Sarkar Tajushshariah Mufti Akhtar Raza Khan Alaihirrahma Ki Shaan Mein Likhi Huwi Yeh Behtareen Aur Mashhoor Manqabat-E-Paak Un Ke Rutbe Aur Azmat Ka Khoobsoorat Bayan Hai. Is Kalam Ke Har Misre Mein Huzoor Tajushshariah Se Aqeedat Ka Izhaar Nihayat Hi Dilkash Andaaz Mein Kiya Gaya Hai.
| Naat Information | Details |
| Naat Title | Tamam Aalam Me Hai Charcha Mere Tajushariya Ka |
| Poet / Writer | Sayyed Muhammad Azhar Raza Qadri Azhari |
| Category | Manqabat Sharif / Manqabat-E-Tajushshariah |
| Naatkhawan / Reciter | Sayyed Muhammad Azhar Raza Qadri Azhari |
| Book Name | Barkate Raza Naat Book |
Tamam Aalam Me Hai Charcha Mere Tajushariya Ka Lyrics In Roman
Tamam Aalam Me Hai Charcha Mere Tajushariya Ka
Tamam Aalam Me Hai Charcha Mere Tajushariya Ka
Bajega Hashr Tak Danka Mere Tajushariya Ka
Bajega Hashr Tak Danka Mere Tajushariya Ka
Wo Jiske Ek Fatwe Se Hukoomat Kaamp Jaati Hai
Kasam Se Aisa Nana Hai Mere Tajushariya Ka
Rahe Kaabe Ke Andar Ek Ghante Tak Mere Murshid
Zamana Dekh Le Rutba Mere Tajushariya Ka
Tamam Aalam Me Hai Charcha Mere Tajushariya Ka
Bajega Hashr Tak Danka Mere Tajushariya Ka
Ye Qismat Jaag Jayegi Musibat Bhaag Jayegi
Kabhi Dil Se Lagaa Naara Mere Tajushariya Ka
Tamam Aalam Me Hai Charcha Mere Tajushariya Ka Lyrics In Hindi
तमाम आलम में है चर्चा मेरे ताजुश्शरिया का
तमाम आलम में है चर्चा मेरे ताजुश्शरिया का
बजेगा हश्र तक डंका मेरे ताजुश्शरिया का
बजेगा हश्र तक डंका मेरे ताजुश्शरिया का
वो जिसके एक फ़तवे से हुकूमत काँप जाती है
क़सम से ऐसा नाना है मेरे ताजुश्शरिया का
रहे काबे के अन्दर एक घण्टे तक मेरे मुर्शिद
ज़माना देख ले रुतबा मेरे ताजुश्शरिया का
तमाम आलम में है चर्चा मेरे ताजुश्शरिया का
बजेगा हश्र तक डंका मेरे ताजुश्शरिया का
ये क़िस्मत जाग जाएगी मुसीबत भाग जाएगी
कभी दिल से लगा नारा मेरे ताजुश्शरिया का
Tamam Aalam Me Hai Charcha Mere Tajushariya Ka Lyrics In Urdu
تمام عالم میں ہے چرچا میرے تاج الشریعہ کا
تمام عالم میں ہے چرچا میرے تاج الشریعہ کا
بجےگا حشر تک ڈنکا میرے تاج الشریعہ کا
بجےگا حشر تک ڈنکا میرے تاج الشریعہ کا
وہ جس کے ایک فتوے سے حکومت کانپ جاتی ہے
قسم سے ایسا نانا ہے میرے تاج الشریعہ کا
رہے کعبے کے اندر ایک گھنٹے تک میرے مرشد
زمانہ دیکھ لے رتبہ میرے تاج الشریعہ کا
تمام عالم میں ہے چرچا میرے تاج الشریعہ کا
بجےگا حشر تک ڈنکا میرے تاج الشریعہ کا
یہ قسمت جاگ جائے گی مصیبت بھاگ جائے گی
کبھی دل سے لگا نعرہ میرے تاج الشریعہ کا