Raunak E Mehfil E Hayaat Ho Tum || Barkate Raza


Raunak E Mehfil E Hayaat Ho Tum Ek Nihayat Hi Pyari Aur Dilkash Naat Sharif Hai. Is Pyare Kalaam Ko Sun Kar Dil Ko Nihayat Sukoon Aur Rooh Ko Barkat Milti Hai. Aaiye Is Barkat Bhare Kalaam Ke Mukammal Lyrics Roman, Hindi Aur Urdu Mein Padhte Hain.

Naat InformationDetails
Naat TitleRaunak E Mehfil E Hayaat Ho Tum
Poet / WriterUnknown
CategoryNaat Sharif
Naatkhawan / ReciterAlhaaj Owais Raza Qadri
Book NameBarkate Raza Naat Book

Raunak E Mehfil E Hayaat Ho Tum Lyrics In Roman

Raunak E Mehfil E Hayaat Ho Tum
Jaan E Jaan Meri Qayanaat Ho Tum

Har Ghadi Hai Mujhe Tumhara Khayaal
Har Jagah Mere Saath Saath Ho Tum

Kaunse Dil Se Bhool Jaaun Tumhein
Mere Dil Ke Muamalaat Ho Tum

Chaand Chadhta Hai Dekh Ke Tumko
Sach Yahi Hai Ke Chaand Raat Ho Tum

Jisko Sunn Ke Bahaar Sharmaaye
Dilruba Woh Haseen Baat Ho Tum

Raunak E Mehfil E Hayaat Ho Tum Lyrics In Hindi

रौनक़ ए महफ़िल ए हयात हो तुम
जान ए जां मेरी क़ायनात हो तुम

हर घड़ी है मुझे तुम्हारा ख़्याल
हर जगह मेरे साथ साथ हो तुम

कौनसे दिल से भूल जाऊं तुम्हें
मेरे दिल के मुआमलात हो तुम

चांद चढ़ता है देख के तुमको
सच यही है के चांद रात हो तुम

जिसको सुन के बहार शर्माए
दिलरुबा वो हसीन बात हो तुम

Raunak E Mehfil E Hayaat Ho Tum Lyrics In Urdu

رونقِ محفلِ حیات ہو تم
جانِ جاں میری کائنات ہو تم

ہر گھڑی ہے مجھے تمہارا خیال
ہر جگہ میرے ساتھ ساتھ ہو تم

کونسے دل سے بھول جاؤں تمہیں
میرے دل کے معاملات ہو تم

چاند چڑھتا ہے دیکھ کے تمکو
سچ یہی ہے کہ چاند رات ہو تم

جسکو سن کے بہار شرمائے
دلربا وہ حسین بات ہو تم

Leave a Comment