Chand Hai Hairat Me Muh Takta Hai Tara Ghous Ka Lyrics
Shayar: Allama Ghulam Mustafa
चांद है हैरत में मुंह तकता है तारा ग़ौस का
हो गई रौशन फ़ज़ा चमका जो मुखड़ा ग़ौस का
Chand Hai Hairat Me Muh Takta Hai Tara Ghous Ka
Ho Gai Roushan Faza Chamke Jo Mukhda Ghous Ka
हर नज़र कश्कोल,एक एक सांस दामाने सवाल
ऐ खुदा बन्दे को दे दे कुछ तो सदक़ा ग़ौस का
Har Nazr Kashkol, Ek Ek Saans Daamaane Sawaal
Ey Khuda Bande Ko De De Kuch To Sadqa Ghous Ka
ज़ुल्फ़े असवद रुए अनवर के ज़रा एजाज़ देख
शब है बांदी ग़ौस की और दिन है बुर्दा ग़ौस का
Zulfe Aswad Roo-E-Anwar Ke Zara Aijaaz Dekh
Shab Hai Baandi Ghous Ki Aur Din Hai Burda Ghous Ka
हट भी जा जन्नत के दर से नाम ऐ रिज़वाँ न पूछ
नात लेवा ग़ौस का हूं नात लेवा ग़ौस का
Hat Bhi Jaa Jannat Ke Dar Se Naam Ey Rizwaa(N) Na Poochh
Naat Lewa Ghous Ka Hoon Naat Lewa Ghous Ka
कूचए उल्फ़त में क्यों डगने लगे मेरे क़दम
मैं नहीं मन्सूर हां शैदा हूं शैदा ग़ौस का
Kooch-E-Ulfat Me Kyon Dagney Lagey Mere Qadam
Mein Nahi Mansoor Haan Shaida Hoon Shaida Ghous Ka
शायरी मेरी है हज़रत आईना दारे जमाल
यानी एक एक शेअ़र में रक़सां है जलवा ग़ौस का
Shayari Meri Hai Hazrat Aaina Daare Jamaal
Yaani Ek Ek She’ar Me Raqsaa(N) Hai Jalwa Ghous Ka