Woh Sarwar E Kishwar E Risalat Jo Arsh Par Jalwa Gar Huye The Lyrics
Woh Sarwar E Kishwar E Risalat Naat Lyrics
Woh Sarwar E Kishwar E Risalat Naat Lyrics
Woh Sarwar E Kishwar E Risalat Naat Lyrics
Shayar: Ala Hazrat | Naat e Paak
Naat Khwan: Owais Raza Qadri, Qari Khalil Attari, Asad Attari & Adnan Attari, Qari Muhammad Burhan Ali
वोह सरवरे किशवर रिसालत जो अ़र्श पर जल्वा-गर हुए थे
नए निराले त़रब के समां अ़रब के मेहमान के लिये थे
Woh Sarwar E Kishwar E Rishalat Jo Arsh Par Jalwa-Gar Hue The
Naye Niraale Tarab Ke Sama Arab Ke Mehman Ke Liye The
बहार है शादियां मुबारक चमन को आबादियां मुबारक
मलक फ़लक अपनी लै में यह घर अ़नादिल का बोलते थे
Bahaar Hai Shaadiya(N) Mubarak Chaman Ko Aabdiya(N) Mubarak
Malak Falak Apne Lai Me Yeh Ghar Anadil Ka Boltey The
वहां फ़लक पर यहां जमीं में रची थी शादी मची थी धूमें
उधर से अनवार हसते आते इधर से नफ़्ह़ात उठ रहे थे
Wahan Falak Par Yahan Zami Me Rachi Thi Shaadi Machi Thi Dhoome
Udhar Se Anwar Haste Aate Idhar Se Nafhaat Uth Rahe The
यह छूट पड़ती थी उनके रुख़ की कि अ़र्श तक चांदनी थी छटकी
वोह रात क्या जगमगा रही थी जगह जगह नस्ब आईने थे
Yeh Chhoot Padti Thi Unke Rookh Ki Ki Arsh Tak Chandni Thi Chhatki
Woh Raat Kya Jagmaga Rahi Thi Jagah Jagah Nasb Aaine The
Woh Sarwar E Kishwar E Rishalat Jo Arsh Par Jalwa-Gar Hue The
नई दुल्हन की फ़बन में काबा निखर के संवरा संवर के निखरा
ह़जर के सदके कमर के इक तिल में रंग लाखो बनाओ के थे
Naee Dulhan Ki Faban Me Kaaba Nikhar Ke Sanwra Sanwar Ke Nikhra
Hazar Ke Sadqe Kamar Ke Ik Til Me Rang Laakhon Banao Ke The
नज़र में दुल्हा के प्यारे जल्वे ह़या से मेह़राब सर झुकाए
सियाह के पर्दे के मुंह पर आंचल तजल्लिये ज़ात बहुत से थे
Nazar Me Dulhan Ke Pyaare Jalwe Se Mehraab Sar Jhukaye
Siyaah Ki Parde Ke Muh Par Aanchal Tajalliye Zaat Bahut Se The
खुशी के बादल उमड़ के आए दिलों के ताऊस रंग लाए
वोह नग़्मए नात का समां था ह़रम को खुद वज्द आ रहे थे
Khushi Ke Badal Umad Kea Aye Dilon Ke Taa’oos Rang Laaye
Woh Nagma-E-Naat Ka Sama Tha Haram Ko Khud Wajd Aa Rahe The
यह झूमा मीज़ाबे ज़र का झूमर कि आ रहा कान पर ढलक
फुहार बरसी तो मोती झड़ कर ह़त़ीम की गोद में भरे थे
Yeh Jhoom Meezab-E-Zar Ka Jhoomar Ki Aa Raha Kaan Par Dhalak
Fuhaar Barsi To Moti Jhad Kar Hateem Ki Goud Me Bharey The
दुल्हन की खुशबू से मस्त कपड़े नसीमें गुस्ताख़ आंचलों से
ग़िलाफ़े मुश्कीं जो उड़ रहा था ग़ज़ाल नाफे़ बसा रहे थे
Dulhan Ki Khushboo Se Mast Kapde Naseemey Gustaakh Aanchlon Se
Ghilaafe Mushki Jo Ud Raha Tha Ghazal Naafe Basa Rahe The
पहाड़ियों का वोह हुस्ने तज़्ई वोह ऊंची चोटी वोह नाज़ो,तम्कीं !
सबा से सब्ज़ा में लहरें आतीं दुपट्टे धानी चुने हुए थे
Pahadiyon Ka Woh Husne Tazaee Woh Oonchi Choti Woh Naazo, Tamki
Saba Se Sabza Me Lahre Aati Dupatte Dhaani Chune Hue The
Woh Sarwar E Kishwar E Rishalat Jo Arsh Par Jalwa-Gar Hue The
नहा के नहरों ने वोह चमकता लिवास आबे रवां का पहना
कि मौजें छड़ियां थी धार लचका ह़बाबे ताबां के थल टके थे
Naha Ke Nahron Ne Woh Chamkta Liwaah Aabe Rawan Ka Pahna
Ki Mouze Chhadiyan Thi Dhaar Lachka Habaab e Taaba(N) Ke Thal Takey The
पुराना पुरदाग़ मल्गजा था दिया फ़र्श चांदनी का
हुजूमे तारे निगह से कोसों क़दम क़दम फ़र्श बादले थे
Purana Purdaagh Malghaja Tha Diya Farsh Chandni Ka
Hujoome Tare Nigah Se Koson Qadam Qadam Farsh Baadley The
गुबार बनकर निसार जाएं कहां अब उस रह गुज़र को पाएं
हमारे दिल हूरियों की आंखें फ़िरिश्तों के पर जहां बिछे थे
Gubaar Banker Nisar Jayen Kaha Ab Us Rah Guzar Ki Paaye
Hamare Dil Hooriyon Ki Aankhe Firishton Ke Par Jaha Bichhe The
खुदा ही दे सब्र जाने पुरग़म दिखाऊं कर तुझे वोह आ़लम
जब उनके झुरमुट में लेके कुदसी जिनां का दूल्हा बना रहे थे
Khuda He De Sabr Jaane Purgham Dikhaun Kar Tujhe Woh Aalam
Jab Unke Jhurmut Me Leke Kudsi Jina Ka Dulha Bana Rahey The
उतार उनके रुख़ का सदक़ा यह नूर का बट रहा था बाड़ा
कि चांद सूरज मचल मचल कर जबीं की ख़ैरात मांगते थे
Utaar Unke Rukh Ka Sadqa Yeh Noor Ka But Raha Tha Baada
Ki Chand Suraj Machal Machal Kar Jabi Ki Khairat Maangte The
वोही तो अब तक छलक रहा है वोही तो जोवन टपक रहा है
नहाने में जो गिरा था पानी कटोरे तारों ने भर लिए थे
Wohi To Ab Tak Chhalak Raha Hai Wohi To Jowan Tapak Raha Hai
Nahaane Me Jo Gira Tha Paani Katore Taaron Ne Bhar Liye The
बचा जो त़ल्वों का उनके धोवन बना वोह जन्नत का रंग रोग़न
जिन्होंने दूल्हा की पाई उतरन वोह फूल गुलज़ारे नूर के थे
Bacha Lo Talwon Ka Unke Dhowan Bana Woh Jannat Ka Rang Roghan
Jinhone Dulha Ki Paai Utran Woh Phool Gulzaare Noor Ke The
ख़वर यह तहवीले मेहर की थी कि रुत सुहानी घड़ी फ़िरेगी
वहां की पोशाक जैबे तन की यहां का जोड़ा बढ़ा चुके थे
Khabar Yeh Tahweeley Mehr Ki Thi Ki Rut Suhaani Ghadi Firegi
Wahan Ki Poshak Jaibe Tan Ki Yaha Ka Joda Bada Chuke The
तजल्लिये ह़क़ का सेहरा सर पर सलातो तस्लीम की निछावर
दो रुया कुदसी परे जमा कर खड़े सलामी के वास्ते थे
Tajlliye Haq Ka Sehra Sar Par Salaato Tasleem Ki Nichhawar
Do Rooya Kudsi Parey Jama Kar Khade Salaami Ke Waste The
Woh Sarwar E Kishwar E Rishalat Jo Arsh Par Jalwa-Gar Hue The
जो हम भी वां होते ख़ाके गुलशन लिपट के क़दमों से लेते उतरन
मगर करें क्या नसीब में तो यह न मुरादी के दिन लिखे थे
Jo Hum Bhi Waan Hote Khaake Gulshan Lipat Ke Qadmo Se Lete Utran
Magar Kare Kya Naseeb Me To Yeh Na Muraadi Ke Din Likhe The
अभी न आए थे पुश्ते ज़ीं तक की सर हुई मग़्फिरत की शल्लक
सदा शफ़ाअ़त ने दी मुबारक ! गुनह मस्ताना झूमते थे
Abhi Na Aaye The Pushte Zee Tak Ki Sar Hui Maghfirat Ki Shallak
Sada Shafa’at Ne Di Mubarak ! Gunah Mastana Jhoomte The
अ़जब न था रख़्शां का चमकना ग़ज़ाले दम खुर्दा सा भड़कना
शुआ़एं बुक्के उड़ा रही थीं तड़पते आंखों पे साइ़क़े थे
Ajab Na Tha Rakhsha(N) Ka Chaman Ghazaal e Dum Khurda Sa Bhadkna
Shuaa’ey Bukke Uda Rahi Thi Tadapte Aankhon Pe Saai’qe The
हुजूमे उम्मीद है घटाओं मुरादें देकर इन्हें हटाओ
अदब कि बागें लिए बढाओ मलाइका में यह गुलगुले थे
Hujoome Ummid Hai Ghatao(N) Murade Dekar Inhe Hataao
Adab Ki Baaghe Liye Badao Malaika Me Yeh Gulgule The
उठी जो गर्दे रहे मुनव्वर वोह नूर बरसा कि रास्ते भर
घिरे थे बादल भरे थे जल थल उमंड के जंगल उबल रहे थे
Uthi Jo Garde Rahe Munawwar Woh Noor Barsa Ki Raaste Bhar
Ghire The Badal Bhare The Jal Thal Umad Ke Jangal Ubal Rahe The
सित़म किया था कैसी मत कटी थी क़मर ! वोह ख़ाक उन के रह गुजर की
उठा न लाया कि मलते मलते यह दाग़ सब देखता मिटे थे
Sitam Kiya Tha Kaisi Mat Kati Thi Qamar ! Woh Khaak Unke Rah Gujar Ki
Utha Na Laya Ki Malte Malte Yeh Daagh Sub Dekhta Mitey The
वुराक़ के नक़शे सुम के सदक़े वोह गुल खिलाए कि सारे रस्ते
महकते गुलबुन लहकते गुलशन हरे भरे लहलहा रहे थे
Wuraq Ke Naqshe Sum Ke Sadqe Woh Gul Khilaaye Ki Saare Raste
Mahakte Gulbun Lahakte Gulshan Harey Bharey Lahlaha Rahe The
Woh Sarwar E Kishwar E Rishalat Jo Arsh Par Jalwa-Gar Hue The
नमाज़े अक़्सा में था यही सिर्र इ़यां हों मानिये अव्वल आख़िर
कि दस्त बस्ता हैं पीछे ह़ाज़िर जो सलतनत आगे कर गये थे
Namze Aqsa Me Tha Yahi Sirr Eeyan Hon Maaniye Awwal Aakhir
Ki Dastbasta Hein Peechhe Haazir Jo Saltanat Aage Kar Gaye The
यह उनकी आमद का दबदबा था निखार हर शै का हो रहा था
नुजूमे अफ़लाक जामो मीना उजालते थे खंगालते थे
Yeh Unki Aamad Ka Dabdaba Tha Nikhaar Har Shai Ka Ho Raha Tha
Nujoome Aflaak Jaamo Meena Ujaltey The Khangaalte The
निक़ाब उलटे वोह मेहरे अन्वर जलाले रुख़्सार गर्मियों पर
फ़लक को हैबत से तप चढ़ी थी तपकते अंजुम के आबले थे
Niqaab Ultey Woh Mehre Anwar Jalaale Rukhsaar Garmiyon Par
Falak Ko Haibat Se Tup Chadi Thi Tapakte Anjum Ke Aable The
यह जोशिशे नूर का असर था कि आबे गौहर कमर कमर था
सफ़ाए रह से फिसल फिसल कर सितारे क़दमों पे लौटते थे
Yeh Joshish-E-Noor Ka Asar Tha Ki Aabe Gouhar Kamar Kamar Tha
Safa’ey Rah Se Fisal Fisal Kar Sitaare Qadmon Pe Lout’te The
बढ़ा यह लहरा के बह़रे वह़दत कि धुल गया नामे रेग कसरत
फ़लक के टीलों की क्या हक़ीक़त यह अर्शो कुर्सी दो बुलबुले थे
Bada Yeh Lahra Ke Bahre Wahdat Ki Dhul Gaya Naam e Reg Kasrat
Falak Ke Teelon Ki Kya Haqiqat Yeh Arsho Kurshi Do Bulbule The
वोह ज़िल्ले रह़मत वोह रुख़ के जल्वे कि तारे छुपते न खिलने पाते
सुनहरी ज़र बफ़्त ऊदी अत़्लस यह थान सब धूप छाओं के थे
Woh Zilley Rahmat Woh Rukh Ke Jalwe Ki Taarey Chhupte Na Khilne Paatey
Sunhari Zar Baft Oodi Altas Yeh Thaan Sub Dhoop Chhaoon Ke The
चला वोह सर्वे चमां ख़िरामां न रुक सका सिदरा से भी दामां
पलक झपकती रही वोह कब के सब ईनो आं से गुज़र चुके थे
Chala Woh Sarve Chama Khiraama Na Ruk Saka Sidra Se Bhi Daama(N)
Palak Jhapakti Rahi Woh Kab Ke Sub Eeno Aa(N) Se Guzar Chuke The
झलक सी इक कुदसियों पर आई हवा भी दामन की फिर न पाई
सुवारी दूल्हा की दूर पहुंची बरात में होश ही गये थे
Jhalak Si Ik Kudsiyon Par Aai Hawa Bhi Daaman Ki Fir Na Paai
Suwaari Dulha Ki Door Pahunchi Baraat Me Hosh He Gaye The
थके थे रुहुल अमीं के बाज़ू छुटा वोह दामन कहां वोह पहलू
रिकाब छूटी उमीद टूटी निगाहें ह़सरत के वल्वले थे
Thakey The Roohul Ami(N) Ke Baazoo Woh Daman Kaha Woh Pahloo
Rikaab Chhooti Ummid Tooti Nigaahe Hasrat Ke Walwaley The
Woh Sarwar E Kishwar E Rishalat Jo Arsh Par Jalwa-Gar Hue The
रविश की गर्मी को जिसने सोचा दिमाग़ से इक भबूका फूटा
ख़िरद के जंगल में फूल चमका दहर दहर पेड़ जल रहे थे
Rawish Ki Garmi Ko Jisne Socha Deemagh Se Ik Bhabooka Foota
Khirad Ke Jangal Me Phool Chamka Dahar Dahar Ped Jal Rahe The
जिलौ में जो मुर्ग़े अ़क़्ल उड़े थे अ़जब गिरे हालों गिरते पड़ते
वोह सिदरा पर ही रहे थे थक कर चढ़ा था दम तेवर आ गए थे
Jilou Me Jo Murghe Aql Udey The Ajab Girey Haalo(N) Girte Padte
Woh Sidra Par he Rahe The Thak Kar chada tha dum tevar aa gaye the
क़वी थे मुरग़ाने वह़म के पर उड़े तो उड़े को और दम भर
उठाई सीने की ऐसी ठोकर कि ख़ूने अन्देशा थूकते थे
Qawi The Murghane Waham Ke Par Ude Ko Aur Dum Bhar
Uthaai Seene Ki Aisi Thokar Ki Khoone Andesha Thookte The
सुना यह इतने में अ़र्शे ह़क़ ने कि ले मुबारक हों ताज वाले
वोही क़दम ख़ैर से फिर आए जो पहले ताजे शरफ़ तेरे थे
Suna Yeh Itne Me Arshe Haq Ne Ki Le Mubarak Ho(n) Taaj Waale
Wohi Qadam Khair Se Fir Aaye Jo Pahle Taaje Sharaf Tere The
यह सुन के बे खुद पुकार उठ्ठा निसार जाऊं कहां हैं आक़ा
फिर उनके तल्वों का पाऊं बोसा यह मेरी आंखों के दिन फिरे थे
Yeh Sun Ke Be Khud Pukaar Uththa Nisaar Jaaun Kahan Hein Aaqa
Fir Unke Talwon Ka Paaun Bosha Yeh Meri Aankhon Ke Din Firey The
झुका था मुजरे को अ़र्श आला गिरे थे सज्दे में बज़्में बाला
यह आंखें क़दमों से मल रहा था वोह गिर्द कुरबान हो रहे थे
Jhuka Tha Mujre Ko Arsh Aala Girey The Sajde Me Bazme Baala
Yeh Aankhe Qadmo(N) Se Mal Raha Tha Woh Girde Kurbaan Ho Rahe The
ज़ियाएं कुछ अ़र्श पर यह आईं कि सारी क़िन्दीले झिल मिलाईं
हुज़ूरे ख़ुरशीद क्या चमकते चराग़ मुंह अपना देखते थे
Ziya’ey(N) Kuchh Arsh Par Yeh Aai Ki Saari Qindeeley Jhilmilaai
Huzoore Khurshid Kya Chamakte Charagh Muh Apna Dekhte The
यही समां था कि पैके रह़मत ख़बर यह लाया कि चलिये ह़ज़रत
तुम्हारी ख़ात़िर कुशादा हैं जो कलीम पर बन्द रास्ते थे
Yahi Sama Tha Ki Paike Rahmat Khabar Yeh Laya Ki Chaliye Hazrat
Tumhari Khaatir Kushada Hein Jo Kaleem Par Band Raaste The
बढ़ ऐ मुह़म्मद करीं हो अह़मद क़रीब आ सरवरे मुमज्जद
निसार जाऊं यह क्या निदा थी यह क्या समां था यह क्या मज़े थे
Bud Ey Muhammad Kari(N) Ho Ahmad Qareeb Aa Sarware Mumjjad
Nisar Jaaun Yeh Kya Nida Thi Yeh Kya Sama Tha Yeh Kya Maze The
ख़िरद से कह दो कि सर झुका ले गुमां से गुज़रे गुज़रने वाले
पड़े हैं यां खुद जिहत को लाले किसे बताए किधर गए थे
Khirad Se Kah Do Ki Sar Jhuka Le Guma Se Ghuzre Ghuzrne Waale
Pade Hein Yaa(N) Khud Jihat Ko Laale Kise Bata’ey Kidhar Gaye The
सुराग़े ऐनो मता कहां था निशाने कैफ़ो इला कहां था
न कोई राही न कोई साथी न संगे मन्ज़िल न मरह़ले थे
Suraghe Aino Mata Kahan Tha Nishane Kaifo Ilaa Kaha Tha
Na Koi Raahi Na Koi Saathi Na Sange Manzil Na Marhale The
उधर से पैहम तक़ाज़े आना इधर था मुश्किल क़दम बढ़ाना
जलालो हैबत का सामना था जमालो रह़मत उभारते थे
Udhar Se Paiham Taqaze Aana Idhar Tha Mushkil Qadam Badana
Jalaalo Haibat Ka Saamana Tha Jamaalo Rahmat Ubhaarte The
बढ़े तो लेकिन झिझकते डरते ह़या से झुकते अदब से रुकते
जो कुर्ब उन्हीं की रबिश पे रखते तो लाखों मन्ज़िल के फ़ासिले थे
Bade To Lekin Jhijhakte Darte Haya Se Jhukte Adab Se Ruktey
Jo Kurb Unhi Ki Rabish Pe Rakhtey To Laakhon Manzil Ke Faasiley The
पर इनका बढ़ना तो नाम को था ह़क़ीक़तन फ़ेल था उधर का
तनुज़्ज़लों में तरक़्क़ी अ़फ़ज़ा दना तदल्ला के सिलसिले थे
Par Inka Badna To Naam Ko Tha Haqiqatan Fail Tha Udhar Ka
Tanuzzalo(n) Me Tarqqi Afza Dana Ta’dalla Ke Silsiley The
हुआ न आख़िर कि एक बजरा तमव्वुजे बह़रे हू में उभरा
दना कि गोदी में उनको ले कर फ़ना के लंगर उठा दिये थे
Hua Na Aakhir Ki Ek Bajra Tamawwuje Bahre Hoo Me Ubhra
Dana Ki Godi Me Unko Le Kar Fana Ke Langar Utha Diye The
किसे मिले घाट का किनारा किधर से गुज़रा कहां उतारा
भरा जो मिस्ले तरार वोह अपनी आंखों से खुद छुपे थे
Kise Miley Ghaat Ka Kinara Kidhar Se Guzra Kahan Utara
Bhara Jo Misley Taraar Woh Apni Aankhon Se Khud Chhupe The
उठे जो क़सरे दना के पर्दे कोई ख़बर दे तो क्या ख़बर दे
वहां तो जा ही नहीं दुई की न कह कि वोह भी न थे अरे थे
Uthey Jo Qasrey Dana Ke Parde Koi Khabar De To Kya Khabar De
Waha To Jaa He Nahi Du’ee Ki Na Kah Ki Woh Bhi Na Arey The
Woh Sarwar E Kishwar E Rishalat Jo Arsh Par Jalwa-Gar Hue The
वोह बाग़ कुछ ऐसा रंग लाया कि गुन्चओ गुल का फ़र्क़ उठाया
गिरह में कलियों की बाग़ फ़ूले गुलों के तुक्मे लगे हुए थे
Woh Baagh Kuchh Aisa Rang Laaya Ki Gunchao Gul Ka Farq Uthaaya
Girah Me Kaliyon Ki Baagh Phoole Gulon Ke Tukme Lage Hue The
मुहीत़ो मरक़ज़ में फ़र्क़ मुश्किल रहे न फ़ासिल खुत़ूते वासिल
कमानें ह़ैरत में सर झुकाए अ़जीब चक्कर में दाएरे थे
Muheeto Marqaz Me Farq Mushkil Rahe Na Faasil Khutoone Waasil
Kamane Hairat Sar Jhukaye Ajeeb Chakkar Me Daaye’re The
ह़िजाब में लाखों पर्दे हर एक पर्दे में लाखों जल्वे
अ़जब थी कि वस्लो फुरक़त जनम के बिछड़े गले मिले थे
Hijaab Me Laakhon Pardey Har ek Pardey Me Laakhon Jalwe
Ajab Thi Ki Waslo Furqat Janam Ke Bichchde Gale Miley The
ज़बाने सूखी दिखा के मौजें तड़प रही थीं कि पानी पाएं
भंवर को यह ज़ोफ़े तिश्नगी था कि ह़ल्के़ आंखों में पड गये थे
Zabaane Sookhi Dikha Ke Moujen Tadap Rahi Thi Ki Paani Paayen
Bhabar Ko Yeh Zofe Tishnagi Tha Ki Halke Aankho Me Pad Gaye The
वोही है अव्वल वोही है आख़िर वोही है वात़िन वोही है ज़ाहिर
उसी के जल्वे उसी से मिलने उसी से उसकी त़रफ़ गये थे
Wohi Hai Awwal Wohi Hai Aakhir Wohi Hai Watin Wohi Hai Zaahir
Usi Ke Jalwe Usi Se Milne Usi Se Uski Taraf Gaye The
कमाने इम्कां के झूंटे नुक़्तो तुम अव्वल आख़िर के फेर में हो
मुह़ीत़ की चाल से तो पूछो किधर से आए किधर गए थे
Kamane Imka(N) Ke Jhoote Nukto Tum Awwal Aakhir Ke Fer Me Ho
Muheet Ki Chaal Se To Poochho Kidhar Se Aaye Kidhar Gaye The
इधर से थीं नज़रे शह नमाज़ें उधर से इनआमें खुसरवी में
सलामों रह़मत के हार गुंध कर गुलूए पुरनूर में पड़े थे
Idhar Se Thi Nazre Shah Namaze Udhar Se In’aam E Khusravi Me
Salaamon Rahmat Ke Haar Gundh Kar Guloo-E-Purnoor Me Pade The
ज़बान को इन्तिज़ारे गुफ़्तन तो गोश को ह़सरते शुनी दन
यहां जो कहना था कह लिया था जो बात सुननी थी सुन चुके थे
Zabaan Ko Intizaare Guftan To Gosh Ko Hasratey Shuni dan
Yahan Jo Kahna Tha Kah Liya Tha Jo Baat Sunni Thi Sun Chuke The
वोह बुर्जे बत़्ह़ा का माह पारा बिह़िसश्त की सैर को सिधारा
चमक पे था खुल्द का सितारा कि उस क़मर के क़दम गये थे
Woh Burje Bat’ha Ka Maah Paara Bihisasht Ki Sair Ko Sidhara
Chamak Pe The Khuld Ka Sitara Ki Us Qamar Ke Qadam Gaye The
सुरुरे मक़दम की रोशनी थी कि ताबिशों से महे अ़रब की
जिनां के गुलशन थे झाड़ फ़र्शी जो फूल थे सब कंवल बने थे
Suroore Maqdam Ki Roshni Thi Ki Taabishon Se Mah Arab Ki
Jina(N) Ke Gulshan The Jhaad Farshi Jo Phool The Sub Kanwal Bane The
त़रब की नाज़िश की हां लचक्ये अदब वोह बन्दिश कि हिल न सकिये
यह जोशे ज़िद्दैन था कि पौदे कशा कशे अर्रा के तले थे
Tarab Ki Naazish Ki Han Lachak’ye Adab Woh Bandish Ki Hil Na Sakiye
Yeh Joshe Ziddain Tha Ki Poude Kasha Kashey Arra Ke Taley The
खुदा की कुदरत कि चांद ह़क़ के करोरो मंजिल में जल्वा करके
अभी न तारों की छाओं बदली कि नूर के तड़के आ लिये थे
Khuda Ki Kudrat Ki Chand Haq Ke Karoro Manjil Me Jalwa Kar Ke
Abhi Na Taaron Ki Chhao(N) Badli Ki Noor Ke Tadke Aa Liye The
नबिय्ये रह़मत शफ़ीए उम्मत ! रज़ा पे लिल्लाह हो इ़नायत
इसे भी उन खिल्अतों से ह़िस्सा जो ख़ास रह़मत के वां बटे थे
Nabiyye Rahmat Shafi’ey Ummat ! RAZA Pe Lillah Ho Inayat
Ise Bhi Un Khil’ato(N) Se Hissa Jo Khaas Rahmat Ke Waa(N) Batey The
सनाए सरकार है वज़ीफ़ा क़बूले सरकार है तमन्ना
न शाइ़री की हवस न परवा रवी थी क्या कैसे क़फ़िये थे
Sana-E-Sarkar Hai Wazifa Qaboole Sarkar Hai Tamanna
Na Shayeri Ki Hawas Na Parwa Rawi Thi Kya Kaise Qaafiye The
Hind And English Naat lyrics
Woh Sarwar E Kishwar E Risalat Jo Arsh Par Jalwa Gar Huye The Lyrics
Nee Nirale Tarab Ke Saaman Arab Ke Mehman Ke Liye The
Bahar Hai Shadiyan Mubarak Chaman Ko Aabadiyan Mubarak
Malak Falak Apni Apni Le Main Yeh Ghar Ana Dil Ka Bolte The
Wahan Falak Per Yahan Zameen Main Rachi Thi Shaadi Machi Thi Dhoomein
Udhar Se Anwar Haste Aate Idhar Se Naf-Haat Ooth Rahe They
Yeh Joot Padti Thi Unke Rukh Ki Ke Arsh Tak Chandni Thi Chhatki
Woh Raat Kya Jagmaga Rahi Thi Jagah Jagah Nasb Aaine They
Nei Dulhan Ki Phaban Main Kaaba Nikhar Ke Sanwara Sanwar Ke Nikhra
Hajar Key Sadqe Kamar Key Eik Til Main Rang Lakhoon Banao Key They
Nazar Main Dulha Key Pyare Jalwe Hea Se Mehrab Sir Jhukee
Siyah Parde Ke Moun Per Aanchal Tajaliye Zaat E Bahat Se The
Khushi Ke Badal Umand Ke Aee Diloon Ke Taoos Rang Lee
Woh Naghma E Naat Ka Samaan Tha Haram Ko Khud Wajd Aa Rahe The
Yeh Jhooma Mizab E Zar Ka Jhoomer Ke Aa Raha Kaan Per Dhalak Ker
Phuhar Barsi To Moti Jhar Ker Hatim Ki Gaud Mein Bhare They
Dulhan Ki Khushboo Se Mast Kapre Nasim E Gustakh Aanchloon Se
Gilaf E Mushkeen Jo Oord Raha Tha Ghazal Naafe Basaa Rahe The
Pahadiyoon Ka Woh Husn E Taz’ee Woh Oonchi Choti Woh Nazo Tamqeen
Saba Se Sabzah Main Lehrein Aateen Dupatte Dhani Chune Huye The
Naha Ke Nehroon Ne Woh Chamakta Libas Aabe Rawan Ka Pehna
Ki Mauj E Chadiyaan Thi Dhaar Lachka Habab E Tabaan Ke Thal Take The
Purana Purdag Malgaja Tha Utha Diya Farsh Chandni Ka
Hajoom E Tare Nigah Se Kosoon Qadam Qadam Farsh Baadley The
Ghubar Ban Ker Nisaar Jeein Kahan Ab Uss Rah Guzar Ko Peein
Hamare Dil Huriyoon Ki Aankhein Farishtoon Ke Per Jahan Biche The
Khuda Hee De Sabr Jaan E Purgham Dikhaoon Kyun Kar Tujhe Woh A’alam
Jab Unko Jhurmat Main Lake Qudsi Jinaa Ka Dulha Bana Rahe The
Utar Ker Unke Rukh Ka Sadqa Yeh Noor Ka But Raha Tha Bada
Ke Chand Suraj Machal Machal Ker Jabeen Ki Khairat Mangte The
Wohi To Ab Tak Chalak Raha Hai Wohi To Joban Tapak Raha Hai
Nahane Me Jo Gira Tha Pani Katore Taroon Ne Bhar Liye The
Bacha Jo Talwoon Ka Unke Dhouwan Bana Woh Jannat Ka Rang O Roghan
Jinhoon Ne Dulha Ki Pei Utran Woh Phool Gulzar E Noor Ke The
Khabar Yeh Tehweele Maher Ki Thi Ke Rut Sunhani Ghadi Phire Gee
Wahan Ki Poshak Ze-Be Tan Ki Yahan Ka Joda Badha Chuke The
Tajaliy E Haq Ka Sehra Sar Per Salat O Tasleem Ki Nichawar
Do Roya Qudsi Pare Jama Kar Kharhe Salami Ke Waaste The
Jo Hum Bhi Waan Hote Khaq E Gulshan Lipat Ke Qadmoon Se Ley Te Utran
Magar Karein Kiya Naseeb Main To Yeh Namuradi Ke Din Likhe The
Abhi Na Aee The Pusht E Zeen Tak Ke Sir Hui Maghfirat Ki Shallak
Sada Shafa’at Ne Di Mubarak! Gunaah Mastana Jhoomte The
Ajab Na Tha Rakhsh Ka Chamakna Gazal E Dam Khurdasa Bhadakna
Shuaein Bukke Urha Rahi Theen Tadapte Ankhoon Pe Saieqe The
Hujum E Umeed Hai Ghatao Muradein De Kar Inhein Hatao
Adab Ki Baagein Liye Badhao Malaika Me Yeh Ghal Ghale The
Uthi Jo Garde Rahe Munawar Woh Noor Barsa Ke Raaste Bhar
Ghire The Badal Bhare The Jal Thal Umand Ke Jangle Ubal Rahe The
Sitam Kiya Kaisi Mat Kathi Thi Qamar Woh Khak Unke Rah Guzar Ki
Utha Na Lea Ke Milte Milte Ye Daagh Sab Dekhte Mite They
Burraq Ke Naqshe Sum Ke Sadqe Woh Gul Khilee Ke Sare Rastey
Mehakte Gulban Mehakte Gulshan Hare Bhare Lahlaha Rahe The
Namaz E Aqsa Main Tha Yehi Seer Ean Houn Ma’ani E Awwal Akhir
Key Dast Basta Hain Pichey Hazir Jo Salatanat Aage Kar Gee The
Yeh Unki Aamad Ka Dab-Daba Tha Nikhar Her Shaiy Ka Ho Raha Tha
Nujoom O Aflak Jam O Mina Ujalte The Khangaltey They
Naqab Ulte Woh Mehr E Anwar Jalal O Rukhsar Garmiyoon Per
Falak Ko Hebat Se Tap Charhi Thi Tapakte Anjum Ke Aable Tha
Yeh Joshishe Noor Ka Asar Tha Key Aabe Gohar Qamar Qamar Tha
Safaey Rah Se Phisal Phisal Kar Sitare Qadmon Pe Laut’te The
Badha Ye Lehra Ke Behr O Wahdat Key Dhul Gea Naam E Raige Kasrat
Falak Key Teloon Ki Kiya Haqeeqat Yeh Arsh O Kursi Do Bulbule The
Woh Zill E Rehmat Woh Rukh Key Jalwe Ke Taare Chupte Na Khilne Paate
Sunehri Zarbaft Udi Atlas Yeh Than Sab Dhoop Chaoon Ke The
Chala Woh Serve E Chamaan Kharamaa Na Ruk Saka Sidra Se Damaan
Palak Jhapakti Rahi Woh Kab Ke Sab Aeno Aan Se Guzar Chuke The
Jhalak See Eik Qudsiyoon Per Aei Hawwaa Bhi Daman Ki Phir Na Pei
Sawari Dulha Ki Dur Pohnchi Barat Main Hosh Hi Gee The
Thake The Ruhul Amin Key Bazu Chuta Woh Daman Kahan Woh Pehloo
Rikab Chooti Ummeed Tuti Nigah E Hasrat Key Walwaley The
Ravish Ki Garmi Ko Jis Ney Socha Dimag Se Eik Bhabuka Phoota
Khirad Key Jungle Main Phool Chumka Dahar Dahar Ped Jal Rahe The
Jiloo Main Jo Murge A’qal Ure The Ajab Boore Haloon Girte Parte
Woh Sidrah Hee Per’rahe The Thak Kar Charha Dam Tewar Aa Gee The
Qavi They Nurgan E Waham Ke Per Ure To Urdne Ko Aur Dam Bhar
Utha’ee Seene Ki Aisi Thokar Ke Khoone Andesha Th’oo’kte The
Suna Yeh Itne Mein Arsh E Haq Ne Ke Le Mubarak Ho Taaj Waley
Wohi Qadam Khair Se Phir Aee Jo Pehle Taaj E Sharaaf Tere The
Yeh Sunke Be Khud Pukar Utha Nisar Jaoon Kahan Hain Aaqa
Phir Unke Talwoon Ka Paoon Bosa Yeh Meri Aankhon Ke Din Phire The
Jhuka Tha Mujre Ko Arsh E Aala Gire They Sajde Me Bazme Bala
Yeh Aankhein Qadmoon Se Mal Raha Tha Woh Girde Qurbaan Ho Rahe The
Ziyaein Kuch Arsh Per Yeh Aaein Ke Sari Qindileen Jhilmileeen
Huzoor E Khurshid Kya Chamakte Chairagh Moun Apna Dekh Te The
Yehi Sam’an Tha Ke Paike Rehmat Khabar Yeh Lea Ke Chaliye Hazrat
Tumhari Khatir Kushada Hain Woh Jo Kalim Per Band Rastae The
Badh E Muhammad Qaree Ho Ahmed Qareeb Aa Sarwar E Mumajjad
Nisar Jaoon Yeh Kiya Nida Thi Yeh Kiya Samaan Tha Yeh Kiya Maze The
Tabarakallah Shan Teri Tujhi Ko Zaiba Hai Be Niyazi
Kahin To Woh Josh E Lan-Tarani Kaheen Takaze Visal Ke The
Khirad Se Keh Do Ke Sir Jhuka Le Gumaan Se Guzre Guzarne Wale
Pare Hain Yahan Khud Jaihat Ko Laale Kise Batee Kidhar Gee The
Surag Aino Mataa Kahaan Tha Nishan E Kaifo Illa Kahan Tha
Na Koi Rahi Na Koi Sathi Naa Sang E Manzil Naa Merhale The
Udar Se Peham Taqaze Aana Idhar Se Mushkil Qadam Barhana
Jalal O Haibat Ka Saamna Tha Jamalo Rehmat Ubharte The
Barhe To Lekin Jhee-Jhakte Darte Hea Se Jhukte Adab Se Rukte
Jo Qurb Unhi Ki Ravish Pe Rakhte To Lakhoon Manzil Ke Fasile The
Per Unka Barhna To Naam Ko Tha Haqeeq’tan Fail Tha Udhar Ka
Tanazuloon Mein Taraki Afza Dana Tadalla Key Silsile The
Hua Yeh Aakhir Ke Aik Bajra Tamoje Bahrey Hoo Mein Ubhra
Dana Ki Godi Mein Unko Lekar Fana Ke Langar Utha Diye The
Kise Mile Ghat Ka Kinara Kither Se Guzra Kahan Utra
Bhara Jo Misle Nazar Tarara Woh Apni Aankhoon Se Khud Chupe The
Uthe Jo Qasre Dana Ke Parde Koi Khabar Dey To Kiya Khabar De
Wahan To Ja Hee Nahin Duee Ki Na Keh Ke Woh Bhi Na The Are The
Woh Baag Kuch Aisa Rang Lea Ke Guncha O Gul Ka Faraq Uthea
Girah Mein Kal’liyoon Ki Baag Phoole Guloon Ke Takme Lage Hue The
Muhito Markaz Mein Faraq Mushkil Rahe Na Faasil Khutoot E Wasil
Kamaan E Hairat Mein Sir Jhukee Ajeeb Chakar Mein Da’ere The
Hijab Uhne Mein Lakhoon Parde Har Aik Parde Main Lakhon Jalwe
Ajab Ghari Thi Ke Waslo Furqat Janam Ke Bichre Gale Mile The
Zabanein Sukhi Dikha Ke Mojein Tarap Rahi Thien Ke Pani Paein
Bhanwar Ko Yeh Zofe Tashnagi That Ke Halqe Aankhoon Mein Par Gee The
Wohi Hai Awwal Wohi Hai Aakhir Wohi Hai Batin Wohi Hai Zahir
Usi Ke Jalwe Usi Se Milne Usi Se Uski Taraf Gee The
Kaman E Imakan Ke Jhute Nukto Tum Awwal Akhir Ki Phair Mein Ho
Muhit Ki Chal Se To Pucho Kidhar Se Aee Kidhar Gee The
Udhar Se Theen Nazre Shah Namaz’ain Idhar Se Inaam E Khusravi Mein
Salam O Rehmat Ke Haar Gundh Ker Glue E Pur Noor Mein Pare The
Zabaan Ko Intezar Guftan To Gos Ko Hasrat E Shunidan
Yahan Jo Kehna Tha Keh Liya Tha Jo Baat Sun’ni Thi Sun Chuke The
Woh Burj E Batha Ka Mahpara Bahishat Ki Sair Ko Sidhara
Chamak Pe Tha Khuld Ka Sitara Ke Iss Qamar Ke Qadam Gee The
Suroor E Maqdam Ki Roshni Thi Ke Tabishoon Se Mah E Arab Ki
Jina Ke Gulshan The Jhaar Farshi Jo Phool The Sab Kanwal Bane The
Tarab Ki Nazish Ke Haan Lachakiye Adab Woh Bandish Ke Hill Na Sakiye
Yeh Josh E Ziden Tha Keh Pode Kasha Kish E Arah Ke Tale The
Khuda Ki Qudrat Keh Chand Haq Ke Karoroon Manzil Mein Jalwa Kar Ke
Abhi Na Taroon Ki Chaoon Badli Keh Noor Ke Tarke Aa Liye The
Nabi E Rehmat Shafi E Ummat Raza Pe Lillah Ho Ineat
Ise Bhi Unn Khal’atoon Se Hisa Jo Khas Rehmat Ke Waan Bate The
Sana E Sarkar Hai Wazifa Qabool E Sarkar Hai Taman’na
Na Sheari Ki Hawas Na Parwah Radi Thi Kiya Kaise Kafiye The
Zarray Jhar Kar Teri Pezaron Kay Naat Lyrics
Zeenato Sajda-O Bazme Qazaa Milta Nahein Naat Lyrics
Zehe Izzat-O Itlaaye Muhammad Naat Lyrics
Zikr E Khairulwara Naat Lyrics
Zikre Aaqa Se Seena Saja Hai Naat Lyrics
Zindagi Hay Nabi Ki Nabi Ke Liye Naat Lyrics
ARE SAHI LIKHO ISME BAHUT SI GALTIYA HAI KISI AALIM HAAFIZ QARI SE TRANSLATE KARWA KAR LIKHO