Tayyab tahera Saiyeda Ma Ayesha

Sayyada ma Ayesha Sayyada ma Ayesha

Ye Fakira alima hai Sayyada ma Ayesha
Ilm me sab se juda Sayyada ma Ayesha

Aap ke bistar mubarak par bhi ati thi vahi
Kya makam o martaba hai Sayyada ma Ayesha

Mustafa ne jaan di jab sar tha teri god me
Ye to ezaz e khuda hai Sayyada ma Ayesha

Aap ki tasveer le kar aaye the ruhul amee
Zoz e shahe ambiya hai Sayyada ma Ayesha

Aayesha ka hujra anvar roza e sarkar hai
Ye muhabbat ka sila hai Sayyada ma Ayesha

Aap ki paki me utri hai athara ayaten
Ye gavahi e khuda hai Sayyada ma Ayesha

Azmatein aesi Ujagar arsh par naare lage
Tayyaba aur tahera hai Sayyada ma Ayesha