Aata Hai Yaad Mujh Ko Guzra Huwa Zamana Lyrics || Barkate Raza


Yeh Mubarak Kalaam Hakeem Ul Ummat Allama Iqbal Ki Likhi Hui Ek Aala Aazadi Aur Faryad Par Mabni Shaahkar Nazm Hai. Is Poetic Kalaam Mein Azad Zindagi Ki Qadar O Qeemat Aur Qaid Ki Takleef Ko Nihayat Hi Dilsoz Andaz Mein Bayan Kiya Gaya Hai. Is Subah O Shaam Parhne Layeq Nazm Ko Parh Kar Jazba E Dil Ko Ek Naya Ahsaas Milta Hai.

Naat InformationDetails
Naat TitleAata Hai Yaad Mujh Ko Guzra Huwa Zamana
Poet / WriterAllama Iqbal
CategoryUrdu Nazm
Naatkhawan / ReciterZia Mohyeddin
Book NameBang E Dra

Aata Hai Yaad Mujh Ko Guzra Huwa Zamana Lyrics In Roman

Aata Hai Yaad Mujh Ko Guzra Huwa Zamana
Woh Bagh Ki Baharain, Woh Sab Ka Chehchana

Azadiyan Kahan Woh Ab Apne Ghonsle Ki
Apni Khushi Se Aana, Apni Khushi Se Jana

Lagti Hai Chot Dil Par, Aata Hai Yaad Jis Dam
Shabnam Ke Aansuon Par Kaliyon Ka Muskarana

Woh Pyari Pyari Soorat, Woh Kamni Si Moorat
Aabad Jis Ke Dam Se Tha Mera Ashiyana

Aati Nahin Sadaen Us Ki Mere Qafas Mein
Hoti Meri Rehai Ae Kash Mere Bus Mein!

Kya Badnaseeb Hun Main Ghar Ko Taras Raha Hun
Sathi To Hain Watan Mein, Main Qaid Mein Pada Hun

Aayi Bahar, Kaliyan Phoolon Ki Hans Rahi Hain
Main Is Andhere Ghar Mein Kismat Ko Ro Raha Hun

Is Qaid Ka Elahi! Dukhra Kise Sunaun
Dar Hai Yahin Qafas Mein Main Gham Se Mar Na Jaun

Jab Se Chaman Chhuta Hai, Ye Haal Ho Gaya Hai
Dil Gham Ko Kha Raha Hai, Gham Dil Ko Kha Raha Hai

Gaana Isay Samajh Kar Khush Hon Na Sunne Wale
Dukhe Huwe Dilon Ki Faryad Ye Sada Hai

Azad Mujh Ko Ker De, O Qaid Kerne Wale!
Main Bezuban Hun Qaidi, Tu Chor Ker Dua Le

Aata Hai Yaad Mujh Ko Guzra Huwa Zamana Lyrics In Hindi

आता है याद मुझ को गुज़रा हुआ ज़माना
वो बाग़ की बहारें, वो सब का चहचहाना

आज़ादियाँ कहाँ वो अब अपने घोंसले की
अपनी ख़ुशी से आना, अपनी ख़ुशी से जाना

लगती है चोट दिल पर, आता है याद जिस दम
शबनम के आँसुओं पर कलियों का मुस्कुराना

वो प्यारी प्यारी सूरत, वो कामनी सी मूरत
आबाद जिस के दम से था मेरा आशियाना

आती नहीं सदाएं उस की मेरे क़फ़स में
होती मेरी रिहाई ऐ काश मेरे बस में!

क्या बदनसीब हूँ मैं घर को तरस रहा हूँ
साथी तो हैं वतन में, मैं क़ैद में पड़ा हूँ

आई बहार, कलियां फूलों की हंस रही हैं
मैं इस अंधेरे घर में क़िस्मत को रो रहा हूँ

इस क़ैद का इलाही! दुखड़ा किसे सुनाऊँ
डर है यहीं क़फ़स में मैं ग़म से मर न जाऊँ

जब से चमन छूटा है, ये हाल हो गया है
दिल ग़म को खा रहा है, ग़म दिल को खा रहा है

गाना इसे समझ कर ख़श हों न सुनने वाले
दुखे हुए दिलों की फ़रियाद ये सदा है

आज़ाद मुझ को कर दे, ओ क़ैद करने वाले!
मैं बेज़बाँ हूँ क़ैदी, तू छोड़ कर दुआ ले

Aata Hai Yaad Mujh Ko Guzra Huwa Zamana Lyrics In Urdu

آتا ہے یاد مجھ کو گزرا ہوا زمانہ
وہ باغ کی بہاریں، وہ سب کا چہچہانا

آزادیاں کہاں وہ اب اپنے گھونسلے کی
اپنی خوشی سے آنا، اپنی خوشی سے جانا

لگتی ہے چوٹ دل پر، آتا ہے یاد جس دم
شبنم کے آنسوؤں پر کلیوں کا مسکرانا

وہ پیاری پیاری صورت، وہ کامنی سی مورت
آباد جس کے دم سے تھا میرا آشیانہ

آتی نہیں صدائیں اس کی میرے قفس میں
ہوتی میری رہائی اے کاش میرے بس میں!

کیا بد نصیب ہوں میں، گھر کو ترس رہا ہوں
ساتھی تو ہیں وطن میں، میں قید میں پڑا ہوں

آئی بہار، کلیاں پھولوں کی ہنس رہی ہیں
میں اس اندھیرے گھر میں قسمت کو رو رہا ہوں

اس قید کا الٰہی! دکھڑا کسے سناؤں
ڈر ہے یہی قفس میں، میں غم سے مر نہ جاؤں

جب سے چمن چھوٹا ہے، یہ حال ہو گیا ہے
دل غم کو کھا رہا ہے، غم دل کو کھا رہا ہے

گانا اسے سمجھ کر خوش ہوں نہ سننے والے
دکھتے ہوئے دلوں کی فریاد یہ صدا ہے

آزاد مجھ کو کر دے، او قید کرنے والے!
میں بے زباں ہوں قیدی، تو چھوڑ کر دعا لے

Leave a Comment