Sabz Gumbad Ka Nazara Ho Gaya Ek Nihayat Hi Dilkash Aur Roohani Naat Sharif Hai Jo Dil Mein Ishq-E-Mustafa Ki Shama Roshan Karti Hai. Is Haseen Kalaam Mein Huzoor Ke Roze Ki Barkat Aur Unki Shafa’at Ka Khoobsoorat Zikr Hai. Aaiye Is Barkat Bhare Kalaam Ke Mukammal Lyrics Roman, Hindi Aur Urdu Mein Padhte Hain.
| Naat Information | Details |
| Naat Title | Sabz Gumbad Ka Nazara Ho Gaya |
| Poet / Writer | Mohsin |
| Category | Naat Sharif |
| Naatkhawan / Reciter | Alhaaj Owais Raza Qadri |
| Book Name | Barkate Raza Naat Book |
Sabz Gumbad Ka Nazara Ho Gaya Lyrics In Roman
Baithe Baithe Kaam Saara Ho Gaya
Sabz Gumbad Ka Nazara Ho Gaya
Kar Liya Allah Ne Usko Pasand,
Jo Mere Aaqa Ka Pyaara Ho Gaya
Mil Gaya Sadqa Mujhe Aaqa Ka,
Zindagi Bhar Ka Guzara Ho Gaya
Naam Naam-E-Mustafa Salle ‘Ala,
Besaharon Ka Sahara Ho Gaya
Aap Ke Darbaar Gohar Baar Se,
Saare Mangton Ka Guzara Ho Gaya
Mohsin Aasi Hai Yakeen Yeh Hashr Mein
Woh Kahenge, Tu Hamara Ho Gaya
Zindagi Bhar Naat Main Parhta Raha
Meri Bakshish Ka Sahaara Ho Gaya
Sabz Gumbad Ka Nazara Ho Gaya Lyrics In Hindi
बैठे बैठे काम सारा हो गया
सब्ज़ गुम्बद का नज़ारा हो गया
कर लिया अल्लाह ने उसको पसन्द,
जो मेरे आक़ा का प्यारा हो गया
मिल गया सदक़ा मुझे आक़ा का,
ज़िन्दगी भर का गुज़ारा हो गया
नाम नाम-ए-मुस्तफ़ा सल्ले ‘अला,
बेसहारों का सहारा हो गया
आप के दरबार गोहर बार से,
सारे मंगतों का गुज़ारा हो गया
मोहसिन आसी है यक़ीन यह हश्र में
वोह कहेंगे, तू हमारा हो गया
ज़िन्दगी भर नात मैं पढ़ता रहा
मेरी बख़्शिश का सहारा हो गया
Sabz Gumbad Ka Nazara Ho Gaya Lyrics In Urdu
بیٹھے بیٹھے کام سارا ہو گیا
سبز گنبد کا نظارہ ہو گیا
کر لیا اللہ نے اس کو پسند،
جو میرے آقا کا پیارا ہو گیا
مل گیا صدقہ مجھے آقا کا،
زندگی بھر کا گزارہ ہو گیا
نام نامِ مصطفیٰؐ سلے علیٰ،
بے سہاروں کا سہارا ہو گیا
آپ کے دربار گوہر بار سے،
سارے منگتوں کا گزارہ ہو گیا
محسن عاصی ہے یقین یہ حشر میں
وہ کہیں گے، تو ہمارا ہو گیا
زندگی بھر نعت میں پڑھتا رہا
میری بخشش کا سہارا ہو گیا