Armaan Nikalte Hain Dil Ke Aaqa Ki Ziyarat Hoti Hai Naat Lyrics
Armaan nikaltay hain dil kay Aaqa ki ziyarat hoti hay
Kon is ko qayamat kehta hay aisi bhi qayamat hoti hay
Tayba ka tassawur kya kahiye ik kaif ki halat hoti hay
Jis samt nigahain uthti hain bas samnay jannat hoti hay
Ihsaas e fazun jab hota hay iss baab e karam say doori ka
Woh qalb hi janay be chaara jo qalb ki halat hoti hay
Hay unki raza par haq ki raza aur unka kiya hai haq ka kiya
Jo unka Iraadah hota hay woh haq ki mashiyat hoti hay
Iss baais e khalq e aalam ka jab naam labon par aata hay
Raahat se badal kar rehti hay jo koi museebat hoti hay
Tayba ki bahaar e dil kash ka jab tazkira koyee karta hay
Uss waqt mareez e ulfat ki kuch aur hi haalat hoti hay
Mukhtar e jahan hain woh Tehseen jo maango woh unsay milta hay
Taqseem unhin kay dar say to konain ki daulat hoti ha