Jinnat Ya Jin Kaun Hai

Jinnat Ya Jin Kaun Hai

 

Jinn ya Jin, ek aise mawzu hai jiske baare mein aapne zarur suna hoga lekin zaruri nahi ki unpar aapka yakeen ho kyun ki unke baare mein har kisi ki raay alag hoti hai, aur har kisi ka yakeen bhi is mamle mein alag-alag hota hai. Kuch log kehte hain ki wo is duniya mein hote hain aur kuch log kehte hain ki nahi hote hain, aur is baat par bhi logon mein ikhtilaf hai ki wo kisi insaani jism mein ghus sakta hai ya nahi lekin sahi baat kuch hi logon ko maloom hai ki Jinn ya Jin kaun hai?Khair, logon ki is mamle mein to raay alag-alag hai lekin jahan tak Islam ka talluq hai, to wo jinn ya jinnat ke wujood aur asar ko maanta hai, aur iski daleel Quran mein aapko kai jagah mil jayegi jahan par insano ke saath jinnat ka bhi zikr kiya gaya hai. Aur hadees mein bhi iska zikr milta hai jahan par Allah ke Rasool Hazrat Muhammad Mustafa (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne ek jinn ki vaadi par guzare to unko Islam ki dawat bhi di.

Iss se pata chala ki jinnat ki bhi ek duniya hai aur unmein insano ki tarah ache bhi hote hain aur bure bhi hote hain, aur buron se nuksan pahunchane ka khadsha insaan ko hamesha rehta hai, lekin darne ki koi baat nahi, ye har waqt aur har kisi ke upar apna asar nahi chhod sakte aur na hi kisi ko pareshan kar sakte hain.

Lekin kuch baatein hoti hain jinki wajah se ek jinn kisi insaan ke jism mein ghus kar usko pareshan kar sakta hai, is baare mein Sheikh-ul-Islam Ibn Taymiyyah (R.A.) ne ishara diya hai ki jinn aapke andar teen tarike se daakhil ho sakta hai:

  1. Jinn ko aapse pyaar hai.

Jinnato mein se koi aapko kisi wajah pasand karne laga to aisa ho sakta hai dekha jata hai ki aam taur par hamare gharo mein auraten jab kapde waghera badal rahi hoti hain to Bismillah nahi padhti, jabki ho sakta koi jinnat unko dekh raha ho aur jab wo kisi jism ko bagair kapdon ke dekhta hai to aisa ho sakta hai ki usko ye jism bha jaye aur wo uske jism mein daakhil hokar galat harkat karne lage.

Yahi wajah hai ki Islam ne jis tarah har kaam ke shuru karne se pehle Bismillah padhne ko kaha hai aur Allah ka naam lena bataya hai theek usi tarah apne kapde utarne se pehle Bismillah padhne ka hukm diya hai kyun ki jis kaam se pehle Bismillah padh liya jaye usmein barkat hoti hai, Allah ki madad shamil hoti hai aur insaan nuksan se bach jata hai aur dushman ki hasad, jalan, aur zulm jyadati aur aane wali bala aur musibat se uski hifazat ki jati hai.

  1. Jinn aapko pasand nahi karta.

Jinn bahut had tak insano jaise hi hote hain agar kisi wajah se aapko pasand kar sakta hain to mumkin hai ki aapko na pasand karne lage aur agar koi kisi wajah se unko na pasand ho gaya to badle ki firak mein wo nuksan pahunchane aur pareshan karne mein had kar dete hain aur unse kisi bhi kism ki jyadati ki ummeed ki ja sakti hai.

  1. Anjaane mein aapne jin ko nuksan pahunchaya.

Chunke hum log jinnon ko apni aankhon se nahi dekh pate hain, natija kya hota hai ki anjaane mein hamare kisi amal se kisi jinnat ko chot lag gayi ya koi nuksan pahunch gaya to iski wajah se jinn peeche pad jata hai aur nuksan pahunchata rehta hai isliye phir main wahi baat kahunga ki kisi bhi kaam ko karne se pehle Bismillah ko zaroor padh lein taaki is tarah ke nuksan se bach sake.

Jinnat se kaise bachen?

Quran Sunnat ki pabandi karna

Namaz ke paband rahna

Huzure Akram (Sallallahu Alaihi Wasallam) se munkul duaon ko padhte rahna

Allah se hamesha shaitan ki panah mangna khaas kar

Baitul Khala jaate waqt, اَللّٰہُمَّ اِنِّیْ اَعُوْذُبِکَ مِنَ الْخُبُثِ وَالْخَبَآئِثِ۔

Gusse ke waqt, أَعُوْذُ بِاللَّهِ مِنَ الشَّيْطَانِ الرَّجِيمِ

Jima (biwi se humbistari ke waqt) ke waqt, بِسْمِ اللَّهِّ اللَّهُمَّ جَنِّبْنَا الشَّيْطَانَ وَجَنِّبِ الشَّيْطَانَ مَا رَزَقْتَنَا

Allah ke zikr mein mashgool rahna

Gunahon se bachte rahna

Allah hamein har tarah ki balaon se mahfuz rakhe.

 

Sharing Is Caring:

Leave a Comment