be-nawaaon ki nawaa sunta hai lyrics

be-nawaaon ki nawaa sunta hai lyrics

 

 

be-nawaao.n ki nawaa sunta hai
iltija sab ki KHuda sunta hai
ham ke bande hai.n sanaa karte hai.n
wo ki KHaaliq hai sadaa sunta hai

mai.n banda-e-‘aasi hu.n, KHata-kaar hu.n, maula !
lekin teri rahmat ka talabgaar hu.n, maula !

mai.n banda-e-‘aasi hu.n, KHata-kaar hu.n, maula !

waabsta hai ummeed meri tere karam se
tera hu.n, faqat tera parastaar hu.n, maula !

mai.n banda-e-‘aasi hu.n, KHata-kaar hu.n, maula !

baahar ke ujaale mujhe kya raah sujhaae.n !
andar ke andhero.n me.n giraftaar hu.n, maula !

mai.n banda-e-‘aasi hu.n, KHata-kaar hu.n, maula !

phir tu mere imaa.n ko tawaanaai ‘ata kar
barso.n nahi.n sadiyo.n se mai.n beemaar hu.n, maula !

mai.n banda-e-‘aasi hu.n, KHata-kaar hu.n, maula !

jin se mai.n guzar jaau.n, wo dar khol de mujh me.n
KHud apne hi raste ki mai.n deewaar hu.n, maula !

mai.n banda-e-‘aasi hu.n, KHata-kaar hu.n, maula !

ik tera ishaara ho aur aasaan ho mushkil
ik lahar uThe aur mai.n us paar hu.n, maula !

mai.n banda-e-‘aasi hu.n, KHata-kaar hu.n, maula !

Leave a Reply

This site uses Akismet to reduce spam. Learn how your comment data is processed.

%d bloggers like this: