Syed e Alam ﷺ ki laadli bint e rasool Khatoon e Jannat Sayyida Fatima alayhas salam ke pakiza khandan ki azmat poore deen e Islam ki ragon me behti hai.
Yeh nihayat hi be-misaal aur pur-asar manqabat ‘Aabroo-e-Ummat Hain Sayyida Ke Ghar Wale’ Ahl e Bait e Athar ki azmat, unki sakhawat aur darr-e-Sayyida ke karam ko bayan karti hai.
Aaiye is mubarrak aur roohani manqabat ke shers ko nihayat hi aqeedat, adab aur ehtiraam ke sath padhein.
| Naat Information | Details |
| Naat Title | Aabroo-e-Ummat Hain Sayyida Ke Ghar Wale |
| Poet / Writer | Gulam Noor e Mujassam |
| Category | Manqabat / Ahl e Bait Lyrics |
| Naatkhawan / Reciter | Gulam Noor e Mujassam |
Naat Lyrics in Roman
aabroo-e-ummat hai.n sayyida ke ghar waale
waqt ki zaroorat hai.n sayyida ke ghar waale
KHatm ho gai hoti zalzale me.n ye duniya
is zamee.n pe rahmat hai.n sayyida ke ghar waale
keh raha hai duniya se sar husain-e-aa’zam ka
laaiq-e-imaamat hai.n sayyida ke ghar waale
zulm ne bahut chaaha nasl KHatm ho jaae
aaj bhi salaamat hai.n sayyida ke ghar waale
ham ne KHoob dekha hai baargaah-e-KHwaja me.n
markaz-e-saKHaawat hai.n sayyida ke ghar waale
daaman-e-sahaaba hai ab bhi mere haatho.n me.n
haa.n meri zamaanat hai.n sayyida ke ghar waale
bhook baarah saalo.n ki keh rahi hai duniya se
jabl-e-isteqaamat hai.n sayyida ke ghar waale
ai yazeed ke haami ! munh kahaa.n chhupaaega
maalikaan-e-jannat hai.n sayyida ke ghar waale
jism zinda rehta hai KHoon ki haraarat se
KHoon ki haraarat hai.n sayyida ke ghar waale
ham ‘ali ke deewane.n hausla na haarenge
hauslo.n ki taaqat hai.n sayyida ke ghar waale
mere seene me.n ik dil, Noor ! mere us dil me.n
bar-sar-e-hukoomat hai.n sayyida ke ghar waale
Naat Lyrics in Hindi
आबरू-ए-उम्मत हैं सय्यिदा के घर वाले
वक़्त की ज़रुरत हैं सय्यिदा के घर वाले
ख़त्म हो गई होती ज़लज़ले में ये दुनिया
इस ज़मीं पे रहमत हैं सय्यिदा के घर वाले
कह रहा है दुनिया से सर हुसैन-ए-आ’ज़म का
लाइक़-ए-इमामत हैं सय्यिदा के घर वाले
ज़ुल्म ने बहुत चाहा नस्ल ख़त्म हो जाए
आज भी सलामत हैं सय्यिदा के घर वाले
हम ने ख़ूब देखा है बारगाह-ए-ख़्वाजा में
मरकज़-ए-सख़ावत हैं सय्यिदा के घर वाले
दामन-ए-सहाबा है अब भी मेरे हाथों में
हाँ मेरी ज़मानत हैं सय्यिदा के घर वाले
भूक बारह सालों की कह रही है दुनिया से
जबल-ए-इस्तेक़ामत हैं सय्यिदा के घर वाले
ऐ यज़ीद के हामी ! मुँह कहाँ छुपाएगा
मालिकान-ए-जन्नत हैं सय्यिदा के घर वाले
जिस्म ज़िंदा रहता है ख़ून की हरारत से
ख़ून की हरारत हैं सय्यिदा के घर वाले
हम ‘अली के दीवानें हौसला न हारेंगे
हौसलों की ताक़त हैं सय्यिदा के घर वाले
मेरे सीने में इक दिल, नूर ! मेरे उस दिल में
बर-सर-ए-हुकूमत हैं सय्यिदा के घर वाले
Naat Lyrics in Urdu
آبروئے امت ہیں سیدہؑ کے گھر والے
وقت کی ضرورت ہیں سیدہؑ کے گھر والے
ختم ہو گئی ہوتی زلزلے میں یہ دنیا
اس زمیں پہ رحمت ہیں سیدہؑ کے گھر والے
کہہ رہا ہے دنیا سے سر حسینِ اعظمؑ کا
لائقِ امامت ہیں سیدہؑ کے گھر والے
ظلم نے بہت چاہا نسل ختم ہو جائے
آج بھی سلامت ہیں سیدہؑ کے گھر والے
ہم نے خوب دیکھا ہے بارگاہِ خواجہؒ میں
مرکزِ سخاوت ہیں سیدہؑ کے گھر والے
دامنِ صحابہؓ ہے اب بھی میرے ہاتھوں میں
ہاں میری ضمانت ہیں سیدہؑ کے گھر والے
بھوک بارہ سالوں کی کہہ رہی ہے دنیا سے
جبلِ استقامت ہیں سیدہؑ کے گھر والے
اے یزید کے حامی! منہ کہاں چھپائے گا
مالکانِ جنت ہیں سیدہؑ کے گھر والے
جسم زندہ رہتا ہے خون کی حرارت سے
خون کی حرارت ہیں سیدہؑ کے گھر والے
ہم علیؑ کے دیوانے حوصلہ نہ ہاریں گے
حوصلوں کی طاقت ہیں سیدہؑ کے گھر والے
میرے سینے میں اک دل، نور! میرے اس دل میں
بر سرِ حکومت ہیں سیدہؑ کے گھر والے