Kamal-e-Tark Nahin Aab-o-Gill Se Mahjoori Lyrics || Barkate Raza


Yeh Allama Iqbal Ka Nihayat Hi Haseen Aur Roohani Kalam Hai Jo Bal-E-Jibril Se Liya Gaya Hai. Is Kalaam Mein Roohaniyat Aur Faqr Ke Haqeeqi Maani Ko Badi Khoobsurti Se Bayan Kiya Gaya Hai. Aaiye Is Ilmi Aur Paakeeza Kalam Ke Haseen Alfaaz Se Apne Dil Ko Roshan Karein.

Naat InformationDetails
Naat TitleKamal-E-Tark Nahin Aab-O-Gil Se Mehjoori
Poet / WriterAllama Iqbal
CategoryKalam-E-Iqbal
Naatkhawan / ReciterAlhaaj Owais Raza Qadri
Book NameBal-E-Jibril

Kamal-E-Tark Nahin Aab-O-Gil Se Mehjoori Lyrics In Roman

Kamal-E-Tark Nahin Aab-O-Gil Se Mehjoori
Kamal-E-Tark Hai Taskheer-E-Khaki-O-Noori

Main Aese Faqr Se Ae Ahl-E-Halqa Baaz Aya
Tumhara Faqr Hai Be-Doulati-O-Ranjoori

Na Faqr Ke Liye Mouzun, Na Saltanat Ke Liye
Who Qoum Jis Ne Ganwaya Mataa-E-Taimoori

Sune Na Saqi-E-Mehwash To Aur Bhi Acha
Ayar-E-Garmi-E-Sohbat Hai Harf-E-Maazoori

Hakeem-O-Arif-O-Sufi, Tamam Mast-E-Zahoor
Kise Khabar K Tajalli Hai Ayn Mastoori

Woh Multafat Hon To Kunj Qafs Bhi Azadi
Na Hon To Sehat-E-Chaman Bhi Maqam-E-Majboori

Bura Na Maan, Zara Azma Ke Dekh Isse
Farang Dil Ki Kharabi, Khirad Ki Maamoori

Kamal-E-Tark Nahin Aab-O-Gil Se Mehjoori Lyrics In Hindi

कमाल-ए-तर्क नहीं आब-ओ-गिल से महजूरी
कमाल-ए-तर्क है तसख़ीर-ए-ख़ाकी-ओ-नूरी

मैं ऐसे फ़क़्र से ऐ अहल-ए-हलक़ा बाज़ आया
तुम्हारा फ़क़्र है बे-दौलती-ओ-रंजूरी

न फ़क़्र के लिए मौज़ूँ, न सल्तनत के लिए
वह क़ौम जिसने गँवाया मता-ए-तैमूरी

सुने न साक़ी-ए-महवश तो और भी अच्छा
अयार-ए-गर्मी-ए-सोहबत है हर्फ़-ए-माज़ूरी

हकीम-ओ-आरिफ़-ओ-सूफ़ी, तमाम मस्त-ए-ज़ुहूर
किसे ख़बर कि तजल्ली है ऐन मस्तूरी

वह मुल्तफ़ित हों तो कुंज क़फ़स भी आज़ादी
न हों तो सेहत-ए-चमन भी मुक़ाम-ए-मजबूरी

बुरा न मान, ज़रा आज़मा के देख इसे
फ़रंग दिल की ख़राबी, ख़िरद की मामूरी

Kamal-E-Tark Nahin Aab-O-Gil Se Mehjoori Lyrics In Urdu

کمالِ ترک نہیں آب و گل سے مہجوری
کمالِ ترک ہے تسخیرِ خاکی و نوری

میں ایسے فقر سے اے اہلِ حلقہ باز آیا
تمہارا فقر ہے بے دولتی و رنجوری

نہ فقر کے لیے موزوں، نہ سلطنت کے لیے
وہ قوم جس نے گنوایا متاعِ تیموری

سنے نہ ساقیِ مہوش تو اور بھی اچھا
عیارِ گرمیِ صحبت ہے حرفِ معذوری

حکیم و عارف و صوفی، تمام مستِ ظہور
کسے خبر کہ تجلی ہے عین مستوری

وہ ملتفت ہوں تو کنجِ قفس بھی آزادی
نہ ہوں تو صحتِ چمن بھی مقامِ مجبوری

برا نہ مان، ذرا آزما کے دیکھ اسے
فرنگ دل کی خرابی، خرد کی معموری

Leave a Comment