HAY LAB E ISAA SEY JAAN BAKHSHI NIRAALI HAATH MEIN NAAT LYRICS
Hay lab-e-Isaa sey jaan bakhshi niraali haath mein,
Sang reze paate hain sheerin maqaali haath mein.
Be nawaon ki nigaahein hain kahaan tehreer-e-dast,
Reh gayien jo paa key jood-e-laa yazaali haath mein.
Kya lakiron mein yadullah khat sar-o-aasa likhaa,
Raah yoon is raaz likhne ki nikaali haath mein.
Jood shahe Kausar apne pyason ka joya hay aap,
Kya ajab ur kar jo aap aaye piyaali haath mein.
Abr nisyaan momino ko taigh uriyaan kufr par,
Jam’a hain shaan-e-jamaali-o-jalaali haath mein.
Maalik-e-kaunain hain go pass kuch rakhte nahin,
Do jahan ki nematein hain un key khaali haath mein.
Saaya afgan sar pe ho parcham Ilaahi jhoom kar,
Jab liwaul-hamd le ummat ka waali haath mein.
Har khate kaf hay yahaan aay dasht-e-baizaaye kaleem,
Mojzan daryaae noor-e-be misaali haath mein.
Wo giraan sangi qadr-e-mas wo arzaani jood,
Nauiya badla kiye sang walaali haath mein.
Dastageere har do aalam kar diya sibtain ko,
Aay main qurbaan jaan-e-jaan angusht kya lee haath mein.
Aah wo aalam key aankhein band aur lab par durood,
Waqf sang-e-dar jabeen rauza ki jaali haath mein.
Jis ne bai’at ki bahaar-e-hassan par qurbaan raha,
Hay lakeerein naqsh-e-taskheer-e-jamaali haath mein.
Kaash ho jaaun lab-e-Kausar mein yoon waa rafta hosh,
Le kar us jaan-e-karam ka zel aali haath mein.
Aankh mehwe jalwa-e-deedaar-e-dil pur josh-e-wajd,
Lab pe shukr-e-bakhshish saaqi pyaali haath mein.
Hashr mein kya kya mazey waaraftagi key loon RAZA,
Laut jaaun paa key wo daamane aali haath mein.