Huzoor Sarwar-E-Kainat Sallallahu Alaihi Wasallam Ki Shaan-E-Karam Mein Likha Gaya Yeh Shums-Ul-Ulema Hazrat Syed Muhammad Amin Miyan ‘Nazmi’ Marahravi Ka Ek Nihayat Hi Roohani Aur Maqbool Kalam Hai. Is Haseen Kalam Se Apne Qalb-O-Imaan Ko Ishq-E-Rasool Ki Roshni Se Munawwar Karein. Alhaj Owais Raza Qadri Sahab Ki Khush-Alhani Se Saja Yeh Kalam Roohani Sukoon Ka Ek Azeem Zariya-E-Najat Hai.
| Naat Information | Details |
| Naat Title | Ka’be Ke Dar Ke Samne Maangi Hai Ye Du’a Faqat |
| Poet / Writer | Syed Muhammad Amin Miyan ‘Nazmi’ Marahravi |
| Category | Naat Sharif |
| Naatkhawan / Reciter | Alhaj Owais Raza Qadri |
| Book Name | Unknown |
Ka’be Ke Dar Ke Samne Maangi Hai Ye Du’a Faqat Lyrics In Roman
Ka’be Ke Dar Ke Samne Maangi Hai Ye Du’a Faqat
Haaton Mein Hashr Tak Rahe Daaman-E-Mustafa Faqat
Naz’a Ke Waqt Jab Meri Saanson Mein Intishaar Ho
Meri Nazar Ke Samne Gumbad Ho Wo Hara Faqat
Tayba Ki Sair Ko Chalein, Qadmon Mein Un Ke Jaan Dein
Dafn Hon Un Ke Shahar Mein, Hai Yahi Iltija Faqat
Duniya Ki Saari Ne’matein Meri Nazar Mein Hech Hon
Rakhne Ko Sar Pe Gar Milein Na’lain-E-Mustafa Faqat
Apne Karam Se, Ae Khuda! ‘Ishq-E-Rasool Kar ‘Ata
Aakhiri Dam Zabaan Pe Ho Salle-‘Ala Sada Faqat
Na’at-E-Rasool-E-Paak Hai ‘Nazmi’ Ka Maqsad-E-Hayaat
Qabr Mein Bhi Labon Pe Ho Sarkar Ki Sana Faqat
Ka’be Ke Dar Ke Samne Maangi Hai Ye Du’a Faqat Lyrics In Hindi
का’बे के दर के सामने माँगी है ये दु’आ फ़क़त
हाथों में हश्र तक रहे दामन-ए-मुस्तफ़ा फ़क़त
नज़’अ के वक़्त जब मेरी साँसों में इंतिशार हो
मेरी नज़र के सामने गुंबद हो वो हरा फ़क़त
तयबा की सैर को चलें, क़दमों में उन के जान दें
दफ़्न हों उन के शहर में, है यही इल्तिजा फ़क़त
दुनिया की सारी ने’मतें मेरी नज़र में हेच हों
रखने को सर पे गर मिलें ना’लैन-ए-मुस्तफ़ा फ़क़त
अपने करम से, ऐ ख़ुदा ! ‘इश्क़-ए-रसूल कर ‘अता
आख़िरी दम ज़बाँ पे हो सल्ले-‘अला सदा फ़क़त
ना’त-ए-रसूल-ए-पाक है ‘नज़्मी’ का मक़्सद-ए-हयात
क़ब्र में भी लबों पे हो सरकार की सना फ़क़त
Ka’be Ke Dar Ke Samne Maangi Hai Ye Du’a Faqat Lyrics In Urdu
کعبے کے در کے سامنے مانگی ہے یہ دعا فقط
ہاتھوں میں حشر تک رہے دامنِ مصطفیٰ فقط
نزع کے وقت جب میری سانسوں میں انتشار ہو
میری نظر کے سامنے گنبد ہو وہ ہرا فقط
طیبہ کی سیر کو چلیں، قدموں میں ان کے جان دیں
دفن ہوں ان کے شہر میں، ہے یہی التجا فقط
دنیا کی ساری نعمتیں میری نظر میں ہیچ ہوں
رکھنے کو سر پہ گر ملیں نعلینِ مصطفیٰ فقط
اپنے کرم سے، اے خدا! عشقِ رسول کر عطا
آخری دم زباں پہ ہو صلِّ علیٰ صدا فقط
نعتِ رسولِ پاک ہے ‘نظمی’ کا مقصدِ حیات
قبر میں بھی لبوں پہ ہو سرکار کی ثنا فقط