haq-pasand-o-haq-nawa-o-haq-numa-milta-nahi-lyrics

haq-pasand-o-haq-nawa-o-haq-numa-milta-nahi-lyrics

 

Haq Pasand Wa Haq Numa Wa Haq Nawa Milta Nahi

 

Mustafa Haider Hasan Ka Aaina Milta Nahi

 

 

 

Khush Bayan Wa Khush Nawa Wa Khush Ada Milta Nahi

 

Dil Nawazi Karne Wala Dil Ruba Milta Nahi

 

 

 

 

Marde Maidan E Raza, Wo Haidar E Deen E Khuda

 

Sher Sirat, Sher Dil Haider Numa Milta Nahi

 

 

 

Paikar E Sidq O Safa, Wo Shamme Rahe Mustafa

 

Jo Mujassam Deen Tha Wo Kya Hua Milta Nahi

 

 

 

Haazaten Kisko Pukaren, Kiski Janib Rukh Karen

 

Haazaten Mushkil Me Hain, Mushkil Kusha Milta Nahi

 

 

 

Wo Amine Ahle Sunnat, Raaz Daarey Murtaza

 

Ashraf Wa Afzal, Najeeb E Ba Safa Milta Nahi

 

 

 

 

 

Shible Shere Karbala, Wo Daaf-E-Karbo Bala

 

Wo Hamara Ghamzada, Gham Aashna Milta Nahi

 

 

 

Ek Shakhe Gul Hee Kya, Ghamgeen Hai Saari Fiza

 

Mustafa Ka Andleeb E Khush Nawa Milta Nahi

 

 

 

Yaad Rakhna Ham Se Sunkar Midhat E Haider Hasan

 

Fir Kahoge Akhtar E Haider Numa Milta Nahi

 

Sharing Is Caring:

Leave a Comment