Tajush-Shari’ah aur Mufti-e-Azam-e-Hind Hazrat Mustafa Raza Khan Noori Alaihirrahmah ka ye nihayat hi roohani aur aqeedat se labrez kalam hai jo dilon mein ishq-e-Rasool ﷺ ka deepak jalata hai. Is haseen Naat-e-Pak ke har ek sher mein Madinah Sharif ki nisbat aur Sarkar-e-Do-Aalam ﷺ ki bemisaal ronaq ka husn samaya hua hai. Aaiye is muqaddas kalam ke paakeeza aur rooh-parwar alfaaz ko mukhtalif zabano mein nihayat hi adab aur ehtiram ke saath padhein.
| Naat Information | Details |
| Naat Title | Kuchh Aisa Kar De Mere Kirdgar Aankhon Mein |
| Poet / Writer | Mufti-e-Azam-e-Hind Hazrat Mustafa Raza Khan Noori |
| Category | Hamd-o-Naat / Tajush-Shari’ah Kalam |
| Naatkhawan / Reciter | Alhaj Muhammad Owais Raza Qadri / Ghulam Mustafa Qadri |
Naat Lyrics in Roman
Kuchh aisa kar de, mere kirdgaar ! aankhon mein
Hamesha naqsh rahe roo-e-yaar aankhon mein
Na kaise ye gul-o-gunche hon khwaar aankhon mein
Base hue hain Madine ke khaar aankhon mein
Basa hua hai koi gul-azaar aankhon mein
Khila hai chaar taraf laala-zaar aankhon mein
Wo noor de, mere parwardigaar ! aankhon mein
Ki jalwa-gar rahe rukh ki bahaar aankhon mein
Basar ke saath baseerat bhi khoob raushan ho
Lagaun khaak-e-qadam baar baar aankhon mein
Unhein na dekha to kis kaam ki hain ye aankhen
Ki dekhne ki hai saari bahaar aankhon mein
Nazar mein kaise samaenge phool jannat ke
Ki bas chuke hain Madine ke khaar aankhon mein
Ajab nahin ki likha lauh ka nazar aaye
Jo naqsh-e-pa ka lagaun gubaar aankhon mein
Karam ye mujh pe kiya hai mere tasawwur ne
Ki aaj kheench di tasweer-e-yaar aankhon mein
Farishto ! poochhte ho mujh se kis ki ummat ho
Lo dekh lo, ye hai tasweer-e-yaar aankhon mein
Piya hai jaam-e-mohabbat jo aap ne, Noori !
Hamesha iska rahega khumaar aankhon mein
Naat Lyrics in Hindi
कुछ ऐसा कर दे, मेरे किर्दगार ! आँखों में
हमेशा नक़्श रहे रू-ए-यार आँखों में
न कैसे ये गुल-ओ-गुंचे हों ख़्वार आँखों में
बसे हुए हैं मदीने के ख़ार आँखों में
बसा हुआ है कोई गुल-‘अज़ार आँखों में
खिला है चार तरफ़ लाला-ज़ार आँखों में
वो नूर दे, मेरे परवरदिगार ! आँखों में
कि जल्वा-गर रहे रुख़ की बहार आँखों में
बसर के साथ बसीरत भी ख़ूब रौशन हो
लगाऊँ ख़ाक-ए-क़दम बार बार आँखों में
उन्हें न देखा तो किस काम की हैं ये आँखें
कि देखने की है सारी बहार आँखों में
नज़र में कैसे समाएँगे फूल जन्नत के
कि बस चुके हैं मदीने के ख़ार आँखों में
अजब नहीं कि लिखा लौह का नज़र आए
जो नक़्श-ए-पा का लगाऊँ ग़ुबार आँखों में
करम ये मुझ पे किया है मेरे तसव्वुर ने
कि आज खींच दी तस्वीर-ए-यार आँखों में
फ़रिश्तो ! पूछते हो मुझ से किस की उम्मत हो
लो देख लो, ये है तस्वीर-ए-यार आँखों में
पिया है जाम-ए-मोहब्बत जो आप ने, नूरी !
हमेशा इस का रहेगा ख़ुमार आँखों में
Naat Lyrics in Urdu
کچھ ایسا کر دے میرے کردگار آنکھوں میں
ہمیشہ نقش رہے روئے یار آنکھوں میں
نہ کیسے یہ گل و غنچے ہوں خوار آنکھوں میں
بسے ہوئے ہیں مدینے کے خار آنکھوں میں
بسا ہوا ہے کوئی گل عذار آنکھوں میں
کھلا ہے چار طرف لالہ زار آنکھوں میں
وہ نور دے میرے پروردگار آنکھوں میں
کہ جلوہ گر رہے رخ کی بہار آنکھوں میں
بصر کے ساتھ بصیرت بھی خوب روشن ہو
لگاؤں خاکِ قدم بار بار آنکھوں میں
انہیں نہ دیکھا تو کس کام کی ہیں یہ آنکھیں
کہ دیکھنے کی ہے ساری بہار آنکھوں میں
نظر میں کیسے سمائیں گے پھول جنت کے
کہ بس چکے ہیں مدینے کے خار آنکھوں میں
عجب نہیں کہ لکھا لوح کا نظر آئے
جو نقشِ پا کا لگاؤں غبار آنکھوں میں
کرم یہ مجھ پہ کیا ہے میرے تصور نے
کہ آج کھینچ دی تصویرِ یار آنکھوں میں
فرشتو ! پوچھتے ہو مجھ سے کس کی امت ہو
لو دیکھ لو یہ ہے تصویرِ یار آنکھوں میں
پیا ہے جامِ محبت جو آپ نے نوری !
ہمیشہ اس کا رہے گا خمار آنکھوں میں