Hazrat Miyan Raaj Shaah Sundhwi Biography
Hazrat Miyan Raaj Shaah Sundhwi rahmatullāhi alaihi :
Alqaab :
‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾
Qutb-e-Aalam, Fard-e-Waqt, Shaikh-e-Kabeer.
****************
Aap ki wilaadat 1216 Hijri (1801 A.D.) me Sundh (Zila Mewat, Haryana) me hui.
****************
Aap ke waalid ka naam Hazrat Maulana Abdul Samee hai.
****************
Aap ne apne waalid se ta’aleem wa tarbiyat haasil ki.
Phir Hazrat Maulana Muhammad Ismāeel Siddeeqi Mehami rahmatullāhi alaihi se bai’at karke ta’aleem wa faiz haasil kiya.
Is ke ilaawa Aap ne Hazrat Daana Gulaab Shaah Majdoob, Hazrat Deen Ali Shaah Majdoob Dehlawi, Hazrat Kallan Shaah Majdoob (Kot Patli Bajepur), Hazrat Maulana Noor Muhammad Kamli waale Delhawi, Hazrat Miyan Muhammad Ismāeel Kumhar Hisar waale, Hazrat Maulana Muhammad Ramazaan Siddeeqi Mehami, 8.Ustad ul Asatiza Hazrat Shaah Abdul Azeez Mohaddeeṡ Dehlawi, Hazrat Shaah Abdul Qaadir Dehlawi, Hazrat Shaah Muhammad Is’hāq Mohaddeeṡ Dehlawi, aur Hazrat Miyan Noor Muhammad Naqqash se bhi faiz haasil kiya.
****************
Hazrat Ghaazi-ud-deen Shaah rahmatullāhi alaihi farmaate hain “Aap 12-12 ghanta Habs Dam kiya karte the jis me Aap ke jism ke rong rong se Kalma ki aawaaz aati thi.”
****************
Patodi, Tonak, Hasanpur, Sardhana, Tikam Garh, wagairah ke Nawaab bhi Aap ke Mureed the.
Qaazi Waheed-ud-deen Raaj shaahi Suhanwi bayaan karte hain ke “Ek martaba Fard-e-waqt Miyan Raaj shaah rahmatullāhi alaihi ne farmaaya : Murshid e kaamil mureed karne ke qaabil tab hota hai ke maghrib ya asr ke waqt us ke chaar hazaar ya us se zyada mureedo ki jaan nikalti ho aur woh sab ka haal ma’aloom kar le, agar aisa nahi hai to aise peero se alaahida rehna chaahiye. Faqeeri mushkil cheez hai.”
****************
Aqwaal :
‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾
Aap irshaad farmaate hain :
(1) ALLĀH ka isme Jalaalat Isme Aazam hai. Is se hi har cheez haasil ho jaati hai.
(2) Dunya miṡle Saaya hai, jab insaan Khuda ko chhod kar dunya ki taraf chalta hai to yeh saaye ki tarah haath nahi aati aur jitna aadami uske peechhe daudta hai utni hi aage daudti hai aur jab insaan is ko chhod kar ALLĀH ta’ala ki jaanib rujuh karta hai to dunya us ke peechhe peechhe ho leti hai.
(3) Itteba aur paabandi e Shariyat ka naam hi Durweshi hai.
Agar koi hawa me ude aur paani par chale aur aag bhi asr na kare magar khilaafe Shar’aa ho to usko hargiz na manna. Ye log Shaitaan ke pairokaar hain.
(4) Khayaalaat ki safaai Mujaahida aur riyazat se hoti hai aur is khayaali safaai ka zariya shariyat ki pairwi hai.
(5) ALLĀH waale zameen par jis jagah soye, baithe, chale, phire waha par barkat naazil hoti hai. Us jagah ko Khuda bhi mehboob rakhta hai.
Har Madfoon e Aulia par nazoole barkat hota hai.
(6) Saaleheen aur ulama ki sohbat se Noor-ul-Eimaan me izaafa hota hai.
Faqeero, Durwesho aur ALLĀH waalo ki sohbat aur khidmat se dil ki siyahi door hoti hai, ibaadate Allah Ka jhok wa shauq paida hota hai, Jo ALLĀH aur uske Rasool sallallāhu alaihi wa sallam ki khushnoodi ka baaiṡ hai.
(7) Insaan ahkaame shariyat ka paaband aur farmaan bardaare murshide kaamil rahe to Khuda raazi hoga. Jis par Murshid ka karam hota hai us par ALLĀH ta’ala aur uske Rasool sallallāhu alaihi wa sallam ka bhi karam hota hai aur phir sab us par maherbaan ho jaate hain.
(8) Murshid waseela hai ALLĀH aur uske Rasool sallallāhu alaihi wa sallam ki qurbat ka raasta paane ka. Peer ki khidmat karne se Khuda ka qurb haasil hota hai.
(9) Mureed ko chaahiye jab Peer ke paas aaye to dil me dunya ka koi khudsha lekar na aaye. Murshid e kaamil ko aa’ina ki maanind tamaam haal ma’aloom hota hai.
(10) Hasad aur Bughz se dil siyaah ho jaata hai. Jhoot, Dagabaazi, Chori aur Riyakaari me barbaadi hai.
****************
Pariwaar :
‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾
Aap ka nikaah Bibi Maryam se hua.
Aap ke 4 saahabzaade aur 3 saahabzaadiya hain.
Saahabzaade :
(1) Abdullāh Shaah
(2) Muhammad Bahaadur Khan
(3) Haidar Shaah
(4) Muhammad Ramazaan Khan.
Saahabzaadiya :
(1) Bibi Mehar
(2) Bibi Nawaaz
(3) Bibi Raheeman.
****************
Aap Shaikh-ul-Masha’ikh Hazrat Maulana Muhammad Ismāeel Siddeeqi Mehami rahmatullāhi alaihi ke mureed aur khalifa hain.
Hazrat ne aap ko Qaadri, Chishti, Suharwardi, Naqshbandi, aur Madaari silsila ki khilaafat aur ijaazat ata farmai hai.
Aap ke khulfa :
(1) Hazrat Maulana Abdullāh Shaah Raaj shaahi rahmatullāhi alaihi (Sundh, Haryana)
(2) Hazrat Haaji-ul-Haramain Miyan Haidar Shaah Raaj shaahi rahmatullāhi alaihi (Sundh, Haryana)
(3) Hazrat Ghaazi-ud-deen Shaah rahmatullāhi alaihi (Bharatpur, Rajasthan)
(4) Zubdatul Asfiya Hazrat Chhote Shaah urfe Shaah Ji Kabuli rahmatullāhi alaihi (Dhulawat, Haryana)
(5) Hazrat Sayyed Shaah Ali Husain Ashrafi Miyan Kichhauchhawi rahmatullāhi alaihi (Kichhauchha, Uttar Pradesh)
(6) Aarif e Kaamil Hazrat Miyan Muhammad Ismāeel Shaah rahmatullāhi alaihi (Fareed Nagar, Uttar Pradesh)
(7) Jaame Ma’aqool wa Manqool Hazrat Allama Maulana Abdur Rahmān rahmatullāhi alaihi (Meerut, Uttar Pradesh)
(8) Qutb-e-waqt Hazrat Allama Maulana Abdur Raheem rahmatullāhi alaihi (Meerut, Uttar Pradesh)
(9) Qutb-e-Dauraan Makhdoom-ul-Auliya Hazrat Haafiz Muhammad Ibrāheem Shaah rahmatullāhi alaihi (Sarava, Uttar Pradesh)
(10) Waaqif-e-Asraar-e-Haqeeqat Hazrat Meer Muhammad Taqi rahmatullāhi alaihi (Thanabhavan Shamli, Uttar Pradesh)
(11) Hazrat Nawaab Muhammad Is’hāq Khan rahmatullāhi alaihi (Fareed Nagar, Uttar Pradesh)
(12) Shikh-ul-Masha’ikh Hazrat Haji Sayyed Aabid Husain Raaj shaahi rahmatullāhi alaihi (Deoband, Uttar Pradesh)
(13) Qalandar-e-Waqt Hazrat Haafiz Meer Ahmad Ali Aakherawi rahmatullāhi alaihi (Sundh, Haryana)
(14) (Aap ke nawaase) Hazrat Makhdoom-e-Millat Wali Muhammad Raaj shaahi rahmatullāhi alaihi (Satawari, Haryana)
(15) Qutb-e-waqt Hazrat Ameer-ud-deen rahmatullāhi alaihi (Doha, Haryana).
****************
Aap ka wisaal 8 Ramazaan 1306 Hijri (9 May 1889 A.D.) ko Baroz Jumeraat Subah saadiq se pehle 90 saal ki umr me hua.
Aap ka mazaar Sundh (Haryana) me hai.
****************
ALLĀH ta’ala us ke Habeeb sallallāhu alaihi wa sallam ke sadqe me
Aur Hazrat Qutb-e-Aalam Miyan Raaj Shaah Sundhwi rahmatullāhi alaihi aur tamaam Auliya Allāh ke waseele se
Sab ko mukammal ishq e Rasool ata farmae aur Sab ke Eimaan ki hifaazat farmae aur Sab ko nek amal karne ki taufiq ata farmae.
Aur Sab ko dunya wa aakhirat me kaamyaabi ata farmae aur Sab ki nek jaa’iz muraado ko puri farmae.
Aameen.