HO KARAM SARKAR AB TOU HO

GAYE GHUM BESHUMAAR

NAAT LYRICS

 

Ho Karam Sarkar Ab Tou Ho Gaye Ghum Beshumaar
Jaan-O-Dil Tum Par Fida Ae Do Jahan Ke Taajdar

Mein Akela Aur Masail Zindagi Ke Beshumaar
Aap Hee Kuch Kijiye Na Ae Shah-e-Aali Waqaar

Yaad Aata Hai Tawaaf-e-Khana-e-Ka’aba Mujhe
Aur Lipatna Multazim Se Waalihana Baar Baar

Sung-e-Aswad Choom Kar Milta Mujhe Kaif-O-Suroor
Chayn Paata Dekh Kar Dil Mustajab-O-Mustajab

Gumbad-e-Khizra Ke Jalway Aur Woh Iftariyan
Yaad Aati Hain Bohot Ramzan-e-Taiba Ki Bahaar

Ya RasoolAllah Sunn Lejiye Meri Faryad Ko
Kon Hai Jou Keh Sunnay Tere Siwaa Meri Pukaar

Ghum Zadaa Yoon Na Huwa Hota Ubaid-e-Qadri
Iss Baras Bhi Dekhta Gar Sabz Gumbad Ki Bahar

3 thoughts on “HO KARAM SARKAR AB TOU HO GAYE GHUM BESHUMAAR NAAT LYRICS”
  1. Haal Per Mery Karam ki Ik Nazar Farmaye
    Dil mera Gham geen hy aye Gham zado k gham gusaar

Leave a Reply

This site uses Akismet to reduce spam. Learn how your comment data is processed.

%d bloggers like this: