MUSTAFA E ZAATE YAKTA AAP HAIN

 

Mustafa e Zaate yakta Aap hain

Yak ne jisko yak banaaya Aap hain

 

 

Aap jaisa koi ho sakta nahin

Apni har khoobi mein tanha Aap hain

 

 

Aabo gil mein noor ki pehli kiran

Jaane Aadam Jaane Hawwa Aap hain

 

 

La Makaan tak jis ki phaili Raushni

Wo Charaage Aalam Aara Aap hain

 

 

Hai Namak jis ka khameer e husn mein

Wo Maleehe husn Aara Aap hain

 

 

Naazish e Arsho waqaar e Arshiyaan

Saahibe qausain o adna Aap hain

 

 

Aap ki Tal’at Khuda ka aaina

Jis mein chamke Haq ka Jalwa Aap hain

 

 

Aap ko Rab ne kiya apna Habeeb

Saari khalqat ka Khulaasa Aap hain

 

 

Aap ki khaatir banaaye do jahaan

Apni khaatir jo banaaya Aap hain

 

 

Jaan tui Jaanaan Qaraare Jaan tui

Jaane Jaan Jaane Maseeha Aap hain

 

 

Aap se khud aap ka saail hun main

Jaane Jaan meri tamanna Aap hain

 

 

Aap ki Tal’at ko dekha jaan di Qabr mein

pahuncha to dekha Aap hain

 

 

Bar Darat Aamad gadaa behre Sawaal Ho

bhalaa AKHTAR ka daata Aap hain

 

 

 

Leave a Reply

This site uses Akismet to reduce spam. Learn how your comment data is processed.

%d bloggers like this: