Mangte Khali Haath Na Laute Lyrics

Mangte Khali Haath Na Laute Lyrics

 

 

Mangte Khali Haath Na Laute Lyrics

 

 

Kalam e Khalid Mahmud Khalid Naqshbandi

Mangte Khali Haath Na Laute,

Mangte Khali Haath Na Laute, Kitni Mili Khairaat Na Poochho
Unka Karam Phir Unka Karam Hai, Unke Karam Ki Baat Na Poochho.

 

Kunto Kanzan Raaz-e-Masheeyat, Jalwa-e-Asra Noor-e-Hidayat,
Jagmag-Jagmag Donoñ Aalam, Kaisi Hai Woh Zaat Na Poochho.

 

Ishq-e-Nabi Kaunain Ki Daulat! Ishq e Nabi Bakhshish Ki Zamanat,
Is Se Badhkar Dast-e-Talab Meiñ Hai Bhi Koi Saughat Na Poochho.

 

Rashq-e-Jinañ Taiba Ki Galiyañ Har Zarrah Firdous Badaamañ,
Charoñ Taraf Anwar Ka Aalam, Rahmat Ki Barsat Na Poochho.

 

Zahir Meiñ Taskeene Dilo Jaañ, Baatin Meiñ Meraj e Dil o Jaañ,
Naam e Nabi Phir Naam e Nabi Hai, Naam e Nabi Ki Baat Na poocho.

 

Haal Agar Kuchh Apna Sunaaya, Unke Karam Ka Shikwa Hoga,
Maiñ Apne Haalaat Meiñ Khush Hooñ, Mujh Se Mere Haalaat Na Poocho.

 

Taj-e-Shafaa’at Sar Par Pahne Hashr Ka Doolha Aa Pahoñcha,
Aañkheñ Kholo Ghaur Se Dekho Kiski Hai Baaraat Na Poocho.

 

Maiñ Kya Aur Kya Meri Haqeeqat Sab Kuchh Hai Sarkar Ki Nisbat,
Maiñ To Bura Hooñ Lekin Meri Laaj Hai Kiske Haath Na Poocho.

 

Khalid Maiñ Sirf Itna Kahooñga Jaag Utha Ashkoñ Ka Muqaddar,
Ishq-e-Nabi Meiñ Rote-Rote Kaise Kati Hai Raat Na Poochho.

 

Sharing Is Caring:

Leave a Comment