Shah E Arsh E Aala Salamun Alaikum Lyrics

Shah E Arsh E Aala Salamun Alaikum Lyrics

 

 

Shah e Arsh e Aala Salamun Alaikum
Habeeb e Khudaaya Salamun Alaikum

Mere Maah e Taiba Salamun Alaikum
Shahenshah e Batha Salamun Alaikum

Khabar Jin Ke Aane Ki Thi Muddato Se
Huwa Jalwa Farma Salamun Alaikum

Jo Tashrif Laye Wo Sultan e Aalam
To Kaaba Pukara Salamun Alaikum

Do Aalam Ka Aaqa o Maula Banaakar
Tumhe Haq Ne Bheja Salamun Alaikum

Ye Aawaz Har Simt Se Aa Rahi He
Shah e Deen o Duniya Salamun Alaikum

Tamanna Hai Apni Madine Pahonch Kar
Kahoon Paish Roza Salamun Alaikum

Dua Hai Ke Jab Waqt Ho Jaangni Ka
Ho Lab Par Wazifa Salamun Alaikum

Jameel Apne Aaqa Shafi-ul-Umam Par
Padheja Hamesha Salamun Alaikum

Shah e Arsh e Aala Salamun Alaikum
Habeeb e Khudaaya Salamun Alaikum

Salato Salam Lyrics: Shah e Arsh e Aala Salamun Alaikum Lyrics
Salato Salam Written By: Maulana Jameel ur Rehman Qadri..

 

 

Sharing Is Caring:

Leave a Comment