Subhanallahi Wa Bihamdihi Ko Parhny Ki Fazilat

Subhanallahi Wa Bihamdihi Ko Parhny Ki Fazilat

بِسْمِ اللَّهِ الرَّحْمَنِ الرَّحِيم

Jaban Par Halki Par Mizaan Pe Bahot Wazni Hai
Hadees 01:
Hazrat Abu Hurraira Radiallahu Anhu Se Rivayat Hai Nabi E Karim ﷺ Se Irshad Farmaya Do Kalimat aise hai jo Jaban Par bahot Halke Hai Magar Mizaan Par Bahot Wazni Hai Aur Allah Paak Ko bahot Pyare Hai
سُبْحَانَ اللَّهِ وَبِحَمْدِهِ سُبْحَانَ اللَّهِ الْعَظِيمِ (Subḥān Allāhi wa biḥamdih, Subḥān Allāhil-Aẓīm)
(Sahih Bukhari, Kitabut Dua, باب فَضْلِ التَّسْبِيحِ Hadees : 6406)
(Sahih Bukhari Hadees : 6682, 7563)
(Sahih Muslim, Kitabut Azkar Wa Dua Wa Tauba Wa Astagfar, Hadees : 6511 {2694})
Muttafaque Alaih
(Imam Tirmizi Kitabut Dua, Hadees : 3467)
الَ هَذَا حَدِيثٌ حَسَنٌ غَرِيبٌ صَحِيحٌ‏.‏
Imam Abu Isa Tirmizi Farmate hai Ye hadees Gharib Sahih Hai
(Imam Ibn Majah Sunan Kitabul Adab, Hadees : 3806)
(Imam Ibn Hajar Asqalani Bulugh al Maram,Kitabul Jamaa, Hadees : 1611)
Imam Nawawi Riyadusalaheen, Kitabul Azkaar, Hadees : 1408)

Jannat Me Har Tasbih Kay Badle Khazooron Darakht Lag Jayega
Hadees 02:
Hazrat Jaabir Radiallahu Anhu Se marvi Hai Nabi E Karim ﷺ Ne Irshad Farmaya Jo Shaksh سبحان الله وبحمده (Subhan-Allahi wa bi hamdihi) Kahega Uske Liye Jannat me Ek Khazooro’n Ka Ek Darakht Lagaya jayega
(Imam Tirmizi Sunan Tirmizi, Kitab-ud-Dua, Hadees : 3464, 3465)
قَالَ أَبُو عِيسَى هَذَا حَدِيثٌ حَسَنٌ غَرِيبٌ
Imam Tirmizi Rahmatullah Alaih Kahte Hai Ye Hadees Hasan Gharib hai
(Imam Nawawi Riyadusalaheen, Kitabul Azkar, Hadees : 1439)

Samundar Kay Jhaag Barabar Gunaah Maaf Honge
Hadees 03:

عَنْ أَبِي هُرَيْرَةَ ـ رضى الله عنه ـ أَنَّ رَسُولَ اللَّهِ صلى الله عليه وسلم قَالَ ‏ “‏ مَنْ قَالَ سُبْحَانَ اللَّهِ وَبِحَمْدِهِ‏.‏ فِي يَوْمٍ مِائَةَ مَرَّةٍ حُطَّتْ خَطَايَاهُ، وَإِنْ كَانَتْ مِثْلَ زَبَدِ الْبَحْرِ

“Hazrat Abu Hurraira Radiallahu Anhu Se marvi Hai Nabi E Karim ﷺ Ne Irshad Farmaya Jisne Din Me 100 Martaba سبحان الله وبحمده (Subhan-Allahi wa bi hamdihi) Kaha Uske Gunaah Maaf Kar diye Jaate hai Khwah Wo Samundar ki jhaak kay barabar hi Kyun Na Ho”
(Sahih Bukhari, Kitabut Dua, اب فَضْلِ التَّسْبِيحِ Hadees : 6405)

(Sahih Muslim, Kitabut Dua Wa Azkar Wa Tauba Wa Astagfaar, Hadees : 6508 {2691})
‏متفق عليه Muttafaque Alaih Hadees
(Imam Malik Al Muwatta, Kitabul Quran, Hadees : 493)
(Imam Tirmizi As Sunan,Kitabut Dua, Hadees : 3466, 3468)
(Imam Ibn Majah As Sunan, Kitabul Adab, Hadees : 3812)
(Imam Nawawi Riyadusalaheen, Kitabul Azkar, Hadees : 1410)
(Imam Ibn Hajar Asqalani Bulugh Al Maram, Kitabut Jamaa, Hadees : 1586)

Ye Upar Humne Is talluk Se 03 Sahih Rivayat Bayan ki 100 Martaba Padhne me 05 Minute bhi nahi lagta apni Zindagi me is wazeefa ko shamil karlen
Fayeda :
01) Isse Zaban Allah Paak Kay Zikr Se tarr rahegi
02) Amal bahot chota hai iski fazilat bahot zyada hai
03) Dher Saari Naaki Milegi Aur Gunaah maaf honge agarche Samundar kay jhaag (Foam) kay barabar ho
04) Qul 03 hadees hai ek me bas subhan Allahi Wa Bihamdih Hai Ek dusre me add hai
(Subḥān Allāhi wa biḥamdih, Subḥān Allāhil-Aẓīm)
Lihaja Ye(Subḥān Allāhi wa biḥamdih, Subḥān Allāhil-Aẓīm)
Rozana 100 baar padhe isse dono tasbih hojaygi hadees 1 2 3 sab pe amal hojayga.
04) Har Baar padhne k badle Jannat me ek darakht lagega
Zikr Se pahle Aage Piche Durood E Paak Jarur padhe
ALLAH HUM SABKA KHATMA IMAAN PAR KARE

Leave a Reply

This site uses Akismet to reduce spam. Learn how your comment data is processed.

%d bloggers like this: