mujh-ko-darpesh-hai-fir-mubarak-safar-naat-lyrics

mujh-ko-darpesh-hai-fir-mubarak-safar-naat-lyrics

 

Mujko darspesh hai fir Mubarak safar Lyrics

 

Mujko darspesh hai fir Mubarak safar

Kafila bhi Madine ka tayyar hai

Nekiyon ka nahin koi tosha fakat

Meri joli mein Ashkon ka ek har hai

 

Koi Sajdon ki sogat hai na koi

Zohdo Takwa Mere pas Sarkar hai

Chal pada hun Madine ki janib magar

Haaye Sar par gunahon ka ambar hai

 

Jurmon Isyan pe Apne lajata hua

Aur Ashke nadamat bahata hua

Teri Rehmat pe nazrein jamata hua

Dar pe hazir ye Tera gunahgar hai

 

Tera Sani kahan Shahe Kauno Makan

Mujsa Aasi bhi ummat mein hoga kahan

Tere Afwo karam ka Shahe Do jahan

Kya koi Mujse bad kar bhi haqdar hai

 

Mujrimon ko Shaha bakhshwata hai Tu

Sari Ummat ki bigdi banata hai Tu

Gham ke maron ko sine lagata hai Tu

Gham-zadon be-kason ka Tu gham khwar hai

 

Do Tadapne ka Aaqa Kareena Muje

Dedo Khasta jigar chak sina Muje

Chashme Tar dedo Shahe Madina Muje

Tere Gham ka ye banda talabgar hai

 

Aatashe Shoq mein kash jalta rahun

Aur Khayale Madina mein khoya rahun

Bas Madina Madina hi karta rahun

Ye Dua Meri Aye Rabbe Gaffar hai

 

Aah ! Ranjo Alam ki nahin koi had

Kam karti nahin ab to aklo khiraj

Al-Madad Aye Mere Rehnuma Al-Madad

Paaon zakhmi hein aur Rah purkhar hai

 

Thokarein dar badar kab talak khaun Mein

Fir Madine Mukaddar se jab aaun Mein

Kash Kadmon mein Sarkar mar jaun Mein

Ya Nabi ! ye Tamanna-e-Attar hai

 

 

Sharing Is Caring:

Leave a Comment