TUMHARE ZARE KE PARTO SITAR HAAYE FALAK NAAT LYRICS

TUMHARE ZARE KE PARTO SITAR HAAYE FALAK NAAT LYRICS

 

 

Tumhaare zarre key par to sitaar haaye falak,

Tumhaare na’al ki naaqis misl ziyaaye falak.

 

Agar che chaale sitaron sey par gaye laakhon,

Magar tumhari talab mein thake na paaye falak.

 

Sar-e-falak na kabhi taa ba aastaan pohoncha,

Keh ibtidaaye bulandi thee intihaaye falak.

 

Ye mit key un ki rawish par huwa khud unki rawish,

Keh naqsh-e-paaye zameen par na soat-e-paaye falak.

 

Tumhari yaad mein guzri thee jaagte shab bhar,

Chali naseem hue band deed haaye falak.

 

Na jaag uthain kahin ahl-e-baqee kuchi neend,

Chala yeh narm na nikli sadaye paaye falak.

 

Yeh un key jalwe ne keen garmiyan shab-e-asraa,

Keh jab sey charkh mein hain naqrah-o-talaaye falak.

 

Mere Ghani ne jawaahar sey bhar diya daaman,

Gaya jo kaasa-e-mai le key shab gadaye falak.

 

Raha jo qaane’ yak naan-e-sookhta din bhar,

Mili huzoor sey kaan-e-gehr jazaye falak.

 

Tajammal-e-shab-e-asraa abhi simat na chuka,

Keh jab sey waisi hi kotal hay sabz haaye falak.

 

Khitaab-e-haq bhi hay dar baab-e-khalq-min-ajalik,

Agar idhar sey dam-e-hamd hay sadaaye falak.

 

Ye ahl-e-bait ki chakki sey chaal seekhi hay,

Rawaan hay be madad dast aasiya-e-falak.

 

RAZA ye naat-e-Nabi ne bulandiyan bakhsheen,

Laqab zameen-e-falak ka hua samaaye falak.

Sharing Is Caring:

Leave a Comment