ye roz o shab ki betaabi lyrics
ye roz o shab ki betaabi
ye roz o shab ki betaabi ye lutf e jaavidaan kya hai
bajuz ishq e nabi meri in ankhon se rawan kya hai
simat jaate nahi kyun faasle shehr e muhammad ke
main aksar sochta rehta hoon aakhir darmiyan kya hai
salaamat hai abhi tak aashiyan toh hai karam unka
main toh nadaan tha danista bhi kya kya na kiya
laaj rakh li mere lajpal ne ruswa na kiya
dar e huzur kisi benawa se band nahi
khula hi rehta hai baab e karam ata ke liye
salaamat hai abhi tak aashiyan toh hai karam unka
wagar na meri himmat ka meri taab o tawa kya hai
muyassar ho jise apne nabi ke naam ki rimjhim
phir uske waaste kali ghata ka saayban kya hai
khule hain unki azmat ke ‘Alam’ sidra se bhi aage
zameen o aasman kya hai makaan o lamaakan kya hai