Aakhiri Roze Hein Dil Ghamnaak Muztar Jaan Hai Naat Lyrics

Aakhiri Roze Hein Dil Ghamnaak Muztar Jaan Hai Naat Lyrics

 

 

Shayar: Muhammad Ilyas Attari | Naat e Paak

Naat Khwan: Owais Raza Qadri, Mushtaq Qadri Attari, Hafiz Ahsan Amin, Ahmad Raza Qadri.

 

आख़िरी रोज़े हैं दिल ग़मनाक मुज़्तर जान है

हसरता वा हसरता अब चल दिया रमज़ान है

Aakhiri Roze Hein Dil Ghamnaak Muztar Jaan Hai

Hasrata Wa Hasrata Ab Chal Diya Ramzan Hai

 

आशिक़ाने माहे-रमज़ां रो रहे हैं फूट कर

दिल बड़ा बेचैन है अफ़्सुर्दा रूहो-जान है

Aashiqaane Maahe Ramza(N) Ro Rahe Hein Foot Kar

Dil Bada Baichain Hai Af’surda Rooh-o-Jaan Hai

 

 

दर्दो-रिक़्क़त से पछाड़ें खा के रोता है कोई

तो कोई तस्वीरे-ग़म बन कर खड़ा हैरान है

Dardo-Riqqat Se Pachha’de Khaa Ke Rota Hai Koi

To Koi Tasveer-E-Gham Ban Kar Khada Hairan Hai

 

 

अल फ़िराक़, आह ! अल फ़िराक़ ऐ रब के मेहमां अल फ़िराक़ !

अल-वदाअ़ अब चल दिया तू ऐ महे-रमज़ान है

Al Firaaq Aah ! Al Firaaq Ey Rab Ke Mehma(N) Al Firaaq !

Al-Wad’aa Ab Chal Diya Tu Ey Mahe-Ramzan Hai

 

 

दास्ताने-ग़म सुनाएं किस को जा कर आह ! हम

या रसूलल्लाह देखो चल दिया रमज़ान है

Dastan-E-Gham Sunayen Kis Ko Jaa Kar Aah ! Ham

Ya Rasoolallah Dekho Chal Diya Ramzan Hai

 

 

ख़ूब रोता है तड़पता है ग़मे-रमज़ान में

जो मुसल्मां क़द्रदानो-आशिक़े-रमज़ान है

Khoob Rota Hai Tadptata Hai Gham-E-Ramzan Me

Jo Muslama Qadr-Daan-o-Aashiq-E-Ramzan Hai

 

 

वक़्ते-इफ़्तारो-सहर की रौनक़ें होगी कहाँ !

चन्द दिन के बा’द ये सारा समां सुनसान है

Waqt-E-Iftaar-O-Sahar Ki Rounqen Hongi Kaha !

Chund Din Ke Baad Ye Sara Sama Sunsan Hai

 

 

हाए ! सद अफ़्सोस ! रमज़ां की न हमने क़द्र की

बे-सबब ही बख़्श दे या रब की तू रहमान है

Haye ! Sud Afsos Ramzan Ki na ham Ne Qadr Ki

Be-Sabab Hi Bakhsh De Ya Rab Ke tu Rahman Hai

 

 

कर रहे हैं तुझ को रो रो कर मुसल्मां अल-वदाअ़

आह ! अब तू चन्द घड़ियों का फ़क़त मेहमान है

Kar Rahe Hein Tujh Ko Ro Ro Kar Musalma Al-Wada’a

Aah ! Ab Tu Chund Ghadiyon Ka Faqat Mehman Hai

 

 

अस्सलाम ऐ माहे-रमज़ां तुझ पे हों लाखों सलाम

हिज्र में अब तेरा हर आशिक़ हुआ बे-जान है

Assalam Ey Maahe Ramza(N) Tujh Pe Hon Lakhon Salam

Hizr Me Ab Tera Har Aashiq Hua Be-Jaan Hai

 

 

दस्त बस्ता इल्तिजा है हम से राज़ी हो के जा

बख़्शवाना हश्र में हाँ तू महे-गुफ़रान है

Dast Basta Iltija Hai Ham Se Raazi Ho Ke Jaa

Bakhshwana Hashr Me Han Tu Mahe-Gufran Hai

 

 

काश ! आते साल हो अत्तार को रमज़ां नसीब

या नबी ! मीठे मदीने में बड़ा अरमान है

Kaash ! Aate Saal Ho Attar Ko Ramza(N) Naseeb

Ya Nabi ! Meethe Madine Me Bada Araman Hai

Leave a Reply

This site uses Akismet to reduce spam. Learn how your comment data is processed.

%d bloggers like this: