baya’n kya kare koi azmat ali ki lyrics in urdu Barkate Raza||

Bibi Fatimah ke shauhar aur dilon ke sardar, Maula Ali Mushkil Kusha (a.s.) ki be-misal shaan, shuja’at aur ibaadat ko khiraaj-e-aqeedat pesh karta yeh ek nihayat hi khubsoorat aur rooh-parwar manqabat hai.
Is kalam mein Maula Ali ki fasaahat o balaaghat, unki sakhawat, aur Nabi-e-Kareem ﷺ ke bister par sone ke us azeem tareen waqiye ka zikr nihayat hi asar-angeez andaz mein kiya gaya hai.
Sufi shair Saif Qadri ke qalam se nikla har ek sher dilon mein mohabbat-e-ahl-e-bait ki shama ko roshan karta hai.

Naat InformationDetails
Naat TitleBaya’n Kya Kare Koi Azmat Ali Ki
Poet / WriterSaif Qadri Allahabadi
CategoryManqabat Maula Ali (a.s.)
Naatkhawan / ReciterVarious Famous Reciters

Naat Lyrics in Roman

Baya’n kya kare koi azmat Ali ki
Nabi ki zaba’n par hai midhat Ali ki

Mera dil na kyun kar kare zikr-e-haider
Ragon mein basi hai mohabbat Ali ki

Akhara hai ik aan mein baab-e-khaibar
Hai duniya mein yakta shuja’at Ali ki

Inhein apne bister pe shah ne sulaya
Hai kis auj par dekho qismat Ali ki

Yeh farmaan hai shah-e-jinn-o-bashar ka
Ke takna ibaadat hai surat Ali ki

Zameen-o-zama’n mein hai danka Ali ka
Makeen-o-maka’n mein hai shuhrat Ali ki

Fasahat, balaaghat hai khud jis pe qurbaa’n
Hai aisi nirali khitabat Ali ki

Inhein apna bhai kaha Mustafa ne
Shah-e-deen se aisi hai qurbat Ali ki

Koi un ke dar se nahi jata khaali
Misaali hai jag mein sakhawat Ali ki

Jo mahshar mein waliyo’n ki mehfil sajegi
To hogi yaqeenan sadarat Ali ki

Muattar hua jis se baagh-e-tasawwuf
Aye Saif-e-hazeen hai wo nikhat Ali ki

Naat Lyrics in Hindi

बयां क्या करे कोई अज़मत अली की
नबी की ज़बां पर है मिदहत अली की

मेरा दिल न क्यूँ कर करे ज़िक्र-ए-हैदर
रगों में बसी है मोहब्बत अली की

अखाड़ा है इक आन में बाब-ए-ख़ैबर
है दुनिया में यकता शुजाअत अली की

इन्हें अपने बिस्तर पे शह ने सुलाया
है किस औज पर देखो क़िस्मत अली की

यह फ़रमान है शाह-ए-जिन्न-ओ-बशर का
के तकना इबादत है सूरत अली की

ज़मीन-ओ-ज़मां में है डंका अली का
मकीन-ओ-मकां में है शोहरत अली की

फ़साहत, बलाग़त है ख़ुद जिस पे क़ुर्बां
है ऐसी निराली ख़िताबत अली की

इन्हें अपना भाई कहा मुस्तफ़ा ने
शह-ए-दीं से ऐसी है क़ुर्बत अली की

कोई उनके दर से नहीं जाता ख़ाली
मिसाली है जग में सख़ावत अली की

जो महशर में वलियों की महफ़िल सजेगी
तो होगी यक़ीनन सदारत अली की

मुअत्तर हुआ जिससे बाग़-ए-तसव्वुफ़
ऐ सैफ़-ए-हज़ीं है वो निकहत अली की

Naat Lyrics in Urdu

بیاں کیا کرے کوئی عظمت علی کی
نبی کی زباں پر ہے مدحت علی کی

مرا دل نہ کیوں کر کرے ذکر حیدر
رگوں میں بسی ہے محبت علی کی

اکھاڑا ہے اک آن میں باب خیبر
ہے دنیا میں یکتا شجاعت علی کی

انھیں اپنے بستر پہ شہ نے سلایا
ہے کس اوج پر دیکھو قسمت علی کی

یہ فرمان ہے شاہ جن و بشر کا
کہ تکنا عبادت ہے صورت علی کی

زمین و زماں میں ہے ڈنکا علی کا
مکین و مکاں میں ہے شہرت علی کی

فصاحت ،بلاغت ہے خود جس پہ قرباں
ہے ایسی نرالی خطابت علی کی

انھیں اپنا بھائی کہا مصطفیٰ نے
شہ دیں سے ایسی ہے قربت علی کی

کوئی ان کے در سے نہیں جاتا خالی
مثالی ہے جگ میں سخاوت علی کی

جو محشر میں ولیوں کی محفل سجے گی
تو ہوگی یقیناً صدارت علی کی

معطر ہوا جس سے باغ تصوف
اے سیف حزیں ہے وہ نکہت علی کی

Leave a Comment