Agar Kaj Ro Hain Anjum Asman Tera Hai Ya Mera

Agar Kaj Ro Hain Anjum Asman Tera Hai Ya Mera

 

Agar Kaj Ro Hain Anjum, Asman Tera Hai Ya Mera
Mujhe Fikar-e-Jahan Kyun Ho, Jahan Tera Hai Ya Mera?

 

Agar Hangama Ha’ay Shauq Se Hai La-Makan Khali
Khata Kis Ki Hai Ya Rab ! La-Makan Tera Hai Ya Mera?

 

Usse Subah-e-Azal Inkaar Ki Juraat Hui Kyun Kar
Mujhe Maloom Kya, Woh Raazdan Tera Hai Ya Mera?

 

Muhammad Bhi Tera, Jibreel Bhi, Quran Bhi Tera
Magar Ye Harf-e-Shireen Tarjuman Tera Hai Ya Mera?

 

Issi Koukab Ki Tabani Se Hai Tera Jahan Roshan
Zawal-e-Adam-e-Khaki Zayan Tera Hai Ya Mera?

 

Leave a Reply

This site uses Akismet to reduce spam. Learn how your comment data is processed.

%d bloggers like this: