shewa-e-Sahiri Hai

Woh Mazhab Tha Aqwam-e-Ehd-e-Kuhan Ka
Ye Tehzeeb-e-Hazir Ki Soudagari Hai

Woh Dunya Ki Mitti, Ye Dozkh Ki Mitti
Woh Bot Khana Khaki, Ye Khakastari Hai

Punjab Ke Peerzadon Se

(Bal-e-Jibril-165) Punjab Ke Peerzadon Se

Punjab Ke Peerzadon Se

Hazir Huwa Main Sheikh-e-Mujadid (R.A.) Ki Lehad Par
Woh Khak Ke Hai Zair-e-Falak Matla-e-Anwar

Iss Khak Ke Zarron Se Hain Sharminda Sitare
Iss Khak Main Poshida Hai Woh Sahib-e-Asrar

Gardan Na Jhuki Jis Ki Jhangeer Ke Agay
Jis Ke Nafs-e-Garam Se Hai Garmi-e-Arhar

Woh Hind Mein Sarmaya-e-Millat Ka Negheban
Allah Ne Barwaqt Kiya Jis Ko Khabardar

Ki Arz Ye Main Ne Ke Atta Faqr Ho Mujh Ko
Ankhain Meri Beena Hain, Walekin Nahi Baidar!

Ayi Ye Sada Silsila-e-Faqr Huwa Band
Hain Ahl-e-Nazar Kishwar-e-Punjab Se Bezar

Arif Ka Thikana Nahin Woh Khitta Ke Jis Mein
Paida Kulah-e-Faqr Se Ho Turra-e-Dastar

Baqi Kula-e-Faqr Se Tha Walwala-e-Haq
Turron Ne Charhaya Nasha-e-‘Khidmat-e-Sarkar’!

Siasat

(Bal-e-Jibril-166) Siasat

Siasat

Iss Khail Mein Taeyayeen-e-Maratib Hai Zaroori
Shatir Ki Anayat Se Tu Farzeen, Mein Piyada

Bechara Piyada To Hai Ek Mohra-e-Na-Cheez
Farzeen Se Bhi Poshida Hai Shatir Ka Irada!

Faqar

(Bal-e-Jibril-167) Faqar

Faqr

Ek Faqr Sikhata Hai Sayyad Ko Nakhcheeri
Ek Faqr Se Khulte Hain Asrar-e-Jahangeeri

Ek Faqr Se Qoumon Mein Maskeeni-o-Dilgeeri
Ek Faqr Se Mitti Mein Khasiyat-e-Ikseeri

Ek Faqr Hai Shabiri, Is Faqr Se Hai Meeri
Meeras-e-Musalmani, Sarmaya-e-Shabiri!

Khudi

(Bal-e-Jibril-168) Khudi

Khudi

Khudi Ko Na De Seem-o-Zar Ke Ewaz
Nahin Shaola Dete Sharar Ke Ewaz

Ye Kehta Hai Firdousi-e-Didahwar
Ajam Jis Ke Surme Se Roshan Basar

“Zabar-e-Daram Tund-o-Bad Kho Mabash
Tu Bayad Ke Bashi, Daram Go Mabash”

Judai

(Bal-e-Jibril-169) Judai

Judai

Suraj Bunta Hai Tar-e-Zar Se
Dunya Ke Liye Rida-e-Noori

Alam Hai Khamosh-o-Mast Goya
Har Shay Ko Naseeb Hai Huzoori

Darya, Kuhsar, Chand, Tare
Kya Janain Faraaq-o-Nasaboori

Shayaan Hai Mujhe Gham-e-Judai
Ye Khak Hai Mehram-e-Judai

Khanqah

(Bal-e-Jibril-170) Khanqah

Khanqah

Ramz-o-Aema Iss Zamane Ke Liye Mouzun Nahin
Aur Ata Bhi Nahin Mujh Ko Sukhan Sazi Ka Fann

‘Qum Bi-Iznillah’ Keh Sakte The Jo, Rukhsat Huwe
Khanqahon Mein Majawar Reh Gye Ya Gorkan!

Iblees Ki Arzdasht

(Bal-e-Jibril-171) Iblees Ki Arzdasht

Iblees Ki Arzdasht

Kehta Tha Azazeel Khudawand-e-Jahan Se
Par Kala-e-Atish Huwi Adam Ki Kaf-e-Khaak!

Jan Laghar-o-Tan Farba-o-Malboos Badan Zaib
Dil Naza Ki Halat Mein, Khirad Pukhta-o-Chalaak!

Napaak Jise Kehti Thi Mashriq Ki Shariat
Maghrib Ke Faqeehon Ka Ye Fatwa Hai Pak!

Tujh Ko Nahin Maloom Ke Hooran-e-Behishti
Weerani-e-Jannat Ke Tasawwar Se Hain Ghamnaak?

Jamhoor Ke Iblees Hain Arbab-e-Siasat
Baqi Nahin Ab Meri Zaroorat Teh-e-Aflak!

Lahoo

(Bal-e-Jibril-172) Lahoo

Lahoo

Agar Lahoo Hai Badan Mein To Khof Hai Na Haraas
Agar Lahoo Hai Badan Mein To Dil Hai Be Waswaas

Jise Mila Ye Mataa-e-Garan Baha, Uss Ko
Na Seem-o-Zar Se Mohabbat Hai, Ne Gham-e-Aflaas

Parwaz

(Bal-e-Jibril-173) Parwaz

Parwaz

Kaha Darkht Ne Ek Roz Murgh-e-Sehra
Sitam Pe Gham Kada-e-Rang-o-Bu Ki Hai Bunyad

Khuda Mujhe Bhi Agar Baal-o-Par Atta Karta
Shugufta Aur Bhi Hota Ye Alam-e-Aejad

Diya Jawab Use Khoob Murgh-e-Sehra Ne
Ghazab Hai, Dad Ko Samjha Huwa Hai Tu Bedad!

Jahan Mein Lazzat-e-Parwaz Haq Nahin Uss Ka
Wujood Jis Ka Nahin Jazb-e-Khak Se Azad

Sheikh-e-Maktab

(Bal-e-Jibril-174) Sheikh-e-Maktab

Sheikh-e-Maktab Se

Sheikh-e-Maktab Hai Ek Amarat Gar
Jis Ki San’at Hai Rooh-e-Insani

Nukta-e-Dilpazeer Tere Liye
Keh Gaya Hai Hakeem-e-Qa’ani

“Paish-e-Khurshid Barmaksh Diwar
Khawahi Ar Sehan-e-Khana Noorani”

Falsafi

(Bal-e-Jibril-175) Falsafi

Falsafi

Buland Baal Tha,Lekin Na Tha Jasoor-o-Ghayyur
Hakeem Sirr-e-Mohabbat Se Be-Naseeb Raha

Phira Fazaon Mein Kargas Agarche Shaheen-War
Shakar-e-Zinda Ki Lazzat Se Be-Naseeb Raha

Shaheen

(Bal-e-Jibril-176) Shaheen

Shaheen

Kiya Mein Ne Uss Khakdan Se Kinara
Jahan Rizq Kanaam Hai Aab-o-Dana

Bayaban Ki Khalwat Khush Ati Hai Mujh Ko
Azal Se Hai Fitrat Meri Rahbana

Na Bad-e-Bahari, Na Gulcheen, Na Bulbul
Na Beemari-e-Naghma-e-Ashiqana

Khayabanion Se Hai Parhaiz Lazim
Adaen Hain In Ki Bohat Dilbarana

Hawa-e-Bayaban Se Hoti Hai Kari
Jawan Mard Ki Zarbat-e-Ghaziyana

Hamam-o-Kabootar Ka Bhooka Nahin Main
Ke Hai Zindagi Baaz Ki Zahidana

Jhapatna, Palatna, Palat Kar Jhapatna
Lahoo Garam Rakhne Ka Hai Ek Bahana

Ye Poorab, Ye Pacham Chakoron Ki Dunya
Mera Neelgun Asman Baikarana

Prindon Ki Dunya Ka Dervaish Hun Mein
Ke Shaheen Banata Nahin Ashiyana

Baghi Mureed

(Bal-e-Jibril-177) Baghi Mureed

Baghi Mureed

Hum Ko To Mayassar Nahin Mitti Ka Diya Bhi
Ghar Peer Ka Bijli Ke Charaghon Se Hai Roshan

Shehri Ho, Dahati Ho, Musalman Hai Sada
Manind-e-Poojte Hain Kaabe Ke Barhman

Nazrana Nahin, Sood Hai Peeran-e-Haram Ka
Har Kharqa-e-Saaloos Ke Andar Hai Mahajan

Meeras Mein Ayi Hai Inhain Masnad-e-Irshad
Zaghon Ke Tasarruf Mein Auqabon Ke Nasheman!

Haroon Ki Akhari Nasihat

(Bal-e-Jibril-178) Haroon Ki Akhari Nasihat

Haroon Ki Akhri Nasihat

Haroon Ne Kaha Waqt-e-Raheel Apne Pisar Se
Jaye Ga Kabhi Tu Bhi Issi Rah Guzar Se

Poshida Hai Kafir K Nazar Se Malk-Ul-Mout
Lekin Nahin Poshida Musalman Ki Nazar Se

Mahir-e-Nafsiyat

(Bal-e-Jibril-179) Mahir-e-Nafsiyat

Mahir-e-Nafsiyat Se

Jurrat Hai To Afkar Ki Dunya Se Guzar Ja
Hain Behar-e-Khudi Mein Abhi Poshida Jazeere

Khulte Nahin Iss Qulzam-e-Khamosh Ke Asrar
Jab Tak Tu Iss Zarb-e-Kaleemi Se Na Cheere

Yourap

(Bal-e-Jibril-180) Yourap

Yourap

Taak Mein Baithe Hai Muddat Se Yahoodi Sood Khawar
Jin Ki Roobahi Ke Agay Haitch Hai Zor-e-Palang

Khud-Ba-Khud Girne Ko Hai Pakke Huwe Phal Ki Tarah
Dekhiye Parta Hai Akhir Kis Ki Jholi Mein Frang!

(Makhooz Az Natche)

Yourap

(Bal-e-Jibril-180) Yourap

Yourap

Taak Mein Baithe Hai Muddat Se Yahoodi Sood Khawar
Jin Ki Roobahi Ke Agay Haitch Hai Zor-e-Palang

Khud-Ba-Khud Girne Ko Hai Pakke Huwe Phal Ki Tarah
Dekhiye Parta Hai Akhir Kis Ki Jholi Mein Frang!

(Makhooz Az Natche)
Adapted from Nietzsche

Azadi-e-Afkar

(Bal-e-Jibril-181) Azadi-e-Afkar

 

Jo Dooni Fitrat Se Nahin Laik-e-Parwaz
Uss Murghak-e-Bechara Ka Anjaam Hai Uftaad

 

Har Seena Naheman Nahin Jibreel-e-Ameen Ka
Har Fikar Nahin Tair-e-Firdous Ka Sayyad

 

Uss Qoum Mein Hai Shoukhi-e-Andesha Khatarnak
Jis Qoum Ke Afraad Hon Har Band Se Azad

 

Go Fikar-e-Khudad Se Roshan Hai Zamana
Azadi-e-Afkar Hai Iblees Ki Aejaad

Sher Aur Khachar

(Bal-e-Jibril-182) Sher Aur Khachar

Sher Aur Khachar

Sher

Sakinaan-e-Dasht-o-Sehra Mein Hai Tu Sab Se Alag
Kon Hain Tere Ab-o-Jad, Kis Qabeele Se Hai Tu?

Khachar

Mere Mamoon Ko Nahin Pehchante Shaid Huzoor
Woh Saba Raftar, Shahi Istabal Ki Abru!

(Makhooz Az German)

Chionti Aur Auqab

(Bal-e-Jibril-183) Chionti Aur Auqab

Chionti Aur Auqab

Chionti

Main Paimaal-o-Khawar-o-Preshan-o-Dardmand
Tera Maqam Kyun Hai Sitaron Se Bhi Buland?

Auqab

Tu Rizq Apna Dhoondti Hai Khak-e-Rah Mein
Main Na Sipihr Ko Nahin Lata Nigah Mein!

Qataa – Fitrat Meri Manind-e-Nasim-e-Sehri Hai

(Bal-e-Jibril-184) Qataa – Fitrat Meri Manind-e-Nasim-e-Sehri Hai

Qataa

Fitrat Meri Manind-e-Naseem-e-Sehri Hai
Raftar Hai Meri Kabhi Ahista, Kabhi Taez

Pehnata Hun Atlas Ki Qaba Lala-o-Gul Ko
Karta Hun Sar-e-Khar Ko Souzan Ki Tarah Taez

Qataa – Kal Apne Mureedon Se Kaha Peer-e-Mughan Ne

(Bal-e-Jibril-185-Book Complete) Qataa – Kal Apne Mureedon Se Kaha Peer-e-Mughan Ne

Qataa

Kal Apne Mureedon Se Kaha Peer-e-Maghan Ne
Qeemat Mein Ye Maani Hai Dar-e-Naab Se Deh-Chand

Zehr Ab Hai Uss Qoum Ke Haq Mein Mei-e-Afrang
Jis Qoum Ke Bache Nahin Khuddar-o-Hunar Mand