Bakhsh De Lyrics – Owais Raza Qadri
Adal Karen te thar-thar kanbar unchiyan shana wale
Fazl Karen te bakhshe jawan main warge muh kaale
Behad zaleel-o-khwar hun mola tu bakhsh de
Tauba,meri tauba, meri tauba, tu bakhsh de
Main aaj be-qarar hun mola tu bakhsh de
Isyan ke zer-e-baar hun, mola tu bakhsh de
Maghmoom o dil figaar hun mula tu bakhsh de
Sharminda kirdgar hun mola tu bakhsh de
Main zaar hun, nizaar hun mola tu bakhsh de
Main zaar hun, nizaar hun mola tu bakhsh de
Tauba meri tauba, Tauba meri tauba
Maine bhula diya mujhe marna hai ek din
Mar kar andheri qabr me jana hai ek din
Aamaal ka hisaab bhi dena hai ek din
Han ! Pul-siraat se bhi guzarna hai ek din
Muzrim hun, na bakar hun mola tu bakhsh de
Muzrim hun, na bakar hun mola tu bakhsh de
Behad zaleel-o-khwar hun mola tu bakhsh de
Tauba meri tauba, meri tauba, tu bakhsh de
Kuchh rakh saka lihaaj bhi na mamnu’aat ka
Kya kya na irtikaab kiya munkaraat ka
Haasil na ho saka mujhe irfan zaat ka
Afsos ! main ghulam raha khwahishaat ka
Nadan hu gawar hu mola tu bakhsh de
Nadan hu gawar hu mola tu bakhsh de
Tauba meri tauba, tauba meri tauba
Is darza badh gayi mere dik ki ye murdagi
Main la saka na apne amal me bhi umdagi
Aur kar saka na bhi ada haq-e-bandagi
barbad kar gaya hun khuda apni zindagi
Zahir me deen-daar hun mola tu bakhsh de
Zahir me deen-daar hun mola tu bakhsh de
Tauba meri tauba, meri tauba, tu bakhsh de
koi na dekh le yehi dhadka mujhe laga
Tu dekhta rah mujhe ahsaah na raha
Main bad-lihaaj afw pe bhoola raha sada
Be-sharm ban gaya mujhe aayi na kuchh haya
Main wo siyah kar hun mola tu bakhsh de
Main wo siyah kar hun mola tu bakhsh de
Tauba meri tauba, Tauba meri tauba
Iqraar hai mujhe mere mola main hun layeen
Mayoos par nahin teri rahmat se ae rahim
Khaali na bhej dar se tere ae mere karim
Mere gunah bhi bakhsh teri shan hai azim
Main bhi ummidwar hun mola tu bakhsh de
Main bhi ummidwar hun mola tu bakhsh de
Behad zaleel-o-khwar hun mola tu bakhsh de
Tauba meri tauba, meri tauba, tu bakhsh de
Kartoot dekhta hun to uthta hai dil me haul
Rahmat pukarti hai ki mus’haf zara tu khol
La-takna tu bhi tujh ko milega khuda ka qaul
Sare gunah dhulenge bas ik baar ubaid bol
Ya rab main sharmshar hun mula tu bakhsh de
Ya rab main sharmshar hun mula tu bakhsh de
Tauba meri tauba, tauba meri tauba
Tauba meri tauba, tauba meri tauba
Rukh Din Hai Ya Mehray Sama Ye Bhi Nahi Wo Bhi Nahi Lyrics in Hindi
Maslak e Aala Hazrat Salamat Rahe Lyrics in Hindi
Sunniyo Ka Nara Hai Ahmad Raza Hamara Hai Lyrics in Hindi
Tu Kuja Man Kuja Lyrics in Hindi
Barwein Ka Chand Aaya Lyrics in Hindi
Subha Taiba Mein Hui BatTa Hai Bada Noor Ka Lyrics in Hindi
Eid e Milad Un Nabi Hai Dil Bara Masroor Hai Lyrics in Hindi
Aagayi Mustafa Ki Sawari Lyrics
Aalam Mein Baraat Rachi Hai Lyrics
Aagaii Jag De Vich Bahaar Lyrics
sada raway wasda makhana sade peer da Lyrics
Imdad Kun Imdad Kun Ya Ghaus E Azam Dastageer Naat Lyrics
Al Aman Qahar he Ya Ghaus Woh Tikha Tera Lyrics
dar hai tujhe main kho na du lyrics
Barkate Raza – Naat lyrics, Islamic Books, Owais Raza Qadri Naat Lyrics