KUNDE KI NIYAZ KAB KARE ?
SAWAL:-
Hazrat Saiyeduna Imam Jaafar sadiq radiallahu anhu ki tarikhe fateha 15 Rajjab ko he ya 22 Rajab ko ???
JAWAB:-
Hazrat imam ja’afar Sadiq radiallahu anhu ki fatiha kisi bhi tarikh ko kar sakte he lekin afzal ye he ki 15 Rajab ko kare ki hazrat ke wisal ki tarikh 15 rajab he jaisa ki Fatawa faqihe millat me he ki,,
Hazrat imam ja’afar sadiq radiallahu anhu ki niyaz 15 rajab ko kare ki hazrat ka wisal 15 rajab hi ko huaa he na ki 22 rajab ko…
(FATAWA FAQIHE MILLAT JILD-2,SAFA-265)
(MIRATUL ASRAR SAFA-213)
(SAWANEH BARAH IMAM SAFA-125)
Mazkura kitab ke Mazkura safa par aap dekh sakte he ki hazrat imam ja’afar sadiq radiallahu anhu ki wisal ki tarikh 15 rajab likhi hui he,, SHAWAHIDUN NABUWWA OR MIRATUL KAUNAIN ,, Me bhi wisal ki yahi tarikh darj he..Lihaza afzal yahi he ki kunde ki niyaz 15 rajab ko dilae..
22 Rajab ko hazrat ameer e mu’aavya radiallahu anhi ka wisal huva he to shiya is tarikh me hazrat ameer muaavya ke wisal ki khushi me Eid manate he or Az raah fareb use hazrat imam ja’afar sadiq radiallahu anhu ki niyaz kahte he..
Lihaza sunni hazrat par lazim he ki vo shiyo ki mawaqif se door rahe..
22 rajab ko hazrat imam ja’afar sadiq radiallahu anhu ki niyaz hargiz na kare.. balki 15 rajab ko hazrat ka wisal huva he to isi tarikh me un ki niyaz kare.
(FATAWA FAQIHE MILLAT, JILD-2, SAFA-265)
Who died on 22 Rajab?
22nd Rajab is neither the birthday of Sayyidina Ja’far Sadiq (Rahimahullah) nor his death day, rather this is the death day of Sayyidina Mu’awiyah bin Abi Sufyan (Radhiyallahu Anhu)
Why do Shias celebrate 22 Rajab?
What is the concept of Koonday?
What happened on 27 Rajab?
Is there any fasting in Rajab?