Do jahaan ke Wali ka do jahan pe saya hey Naat Lyrics || Barkate Raza

Huzoor Tajdar-E-Kainat, Do Jahaan Ke Waali Ki Shaan-O-Shaukat Aur Un Ke Noorani Jalwon Ko Bayaan Karta Yeh Nihayat Hi Dilkash Aur Maqbool Kalam Hai. Is Naat-E-Paak Mein Aaqa Ke Chehra-E-Ziba, Un Ki Me’raj Aur Un Ke Be-Hisaab Reham-O-Karam Ka Zikr Behad Pyare Andaaz Mein Kiya Gaya Hai.

Naat Information Details
Naat Title Do Jahaan Ke Waali Ka
Poet / Writer Unknown
Category Naat Sharif
Naatkhawan / Reciter Unknown

Do Jahaan Ke Waali Ka Lyrics In Roman

Do Jahaan Ke Waali Ka, Do Jahaan Pe Saya Hai
Un Ko To Khuda Ne Un Ki, Marzi Se Banaya Hai

Noori Noori Jalwe Hain, Kaise Pyaare Jalwe Hain
Chaand Un Ke Jalwon Ki, Bheek Lene Aaya Hai

Wadduha Ka Chehra Hai, Taaha Ka Sehra Hai
Un Ke Muskurane Se, Zamana Jagmagaya Hai

Toor Pe Kaha Rab Ne, Lantarani Musa Ko
Lekin Mere Aaqa Ko, Arsh Pe Bulaya Hai

Nabiyon Ne Salami Di, Waliyon Ne Ghulami Ki
Sar Pe Un Ke Khaaliq Ne, Taaj Woh Sajaya Hai

Lete Hain Dua’en Woh, Karte Hain Jafa’en Woh
Seene Se Lagayein Us Ko, Jis Ne Bhi Sataya Hai

Barkaton Ke Rele Hain, Nooron Ke Mele Hain
Haleema Teri Kutiya Mein, Kaun Muskuraya Hai

Do Jahaan Ke Waali Ka Lyrics In Hindi

दो जहान के वाली का, दो जहान पे साया है
उन को तो ख़ुदा ने उन की, मर्ज़ी से बनाया है

नूरी नूरी जलवे हैं, कैसे प्यारे जलवे हैं
चाँद उन के जलवों की, भीख लेने आया है

वद्दुहा का चेहरा है, ताहा का सेहरा है
उन के मुस्कुराने से, ज़माना जगमगाया है

तूर पे कहा रब ने, लनतरानी मूसा को
लेकिन मेरे आक़ा को, अर्श पे बुलाया है

नबियों ने सलामी दी, वलियों ने गुलामी की
सर पे उन के ख़ालिक़ ने, ताज वो सजाया है

लेते हैं दुआएँ वो, करते हैं जफ़ाएँ वो
सीने से लगाएँ उस को, जिस ने भी सताया है

बरकतों के रेले हैं, नूरों के मेले हैं
हलीमा तेरी कुटिया में, कौन मुस्कुराया है

Do Jahaan Ke Waali Ka Lyrics In Urdu

دو جہاں کے والی کا، دو جہاں پہ سایہ ہے
ان کو تو خدا نے ان کی، مرضی سے بنایا ہے

نوری نوری جلوے ہیں، کیسے پیارے جلوے ہیں
چاند ان کے جلووں کی، بھیک لینے آیا ہے

وَالضُّحٰی کا چہرہ ہے، طٰہٰ کا سہرا ہے
ان کے مسکرانے سے، زمانہ جگمگایا ہے

طور پہ کہا رب نے، لَنْ تَرَانِی موسیٰ کو
لیکن میرے آقا کو، عرش پہ بلایا ہے

نبیوں نے سلامی دی، ولیوں نے غلامی کی
سر پہ ان کے خالق نے، تاج وہ سجایا ہے

لیتے ہیں دعائیں وہ، کرتے ہیں جفائیں وہ
سینے سے لگائیں اس کو، جس نے بھی ستایا ہے

برکتوں کے ریلے ہیں، نوروں کے میلے ہیں
حلیمہ تیری کٹیا میں، کون مسکرایا ہے

Leave a Comment