Mustafa Khairul Wara Ho Naat Lyrics
MUSTAFA KHAIRUL WARA HO NAAT LYRICS
Mustafa khair-ul-waraa ho,
Sarwar-e-har do saraa ho.
Apne achchon ka tasadduq,
Hum bado(n) ko bhi nibaaho.
Kis key phir ho kar rahein hum,
Gar tumhin hum ko nah chaaho.
Bad hansei(n) tum un ki khaatir,
Raat bhar ro-ow karaho.
Bad karein har dam buraayi,
Tum kaho un kaa bhalaa ho.
Hum wohi naashustah roo hain,
Tum wohi behr-e-’ataa ho.
Hum wohi shaayaane rad hain,
Tum wohi shaan-e-sakhaa ho.
Hum wohi be-sharm-o-bad hain,
Tum wohi kaan-e-hayaa ho.
Hum wohi nang-e-jafaa hain,
Tum wohi jaan-e-wafaa ho.
Hum wohi qaabil sazaa key,
Tum wohi rahm-e-Khuda ho.
Charkh badl-e-dahr badle,
Tum badalne sey waraa ho.
Ab humein ho(n) sahw haa shaa,
Aisi bhoolo(n) sey judaa ho.
Umr bhar toh yaad rakkha,
Waqt par kyaa bhoolnaa ho.
Waqt-e-paidaaish nah bhoole,
Kaifa yansaa kyoon qaza ho.
Yeh bhi Maula ‘arz kardu(n),
Bhool agar jaao toh kya ho.
Woh ho jo tum par giraa(n) hay,
Woh ho jo hargiz nah chaaho.
Woh ho jis ka naam lete,
Dushmano(n) ka dil buraa ho.
Woh ho jis key rad ki khaatir,
Raat din waqf-e-du’a ho.
Mar mite(n) barbaad bande,
Khanah aabaad aag ka ho.
Shaad ho iblees mal’oo(n),
Gham kisey iss qahr ka ho.
Tum ko ho wallah tum ko,
Jaano dil tum par fidaa ho.
Tum ko gham sey haq bachaaye,
Gham ‘adoo ko jaa(n) gazaa ho.
Tum sey gham ko kya ta’alluq,
Be-kaso(n) key ghamzida ho.
Haq duroodein tum pe bheje,
Tum mudaam us ko saraa ho.
Woh ‘ataa de tum ‘ataa lo,
Woh wohi chaahe jo chaaho.
Bar to ouw paashad to bar maa,
Taa abad yeh silsilah ho.
Kyoon RAZA mushkil sey dariye,
Jab Nabi mushkil kusha ho.
मुस्त़फा ख़ैरूल वरा हो
सरवरे हर दो सरा हो
Mustafa Khairul Wara Ho
Sarware Har Do Sara Ho
अपने अच्छों का तसद्दुक़
हम बदों को भी निबाहो
Apne Achhon Ka Tasdduq
Ham Bandon Ko Bhi Nibaaho
किस के फिर होकर रहें हम
गर तुम्हीं हमको न चाहो
Kis Ke Fir Hokar Rahen Ham
Gar Tumhi Hamko Na Chaho
बद हंसें तुम उनकी ख़ातिर
रात भर रोओ कराहो
Bud Hase Tum Unki Khatir
Raah Bhar Ro-O-Karaho
बद करें हर दम बुराई
तुम कहो उनका भला हो
Bud Karen Har dum Buraai
Tum Kaho Unka Bhala Ho
हम वही न शुस्ता रु हैं
तुम वही बह़रे अ़त़ा हो
Hum Wahi Na Shusta Roo Hein
Tum Wahi Bahre Ata Ho
हम वोही शायाने रद हैं
तुम वोह शाने सख़ा हो
Ham Wohi Shaa’yaane Rudd Hein
Tum Woh Shaane Sakha Ho
हम वोही बे शर्मों बद हैं
तुम वोही काने ह़या हो
Ham Wohi Be Sharmon Bud Hein
Tum Wohi Kaane Haya Ho
हम वोही नंगे जफ़ा हैं
तुम वोही जाने वफ़ा हो
Tum Wohi Nange Jafa Hein
Tum Wohi Jaane Wafa Ho
हम वोही क़ाबिल सज़ा के
तुम वोही रह़मे खुदा हो
Ham Wohi Qaabil Saza Ke
Tum Wohi Rahmon Khuda Ho
चर्ख़ बदले दह़र बदले
तुम बदलने से वरा हो
Charkh Badle Dahar Badle
Tu Badlne Se Wara Ho
अब हमें हों सह़व ह़ाशा
ऐसी भूलों से जुदा हो
Ab Hamen Hon Sahaw Haasha
Aisi Bhoolo’n Se Juda Ho
उम्र भर तो याद रख्खा
वक़्त पर क्या भूलना हो
Umr Bhar To Yaad Rakhkha
Waqt Par Kya Bhoolna Ho
वक़्ते पैदाइश न भूले
कैफ़ा यनसा क्यूं क़ज़ा हो
Waqte Paidaish Na Bhoole
Kaifa Yansa Kyon Qaza Ho
यह भी मौला अ़र्ज़ कर दूं
भूल अगर जाओ तो क्या हो
Yeh Bhi Moula Arz Kar Doon
Bhool Agar Jaao To Kya Ho
वोह हो जो तुम पर गिरां है
वोह हो जो हर गिज़ न चाहो
Woh Ho Jo Tum Par Gira(N) Hai
Woh Ho Jo Hargiz Na Chaaho
वोह हो जिसका नाम लेते
दुश्मनों का दिल बुरा हो
Woh Ho Jiska Naam Lete
Dushmano(N) Ka Dil Bura Ho
वोह हो जिस के रद की ख़ातिर
रात दिन वक़्फ़े दुआ हो
Woh Ho Jis Ke Rudd Ki Khaatir
Raat Din Waqfe Dua Ho
मर मिटें बरबाद बन्दे
ख़ाना आबाद आग का हो
Mar Miten Barbaad Bande
Khaana Aabaad Aag Ka Ho
शाद हो इब्लीस मलऊं
ग़म किसे इस क़ह़र का हो
Shad Ho Iblees Maloo(N)
Gham Kise Is Qahar Ka Ho
तुम को हो वल्लाह तुमको
जानो दिल तुम पर फ़िदा हो
Tum Ko Ho Wallah Tumko
Jaano Dil Tum Par Fida Ho
तुम को ग़म से ह़क़ बचाए
ग़म अ़दू को जां गज़ा हो
Tum Ko Gham Se Haq Bachaaye
Gham Adu Ko Jaa(N) Gaza Ho
तुम को ग़म से क्या तअ़ल्लुक़
बे-कसों के ग़मज़िदा हो
Tum Ko Gham Se Kya Ta’alluq
Bekason Ke Ghamzida Ho
ह़क़ दुरूदें तुम पे भेजे
तुम मुदाम उस की सराहो
Haq Durooden Tum Pe Bheje
Tum Mudaam Us Ki Saraaho
वोह अ़त़ा दे तुम अ़त़ा लो
वोह वोही चाहे जो चाहो
Woh Ata De Tum Ata Lo
Woh Wohi Chaahe Jo Chaaho
क्यूं रज़ा मुश्किल से डरिये
जब नबी मुश्किल कुसा हो
Kyon RAZA Mushkil Se Dariye
Jab Nabi Mushkil Kusha Ho