ik na ik din ye maddaah-e-KHairul-bashar Lyrics

ik na ik din ye maddaah-e-KHairul-bashar Lyrics

 

 

ik na ik din ye maddaah-e-KHairul-bashar
naam apna zamaane me.n kar jaaega
aasmaa.n par use Gusl denge malak
jo nabi ki mohabbat me.n mar jaaega

wo rasoolo.n me.n, nabiyo.n me.n mumtaaz hai.n
un ko baKHshe KHuda ne ye e’jaaz hai.n
chal dayaar-e-madina me.n tu sar ke bal
tera big.Da muqaddar sa.nwar jaaega

kitna bartar-o-baala hai paa-e-nabi
choomte hai.n adab se jo roohul-amee.n
jin ke naa’lain ko choome ‘arsh-e-baree.n
un ka talwa koi kya samajh paaega

dast-e-qudrat se jin ki juda rooh hui
sayyida faatima ki hai ‘azmat ba.Di
jin ko dekha nahi.n hai farishto.n ne bhi
un ka parda koi kya samajh paaega

ik nawaase ki tishna-labi hai ajab
yaa’ni shabbir ki bandagi hai ajab
jo jhuke to qayaamat talak na uThe
aisa sajda koi kya samajh paaega

dekh kar noor, raaja ye kahne laga
mai.n ne KHwaja ko paani kiya band tha
kya pata tha ki saagar sama jaaega
un ka kaasa koi kya samajh paaega

ahl-e-sunnat ke ‘ulma ka hai faisla
is sadi ke mujaddid hai.n ahmad raza
chhe.D kar dekho in ka zara tazkira
chehra-e-najdiya KHud utar jaaega

sab ke murshid, mere taalib-o-raahbar
hai.n imaam ahl-e-sunnat ke laKHt-e-jigar
dekhna hoga ik din zamaana udhar
mera taaju-shshari’aa jidhar jaaega

Sharing Is Caring:

Leave a Comment