Mustafa Ki Aamad Ka Waqt Kya Nirala Hai Lyrics || Barkate Raza


Huzoor Akram Mustafa Ki Milad Aur Barkat E Aamad Par Likha Gaya Yeh Ek Nihayat Hi Pyaara Aur Maqbool E Aam Kalam Hai. Is Naat Shareef Mein Sarkar E Do Aalam Ki Shaan Aur Unke Sadiq Aashiqon Ki Azmat Ko Nihayat Hi Dilkash Andaaz Mein Bayan Kiya Gaya Hai. Aaiye Is Barkat Bhare Kalam Ke Haseen Ash’aar Ko Parhte Hain.

Naat InformationDetails
Naat TitleMustafa Ki Aamad Ka Waqt Kya Nirala Hai
Poet / WriterAsad Iqbal Kalkattavi
CategoryNaat Sharif
Naatkhawan / ReciterAsad Iqbal Kalkattavi
Book NameBarkate Raza Naat Book

Mustafa Ki Aamad Ka Waqt Kya Nirala Hai Lyrics In Roman

Mustafa Ki Aamad Ka Waqt Kya Nirala Hai
Shab Guzarne Waali Hai Din Nikalne Wala Hai

Unke Paon Ka Dhowan Chand Me Sitaron Me
Rang-O-Rogan-E-Jannat Aapka Gusaala Hai

Hazraton Ke Hazrat Bhi Dekh Kar Yehi Bole
Mere Aala Hazrat Ka Martaba Nirala Hai

Aasman Ki Unchaayi Usko Paa Nahin Sakti
Jis Ko Aala Hazrat Ke Ishq Ne Uchhala Hai

Dushmanane Aaqa To Jayen Ge Jahannam Me
Aashiqon Ki Qismat Me Jannati Niwala Hai

Us Ko Chhoo Nahin Saktin Zahmatein Zamane Ki
Jisko Mere Aaqa Ki Rahmaton Ne Pala Hai

Mustafa Ki Aamad Ka Waqt Kya Nirala Hai
Shab Guzarne Waali Hai Din Nikal Ne Wala

Mustafa Ki Aamad Ka Waqt Kya Nirala Hai Lyrics In Hindi

मुस्तफ़ा की आमद का वक़्त क्या निराला है
शब गुज़रने वाली है दिन निकलने वाला है

उनके पांव का धोवन चांद में सितारों में
रंग-ओ-रोगने जन्नत आपका गुसाला है

हज़रतों के हज़रत भी देखकर यही बोले
मेरे आला हज़रत का मर्तबा निराला है

आसामं की ऊंचाई उसको पा नहीं सकती
जिसको आला हज़रत के इश्क़ ने उछाला है

दुश्मनाने आक़ा तो जाएंगे जहन्नम में
आशिकों की क़िस्मत में जन्नती निवाला है

उसको छू नहीं सकतीं ज़हमतें ज़माने की
जिसको मेरे आक़ा की रह़मतों ने पाला है

मुस्तफ़ा की आमद का वक़्त क्या निराला है
शब गुज़रने वाली है दिन निकलने वाला

Mustafa Ki Aamad Ka Waqt Kya Nirala Hai Lyrics In Urdu

مصطفیٰ کی آمد کا وقت کیا نرالا ہے
شب گزرنے والی ہے دن نکلنے والا ہے

ان کے پاؤں کا دھوون چاند میں ستاروں میں
رنگ و روغنِ جنت آپ کا غسالہ ہے

حضرتوں کے حضرت بھی دیکھ کر یہی بولے
میرے اعلیٰ حضرت کا مرتبہ نرالا ہے

آسماں کی اونچائی اس کو پا نہیں سکتی
جس کو اعلیٰ حضرت کے عشق نے اچھالا ہے

دشمنانِ آقا تو جائیں گے جہنم میں
عاشقوں کی قسمت میں جنتی نوالہ ہے

اس کو چھو نہیں سکتیں زحمتیں زمانے کی
جس کو میرے آقا کی رحمتوں نے پالا ہے

مصطفیٰ کی آمد کا وقت کیا نرالا ہے
شب گزرنے والی ہے دن نکلنے والا

Leave a Comment