Yeh Dilkash Aur Rooh Parwar Kalam Mohabbat Aur Dil Ki Haqeeqat Ko Bayan Karta Hai. Is Mein Insaani Zindagi Aur Wafa O Jafa Ke Mukhtalif Pehluon Ko Bohat Umda Andaz Mein Pesh Kiya Gaya Hai. Is Ghazal Ko Parh Kar Jazba E Dil Ko Ek Naya Ahsaas Milta Hai.
| Naat Information | Details |
| Naat Title | Aarzoo E Muhabbat Hai Dil Mein |
| Poet / Writer | Abdulrab Hairan Ajantvi |
| Category | Sufi Kalam |
| Naatkhawan / Reciter | Nusrat Fateh Ali Khan |
| Book Name | Barkate Raza Naat Book |
Aarzoo E Muhabbat Hai Dil Mein Lyrics In Roman
Aarzoo E Muhabbat Hai Dil Mein
Is Khushi Ka Bharosa Nahin Hai
Jazba E Aashiqaana Salaamat
Be Rukhi Ka Bharosa Nahin Hai
Har Naye Mod Par Zindagi Ke
Ik Naya Hamsafar Saath Hoga
Jaane Kab Kaun Dil Tod Jaaye
Ajnabi Ka Bharosa Nahin Hai
Pyar Se Hamko Apna Banaakar
Bholi Bhali Nigahon Ne Loota
Sach Toh Yeh Hai Ke Ab Bandaparwar
Saadgi Ka Bharosa Nahin Hai
Hamne Apnon Se Khaaye Hain Dhokhe
Chup Hain Har Ik Ka Muh Tak Rahe Hain
Jaan Pehchaan Kya Dushmanon Se
Dosti Ka Bharosa Nahin Hai
Dil Se Dil Ka Takaaza Hai Hairan
Baaz Aaye Ham Iss Dillagi Se
Dil Hi Kambakht Apna Nahin Hai
Ab Kisi Ka Bharosa Nahin Hai
Aarzoo E Muhabbat Hai Dil Mein Lyrics In Hindi
आरज़ू ए मोहब्बत है दिल में
इस ख़ुशी का भरोसा नहीं है
जज़बा ए आशिक़ाना सलामत
बेरुख़ी का भरोसा नहीं है
हर नए मोड़ पर जिंदगी के
इक नया हमसफ़र साथ होगा
जाने कब कौन दिल तोड़ जाए
अजनबी का भरोसा नहीं है
प्यार से हमको अपना बनाकर
भोली भाली निगाहों ने लूटा
सच तो यह है कि अब बंदापरवर
सादगी का भरोसा नहीं है
हमने अपनों से खाए हैं धोखे
चुप हैं हर इक का मुंह तक रहे हैं
जान पहचान क्या दुश्मनों से
दोस्ती का भरोसा नहीं है
दिल से दिल का तक़ाज़ा है हैरान
बाज़ आए हम इस दिल्लगी से
दिल ही कम्बख़्त अपना नहीं है
अब किसी का भरोसा नहीं है
Aarzoo E Muhabbat Hai Dil Mein Lyrics In Urdu
آرزوئے محبت ہے دل میں
اس خوشی کا بھروسہ نہیں ہے
جذبہ عاشقانہ سلامت
بے رخی کا بھروسہ نہیں ہے
ہر نئے موڑ پر زندگی کے
اک نیا ہم سفر ساتھ ہوگا
جانے کب کون دل توڑ جائے
اجنبی کا بھروسہ نہیں ہے
پیار سے ہم کو اپنا بنا کر
بھولی بھالی نگاہوں نے لوٹا
سچ تو یہ ہے کہ اب بندہ پرور
سادگی کا بھروسہ نہیں ہے
ہم نے اپنوں سے کھائے ہیں دھوکے
چپ ہیں ہر اک کا منہ تک رہے ہیں
جان پہچان کیا دشمنوں سے
دوستی کا بھروسہ نہیں ہے
دل سے دل کا تقاضا ہے حیراں
باز آئے ہم اس دل لگی سے
دل ہی کمبخت اپنا نہیں ہے
اب کسی کا بھروسہ نہیں ہے