Dariya Hai Hamara Noha Lyrics

Dariya Hai Hamara Noha Lyrics

 

 

Dariya pe jo pahuncha asadullah ka pyara
Lalkar ky phir faoj ko ghazi yeh pukara
Tum sab yehi kehty thy keh dariya hai hamara
Ab dekh ke dariya hai hamara ke tumhara
Lo cheen lo ye hum hain ye qabza hai hamara

Darya hai hamara darya hai hamara…

Abbas ka nara hai alamdar ka nara darya hai hamara
Lo cheen lo ye hum hain ye qabza hai hamara

Abbas e alamdar alamdar alamdar

Main haider e karrar ky saye mein pala Hun
Main fatima zehra ki duaon ka sila hun
Abbas mera naam alamdar e wafa hun
Yeh nam o nasab hai meri qismat ka sitara

Darya hai hamara darya hai hamara…

Lo cheen lo ye hum hain ye qabza hai hamara

Abbas ka nara hai alamdar ka nara darya hai hamara

Aaqa ki duaon ka karam sath hai mery
Dekho bani hashim ka hasham sath hai mery
Rutba hai alamdar alam sath hai mery
Lehra ke pharaira bhi ye karta hai ishara

Darya hai hamara darya hai hamara…

Abbas ka nara hai alamdar ka nara darya hai hamara

Abbas e alamdar alamdar alamdar…

Sahil py jo yeh faoj ky dasty hain tumhary
Ek aan mein paiwand e zameen hon abhi sary
Darya ulat aye abhi qadmon mein hamary
Ek hashr bapa kar dun main kar dun jo ishara

Darya hai hamara darya hai hamara…

Lo cheen lo ye hum hain ye qabza hai hamara
Abbas ka nara hai alamdar ka nara darya hai hamara

Khat bhej ky tum ny jinhen yasrab sy bulaya
Mehman thy lekin unhen darya sy hataya
Pyasay hi rahe wo unhe pani na pilaya
Allah ny jin k liye kosar ko utara

Darya hai hamara darya hai hamara…

Sharing Is Caring:

1 thought on “Dariya Hai Hamara Noha Lyrics”

Leave a Comment