Huzoor E Akram Sallallahu Alaihi Wasallam Aur Madinah Munawwarah Ki Muhabbat Me Likha Gaya Yeh Nihayat Hi Khubsurat Aur Mashhoor Naat Sharif Meri Baat Ban Gai Hai Teri Baat Karte Karte Ek Azeem Nazrana Hai. Is Pyare Kalam Ke Zariye Tajdar E Kainat Ki Shaan Aur Unka Zikr Nihayat Hi Adab Aur Ishq Se Pesh Kiya Gaya Hai.
| Naat Information | Details |
| Naat Title | Meri Baat Ban Gai Hai Teri Baat Karte Karte |
| Poet / Writer | Nisar Ali Qadri |
| Category | Naat Sharif |
| Naatkhawan / Reciter | Hafiz Tahir Qadri |
| Book Name | Barkate Raza Naat Book |
Meri Baat Ban Gai Hai Teri Baat Karte Karte Lyrics In Roman
Meri Baat Ban Gai Hai Teri Baat Karte Karte
Tere Shahar Mein Main Aaun Teri Naat Padhte Padhte
Tere Ishq Ki Badolat Mujhe Zindagi Mili Hai
Mujhe Maut Aaye, Aaqa! Tera Zikr Karte Karte
Mere Soone Soone Ghar Mein Kabhi Raunaqen Ata Hon
Main Deewana Ho Hi Jaun Teri Raah Takte Takte
Kisi Cheez Ki Talab Hai Na Hai Aarzoo Bhi Koi
Tune Itna Bhar Diya Hai Kashkol Bharte Karte
Hai Jo Zindagani Baaqi, Ye Iraada Kar Liya Hai
Tere Munkiron Se, Aaqa! Main Marunga Ladte Ladte
Meri Aisi Haazri Ho Ke Kabhi Na Waapsi Ho
Mile Sadqa Panj Tan Ka Teri Naat Padhte Padhte
Nasir Ki Haazri Ho Kabhi Aastaan Pe Tere
Ke Zamaana Ho Gaya Hai Mujhe Aahein Bharte Bharte
Meri Baat Ban Gai Hai Teri Baat Karte Karte Lyrics In Hindi
मेरी बात बन गई है तेरी बात करते करते
तेरे शहर में मैं आऊँ तेरी ना’त पढ़ते पढ़ते
तेरे इश्क़ की बदौलत मुझे ज़िंदगी मिली है
मुझे मौत आए, आका! तेरा ज़क्र करते करते
मेरे सूने सूने घर में कभी रौनकें अता हों
मैं दीवाना हो ही जाऊँ तेरी राह तकते तकते
किसी चीज़ की तलब है न है आरज़ू भी कोई
तूने इतना भर दिया है कश्कोल भरते भरते
है जो ज़िंदगानी बाकी, ये इरादा कर लिया है
तेरे मुन्किरों से, आका! मैं मरूँगा लड़ते लड़ते
मेरी ऐसी हाज़री हो कि कभी न वापसी हो
मिले सदका पंजतन का तेरी ना’त पढ़ते पढ़ते
नासिर की हाज़री हो कभी आस्ताँ पे तेरे
कि ज़माना हो गया है मुझे आहें भरते भरते
Meri Baat Ban Gai Hai Teri Baat Karte Karte Lyrics In Urdu
میری بات بن گئی ہے تیری بات کرتے کرتے
تیرے شہر میں میں آؤں تیری نعت پڑھتے پڑھتے
تیرے عشق کی بدولت مجھے زندگی ملی ہے
مجھے موت آئے، آقا! تیرا ذکر کرتے کرتے
میرے سُونے سُونے گھر میں کبھی رونقیں عطا ہوں
میں دیوانہ ہو ہی جاؤں تیری راہ تکتے تکتے
کسی چیز کی طلب ہے نہ ہے آرزو بھی کوئی
تو نے اتنا بھر دیا ہے کشکول بھرتے بھرتے
ہے جو زندگانی باقی، یہ ارادہ کر لیا ہے
تیرے منکروں سے، آقا! میں مروں گا لڑتے لڑتے
میری ایسی حاضری ہو کہ کبھی نہ واپسی ہو
ملے صدقہ پنجتن کا تیری نعت پڑھتے پڑھتے
ناصر کی حاضری ہو کبھی آستاں پہ تیرے
کہ زمانہ ہو گیا ہے مجھے آہیں بھرتے بھرتے