Agar zauq e amal ko aaj ameer e karwan kar lain Naat Lyrics

Agar zauq e amal ko aaj ameer e karwan kar lain Naat Lyrics

 

Agar zowq e amal ko aaj ameer e karwaan kar lain
Badal kar phir wohi pehli see taqdeer e jahaan kar lain

Woh suntain hain zamana sar gazisht gham sunaata hay
Zara mauqa jo mil jaaye toh kuch hum bhi bayan kar lain

Idhar aao bohat mumkin nishan-e-rah mil jaaye
Yeh hain naqshe qadam barh kar talash-e-karwaan kar lain

Lipat kar unkay daman say machal kar unke qadmon par
Hum apni pastiyon ko phir hareef e asmaan kar lain

Dayaar e paak kay kaanton say kar ke dosti hum dum
Riyaz e khuld kay phoolon ko apna raaz daan kar lain

Nazar main jazb hai rangeeniyan gulzar e Tayba ki
Jahan chahain wahan paida naya baagh e jinaa kar lain

Dafur e showk main mal kar jabeen ko aastaane say
Nishan e sajdah e tauheed ko jannat nishan kar lain

Yaheen say rahmaton ka sath ho jaaye agar Tehseen
Kisi kay zikr ko harf e akheere dastan kar lain

Leave a Reply

This site uses Akismet to reduce spam. Learn how your comment data is processed.

%d bloggers like this: