BIN DEKHE MUHAMMAD PAR NAAT LYRICS || Barkate Raza

Malik Mubashir Saim Alvi sahab ka likha hua aur Hafiz Abdur Razzaq ki khubsoorat aawaz mein pesh kiya gaya nihayat hi pyara kalam pesh-e-khidmat hai.
Is mubarrak kalam mein Huzoor ﷺ ki be-panah shaan, unke madine ka pyara nazaara aur unke husn o jamal ki sadiyon purani dhoom ko nihayat hi aqeedat aur dilkash andaz mein bayan kiya gaya hai.
Aaiye is roohani aur aqeedat-bhare kalam ko padhein aur apne dilon mein Huzoor ﷺ ki be-panah mohabbat ko taza karein.

Naat Information Details
Naat Title Bin Dekhe Muhammad Par Qurban Zamana Hai
Poet / Writer Malik Mubashir Saim Alvi (साइम)
Category Naat Sharif
Naatkhawan / Reciter Hafiz Abdur Razzaq

Naat Lyrics in Roman

Bin Dekhe Muhammad Par Qurban Zamana Hai
Jis Jis Ne Bhi Dekha Hai Woh Unka Deewana Hai

Rauzadh Hai Jo Aaqa Ka Jannat Ka Woh Tukda Hai
Hujre Mein To Amma Ke Rehmat Ka Khazana Hai

Bin Dekhe Muhammad Par Qurban Zamana Hai
Jis Jis Ne Bhi Dekha Hai Woh Unka Deewana Hai

Us Din Se Bulandi Par Pahonchi Hai Meri Kismat
Jis Din Se Muhammad Ka Honton Pe Tarana Hai

Bin Dekhe Muhammad Par Qurban Zamana Hai
Jis Jis Ne Bhi Dekha Hai Woh Unka Deewana Hai

Me’raj Ki Shab Maula Jibreel Yun Bole
Mehboob Ke Talwon Par Lab Rakh Ke Jagana Hai

Bin Dekhe Muhammad Par Qurban Zamana Hai
Jis Jis Ne Bhi Dekha Hai Woh Unka Deewana Hai

Mahtab Hua Tukde Ungli Ke Ishaare Se
Her Mo’jiza Aala Hai Andaaz Suhana Hai

Bin Dekhe Muhammad Par Qurban Zamana Hai
Jis Jis Ne Bhi Dekha Hai Woh Unka Deewana Hai

Kuch Bhi To Nahi Palle Aamal Are Saim
Sarkar Ki Midhat Hi Bakhsheesh Ka Bahana Hai

Bin Dekhe Muhammad Par Qurban Zamana Hai
Jis Jis Ne Bhi Dekha Hai Woh Unka Deewana Hai

Naat Lyrics in Hindi

बिन देखे मोहम्मद पर क़ुर्बान ज़माना है
जिस जिस ने भी देखा है वोह उनका दीवाना है

रौज़ाह है जो आक़ा का जन्नत का वोह टुकड़ा है
हुजरे में तो अम्मा के रहमत का खज़ाना है

बिन देखे मोहम्मद पर क़ुर्बान ज़माना है
जिस जिस ने भी देखा है वोह उनका दीवाना है

उस दिन से बुलंदी पर पहुँची है मेरी किस्मत
जिस दिन से मोहम्मद का होंटो पे तराना है

बिन देखे मोहम्मद पर क़ुर्बान ज़माना है
जिस जिस ने भी देखा है वोह उनका दीवाना है

मेराज की शब मौला जिब्रील यूँ बोले
महबूब के तलवों पर लब रख के जगाना है

बिन देखे मोहम्मद पर क़ुर्बान ज़माना है
जिस जिस ने भी देखा है वोह उनका दीवाना है

महताब हुआ टुकड़े उँगली के इशारे से
हर मोअज्ज़ह आला है अंदाज़ सोहाना है

बिन देखे मोहम्मद पर क़ुर्बान ज़माना है
जिस जिस ने भी देखा है वोह उनका दीवाना है

कुछ भी तो नही पल्ले अमाल अरे साइम
सरकार की मिदहत ही बख्शीस का बहाना है

बिन देखे मोहम्मद पर क़ुर्बान ज़माना है
जिस जिस ने भी देखा है वोह उनका दीवाना है

Naat Lyrics in Urdu

بن دیکھے محمد پر قربان زمانہ ہے
جس جس نے بھی دیکھا ہے وہ ان کا دیوانہ ہے

روضہ ہے جو آقا کا جنت کا وہ ٹکڑا ہے
حجرے میں تو اماں کے رحمت کا خزانہ ہے

بن دیکھے محمد پر قربان زمانہ ہے
جس جس نے بھی دیکھا ہے وہ ان کا دیوانہ ہے

اس دن سے بلندی پر پہنچی ہے میری قسمت
جس دن سے محمد کا ہونٹوں پہ ترانہ ہے

بن دیکھے محمد پر قربان زمانہ ہے
جس جس نے بھی دیکھا ہے وہ ان کا دیوانہ ہے

معراج کی شب مولا جبریل یوں بولے
محبوب کے تلوں پر لب رکھ کے جگانا ہے

بن دیکھے محمد پر قربان زمانہ ہے
جس جس نے بھی دیکھا ہے وہ ان کا دیوانہ ہے

مہتاب ہوا ٹکڑے انگلی کے اشارے سے
ہر معجزہ اعلیٰ ہے انداز سہانا ہے

بن دیکھے محمد پر قربان زمانہ ہے
جس جس نے بھی دیکھا ہے وہ ان کا دیوانہ ہے

کچھ بھی تو نہیں پلے اعمال ارے صائم
سرکار کی مدحت ہی بخشش کا بہانہ ہے

بن دیکھے محمد پر قربان زمانہ ہے
جس جس نے بھی دیکھا ہے وہ ان کا دیوانہ ہے

Leave a Comment