Kaanp Utthi Zami Zalzala Aa Gaya Ek Nihayat Hi Rooh Parwar Aur Maqbool Manqabat-E-Shareef Hai. Is Haseen Kalam Mein Shahzada-E-Karbala Hazrat Imam Hussain Aur Shohada-E-Karbala Ki Azeem Qurbaniyon Aur Shujaat Ka Zikr Nihayat Khubsoorat Andaaz Mein Kiya Gaya Hai. Niche Is Mubarak Kalam Ke Mukammal Lyrics Roman, Hindi Aur Urdu Zabaan Mein Mulahiza Farmayein.
| Naat Information | Details |
| Naat Title | Kaanp Utthi Zami Zalzala Aa Gaya |
| Poet / Writer | Ghulfam Raza Hassani |
| Category | Manqabat / Noha |
| Naatkhawan / Reciter | Ghulfam Raza Hassani |
| Book Name | Barkate Raza Naat Book |
Kaanp Utthi Zami Zalzala Aa Gaya Lyrics In Roman
Kaanp Utthi Zami Zalzala Aa Gaya
Sher E Haider Ka Jab Karbala Aa Gaya
Karne Janon Ko Kurban Islaam Par
Lo Bahattar Ka Wo Kaafila Aa Gaya
Nanhe Asghar Se Phir Raha Na Gaya
Jaan Dene Ka Jab Masla’aa Aa Gaya
Toot Kar Kabhi Main Jab Bikharne Laga
Naam E Shabbir Se Housla Aa Gaya
Zikr E Hasnain Karte Rahe Umr Bhar
Kaam Mahshar Me Ye Silsila Aa Gaya
Ae Hussaini Suno Sooye Jannat Chalo
Rab Ta-Ala Ka Ye Faisla Aa Gaya
Kaanp Utthi Zami Zalzala Aa Gaya Lyrics In Hindi
कांप उठ्ठी ज़मीं ज़लज़ला आ गया
शेरे हैदर का जब कर्बला आ गया
करने जानों को कुर्बान इस्लाम पर
लो बहात्तर का वो काफ़िला आ गया
नन्हे असग़र से भी फिर रहा न गया
जान देने का जब मसलआ आ गया
टूट कर कभी मैं जब बिखरने लगा
नाम-ए-शब्बीर से हौसला आ गया
ज़िक्र-ए-हसनैन करते रहे उम्र भर
काम महशर में ये सिलसिला आ गया
ऐ हुसैनी सुनो सूए जन्नत चलो
रब ता-आला का ये फ़ैसला आ गया
Kaanp Utthi Zami Zalzala Aa Gaya Lyrics In Urdu
کانپ اٹھی زمیں زلزلہ آ گیا
شیرِ حیدر کا جب کربلا آ گیا
کرنے جانوں کو قربان اسلام پر
لو بہتر کا وہ قافلہ آ گیا
ننھے اصغر سے بھی پھر رہا نہ گیا
جان دینے کا جب مسئلہ آ گیا
ٹوٹ کر کبھی میں جب بکھرنے لگا
نامِ شبیر سے حوصلہ آ گیا
ذکرِ حسنین کرتے رہے عمر بھر
کام محشر میں یہ سلسلہ آ گیا
اے حسینی سنو سوئے جنت چلو
رب تعالیٰ کا یہ فیصلہ آ گیا