Ali Ali Ki Sada Lyrics

Ali Ali Ki Sada Lyrics

 

 

Ali Ali Ki Jisay Bhi Sada Pasand Nhi

 

Namaz Ko Wo Namazi Zara Pasand  Nhi

 

Ali Ali Ki Sada Jisay Bhi Pasand Nhi

 

 

 

Wasila Panjetan E Pak Ka Nhi Jis Main

 

Khuda Ko Aysi Koi Bhi Dua Pasand Nhi

 

Ali Ali Ki Sada Jisay Bhi Pasand Nhi

 

 

 

Ajeeb Zehni Marz Me He Mubtila Waiz

 

Shifa Bhi Chahiye Khak E Shifa Pasand Nhi

 

Ali Ali Ki Sada Jisay Bhi Pasand Nhi

 

 

 

Hain In Ke Shajray Najis Or Hasb O Nasb Na Pak

 

Jisay Kalam E Hadees E Kisa Pasand Nhi

 

Ali Ali Ki Sada Jisay Bhi Pasand Nhi

 

 

 

Hum Ahl E Haq Hain Hamain Achi Tarha He Maloom

 

Pasand Kia He Payambar Ko Kia Pasand Nhi

 

Ali Ali Ki Sada Jisay Bhi Pasand Nhi

 

 

 

Aki Ke Dar Ke Gada Hain Hamza Or Sohail

 

Har Aik Se Mangna Un Ko Zara Pasand Nhi

 

Ali Ali Ki Sada Jisay Bhi Pasand Nhi

 

Namaz Ko Wo Namazi Zara Pasand Nhi..

 

Sharing Is Caring:

Leave a Comment