BALAGHAL ULA BE KAMALEHI SALLU ALAIHE WALEHI NAAT LYRICS || Barkate Raza

“Balaghal Ula Bi Kamalihi” duniya bhar me padhe jaane wale mashhoor Arabi Salam aur Naatiya kalaamon me se ek hai. Is mubarak kalaam me Sarkar-e-Do Aalam ﷺ ki kamal-e-zat, husn-e-jamal aur afzal sifat ka zikr nihayat khoobsurat andaaz me kiya gaya hai. Iske saath padhe jaane wale Urdu ash’aar ishq-e-Rasool ﷺ, Dar-e-Mustafa ﷺ ki barkaton aur Huzoor ﷺ ke waseele se Allah Ta’ala ki rehmat ki umeed ko bayan karte hain. Mehfil-e-Milad, Jashn-e-Eid Milad-un-Nabi ﷺ aur mehafil-e-naat me yeh kalaam khas taur par padha jata hai aur sunne walon ke dilon ko muhabbat-e-Rasool ﷺ se roshan kar deta hai.

Naat Information

Details Information
Naat Title Balaghal Ula Bi Kamalihi
Genre Arabic Salam / Naat Sharif
Language Arabic & Urdu
Naat Khwan Various Naat Khwans
Poet Imam al-Busiri (attributed Arabic Salam)
Writer Traditional Islamic Kalaam
Category Islamic Naat Lyrics

Roman Urdu Lyrics

Arabic Salam

Balaghal ula bi kamalihi
Kashafad duja bi jamalihi

Hasunat jami’u khisalihi
Sallu alaihi wa aalihi

Roman Urdu Naat

Na kahin se door hain manzilen
Na koi qareeb ki baat hai

Jise chahen usko nawaz dein
Ye Dar-e-Habib ki baat hai

Jise chaaha dar pe bula liya
Jise chaaha apna bana liya

Ye bade karam ke hain faisle
Ye bade naseeb ki baat hai

Woh Khuda nahin, bikhuda nahin
Magar woh Khuda se juda nahin

Woh hain kya, magar woh kya nahin
Ye muhib-e-Habib ki baat hai

Tere husn se teri shaan tak
Hai nigah o aql ka faasla

Zara ba’eed ka zikr hai
Woh zara fareb ki baat hai

Woh machal ke raah mein reh gayi
Ye tadap ke dar se lipat gayi

Woh kisi ameer ki aah thi
Ye kisi ghareeb ki baat hai

Main buron se lakh bura sahi
Magar unse hai mera wasita

Meri laaj rakhna mere Khuda
Ye tere Habib ki baat hai

Tujhe ae Munawwar be-nawa
Dar-e-Shah se chahiye aur kya

Jo naseeb ho kabhi saamna
To bade naseeb ki baat hai


बलग़ल उला बि कमालिही,
कशफ़द दुजा बि जमालिही,
हसुनत जमीउ खिसालिही,
सलू अलैहि वा आलिही।

न कहीं से दूर हैं मंज़िलें,
न कोई क़रीब की बात है,
जिसे चाहें उसको नवाज़ दें,
ये दर-ए-हबीब की बात है।

जिसे चाहा दर पे बुला लिया,
जिसे चाहा अपना बना लिया,
ये बड़े करम के हैं फैसले,
ये बड़े नसीब की बात है।

वो ख़ुदा नहीं, बि-ख़ुदा नहीं,
मगर वो ख़ुदा से जुदा नहीं,
वो हैं क्या, मगर वो क्या नहीं,
ये मुहिब-ए-हबीब की बात है।

तेरे हुस्न से, तेरी शान तक,
है निगाह ओ अक़्ल का फ़ासला,
ज़रा बईद का ज़िक्र है,
वो ज़रा फ़रेब की बात है ये।

वो मचल के राह में रह गई,
ये तड़प के दर से लिपट गई,
वो किसी अमीर की आह थी,
ये किसी ग़रीब की बात है।

मैं बुरों से लाख बुरा सही,
मगर उनसे है मेरा वासिता,
मेरी लाज रखना मेरे ख़ुदा,
ये तेरे हबीब की बात है।

तुझे ऐ मुनव्वर बे-नवा,
दर-ए-शाह से चाहिए और क्या,
जो नसीब हो कभी सामना,
तो बड़े नसीब की बात है।


 

بلغ العلی بکمالہ
کشف الدجی بجمالہ
حسنت جمیع خصالہ
صلوا علیہ وآلہ۔

نہ کہیں سے دور ہیں منزلیں
نہ کوئی قریب کی بات ہے
جسے چاہیں اس کو نواز دیں
یہ درِ حبیب کی بات ہے۔

جسے چاہا در پہ بلا لیا
جسے چاہا اپنا بنا لیا
یہ بڑے کرم کے ہیں فیصلے
یہ بڑے نصیب کی بات ہے۔

وہ خدا نہیں، بخدا نہیں
مگر وہ خدا سے جدا نہیں
وہ ہیں کیا، مگر وہ کیا نہیں
یہ محبِ حبیب کی بات ہے۔

ترے حسن سے، تری شان تک
ہے نگاہ و عقل کا فاصلہ
ذرا بعید کا ذکر ہے
وہ ذرا فریب کی بات ہے یہ۔

وہ مچل کے راہ میں رہ گئی
یہ تڑپ کے در سے لپٹ گئی
وہ کسی امیر کی آہ تھی،
یہ کسی غریب کی بات ہے۔

میں بروں سے لاکھ برا سہی
مگر ان سے ہے میرا واسطہ
میری لاج رکھنا میرے خدا
یہ تیرے حبیب کی بات ہے۔

تجھے اے منور بے نوا
درِ شاہ سے چاہیے اور کیا
جو نصیب ہو کبھی سامنا
تو بڑے نصیب کی بات ہے۔

 

6 thoughts on “BALAGHAL ULA BE KAMALEHI SALLU ALAIHE WALEHI NAAT LYRICS || Barkate Raza”

Leave a Comment