Basi Hai Jab Se Woh Tasveer-E-Yaar Aankhon Me Naat Lyrics || Barkate Raza

Assalamu Alaikum. Aaj Hum Aap Ki Khidmat Mein Hazrat Sayyad Nazmi Miyan Alaihirrahma Ka Likha Hua Nihayat Hi Roohani Aur Pyaara Kalaam “Basi Hai Jab Se Woh Tasveer-E-Yaar Aankhon Me” Lekar Hazir Hue Hain. Humein Kamil Umeed Hai Ke Yeh Khoobsurat Naat Shareef Aap Ko Behad Pasand Aayegi.

Naat InformationDetails
Naat TitleBasi Hai Jab Se Woh Tasveer-E-Yaar Aankhon Me
Poet / WriterSayyad Nazmi Miyan
CategoryNaat-E-Paak
Naatkhawan / ReciterJamshed Sahil Barelvi
Book NameBarkate Raza Naat Book

Basi Hai Jab Se Woh Tasveer-E-Yaar Aankhon Me Lyrics In Roman

Basi Hai Jab Se Woh Tasveer-E-Yaar Aankhon Me
Simat Si Aai Hai Fasle Bahar Aankhon Me

Zameen-E-Taiba Ki Mitti Bane Mera Surma
Rahe Hamesha Nabi Ka Dayaar Aankhon Me

Meri Nigahein Sare Arsh Ja Ke Thahrengi
Maloon Jo Naal-E-Nabi Bar Bar Aankhon Me

Wah La-Makan Me Musafir Bane Shabe Asra
Khuda Ke Jalwe Samaye Hazar Aankhon Me

Ey Haajio Zara Rukna Mein Choom Loon Tumko
Tumhare Qadmon Ka Mal-Loon Ghubar Aankhon Me

Tere Qalam Ko Raza Ki Raza Mili Nazmi
Tabhi Zaban Me Asar Hai Nikhar Aankhon Me

Basi Hai Jab Se Woh Tasveer-E-Yaar Aankhon Me Lyrics In Hindi

बसी है जब से वोह तस्वीरे यार आँखों में
सिमट सी आई है फ़स्ले बहार आँखों में

ज़मीने तयबा की मिट्टी बने मेरा सुरमा
रहे हमेशा नबी का दयार आँखों में

मेरी निगाहें सरे अ़र्श जा के ठहरेंगी
मलूँ जो नअ़ले नबी बार बार आँखों में

वह ला-मकां में मुसाफ़िर बने शबे असरा
ख़ुदा के जल्वे समाये हज़ार आँखों में

ऐ हाजियो ज़रा रुकना मैं चूम लूँ तुमको
तुम्हारे क़दमों का मल लूँ ग़ुबार आँखों में

तेरे क़लम को रज़ा की रज़ा मिली नज़मी
तभी ज़बां में असर है निखार आँखों में

Basi Hai Jab Se Woh Tasveer-E-Yaar Aankhon Me Lyrics In Urdu

بسی ہے جب سے وہ تصویرِ یار آنکھوں میں
سمٹ سی آئی ہے فصلِ بہار آنکھوں میں

زمینِ طیبہ کی مٹی بنے میرا سرمہ
رہے ہمیشہ نبی کا دیار آنکھوں میں

میری نگاہیں سرِ عرش جا کے ٹھہریں گی
ملوں جو نعلِ نبی بار بار آنکھوں میں

وہ لا مکاں میں مسافر بنے شبِ اسرا
خدا کے جلوے سمائے ہزار آنکھوں میں

اے حاجیو ذرا رکنا میں چوم لوں تمکو
تمہارے قدموں کا مل لوں غبار آنکھوں میں

تیرے قلم کو رضا کی رضا ملی نجمی
تبھی زباں میں اثر ہے نکھار آنکھوں میں

Leave a Comment