Bajuz Khwaja tasawwur mein koi ab aa nahi sakta Lyrics || Barkate Raza

Hazrat Khwaja Gareeb Nawaz Ki Baargah-E-Aqdas Mein Paish Kiya Gaya Yeh Ek Nihayat Hi Mashhoor Aur Roohani Manqabat Ka Nazarana Hai.
Is Haseen Kalam Mein Sultan-E-Hind Se Aqeedat Aur Unke Darbar Ki Azeem Barkaat Ka Bayaan Badi Hi Khoobsurati Se Kiya Gaya Hai.
Aaiye Is Barkat Bhare Roohani Kalam Ka Mutala Karein Aur Khwaja Piya Ke Faiz Se Apne Dilon Ko Roshan Aur Munawwar Karein.

Naat Information Details
Naat Title Bajuz Khwaja Tasawwur Mein Koi Ab Aa Nahi Sakta
Poet / Writer Sayyid
Category Manqabat E Garib Nawaz
Naatkhawan / Reciter Traditional

Naat Lyrics in Roman

Bajuz Khwaja Tasawwur Mein Koi Ab Aa Nahi Sakta
Khayal Ghair Mere Dil Pe Hargiz Chaa Nahi Sakta

Mila Hai Mil Raha Hai Aur Milega To Usi Dar Se
Mere Khwaja Teri Chaukhat Se Khali Jaa Nahi Sakta

Guzarte Hain Jo Sadme Rozo Shab Mere Dil Par
Samjh Lije Ise Khud Aap Main Samjha Nahi Sakta

Tumhi Mere Masiha Mere Maawa Mere Malja Ho
Tumhara Chchod Kar Dar Aur Dar Par Jaa Nahi Sakta

Bhala Bulwa Ke Mehmanon Se Karta Hai Koi Parda
Samajh Mein Ye Nirala Sa Tareeka Aa Nahi Sakta

Gada Mashoor Hoon Khwaja Ka Kehte Hain Mujhe Sayyid
Kisi Ke Aage Apna Haath Main Faila Nahi Sakta

Naat Lyrics in Hindi

बजुज़ ख़्वाजा तसव्वुर में कोई अब आ नहीं सकता
ख़याल-ए-ग़ैर मेरे दिल पे हरगिज़ छा नहीं सकता

मिला है मिल रहा है और मिलेगा तो उसी दर से
मेरे ख़्वाजा तेरी चौखट से ख़ाली जा नहीं सकता

गुज़रते हैं जो सदमे रोज़ ओ शब मेरे दिल पर
समझ लीजे इसे खुद आप मैं समझा नहीं सकता

तुम्हीं मेरे मसीहा मेरे मावा मेरे मलजा हो
तुम्हारा छोड़ कर दर और दर पर जा नहीं सकता

भला बुलवा के मेहमानों से करता है कोई पर्दा
समझ में ये निराला सा तरीक़ा आ नहीं सकता

गदा मशहूर हूँ ख़्वाजा का कहते हैं मुझे सय्यद
किसी के आगे अपना हाथ मैं फैला नहीं सकता

Naat Lyrics in Urdu

بجز خواجہ تصور میں کوئی اب آ نہیں سکتا
خیالِ غیر میرے دل پہ ہرگز چھا نہیں سکتا

ملا ہے مل رہا ہے اور ملے گا تو اسی در سے
میرے خواجہ تیری چوکھٹ سے خالی جا نہیں سکتا

گزرتے ہیں جو صدمے روز و شب میرے دل پر
سمجھ لیجے اسے خود آپ میں سمجھا نہیں سکتا

تمہیں میرے مسیحا میرے ماوا میرے ملجا ہو
تمہارا چھوڑ کر در اور در پر جا نہیں سکتا

بھلا بلوا کے مہمانوں سے کرتا ہے کوئی پردہ
سمجھ میں یہ نرالا سا طریقہ آ نہیں سکتا

گدا مشہور ہوں خواجہ کا کہتے ہیں مجھے سید
کسی کے آگے اپنا ہاتھ میں پھیلا نہیں سکتا_

Leave a Comment