Haath Insaaf Ke Choron Ka Bhi Kya Main Kaatuñ Lyrics || Barkate Raza


Haath Insaaf Ke Choron Ka Bhi Kya Main Kaatuñ Muzaffar Warsi Sahab Ka Likha Hua Ek Nihayat Hi Mashhoor Aur Behad Purasar Sufiyana O Falsafiyana Kalam Hai. Is Khubsurat Ghazal Me Muzaashre Ke Insaaf Aur Zulm Ke Khilaf Badi Be-Baaki Se Aawaz Uthai Gayi Hai.

Naat InformationDetails
Naat TitleHaath Insaaf Ke Choron Ka Bhi Kya Main Kaatuñ
Poet / WriterMuzaffar Warsi
CategorySufiyana Kalam / Ghazal
Naatkhawan / ReciterMuzaffar Warsi
Book NameBarkate Raza Naat Book

Haath Insaaf Ke Choron Ka Bhi Kya Main Kaatuñ Lyrics In Roman

Haath Insaaf Ke Choron Ka Bhi Kya Main Kaatuñ
Jurm Qanoon Kare Aur Saza Main Kaatuñ

Doodh Ki Naher, Shahinshah Mahal Mein Le Jaye,
Tesha E Khooñ Se Pahaadoñ Ka Gala Maiñ Kaatuñ

Tere Haathon Meiñ Hai Talwar, Mere Paas Qalam
Bol! Sar Zulm Ka Tu Kaatega, Ya Main Kaatuñ

Ab To Bande Bhi, Khuda Bandoñ Ki Taqdeer Likheñ
De Wo Taaqat Mujhe, In Sab Ka Likha Main Katuñ

Paoñ Hote Hue, Kab Tak Chaluñ Baisakhiyoñ Per
Kab Talak Dusroñ Ka Boya Hua, Main Kaatuñ

Khule Mahaul Pe Wo Hawas Ko Ma’amoor Kare,
Saañs Ki Dhaar Se Zanjeer E Hawa, Main Kaatuñ

Chhañv To Usko Muzaffar Nahin Achchhi Lagti
Kahta Mujhse Hai Ki, Ye Peid Ghana Maiñ Katuñ

Haath Insaaf Ke Choron Ka Bhi Kya Main Kaatuñ Lyrics In Hindi

हाथ इंसाफ़ के चोरों का भी क्या मैं काटूं।
जुर्म क़ानून करे और सज़ा में काटूं।

दूध की नहर शहंशाह महल में ले जाए
तेशा-ए-ख़ूॅं से पहाड़ों का गला में काटूं।

तेरे हाथों में है तलवार, मेरे पास क़लम!
बोल सर ज़ुल्म का तू कटेगा या मैं काटूं।

अब तो बंदे भी खुदा बंदों की तक़दीर लिखें
दे वो ताक़त मुझे इन सब का लिखा मैं काटूं।

पांव होते हुए, कब तक चालूं बेसाखिय़ों पर
कब तलक दूसरों का बोया हुआ मैं काटूं।

खुले माहौल पे वह हवस को मामूर करे
सांस की धार से ज़ंजीर ए हवा में काटूं।

छांव तो उसको मुज़फ़्फ़र नहीं अच्छी लगती
कहता मुझसे है कि, यह पेड़ घना मैं काटूं।

Haath Insaaf Ke Choron Ka Bhi Kya Main Kaatuñ Lyrics In Urdu

ہاتھ اِنصاف کے چوروں کا بھی کیا میں کاٹُوں
جُرم قانوُن کرے، اور سزا میں کاٹُوں

دُودھ کی نہر ، شہنشاہ محل میں لے جائے !
تیشۂ خُوں سے پہاڑوں کا گَلا میں کاٹُوں

تیرے ہاتھوں میں ہے تلوار، مِرے پاس قَلَم
بول! سر ظُلم کا ، تُو کاٹے گا یا میں کاٹُوں

اب تو بندے بھی، خُدا بندوں کی تقدِیر لکھیں
دے وہ طاقت مجھے، اُن سب کا لِکھا میں کاٹُوں

پاؤں ہوتے ہوئے ، کب تک چلوں بیساکھیوں پر
کب تلک، دوسروں کا بویا ہُوا ، میں کاٹُوں

کُھلے ماحول پہ وہ حَبس کو معمور کرے
سانس کی دھار سے زنجیرِ ہَوا، میں کاٹُوں

چھاؤں تو ، اُس کو مظفؔر نہیں اچھّی لگتی !
کہتا مجھ سے ہے کہ، یہ پیڑ گھنا میں کاٹُوں

Leave a Comment