Yeh Nihayat Hi Pyaari Aur Roohani Manqabat Hai Jo Shakeel Arfi Sahab Ki Likhi Hui Hai.
Aaj Hum Is Azeem Kalam Ke Mukammal Lyrics Roman, Hindi Aur Urdu Mein Paish Kar Rahe Hain.
Allah Tala Se Dua Hai Ke Yeh Paigham Hamare Qloob Ko Ishq-E-Ahle-Bait Se Roshan Farmaye.
| Naat Information | Details |
| Naat Title | Aisa Koi Mangta Koi Sultan Nahin Hai |
| Poet / Writer | Shakeel Arfi |
| Category | Manqabat Imam Hussain |
| Naatkhawan / Reciter | Shakeel Arfi |
| Book Name | Barkate Raza Naat Book |
Aisa Koi Mangta Koi Sultan Nahin Hai Lyrics In Roman
Aisa Koi Mangta Koi Sultan Nahin Hai
Jis Par Mere Sarkar Ka Ahsaan Nahin Hai
Islam Hai Aulad E Payamber Ki Birasat
Jo Unka Nahin Hai Wo Musalman Nahin Hai
Ik Aabid E Beemar Se Lakhon Hain Hussaini
Haider Ka Chaman Aaj Bhi Viraan Nahin Hai
Be-Laos Karo Karbala Walon Se Mohabbat
Is Raah Pe Marne Se Bhi Nuksaan Nahin Hai
Masjid Ki Nahin Shafa-E-Mahshar Ki Sanad Le
Jannat Me Tere Baap Ka Daalan Nahin Hai
Aisa Koi Mangta Koi Sultan Nahin Hai Lyrics In Hindi
ऐसा कोई मांगता कोई सुल्तान नहीं है
जिस पर मेरे सरकार का एहसान नहीं है
इस्लाम है औलाद-ए-पयम्बर की विरासत
जो उनका नहीं है वोह मुसलमान नहीं है
इक आबिद-ए-बीमार से लाखों है हुसैनी
हैदर का चमन आज भी वीरान नहीं है
बे-लौस करो कर्बला वालों से मोहब्बत
इस राह पे मरने से भी नुकसान नहीं है
मस्जिद की नहीं शाफ़ा-ए-मह़शर की सनद ले
जन्नत में तेरे बाप का दालान नहीं है
Aisa Koi Mangta Koi Sultan Nahin Hai Lyrics In Urdu
ایسا کوئی منگتا کوئی سلطان نہیں ہے
جس پر میرے سرکار کا احسان نہیں ہے
اسلام ہے اولادِ پیمبر کی وراثت
جو ان کا نہیں ہے وہ مسلمان نہیں ہے
اک عابدِ بیمار سے لاکھوں ہیں حسینی
حیدر کا چمن آج بھی ویراں نہیں ہے
بے لوث کرو کربلا والوں سے محبت
اس راہ پہ مرنے سے بھی نقصان نہیں ہے
مسجد کی نہیں شافعِ محشر کی سند لے
جنت میں ترے باپ کا دالان نہیں ہے