Maula Ali Ka Shehzada Mera Khwaja Moinuddin Lyrics
Ali ke laal ho Zehra ke phool ya Khawaja
Ali ke laal ho Zehra ke phool ya Khawaja
Duaye krlo hmari qubool ya khawaja
Duaye krlo hmari qubool ya khawaja
Tumhare dar ke diwane yahi to kahte hai
Tumhare dar ke diwane yahi to kahte hai
Karam karam ho ataye Rasool ya Khawaja
Khole karam ka darwaza mere Khawaja Moinuddin
Khole karam ka darwaza mere Khawaja Moinuddin
Khole karam ka darwaza mere Khawaja Moinuddin X3
Maula Ali ka shehzada mere Khawaja Moinuddin
Maula Ali ka shehzada mere Khawaja Moinuddin
Maula Ali ka shehzada mere Khawaja Moinuddin X3
Khole karam ka darwaza mere Khawaja Moinuddin X3
Maula Ali ka shehzada mere Khawaja Moinuddin X3
Manzar Haseen lagta hai Khawaja ki gali
Manzar Haseen lagta hai Khawaja ki gali
Manzar Haseen lagta hai Khawaja ki gali
Manzar Haseen lagta hai Khawaja ki gali
Nara hai sufi mast ka har ek wali ka
Maula Ali ka shehzada mere Khawaja Moinuddin
Khole karam ka darwaza mere Khawaja Moinuddin
Maula Ali ka shehzada mere Khawaja Moinuddin
Sadka mila hai dar se mujhe Maula Ali ka
Sadka mila hai dar se mujhe Maula Ali ka
Ehsan hi Ehsan hai ye ibne sakhi ka
Ehsan hi Ehsan hai ye ibne sakhi ka
Jo mangna hai mang lo khawaja Moin se
Jo mangna hai mang lo khawaja Moin se
Jo mangna hai mang lo khawaja Moin se
Rasta btaya peer ne khawaja ki gali ka
Maula Ali ka shehzada mere Khawaja Moinuddin
Khole karam ka darwaza mere Khawaja Moinuddin
Maula Ali ka shehzada mere Khawaja Moinuddin
Tumhari Arfa o Aala hai hasti
Mere khwaja bana mujhko bahishti
Tum aaye hind ke zulmat kade me
Diya imaan mitai but parasti
Bachalo mai to dooba ja raha hu
Bhawar me aa phasi hai meri kashti
Madad ka waqt hai lillah uthiye
Madad Kun Ya Moinuddin Chishti
Moine bekasa hai mere Khawaja
Dikha dijiye mujhe Taiba ki basti
Dikha do ab to Taiba ke nazare
Mere Khawaja hai ye aankhen tarasti
Sada rehmat teri saaya figan ho
Rahe hum par tumhari sar parasti
Mujhe jaam e karam aisa ata ho
Rahu makhmoor phir utre na masti
Hai manzar khush numa Ajmer ka ye
Yaha din raat hai rehmat barasti
Hai hum par khaas Faizan e Moini
Nahi chal sakti hum par zor dasti
Chala do ab hume rahe sunan par
Nikalo hum se be amali wo susti
Likhe kya Manqabat Khwaja ki Sayyed
Kaha tu aur kaha Khawaja ki hasti