muharram ki 10 tareekh ko kiya karna chahiye

,aashoora( muharram ki 10 tareekh) ko kiya karna chahiye!!!
aashoora ke din ulmaye akabireen
ni che likhe aamal ko mustahab farmaya hae, kuch hazrat ne inko irshadate nabvi qarar diya hae aur unhon ne hazra maula ali ka qaol bataya hae , bare hal yeh sab achche kam han is liye in Chizon ko zaroor karna chahiye!!!:-
1) 9-10 muharram ko roza rakhna,
2) sadqa karna,
3) nafl namaz padhni,
4)1000, bar qul huvallh padhna,
5)ulmki ziyarat,
6)yateem ke sar par hath ferna shafqat va mahabbat ke sath,
7)apne ah va ayal ke khane peene ke liye ache se achcha intizam karns,
8)gusl karna,
9) surma lagana,
10) nakhoon katna,
11) bimaron ka hal chal poochne jana,
12)dushmanon se milap karna(deeni dushman is se kharij haen)
13)allah taala ki bargah men gid gida kar dua karni,( mausime rahmat bahavala fazailushshahoor ,anisulvaizeen )
hazrat abdullah bin masaud radiyallahu taala anhu se marvi hae ki:-
” rasoolullah sallallahu taala alaehi va sallam ne farmaya jo koyi aashoora ke din apne ahal va ayal ke rizq men farakhi va kushadgi karega allah taala sal bhar tak uske rizq men usat aur khaer va barkat ata farmayga (masabata minassunnah)
hazrat anas bin malik radiyallahu taala anhu ko logon ne aashoora ke din rote huye dekha ve bimar the logon ne samjha ki bimari ki vajah se rote honge is liye unhon ne.Poocha kiya aap bimari ki takleef ki vajah se ro rahe han? farmaya , nahin balki aaj aashoora ka din hae aur maen is sal bimari ki vajah se aashoora ka roza na rakh saka is liye ro raha hon halanki huzoor sallallahu taala alae va sallam ne farmaya hae ki aashoora ka roza rakhne vale ko jahannam ki aag na chuyegi isi liye afsos karke ro raha hoon ki imsal bimari ki vajah se roza Ki is fazilat se mahroom ho gaya hoon, (anisulvaizeen)
kuch muhaddiseen apne usool ke mutabiq aashoora ke din upar likhe mamulat men roza rakhne aur apni ayal par rizq ki kushaddi karne ke sivay baqi tamam aamal par hadison ne sakht jirah ki hae aur sabko munkir balki mauzu qarar diya hae magar zahir hae ki in aamal men koyi amal bhi hsaran mana nahin aur sal ke har din men in aamal ka karna jaiz hi hae aur yeh bat sabit hae ki aksar salhin aur auliyaae kiram radiyallahu anhum aashoora ke din in aamal par amal karte rahe haen is liye in ke inkar va mana men ziyati nahi karna chahiye!!! aur pas adab rakhna chahiye!!! jaesa ki rajab ki pahli jumarat vali namaz salaturragaib ko muhaddisin ne mauzu bstaya.
magar harat sarkar gaus pak radi yallahu anhu aur doosre auliyaae kiram se yeh namaz sahih sandon ke ssth marvi hae , lihaza muhtat ulmaye kiram va fuqhaye izam radiyallhu anhum ka yahi maslak hae ki is se na roka jaye(masabata minassunnah, bahare shariat)
tarkib duaye aashora
aashoora ke din gusl karke 2 rakat namaz nafl is tarah padhen !!!ki :- “alhamdu lillah” ke bad 10 bar ” qul huvallh” padhen!!! aur salam ke bad 1 bar “aaytulkursi” aur 9 bar “durood ibrahimi sharif” jo namaz men padhi jati hae fir duaaye aashoora jo aam taor par masjidon men aashoora ke din log jama hokar padhte hen insha allah taala umar men kher va barkst, zindgi men falah va nemat hasil hogi
allah taala hamen taufeeq ata farmaye to apne-apne gharon men bhi hamari man bahnon aur bachchiyon ko bhi hidayat farmayen ki ve bhi iska yehtamam karen!!! aur aashoora ki khaer va barkat kar saken.
allah taala ham logon ko yaume aashoora .Sahi dhang se manane ki taufeeqe rafeeq aata farmaye aur shohdaye karbala radiyallahu anhum ki qurbani ka maqsad samajhen!!! vahiyat, khurafat, bidaate sayyiyat aur rafziyon sheeyon ki mushabhat se bachen!!! shohdaye karbala ke liye apne-apne gharon men niyaz karen!!!
aap ka khaer andesh

Leave a Reply

This site uses Akismet to reduce spam. Learn how your comment data is processed.

%d